اقرأ باسم ربك الذي خلق

11 Nov 2018

Sach Ka Koi Firqa Nahi Hota


Hamare muashre me gumrahi ki ek badi wajah ye bhi hai ki aksar ham sirf ek taraf ki baate sun kar faisla kar lete hai ki kaun sahih hai kaun galat aur fir is tarike par chalte hue baaz auqat ilm rakhne wale log bhi aasani se bewakuf ban jate hai.

Sahaba ka tarika dekhye, pahle wo Muslim nahi the lekin jab un tak Rasool ki dawat pohchi toh unhone kya rawayya ikhtiyar kiya? Kya unhone Rasool ﷺ ko ye kaha ki hamare ulema to apko gumrah kahte hai toh apki baat ham kaise sune? aesa kaha kya?

Nahi! balki unhone dono taraf ki baate suni aur fir haq ko qubul kiya.

Salman e Farsi r.a. ki seerat padh lijiye, pahle wo atish-parast the, fir wo Isaai hue aur fir unhone Islam qubul kiya. Agar wo sirf ek tarfa baate sunte to unhe haq kaise milta?

Afsos ki baat hai ki hamare daawe to bade-bade hai lekin amal zero. Sahaba ki baate to ham karte hai lekin unke nakshe-qadam par chalne ko tayar nahi hai.

Mai agar apni baat karu to mai shirk aur biddat karne wale ghar me pala-badha. Uske baat jab ek ahle ilm ki baat mujh tak pohuchi to maine dono taraf ki baate sun kar haq qubul kiya aur shirk aur biddat ko teen talaq de diye. Agar mai sirf yahi kahta ki hamare ulema to inlogo ko gustakh e rasool kahte hai fir inki baat kyu kar sunu, to zara ap sochye kya aj mai isi muqam par hota jaha aj hu. Allah hamare amal ke sath sath hamare ilm ka bhi imtehan le raha hai, isse ham aksar anjaan hai.

Mai jis masjid me namaz padhne jata hu waha do tarha ke log aate hai, ek to wo hote hai jo nange sar namaz padhte hai aur dusre wo hote hai jo sar ko dhaanp ke (topi, imamah, wagaira se) namaz padhte hai. To ab is ikhtilaf par mujhe dono taraf ki daleele sunni hai taaki mujhe haq pata chale.

Isi tarha masjid me ek log aese hote hai jo rafa yadain kar ke namaz padhte hai aur ek aese hote hai jo bina rafa yadain ke namaz padhte hai. Is par bhi mujhe dono taraf ki baate sunni hai agar mujhe haqiqat ko janna hai.

Toh kabhi bhi sirf ek tarfa baat sun kar faisla nahi karna chahiye, dono taraf ki daleele sune aur fir faisla kare. Aur Agar dono taraf RasoolAllah ki ahadith maujud hai to ye dekhye ki hamare salaf (sahaba, tabayeen, tabe-tabayeen) ne us chiz ke bareme kya kaha aur unhone us chiz ko kaise samjha kyuki wahi log hai jinhone RasoolAllah ki baat hamse behtar tarah se samjhi hogi.

Log kahte hai ki kuch logo me tahkeek karne ki salahiyat nahi hoti ki wo faisla kar sake ki sahih baat kya hai. Lekin ye baat sahih nahi hai. Kyuki jin logo ki baat ap kar rahe hai ye wahi log hai jo market me agar vegetables khareedne jate hai to 10 shop par jate hai taaki sabse behtar quality ke sabse kam price me unhe mile. Ye wahi log hai ki agar koi property khareedenge toh 10 log se mashwara lenge. Toh dunya me to itne hoshiyar hote hai ye log fir Deen me inki saari hoshiyari kaha chali jati hai. Deen ke muamle me bhi unhe chahiye ki zara Quran ka saada tarjuma padh kar dekhe, zara 2-4 ahle ilm se mil kar dekhe. Baat to unhe samajh me aani hi hai kyuki sach me itni taqat hoti hai ki wo hukumate gira deti hai. Sach ko mamuli mat samajhye. Aur Allah Quran me khud wada karta hai ki agar ap haq ko dhudenge toh Allah apko sach ka rasta zarur dikhayega [Quran, 29:69]. Sach toh kafir ko bhi mil jati hai jo ki bilkul hi Islam se anjaan hota hai to apne toh ma shaa Allah ek musalman ke ghar me wiladat payi hai. Baat ye hai ki sach ko talash karne ke liye apko thodi mehnat karni padegi aur log is mehnat se bachna chahte hai. Toh bina hath pair hilaye to khana bhi hamare jism me nai pohchta fir ye to sach ki baat hai.

