اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Tayammum Ka Sahih Tarika


Paani na milne ki soorat me paak mitti ko wuzu ya ghusl ki niyyat karke apne haatho aur muh par malna tayyamum kahlata hai.

Paani ne milne ki kai sooratei’n hai maslan musaafir ko safar me paani na mile. Ya paani ke maqaam tak pho’nche main jaan ka dar ho. Maslan ghar me paani nahi hai baahar karfyu naafiz hai ya paani laane me kisi dushman ya darinde se jaan ka andesha ho to aisi soorat me ham tayyamum karsakte hain qhuwah ye wajah barso’n maujood rahe tayyamum bhi badastoor jaaez rahega.

Abu Zar r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Paak mitti musalmano’n ka wuzu hai agar che das baras paani na paae.’

(Abu Dawood: al Tahaara 332 – Tirmizee: al Tahaara 124) Ise Imaam Tirmizee – Imaam Haakim V1 P176, 177) Imam Ibne Hibban ne Saheeh kaha.

Ummul Momineen Aisha رضياللهعنه se riwayat hai ke ‘Ham Rasool Allah ﷺ ke sath safar par nikle jab baida ya zaat al habash paho’nche to mere gale ka haar tuth kar gir gaya, Rasool Allah ﷺ is ko dhundhne ke liey taher gae, log bhi taher gae wahay’n pani na tha. Abu Bakar رضياللهعنه mere paas aae inho’n ne ghussa kiya aur mujhe bura bhala kaha. Rasool Allah ﷺ meri raan par sar rakh kar sote rahe yaha’n tak ke subah hogai aur paani bilkul na tha tab Allah Ta’ala ne tayyammum ki ayat naazil farmai.’

Asad bin Qhazeer Ansaari رضياللهعنه kehne lage: Aey Abu Bakar رضياللهعنه ke aulaad ye tumhari pehle barkat nahi hai (ya’ani is se pehle bhi tumhari wajah se Allah Ta’ala ne musalmano’n ko faaed diya) Phir ham ne oun’t ko uthaya to haar iske neeche se nikla

(Bukhari: 334 – Muslim 367)

۞ Janaabat ki Haalat mein Tayyammum:

Agar paani na mile ya paani itna kam hoke wuzu na ho sake to tayyammum kiya ja sakta hai.

Sayyadna Imran رضياللهعنه riwayat karte hain ke ham Rasool Allah ﷺ ke saath safar mein the. Aap ne logo’n ko namaz padhai. Jab namaz se faarigh hue to achanak aapki nazar ek Aadmi par padi jo logo’n se alag baitha hua tha aur isne logo’n ke saath namaz nahi padhi thee. Rasool Allah ﷺ ne in se poocha: Aey Falaan! Logo’n ke saath namaz padhne se tujhe kis cheez ne roka? Inho ne kaha mujhe janabat paho’nchee aur paani na mil saka. Aap ne farmaya: ‘Tum par mitti (se tayyammum karna) laazim hai. Pas wo tere liey kaafi hai.’

(Bukhari: al Tayammum 344 – Muslim: al Masaajid 682)

۞ Agar Koi Zaqhmi Ya Mareez Ho Aur Paani Ke Istemaal Se Marz Ke Badhne Ka Khatrah Ho:

Sayyadna Ibne Abbas رضياللهعنه farmate hain ke sardi ka mausam tha, ek aadmi ko ghusl janabat ki zaroorat pesh aai. Inhone is baar main dariyaft kiya to inko ghusl karne ko kaha gaya. Isne ghusl kiya jis se iski maut waqe hogai. Jab is waqye ka zikar Rasool Allah ﷺ se kiya gaya to Aapne Farmaya: ‘In logo’n ne ise maar dala. Allah inko mare beshak Allah ta’ala ne mitti ko paak karne wala banaya hai. (wo Tayammum karleta).’

(Ibn e Qhuzaima V1 P138, 273 – Ibne Hibban 2001) Ise Imam Haakim V1 P165 aur Imam Haafiz Zahabi ne Saheeh kaha.

Agar kisi kamzor ya beemari aadmi ko ehtelaam hojae aur shadeed sardi ho ya paani bahot thanda ho aur ghusl karna iske liey halaakat ya beemari ka maujab hoto is tayyammum karke namaz padh leni chahiye.

Mohtalim (T: Person who observed nightfall), Haaeza aur Nifaas se faarigh hone waali auratei’n bhi waqt e zarurat tayammum karke namaz padh sakti hain. Is liey ke tayammum uzar ki haalit mein wuzu aur ghusl dono’n ka qaaem maqaam hai. 

