Allah Ta’ala farmata hai:
قَدْ أَفْلَحَ الْمُؤْمِنُ - الَّذِينَ هُمْ فِي صَلَاتِهِم خَاشِعُونَ
Beshak Momin Kamiyab Hogae Jo Apni Namaz Qhushoo Aur Qhuzoo Ke Saath Ada Karte Hain.
(Surah Al Mominoon, Ayat - 1 & 2)
Umar bin Khattab r.a. se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya ke ‘Ehsaan ye hai ke tum Allah ki ibaadat is tarha (dil laga kar) kar jaise ke usko dekh rahe ho aur agar ye na ho sake to ye khayal karke ki Allah Ta’ala tumhe dekh raha hai.’
Sahih al Bukhari, Al Eeman 50 ; Sahih Muslim, 8.
Jab insan namaz mein ye tasawwur karega ke main Allah Ta’ala ko dekh raha hu’n ya kam azkam Allah Ta’ala mujhe dekh raha hai to uske dil me Allah Ta’ala ka dar aur ta’azeem paida hoga, wo apni namaz khushoo aur khuzoo ke saath ada karega, namaz me beja harakaat (T: unwanted/unnecessary movements) o saknaat nahi karega, be adabi aur bad-tahzeebi ke sath namaz adaa nahi karega. Balki namaz to sukoon aur itmenaan ka naam hai.
Ubada bin Saamit r.a. riwayat karte hain ke maine RasoolAllah ﷺ ko ye farmate hue suna: ‘Allah Ta’ala ne 5 namazei’n farz ki hain, pas jis ne accha wuzu kiya aur isko khusho ke saath padha aur ruku pura kiya to is namazi ke liye Allah Ta’ala ka ahad hai ke wo isko baqsh dega aur jo aisa na kare Allah ka koi ahad nahi, chaahe baqsh de chaahe azaab de. ’
Sunan Abu Dawood, as Salah 425. Imam Ibn e Hibban ne ise Saheeh kaha.
Jo shaks namaz me ye tasawwur kare ke wo Rab ke saamne khada hai to wo poori dil jamai (sole heartedly) aur huzoor e qalb ke saath namaz ada karega. Ye mumkin hi nahi ke iska jism mutaharriz rahe, kabhi ek pair par zor de kabhi doosre pair par, kabhi daadhi se khelna shuroo kare aur kabhi baghair zaroorat khujli karta rahe aur kabhi kameez ki silwatei’n door karta rahe .
Allah Ta’ala irshad farmata hai:
حَافِظُوا عَلَى الصَّلَوَاتِ وَالصَّلَاةِ الْوُسْطَىٰ وَقُومُوا لِلَّهِ قَانِتِينَ
‘Aur Allah Ke Saamne (Namaz Me) Adab Se Khade Raho.’
(Surah al Baqra, Ayat- 238)
Bilaa zarurat harkat karna adab aur ta’azeem ke manaafi hai. Rasool Allah ﷺ ne ye ta’aleem di hai ke namazi ke saamne koi aise cheez nahi honi chaahiey jo is ki tawajjoh namaz se hata de
aur is tarha is ke huzoor e qalb me farq aae.
Ummul Momineen Aaisha r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne ek chaadar me namaz padhi jis me naqsh o nigaar tha, fir farmaya: ‘Meri is chaadar ko Abu Jahm ke paas le jaao aur unki chaadar mere paas le aao, is (chaadar ki dhaariyo’n) ne mujhe namaz me khushoo se gafil kar diya.’
Sahih al Bukhari, as Salah 373 – Sahih Muslim: al Masaajid 556.
Ummul Momineen Aaisha r.a. ne ghar me ek parda latka rakha tha, Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Ye parda hataa do, is ki tasweerie’n namaaz me mere saamne aati hain.’
Sahih al Bukhari, al Salah 374.