Ek baat aur hai ki baaz auqat log sach ki talash me gumrah bhi ho jate hai, lekin ye unki khud ki problem hai, Allah kabhi kisi sachhe dil se haq talash karne wale ko gumrah nahi karta hai. Jab Allah ne apke dil me koi haqiqat khol di hai lekin iske bawujud ap us tarike par nahi chalna chahte kyuki apki kuch zaati cheeze apse dur ho jaengi jisse apko sach se zyada muhabbat hai, misaal ke taur par kisi ko apne buzurg se muhabbat hai kisi ko maal o daulat se, kisi ko apne ulema se ya kisi khas fikr ya firqa se itni muhabbat hai ki ap sach ko janne ke bawujud bhi sach ko thokda dete hai. Toh Allah ki hidayat itni sasti nahi hai ki ap baar-baar use thokar marte rahe fir bhi wo apko mil jaye. Sach toh sachhe dil se haqiqat ko talash karne walo ko hi milta hai.

Sach ka koi firqa nahi hota! Agar apne ye faisla kar liya hai ki bas ham hi sahih hai, hamare hi groh haq par hai toh apne islah ke tamam darwaze apne liye band kar liye hai aur islah tabhi mumkin hai jab ap ye samjhe ki insan hone ke naate apse bhi kisi masle me galti ho sakti hai. Nubuwat ap par khatm nahi hui hai ki jo apne raaye ikhtiyar karli ab usme galti nahi ho sakti, nubuwat RasoolAllah par khatm hui hai, ham sab toh unki baato ko samajhne me masruf hai aur aiye ap bhi sath shamil ho jaiye.

•٠•●●•٠•

Prepared by: Faisal Khan.
Read More »

10 Nov 2018

La-Ilmi Muafi Hai - Shariyat Se Dalail


Alhmdulillah..

Kufriya ya Shirkiya amal karne wala shakhs do (2) haal se khaali nahi hoga:

۞ Pahli baat:

Aisa shakhs gair-muslim ho chahe woh kisi Deen ka qayil ho ya be-deen aur mulhid (yaani Allah ko na manne wala) shakhs ho

To aisi soorat me woh shakhs kafir hai, chahe woh ilm rakhta ho ya jaahil ho ya taaweel karta ho, is par duniya mein Islami ahkamaat laagu nahi honge, lehaza is ke sath kuffaar wala muamla kiya jayega kyunke yeh shakhs to Islam mein bilkul bhi daakhil hi nahi hua, to aise shakhs par Islam ka hukm kaise laagu ho sakta hai jabki usne apni nisbat Islam ki janib kiya hi nahi hai?

Albata aakhirat me yeh hoga ke: agar woh jaahil (na-wakif, kam-ilm, anjaan) hai aur use Islam ki dawat bilkul nahi pahunchi, ya dawat to is ki apni zubaan mein pahunchi lekin woh Islam ki maskh aur tabdeel (yaani bigdi) shuda soorat thi ke jis ki bina par hujjat qayim nahi ho sakti thi to fir aise shakhs ke bare mein akhirat ke roz kya hoga is ke mutallik ulema me lambi bahes aur ikhtilaf hai.

Is ke bare me behtar raaye ye hai ke: Qayamat ke din un ka imthehan liya jayega chunancha agar woh itaat guzari karega to jannat me daakhil ho jayega aur agar nafarmani ki toh jahannum mein jayega.

Shaykh ibn Taymiyah kahte hain:

"Aur bahut se aise aasaar (riwayat) milte hai ke jise dunya me Islam ka paigaam na pohuncha toh qayamat ke din iski janib maidan e mahshar me ek paigambar bheja jayega." end quote.

Majmoo‘ al-Fataawa (17/308).

۞ Dusri baat:

Kufriya ya shirkiya amal karne wala insaan Islam ka daawe daar ho aur waqai is mein Islam ka wasf paaya bhi jaye, yaani elaaniya taur par Islam ka iqraar kare aur RasoolAllah ﷺ ki mukammal tasdeek bhi elania kare.