۞ Tayammum Ka Tareeqa:

Tayammum karne ke liye:

Tayammum ki niyat karte hue Bismillah kah kar apne dono haath ek baar zameen par maare (rakhhe), phir daaye hatheli ka ooper waala hissa baaye hatheli par phere aur baayen hatheli ka oopar wala hissa daayen hatheli par phere, phir apne dono haath chehre par phere.

Iske baad wuzu ke baad padhi jaane waali dua padhein.

[The way in which tayammum is done is to say bismillaah with the intention of doing tayammum, then strike the ground once with the palms of the hands, then wipe the back of the right hand with the palm of the left, and the back of the left hand with the palm of the right, then wipe the face with both hands. Then the same du’aa’s that are recited after wudoo’ should be recited after tayammum.
]

[تيمم كى نيت كرتے ہوئے بسم اللہ كہہ كر اپنے دونوں ہاتھ ايك بار زمين پر مارے، پھر دائيں ہتھيلى كا ظاہرى حصہ بائيں ہتھيلى پر پھيرے اور بائيں ہتھيلى كا اوپر والا حصہ دائيں ہتھيلى پر، پھر اپنے دونوں ہاتھ چہرے پر پھيرے.

اور تيمم كے بعد وضوء والى دعائيں ہى پڑھے.]

Is tareeke ki tafseel aur daleel is tarha hai:

Sayyadna Ammar رضياللهعنه bayan karte hain ke wo safar ki haalat mein junbi hogae aur (paani na milne ki wajah se) qhaak me lote aur namaz padhlee. Phir (Safar se aakar) ye haal Rasool Allah ﷺ ke saamne bayan kiya to Aap ne farmaya: ‘Tumhare liey sirf yehi kaafi tha. (aur) phir Nabi e Akram ne dono’n haath zameen par mare aur in par pho’nk maari phir inke saath apne mun’h aur dono’n hatho’n par masah kiya.’

(Bukhari: al Tayammum338 – Muslim: al Haiz 368)

Rasool Allah ﷺ ne Ammar رضياللهعنه se kaha ke ‘Ulte haath se seedhe haath par aur seedhe haath se ulte haath par masah karo phir dono’n hatho’n se chehre ka masah karo.’ 

(Abu Dawood: al Tahaara 321)

‐ Quran e Majeed ke hukam: Fatayammamu Saeedan Tayyaban (Surah An Nisa 4/43) ki roo se tayammum, paak mitti se karna chaahiey.

‐ Tayyammum jaise mitti se jaaez hai isi tarha shor waali zameen aur ret se bhi jaaez hai.

‐ Ek Tayammum se (wuzu ki tarha) kai namazei’n padh sakte hain, kyou’nke tayammum wuzu ak qaaem maqaam (T: Equivalent) hai. Jin cheezo’n se wuzu toothta hai inhei’n cheezo’n se tayammum bhi tuth jaata hai. Agar namaz padh lene ke ba’ad paani ki maujoodgi ka ilm hojaae to ise ba wazoo hokar namaz dohrane ya na dohrane ka iqhteyaar hai. Taaham agar dohrale to behtar hai.

Abu Saeed r.a.  se riwayat hai ke do admiyo’n ne tayammum kiya aur namaz padhli phir inhei’n paani mil gaya aur abhi namaz ka waqt baaqi tha, pas inme se ek ne wuzu kiya aur namaz lautaai aur doosre ne namaz na lautaai, phir inho’n ne Rasool Allah ﷺ se poocha pas aap ne is shaqs se kaha jis ne namaz nahi lautaai thee ke ‘tum ne sunnat par amal kiya aur tumhari (tayammum wali) namaz tumhare liey kaafi hai aur doosre shaqs se kaha jis ne namaz lautaai thee ke tere liye zyada ajar hai.’

(Nasai V1 P213, al Ghusl 433) Imam Haakim aur Imam Haafiz Zahabi ne bukhari aur muslim ki shart par saheeh kaha.

•٠•●●•٠•

Read More »

Istehaza Ka Masala


Istehaza wo khoon hota hai jo ayyam e haiz ke ba’ad khaaki ya zard rang ka jaari hota hai. Yeek marz hai. Jab aurat apne haiz ki a’adat ke din poore karle phir ise ghusl karke namaz shuru kar deni chaahiye kyou’nke khoon istehaaza ka hukam khoon haiz ke hukam se mukhtalif hai. 