In ahadees e mubaaraka se ye baat nikalti hai ke namaz me kamil huzoor aur khuzoo laazmi hai aur jo cheez aadmi ko namaz me apni taraf mutawajjeh karte isko door kar dena chahiye, magar afsos aaj masjido’n me mobile me ringtones ki awaazei’n goonjti hain hatta ke khana e Ka’aba bhi is tarha ki music se mahfooz nahi raha. Is tarha ye log apni aur dusre logo’n ki bhi namazo’n ke Khushoo aur Khuzoo ko kharab karte hain. Isle alaawa azeei’n masjido’n ke mehrab aur deewaro’n ko araasta kiya jaata hai, in par naksh o nigar banaye jaate hain, masjid ki qaleen aur jaye-namaz par naqsh o nigar banae jaate hain, halaa’nke masaajid saadgi ka namuna honi chaahiey, taake namaz me sukoon aur itmenaan aur poori tawajjoh ke sath ek musalman namaz adaa kar sake.
RasoolAllah ﷺ ne farmaya: ‘Mujhe ye hukam nahi diya gaya ke main masjido’n ko sajaya (T: Beautify) karoo’n.’
Ibn e Abbas (sahabi) Is hadith ki Tafseer me farmate hain: Albatta tum bhi masaajid ko sajaoge jaise inko Yahood o Nasaara sajaya karte the.
Sunan Abu Dawood: al Salah 448. Imam Ibne Hibban aur Shaykh Albani ne Saheeh kaha.
Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya: ‘Qayamat ki nashaniyo’n me se ek nashaani ye hai ke log masjido’n par fakhr karei’nge.’ [Yaani Masjido ki khubsurat banawat par]
Sunan Abu Dawood: 449. Imam Ibne Qhuzaima ne (V3 P-281) Saheeh kaha.
Namaz padhte hue nigahei’n neechi rahni chaahiye, ye baat namaz me Allah ke saamne adab se khade hone ke khilaaf hai ke namazi nazro’n ko ooncha kare ya idhar udhar dekhe.
Ummul Momineen Aaisha r.a. bayan kari hai ke main ne Rasool Allah ﷺ se namaz me idhar udhar dekhne ke bare me sawal kiya to Aap ﷺ ne farmaya: ‘Namaz me idhar udhar dekhna bande ki namaz me shaitaan ka hissa hai.’
Sahih al Bukhari: al Adhaan 751.
Anas bin Maalik bayan karte hain ke Rasool Allahﷺ ne farmaya: ‘Logo’n ka kya haal hai ke wo namaz me apni nigahei’n upar uthaate hain. Aap ﷺ ne saqht tambeeh karte hue farmaya:
Log aisa karne se baaz aajaaei’n warna inki nazrei’n uchak lee jaei’ngi. (They will becom blind)’
Sahih al Bukhari: 750.
Namaz me tawajjo aur huzoor e qalb barqaraar rakhna itna hi zaroori hai ke Aap ﷺ ne neend ki shadeed talab ki maujoodgi me nawafil padhne se man’a farmaya.
Aaisha r.a. farmati hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo shaqs namaz mein aunghaye use chaahie ke let jaae yaha’n take ke iski neend poori hojaae, jo koi neend mein namaz padhega to isko ma’aloom nahi ho sakta ke wo Allah se ma’afee maang raha hai ya
apne apko bad dua de raha hai.’
Sahih al Bukhari: al Wuzu 212 – Sahih Muslim: al Salah lil Musaafireen 786.
Isi tarha agar bhook lagi hai aur khaana bhi maujood ho to namaz me khaane ka khayal aasakta hai, jis ki wajah se dil jamai ke saath namaz adaa karna mushkil hota hai toh Rasool Allah ﷺ ne pahle khaana khaane ka hukam diya.
Abdullah bin Umar r.a. bayan karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jab tumhare saamne raat ka khana rakha jaaye aur udhar namaz ke liye jama’at bhi khadi ho jaaye to pahle khaana khaao aur namaz ke liye jaldi na karo yaha’n tak ke khane se faarigh ho jaao.