Toh agar aisa shakhs la ilmi ki bina par koi kufriya kaam kar le to use is bina par kafir nahi kaha jayega, aur us waqt tak woh Islam se kharij nahi hoga jab taq is par hujjat qayam na ho jaye aur us par dalail waazeh na ho jaye.

Shaykh Abdul Rahman Saadi kahte hain:

“Har woh shakhs jo Allah aur us ke Rasool par eemaan rakhta hai, dono ki tasdeeq karta hai, dono ki itaat ki pabandi bhi karta hai lekin kam-ilmi ki wajah se RasoolAllah ﷺ ke laaye hue baaz ahkamaat ka inkaar kar de, ya use yeh ilm hi nahi hai ke yeh talimaat RasoolAllah ﷺ ki hain [aur woh un ka inkaar kar deta hai] to agarche is ka yeh amal asal mein kufr hai, aur yeh amal karne wala kafir thaherta hai, lekin ye haqiqat ki RasoolAllah jo (paigaam) laaye the wo usse anjaan tha, use kafir karar dene ki ijazat nahi deta chahe wo Aqidah ka masla ho ya Fiqhi masail ka kyunki kufr ka matlab yeh hai ke RasoolAllah ﷺ ki laayi hui sab ya kuch talimaat ka ilm hote hue inkaar kar diya jaye.

Is se ap ko yeh maloom ho gaya hoga ke (muqammal taur par) Rasool ka inkaar karne wala aur kam-ilmi, gumraahi, la-ilmi aur zidd ki wajah se Rasool ki baaz talimaat ka inkaar karne wale musalman ke darmiyan kya farq hai?” end quote.

Fataawa as-Sa‘diyyah (p. 443-447).

To isse maloom hota hai ke kam-ilmi ki bina par uzr qubool karna tamam ke tamam sharai masail me hai, chahe un ka talluq aqeedah, tauheed aur shirk se ho ya fiqhi ahkaam se.

Aqeede ke masail mein Musalman ka kam-ilmi ki bina par uzr qubool karne ka zikr sharai dalail mein maujud hai, jo ke ye hain:

1۞ Aisi tamam sharai nusus jin mein khatakaar ka uzr qubool kiya gaya hai, jaise ke farmaan e baari taala hai:

رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِنْ نَسِينَا أَوْ أَخْطَأْنَا

(Aye) Hamare parwar-digaar! Agar hum bhool jaye ya khata kar baithe to hamara muwakhza (punish) mat farmana.

Surah Baqarah (2), Ayat-286.

Is aayat ke baad Allah taala ne [Sahih Muslim (Hadees e qudsi) hadith-126] ki riwayat ke mutabiq farmaya:

Maine tumhari Dua qubool farma li hai.

Isi tarhan farmaan e baari taala hai:

وَلَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ فِيمَا أَخْطَأْتُمْ بِهِ وَلَكِنْ مَا تَعَمَّدَتْ قُلُوبُكُمْ وَكَانَ اللَّهُ غَفُورًا رَحِيمًا

Jin umoor mein tum se khata ho jaye us me tum par gunah nahi hai, taham jin me tumaray dil jaan bujh kar khata kare [un mein gunah hai] aur Allah taala bakhsne wala nihayat raham karne wala hai.

Surah Ahzaab (33), Ayat-5.

Isi tarha Aap ﷺ ka farmaan hai: (beshak Allah taala ne Meri Ummat se khata, bhool-chook aur zabardasti karwaye gaye kaam muaf kar diye hain.

Sunan Ibn Majah, hadith- 2043. Hasan (Albani).

To in tamam nusus se ye maloom hota hai ke jis shakhs ne bhi bhool kar ya laa-ilmi ki wajah se sharai hukum ki mukhalfat ki to woh muaf hai, kyunki khatakaar me laa-ilm shakhs bhi shaamil hai kyunki har woh shakhs khatakaar hai jo gair iraadi taur par haq baat ki mukhalfat kare.

۩ Shaykh ‘Abd ar-Rahmaan as-Sa‘di kahte hain:

“Yeh [muafi] aam hai, is me woh tamam ahle eemaan shaamil hain jo galti se koi amali ya eemani khata kar bathain.” end quote.