Aisha Siddiqa رضي الله عنه se riwayat hai ke Fatima bint Abi Habeesh رضي الله عنه Rasool Allah ki khidmat me aaei’n aur arz kiya: Aey Allah ke Rasool! Mujhe khoon istehaaza aata hai aur main (bawajah khoon istehaaza) paak nahi noti kya main namaz chhor du’n? 

Aap ne farmaya: Nahi khoon istehaza ek (androoni) rag se (behta) hai aur ye khoon haiz nahi hai. Pas jab tujhe haiz ka khoon aaey to Namaaz chod’de aur jis waqt khoon haiz band hojaae (aur khoon istehaaza shuru ho) to apne istehaaza ke khoon ko dho aur namaz padh.’ 

(Bukhari: al Haiz 306 – Muslim: al Haiz 333) 

Fatima bint Abi Habeesh رضي الله عنه ko Rasool Allah ne farmaya: ‘Haiz ka khoon siyah rang ka hota hai aur pehchaana jata hai agar ye aae to namaz se rukjao aur agar joi aur rang hoto wuzu kar aur namaz padho is liey ke ye rag (istehaza) ka khoon hai.’ 

(Abu Dawood: al Tahara 286) 

Umme A’atiya رضي الله عنه bayan karti hain ke ‘Ham haiz ke alawa baqi do’no me peele (T: Yellow) ya matyale rang ki kuch parwah nahi karti thei’n.’ 

(Bukhari: 326 – Abu Dawood: 308) 

Haasil Kalaam Ye Ke Mustehaaza Paak Aurat Ki Tarha Hai: 

Khoon haiz baloogat (T: Maturity) ki alaamat hai agar ye adat ke mutabiq aae to ye sahet ki alaamat hai, is ke bara’aks istehaaza beemari ke alaamat hai choo’nke ye khoon, haiz se pehle bhi aata hai aur haiz ki muddat guzar jane ke bawajood nahei’n rukta is liey ba’az khawateen ise bhi haiz samajh kar namaz chod’de rakhti hain lehaza is masla ko bil wazaahat samjahna zaroori hai:

1. Khoon haiz gaadha, Siyaah aur kisi qadr badboodar hota hai. Jib is ki muddat khat2m hoti hai tu khaaki yaa zard rang ka khoon agar jaari rehta hai to wo istehaza ka khoon hai. 

2. Agar khatoon, haiz aur istehaza ka farq pehchaanti hai to wo is ke mutabiq amal karegi ya’ani haiz aane par namaz chhor’degi aur haiz ke ba’ad istehaza ke dauran har namaz ke liey alag wuzu karke namaz ada karegi.

3. Agar is dono’n khoono’n ki pehchaan nahi hai albatta haiz ise a’adat ke mutabiq aata hai to wo a’adat ke dono’n main namaz tark karegi aur inke ba’ad khoon aaega ise istehaz2a samjhegi. 

4. Agar ise dono’n khoono’n ki pehchan hai aur haiz bhi a’adat ke mutabiq nahi aata to wo apni qareebi rishtedar khatoon (jo mizaaj aur umar me is jaise ho mislan bahen wagera) ki a’adat ke mutabiq amal karegi hatta ke ise pehchaan hojae ya iski apni adat ban jaae,

wa Allaho A’alam. 

۞ Mustehaaza Ke Ehkaam: 

1. Haiz ke khatme ke ba’ad aurat ghusl karegi. 

2. Rasool Allah ne Fatimah bint Habash رضي الله عنه ko hukam diya ke har namaz ke liey wazu kiya karo (Bukhari: 228) 

3. Aurat har wo kaam karegi jo ek paak aurat karti hai ya’ani wo namaz adaa karegi, roza rakhegi, etekaaf karegi, khana e ka’aba ka tawaf karegi. 

4. Mustehaaza aurat se sohbat karna jaaez hai. Hamna bint Hajash se riwayat hai ke ‘inhei’n istehaza ka khoon ata tha aur in ke khawand (is haal mein) in se sohbat karte the.’

(Abu Dawood: al Tahaara,: 310).
Read More »

Nawafil Aur Sunnat Namaze Ghar Me Padhna Afzal (Sunnat) Hai

hi    

۩ Zaid bin Sabit r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Farz namaz ke alawa baaqi namaz ghar mein padhna afzal hai.’