Nafi (Tabaeen) is hadith ki tafseer me kahte hai ki Ibne Umar ke liye khaana laaya jaata aur jama’at bhi khadi hojaati toh wo namaz ke liye nahi jaate the yahaa’n tak ke khane se faarig hojate, hala’nke wo Imam ki qirat ki awaaz bhi sun rahe hote the.’
Sahih al Bukhari: al Adhaan 673 – Sahih Muslim 559.
Namaz me dil jama’ai hi ki khaatir Aap ﷺ ne hukam diya ke pakhana ya peshab ho to pahle is se faraagat haasil karo.
Aaisha r.a. bayan farmati hain ke Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya: ‘Jab khana maujood ho aur pakhana o peshab ki haajat ho to namaz nahi hoti.’
Sahih Muslim: al Masaajid, Baab: Karahatis salah bi hazarit ta’am 560.
Abdullah ibn ash-Shikhkhir riwayat karte hai Rasool Allah ﷺ ki namaz me khashiyat Ilaahi ka you’n muzaahera hota tha ke ‘Aap namaz padhte to Aap rone ki wajah se
Aapke seene se chakki ke chalne ki see awaaz aati thi.’
Sunan Abu Dawood: al Salah 904. Classed as Sahih by Shaykh Albani.
Hamei’n bhi namaz mein ye tasawwur dil o dimagh mein bithana chaahiey ke ham Allah Ta’ala ki baargah mein khade hain, zaahiri aur baatini taur par Allah ki taraf mutawajje rahna chaahiey aur gar shaitan hamei’n hamari namaz se ghaafil karna chaahe to Aauzu Billah keh kar baaei’n (T: Left Side) 3 baar thuthkaar kar shaitan ko bhagana chahiey.
Usmaan bin Abil A’aas ne Rasool Allah ﷺ se dariyaft kiya ke Aye Allah ke Rasool ﷺ, Shaitaan meri namaz aur meri qirat ke darmiyan haael ho jaata hain aur qirat me iltebaas paida karta
hai?
Aap ﷺ ne farmaya: ‘Is shaitan ka naam Qhanzab hai, jab tumhe is ka khayal aaye to Aauzu Billah ke kalimat padho aur baaei’n (T: Left Side) 3 baar thuthkaaro’.
Usmaan bin Abil A’aas bayan karte hain ke main ne aisa hi kiya, chunache Allah Ta’ala ne ise (shaitaan ko) mujhe se door kardiya.
Sahih Muslim: al Salaam 2203.
Note: This will be dry spit and not wet spit.
Hamei’n namaz bohot hi khoobsurati ke saath padhni chahiye, ba’az namazi raful yadain karte hue hatho’n ko kandho’n tak buland nahi karte sirf haath ya ungliyo’n ko zara si harkat dena hi kaafi samajhte hain, ba’az namaz ki haalat me kabhi aastinei’n (T: Sleevs) utaarte hain aur kabhi is haalat mein namaz padhte hain ke inki aastinei’n oopar chadhi hui hoti hain, gharz namaz me la ibaaliyat aur be adabi ka mukammil muzahera kar rahe hote hain aur yahi log duniyawi hukumrano’n ke saamne jab khade hote hain to bade adab aur ehteraam se khade hote hain.
Kya Allah Ta’al ke darbar me be adabi jaaez ho sakti hai?
Abu Huraira r.a. bayan karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne ek din namaz padhane ke ba’ad farmaya: ‘Aey Falaa’n! Tum apni namaz husn o khoobi ke saath kyou’n adaa nahi karte? Namazi jab namaz padhta hai to wo is baat ko kyou’n mad‐de nazar nahi rakhta ke wo kis tarha namaz padh raha hai? Halaa’nke namazi apne faaede ke liye namaz padhta hai, aur Allah ki kasam! Mai jis tarha aage dekhta hu’n isi tarha peeche dekhta hu’n.
Sahih Muslim: as Salah 423.
•٠•●●•٠•
Allah se dua hai ki wo ham sabko khushu aur khuzu ke sath namaz padhne ki tufeek ata kare. aameen.