Irshaad ila Ma‘rifat al-Ahkaam (p. 208).

۩ Aise hi Shaykh Ibn Uthaymeen kahte hain:

"La-ilmi bila shak o shuba khatakaari mein shaamil hoti hai, is liye hum ye kahte hain ki agar koi insaan aisa qawli ya faeli kaam kar le jo kufr ka maujab hai (constitues kufr), lekin use ye nahi maloom ke ye kufr hai, yani use sharai daleel ki roshni me ilm nahi hai ke yeh kaam kufr hai toh use kafir nahi kaha jayega". end quote.

Sharh al-Mumti‘ (14/449).

Aise hi shaykh ibn Taymiyah kahte hain:

"Allah taala ne Quran majeed me farmaya:

رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِنْ نَسِينَا أَوْ أَخْطَأْنَا

Hamare parwar-digaar! Agar hum bhool jaye ya khata kar bathe to hamara muwakhza mat farmana. [ baqarah : 286]. Is aayat ke baad Allah taala ne farmaya: (Maine tumhari dua qubool farma li hai) yaha par kisi zanni ya qatee maslay mein yakeeni khata ki tafreeq nahi farmai. .. Chunancha agar koi shakhs yeh kahe ke kisi bhi qatee ya zanni masle mein (definitive issues or issues based on probability) khata khane wala shakhs gunahgaar hoga toh aisa shakhs kitaab o sunnat aur shuru ke zamane (salaf) ke ijma ki mukhalifat kar raha hai". end quote.

Majmoo‘ al-Fataawa (19/210).

۩ Isi tarha Shaykh ibn Taymiyah ne ek aur jagah farmaya :

"Mai hamesha ye kaha karta hu aur mere sath uthne baithne wale achi tarha jante hai ke ham unlogo maise hai jo hamesha zor dekar kisi khas shaks ko kafir, faasiq ya gunahgaar kahne se mana karte hai, jab tak ke ye pata na chal jaye ki shariah ki daeel us par wazeh ho chuki hai, aur ye sabit ho jaye ki wo kafir, fasiq ya gunahgaar hai. Mai ye daawe se kahta hu ki Allah ne is ummah ko muaf kar diya hai un khatao ke liye jo eemaani [yani nazriyati], qawli aur amali [yani fiqhi] masail se hai. Salaf in maise boht se muamlo me musalsal bahes karte rahe lekin un maise kisi ne bhi ek dusre ko Kafir, Fasiq ya gunahgaar hone ki gawahi nahi di." end quote.

Majmoo‘ al-Fataawa (3/229).

۩ Isi tarha ibn Arabi kahte hain:

"Is Ummat maise la-ilm aur khatakaar shakhs koi kufria ya shirkiya amal bhi kar le to woh fir bhi kafir ya mushriq nahi hoga kyunke us shakhs ki la-ilmi aur khata kaari us waqt tak bataur uzr qubool ki jayegi jab taq hujjat is ke liye bilkul waazeh taur par ayaa nahi ho jati hai. Aur hujjat is tarha ayaa hogi ki wo is tarha ki daleel ho jise inkaar kar ke wo kafir ho jaye aur ye saaf taur par is hadd tak use samjha diya gaya ho ki us jaise kisi aam admi ko agar samjhaya jaye to wo uljhe (confuse) na (ho).

Ise Qaasimi ne Mahaasin at-Ta’weel (3/161) me bayan kiya hai.

۩ Aise hi Shaykh Abd ar-Rahmaan al-Mu‘allimi kahte hain:

"Ham ne agarche sawal ki sooraton maise kisi ek ke baare me yeh bhi kaha hai ke: "Gair-Allah se dua karna gair-Allah ki ibadat aur shirk hai." lekin hamare is jumle ka yeh matlab nahi hai ke gair-Allah se koi bhi dua mangne wala mushriq bhi ho jayega, balke is ka sahih matlab yeh hai ke woh shakhs mushriq hoga jis ke paas gair-Allah se mangte hue koi sharai uzr nah ho, chunancha agar kisi [gair -Allah ko pukarne wale] ka koi sharai uzr banta ho to ain mumkin hai ke [is shirkiya amal ke bawajood] woh Allah taala ka pasandeeda bandah ho balke afzal aur sab se muttaqi shakhs bhi ho sakta hai". end quote.