(Sahih al Bukhari: 731 – Sahih Muslim: 781)

۩ Abdullah bin Saad r.a. se riwayat hai ke main ne Rasool Allah ﷺ se dariyaft kiya ke nafil namaz ghar mein padhna afzal hai ya masjid mein? Aap ne farmaya ke: ‘Kiya tum nahi dekhte ke mera ghar masjid ke kis qadr qareeb hai iske bawajood faraaez naamz ke alaawa mujhe ghar mein namaz padhna ziyada pasand hai.’

(Sunan Ibn e Majah: Iqaamatis Salah 1378) Imam Buseeri aur Imam Ibne Khuzaima ne ise Saheeh kaha.

۩ Jabir r.a. riwayat karte hai ki Nabi e Akram ﷺ ne farmaya,

‘Jab tum masjid me namaz padho to namaz ka kuch hissa (nawaafil, sunnatei’n) apne gharo’n mein padho, Allah is namaz ke sabab ghar me khair o bhalaai dega.’

Sahih Muslim, Salatul Musafireen (6), hadees- 1822.

۩ Abdullah bin Umar r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Apni namazo’n ka kuch hissa apne gharo me padho (jaise qabrastan namaz se khali hote hain aise hi) apne gharo’n ko qabrastan na banaao.’

(Sahih al Bukhari: 432 – Sahih Muslim: 777).

•٠•●●•٠•
Read More »

Taaqat Se Badh Kar Ibadat Karna


۩ Rasool Allah ne Abdullah bin Umar se (bataur salwaal) dariyaft kiya: Mujhe batlaya gaya hai ke tum saari raat nawafil padhte ho aur din ko roza rakhte ho. Agar tum aisa karoge to tumhari ankhe kamzor aur tabiyat sust ho jaegi. Is liye roza rakho aur iftar bhi kar. Raat ko qiyam karo aur nind bhi puri karo, 1 maah mein 1 baar Quran e Paak khatam kar liya karo, inho ne arz ki mai is se zyada tilaawat karne ki taaqat rakhta hu.

Aap ne farmaya: Toh 20 din me khatam karliya karo, inhone kaha main is se bhi zyada taaqat rakhta hu. Aap ne farmaya: 7 din mein khatam kar liya karo. Is se zyada ki ijaazat nahi. Kyou’nke tumhari biwi ka tum par haq hai, tumhare mulaqatiyo’n ka tum par haq hai, tumhare badan ka tum par haq hai, aur shayad tumhari umar ziyada ho (aur tum ye kaam budhape me na kar sako).

Abdullah bin Umar jab budhe hue to aarzu karte the ke kaash mai RasoolAllah ki ruqsat qubool kar leta.’

(Bukhari: Fazaael Quran 5054 – Muslim: al Siyaam 1159)

Fir Aap ne inhe Quran paak 3 din mein khatam karne ki ijaazat dedi aur farmaya: ‘Quran e paak se us shas ko kuch samajh haasil nahi ho sakti jo 3 din se kam muddat me Quran e paak khatam karta hai.’

Jamia Tirmizi, kitab al Qira‐at, hadees- 2949; Sunan Abu Dawood, hadees-1390. Imam Tirmizi ne ise Hasan Saheeh kaha.

۩ RasoolAllah ne masjid ke andar 2 sutoono ke darmiyan latki hui rassi dekhi toh pucha ke ye kya hai? Logo ne kaha: Ye Zainab ki rassi hai wo (raat ko nawafil) namaz padhti rahti hai fir jab sust ho jaati hai ya thak jaati hai toh is rassi ko pakad leti hain.’ Aap ne farmaya: ‘Is ko khol daalo, har shaks apni khushi ke muwafiq (nawafil) namaz padhe fir jab sust ho jaae ya thak jaae toh aaraam kare.’

Sahih Muslim, kitab salatul musafireen, hadees- 784.

Is se maloom hua ke jaaez lazzato se kinara kashi aur jismani takleef par mushtamil sufiyana riyaazato aur mujahidaat ka Islam me koi tasawwuf nahi hai.

۩ Nabi e Rahmat ne farmaya: ‘Itna a’amal ikhtiyar karo jis qadar tumhe takat ho. Allah ki qasam! Allah sawab dene se nahi thakta lekin tum amal karne se thak jaaoge.’

Sahih Muslim, kitab salatul musafireen, hadees- 785.