Athaar ash-Shaykh ‘Abd ar-Rahmaan al-Mu‘allimi (3/826).

2۞ Allah taala ki janib se bando par hujjat ilm ke baad hi qayam hoti hai. Is bare me kitaab o sunnat ki nusus ye hain:

Jaise ke Allah taala ka farmaan hai:

وما كنا معذبین حتى نبْعث رسولا

Aur ham Rasool maboos kar dene tak aazaab dene wale nahi hain.

Surah al Isra (17), ayat- 15.

Isi tarha ek aur farmaan hai:

 Ham ne bheje Rasool khushkhabri dene wale aur darane wale, taa ke logo ke liye Allah taala par Rasoolo ke baad hujjat na rahe, aur Allah galib hikmat wala hai.

Surah Nisa (4), Ayat-165.

Isi tarha yeh bhi hai ke:

Aur Allah taala kisi qaum ko hidaayat dene ke baad gumraah nahi karta, yaha tak ke un ke liye taqwa ikhtiyar karne ke zarye wazeh farma deta hai.

Surah Tawba (9), Ayat-115.

Is ke ilawa aur bahut si ayaat hai jin me ye baat wazeh hai ke hujjat usi waqt qayam hoti hai jab taq mukhalif ko ilm nah ho jaye aur us ke liye wazeh nah ho jaye.

To un sab ayaat mein ye baat wazeh hai ke: Mukhalif shakhs se us waqt taq sharai ahkamaat ki pabandi ka mutalba nahi ho sakta jab tak use un ka ilm nah ho jaye, chunancha jab tak use ilm nahi hai to woh mazoor samjha jayega .

۩ Shaykh ibn Uthaymeen r.h. "رسلا مبشرین ومنْذرین" aayat ke fawaid zikr karte hue kahte hain:

"Is aayat me azeem tareen Ilmi faida hai ke la-ilmi ki bina par uzr qubool hoga, yahan tak ke aqaid ke bare me bhi kyun ke Rasoolo ko aqaid aur fiqhi ahkaam dono de kar bheja jata hai. Lehaza agar koi shakhs laa ilm hai aur uske paas rasool ki taalimaat nahi pahunchi toh us ke paas Allah ke yaha uzr pesh karne ke liye hujjat maujud hai, aur Allah taala ke yaha pesh karne ke liye hujjat usi waqt maujood hogi jab us ke paas sharai taur par maqool uzr hoga. "end quote.

Tafseer Surah Nisa (4), Ayat-165.

۩ Ibn Qayyim r.h. kahte hai,

"Bande par ahkamaat usi waqt laagu hote hain jab woh baligh ho jaye aur ahkamaat us tak pahunch jaye. Chunanche jis tarha bande ke balig hone se pahle ahkamaat is par laago nahi hote to bilkul isi tarhan agar ahkamaat is tak na pohunche to bhi is par ahkamaat laago nahi hote." end quote.

Badaa’i‘ al-Fawaa’id (4/168).

3۞- Aisi nusus jin me shirk ya kufar sarzad hone par uzr qubool kiya gaya, unki daleele ye hai.

۩1. Us shakhs ka waqya jo apne ap ko marne ke baad jalane ka hukum deta hai aur woh Allah taala ki qudrat ka inkaar kar baithta hai.

Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Nabi ﷺ ne farmaya, Ek (1) shakhs bahut gunah kiya karta tha jab is ki maut ka waqt kareeb aaya to apne beton se is ne kaha ke jab mai mar jau toh mujhe jala daalna fir meri haddion ko pees kar hawa me uda dena. Allah ki qasam! agar mere Rab ne mujhe pakad liya to mujhe itna sakht aazaab dega jo pahle kisi ko bhi is ne nahi diya hoga.
Jab woh (gunahgaar shaks) mar gaya to (is ki wasiyat ke mutabiq) is ke sath aisa hi kiya gaya. Allah taala ne zameen ko hukm farmaya ke agar ek (1) zarra bhi kahi is ke jism ka tere paas hai to use jama kar ke le aa. Zameen ne is hukm par amal kiya aur woh bandah ab (apne Rab ke samnay) khada hua tha. Allah taala ne kaha, 'Tum ne aisa kyun kiya?'
Us ne arz kiya, Aye Rab! Tere khauf ki wajah se. Aakhir Allah taala ne ise muaf kar diya.