•٠•●●•٠•
Read More »

30 Dec 2017

RasoolAllah Ka Naam Sunte Hi Angutha Chumna


Sawal: RasoolAllah ﷺ Ka Naam Sunte Hi Angutha Chumne Ki Kya Koi Shara'i Haisiyat Hai?

Jawab:

Alhamdulillah..

Dailmi riwayat kerte hai ki Hajrat Abu Bakr Siddique ne ek baar kaha ‘Jab maine  Muazzin ko Ash’hadu anna Muharnrnadar-Rasoolullah (SallAllaho Alaihi wa Sallam) kahte hue suna toh maine wahi kaha aur kalima ke ungli ke andar ke hisse ko chuma aur apne ankho par lagaya. Jab RasoolAllah SallAllaho Alaihi wa Sallam ne ye dekha to kaha, Meri sifarish us par wazib ho jati hai jo isi tarha karta hai jaise mere mahboob ne kiya.’

(Al Maqasid al-hasanah hadees- 976).

source:

۞ Tankeed

۩ Is riwayat pe Muhaddiseen ka faisla. :-

۞ Imam Sakhawi ne kaha : -

Imam Sakhawi ne khud is ko riwayat karne ke baad kaha ولا يصح hadith sahi nahi hai.

(Al Maqasid Al-hasanah 450).

۞ Allaamah Muhammad Taahir ne kaha :-

“Wa Laa Yasahah” Saheeh nahi hai.

(Tadhkirrah Al-mawdhoo’aat Page 36).

۞ Shaykh Muhammad Khaleel Tarbulusee Hanafi ne kaha:-

“Sakhawi ne Ise Inkar kiya hai aur kaha ki ye sahih nahi hai.”

(Al-Lulul al-marsoo’ah feemaa al-asal lahu wabaa asli mawdhoo no.505 page 168)

۞ Shaykh Albani ne kaha :-

“Ye hadith sahih nahi hai aur ye Daylamee ne Musnad al-Firdaus me Abu Bakr as-Siddeeque (Marfooan) par mansoob kiya hai . Lekin ibn Taahir ne at-Tadhkirrah me kaha hai ki yeh Saheeh nahi hai aur Imaam Shawkaani ne bhi yahi kaha hai al- Hadeeth al-Mawdhoo’aah (pg.9) me aur Sakhawee ne bhi al-Maqaasid me yahi kaha hai ki ye Saheeh nai hai.”

(Silsilah ahadeeth ad-da’eefah wal-mawdhoo’ah no.73).

۩ Ahmad Raza Khan Barelvi Ne Khud Kaha :-

RasoolAllah ka naam sunkar anguthe ko chumna aur fir aankh par malna kisi bhi marfoo hadith se sabit nahi hai aur iske bare me jo riwayat hai wo koi bhi takrir se azad nahi, isliye jo is daleel ko nazar me rakhta hai ya is daleel pe amal karne ko sochta hai ya jo ispar amal na kare unpar ilzam lagata hai to wo beshak galti pe hai.

(Abar al-maqaal fee qiblatil ajlaal page 12).

Ikhtitam:-

Kisi bhi ek marfoo riwayat me ye nai hai ki RasoolAllah ka naam sunne ke baad hame unglia chumni chaiye. Aur upar ki jo riwayate  hai wo sahih nahi hai isliye unpar bharosa nahi kiya ja sakta. Ham logo ke paas kafi mazbut riwayate hai jo kahti hai ki Rasoolallah ﷺ ka naam sunne ke baad unpar salam bhejna chaiye aur musalmano ko ispar ba-qaedgi se amal karna chaiye.

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

Pani Pine Ke Aadab


۞ DAAE HATH SE PINA

۩ Yahya riwayat karte hai Abdullah ibn Umar se ki RasoolAllah s.a.w. ne farmaya, “Jab tum khao to dahine hath se khao aur daye hath se piyo . Shaytaan baye hath se khata hai aur baae haath se pita hai.

Al-Muwatta Hadith 49:6.

۩ Abdullah ibn Umar riwayat karte hai ki RasoolAllah ne farmaya jab tum maise koi (Khana) khane ki nayat kare, use daai hath se khana chaiye aur jab wo pine ka iradah kare toh use daai hath se pina chaiye , kyuki shaytaan baae hath se khata aur pita hai.

Sahih Muslim Hadith 5008.

۞ SONE-CHANDI KE BARTAN ME PINA KA HUKM

۩ RasoolAllah ne farmaya, "Jo sone chandi ke bartan me khata ya pita hai wo to beshak apna pet jahannam ki aag se bharta hai."