Sahih al-Bukhari,  Book of Prophets, hadith- 3481.

Ab is aadmi se jo baat sadir hui thi yeh kufr e akbar hai. Isse insaan daira e Islam se kharij ho jata hai kyunke is ne Allah taala ki qudrat ka inkaar kiya hai ke Allah taala use is andaaz se marne ke baad zinda nahi kar payega. Halanki Allah taala ki sifat e qudrat Allah taala ki sifaat maise wazeh aur sab se ayaan sifat hai, balke qudrat e ilahi Allah taala ki rububiyat aur elahiyat dono ke liye lazim o malzoom hai, qudrat ki sift parwar-digaar ke liye sab se khaas sift ka maqaam rakhti hai. Lekin itni ahem sift ka inkaar karne ke baad bhi woh kafir nahi hua kyunke us ki laa ilmi ki bina par us ka uzr qubool kiya gaya.

۩ Is hadees ki sharah mein Ibn ‘Abd al-Barr r.h. kahte hain:

"Ulema e karaam is ke mafhuum ke mutaliq mukhtalif aara rakhte hai. Kuch kahte hain ke is shakhs ko Allah taala ki sift qudrat ka sahih ilm nahi tha ke Allah taala jo chahay karne par qadir hai. To un ulema e karaam ka ye kehna hai ke jo shakhs Allah taala ki koi ek sift se la-ilm rahe aur deegar tamam sifaat ko samajh kar un par eemaan rakhe to woh chand sifaat se la-ilm hone ki bina par kafir nahi hoga. Nez un ka ye bhi kahna hai ke kafir woh hota hai jo haq baat maanne se hatt-dharmi kare, is liye laa-ilmi ki bina par inkaar karne wala kafir nahi hota.

Ye mauquf shuru ke ulema aur jo ulema unke naqshe-qadam par chale unke hai." end quote.

At-Tamheed lima fi’l-Muwatta’ min al-Ma‘aani wa’l-Asaaneed (18/42).

۩ Shaykh ibn Taymiyah kahte hai:

"Us shakhs ne yeh nazarya bana liya tha ke agar iski wasiyat par amal kiya gaya toh Allah taala is ke jismani ajza aur zarraat ko jama nahi kar sakega, ya use Allah taala ki itni badi qudrat ke bare me shak tha ke Allah taala use zinda nahi kar sakega. Yeh dono baate hi kufar hain. Is se woh shakhs kafir ho jayega jis par [Allah taala ki un sifaat ke bare mein ] hujjat qayam ho chuki ho, lekin chunke woh is sift se la-ilm tha aur use itna ilm haasil nahi ho saka jisse is ki yeh la-ilmi dur ho jati, nez is ke paas Allah taala ke bare me eemaan tha, Allah taala ke ehkamaat, hukum aur haraam, waadon aur aagahi (warning) par eemaan tha isi liye woh Allah ke azaab se dar gaya toh Allah taala ne is ke isi khauf ki bina par bakhash diya.

Lehaza agar koi shakhs aqeede ke baaz masail me galti kar baithe aur woh Allah taala, Rasool Allah aur yaum e akhirat par eemaan rakhta ho, nek amal karta ho toh woh us shakhs se kamtar nahi ho sakta toh Allah taala us ki khata muaf farma denge, ya sach ko talash karne me kotahi ke mutabiq saza denge .

Lekin maroof eemaan wale shakhs ko mahez galti ki bina par kafir keh dena bohat hi sangeen iqdaam hai." end quote.

Al-Istiqaamah (1/164).

۩ Imam Shafi r.h. kahte hain:

"Allah taala ke bohat se asmaa aur sifaat hai jo ke Quran majeed me aur Nabi ﷺ ne apni ahadees me ummat ko bayan kiye hain, ab jis shakhs par hujjat qaym ho chuki hai is ke liye un asmaa aur sifaat ko radd karna mumkin nahi kyunke Quran majeed ne inhe bayan kiya hai. Nez RasoolAllah ﷺ se bhi ye saabit ho chuka hai.