[Bukhari :: Book 3 :: Volume 69 :: Hadith 778]

۞ PINE WALE BARTAN ME SAAS LENA KA HUKM

۩ Abu Qatada riwayat karte hai: Allah ke rasool ne farmaya, Jab kuch piyo to us bartan me saas mat lo.

[Bukhari :: Book 7 :: Volume 69 :: Hadith 534 ]

۞ ZAM-ZAM KA PANI KHADE HOKAR PINE KA HUKM

۩ Ibn Abbas riwayat karte hai: Maine Allah ke Rasool ko Zamzam ka pani pesh kiya aur unhone khade ho kar piya.

[Muslim :: Book 23 : Hadith 5023]

۞ TEEN SAAS ME PINA

۩ Anas r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah teen saas me pani pite the.

[Muslim :: Book 23 : Hadith 5029]

۞ PINE KE BAAD ALHAMDULILAH KAHNA

۩ Ibn Abbas riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, Unto(camel) ki tarha Ek ghut me mat piyo, lekin teen ghuto me piyo. Allah ke naam ke sath(bismillah kahkar) piyo aur peene ke baad uski taareef karo(alhamdulilah kaho).

[At- Tirmidhi, Book 3, Hadith 758].  

۞ DUSRO KO PILATE WAQT KHUD AAKHIR ME PINA

۩ Abu Qatadah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ne farmaya. "Jo dusro ko pani pilata hai usko khud aakhir me pina chaiye."

[At-Tirmidhi, Book 3, Hadith 773].

Khade Ho Kar Pani Pine Ke Masle Ke Ilm Ke Liye Ye Link Chq Kare → https://www.iqrakitab.com/2017/12/khade-ho-kar-pani-pine-ke-ahkaam.html
Read More »

Kaaba/Qibla Ke Taraf Pair Karne Ke Ahkaam


Allah ‎ﷻ Quran me farmate hai:

..Aur hamne yeh kitab nazil farmaee hai jiss me har cheez ka shafi biyan hai aur hidayat aur rahmat aur khuskhabri hai Musalmano ke liye.

(al Israa :89)

۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

"Sabse behtareen Kalam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai ..."

Sahih Bukhari, hadees- 382.

Quran aur sahih ahadith me kahi bhi nahi likha hai ki Kaabah ke taraf pair nahi karna chahiye. Agar ap sahih hadith padhenge to usse ye maloom hoga ki RasoolALlah ﷺ ke zamane me sahaba Kabah par chadh kar azaan dete the. (al-hadith)

Yaha tak ki sahih ahadiths me ata hai ki RasoolAlah ﷺ ne Kabah ke andar namaz padhi. Aur Zaahir si baat hai ke jab Kabah ke andar ap namaz padhenge aur jab sajde me jayenge toh khud-bakhud ap ka pair kabah ke tarf ishara karega.

۩ Ye riwayat kiya gaya tha ki Ibn Umar ne farmaya, “Rasoolullah ﷺ Kaba ke andar gaye aur wo bahar aane wale the, jab maine kuch socha, isliye mai jaldi aya aur maine RasoolAllah ﷺ ko bahar aate dekha. MAine Bilal r.a. se pucha: Kya RasoolALlah ne Kabah ke andar Namaz padhi?
Unhone kaha 'Ha, do rakat padhi do sutuno ke bich me.”

Sunan an-Nasa'i, 2907 (Sahih).

Hame Islam ko apne firqe ke zahen se nahi balki Allah aur uske Rasool ke Tarike se samajhna chaiye. Aur Islam me shiddat-pasandi ko chor kar aasaani ko apnana chaiye.

۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya:

"(Deen me) Logo ke liye chize  aasaan kiya karo aur sakhti na kiya karo aur unhe Khush-khabri sunaya karo aur mayus na kiya karo."

Sahih al Bukhari (69) aur Sahih Muslim (1734).

۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

Beshak Allah ta'ala narmi karne waale hain aur narmi ko pasand karte hain aur narmi pe wo sawab dete hai jo sakhti pe nahi dete.

Sunan abu Dawood, hadees 4807.

Shaykh Ibn ‘Uthaymeen se Qiblah ke tarf pair karke sone ka hukm pucha gaya tha. Unhone farmaya:
"Us shaks ke upar koi ilzam nahi hai agar wo qible ke taraf pair karke sota hai".

Fataawa al-Shaykh Ibn ‘Uthaymeen, 2/976.
Read More »