Lihaza agar koi shakhs apne ouar hujjat qayam ho jane ke baad bhi un ki mukhalifat kare [yani inhen tasleem na kare] to woh kafir hai. Lekin hujjat qayam ho jane se pahle woh shakhs laa-ilmi ki bina par mazoor shumaar hoga kyunke asmaa aur sifaat ka ilm mahez aqal se haasil karna mumkin nahi hai, nah hi gaur o fikar aur soch o bichaar se mumkin hai. Lihaza hum kisi ko bhi laa ilmi ki bina par us waqt tak kafir nahi kahte jab tak use ilm na ho jaye." end quote.

Siyar A‘laam an-Nubala’ (10/79).

۩2. Bani Israel ka Moose a.s. ke sath waqya:

Allah taala ne is waqye ko bayan karte hue farmaya :

Aur hum ne Bani-Israel ko samandar paar karwaya to woh aisi qaum ke paas aeye jo ke apne buton par mujawar ban kar baithte the, qaum e Moose ne kaha: Aye Moose! Hamare liye bhi aisa hi mabood bana do jaise un ke mabood hain, toh Moose ne kaha: Tum yaqeenan la-ilm qaum ho, be-shak yeh qaum jis haalat mein hai tabah hone wali aur jo ye kar rahe hain ye baatil hai?
Fir farmaya kaha: Kya mai Allah ke ilawa tumare liye koi aur mabood talaash karoon halanke us ne tumhe tamam jahan walo par fazeelat bakhshi hai.

Surah A‘raaf (7), ayat- 138-140.

Toh is aayat mein wazeh hai ke unhone Moose a.s. se ek but banane ka mutalba kiya tha jis ki ibadat ke zarye woh Allah ka qurb haasil kar sake jaise ke un mushriko ne ibadat ke liye apne mabood bana rakhe the.

۩ Ibn al Jawzi r.h. is ki tafseer me kahte hain:

"Yeh unke bohot bade la-ilm hone ki khabar hai ke unhone Allah ki nishaniya dekhne ke baad bhi gair Allah ki parastish ko jayez samajh liya." end quote.

Zaad al-Maseer (2/150).

۞ Abu Waqid al-laithi r.a. riwayat karte hai ki jab Rasoollallah ﷺ gazwa e Hunain tashreef le ja rahe the, raaste me aapka guzar mushkireen ke ek ped(tree) ke paas se hua jo "Zaat e anwaat" ke naam se mashoor tha, we log us par (barqat haasil karne ke liye) apne hathyar latkaya karte the, kuch musalmano ne arz kiya, Ya Rasoollullah ﷺ! Jis tarah unka ye "Zaat e anwaat" hai usi tarah hamare liye bhi koi ped(tree) farma dijiye, Nabi akram ﷺ ne farmaya:
"SubhanAllah (Allah pak hai us shirk se jo log karte hai)! Yeh to aisi hi baat hai jis tarah Moosa(a.s.) ki qaum ne kaha tha ke Jis tarah in logon ke But(idol) hain hamari liye bhi ek but bana dijiye, (fir Rasoolallah ne farmaya) qasam hai us zaat ki jiske haath me meri jaan hai, tum zaroor apne se pahlon ke tareeqo par chaloge".

Sunan Tirmizi, kitabul fitan, hadith-2180, Imam Tirmizi aur allama Albani ne sahih kaha hai.

To is waqye mein wazeh hai ke nau-muslim afraad ne Nabi ﷺ se shirk e akbar ka mutalba kiya ke un ke liye bhi darakht se tabarruk aur talluq banana jaiz qarar diya jaye jaise ke mushriq kiya karte the, isi liye Nabi ﷺ un ke is mutalbe ko bani Israel ke mutalbe se tashbeeh di.

۩ Mohammad Rasheed riza r.h. kahte hai:

"Jin logo ne Nabi ﷺ se mazkurah baat ka mutalba kiya tha woh nau-muslim the aur ahad qareeb me shirk se tauba ki thi, to unhone samjha ke Nabi ﷺ jis cheez ko hamare liye muqarrar kar denge woh sharai taur par sahih hogi, Islam ke bad-khilaf nahi hogi." end quote.

Majmoo‘ ar-Rasaa’il wa’l-Masaa’il an-Najdiyyah (4/39).

۩ Shaykh Abdul Razzaq Afeefi r.h. se murdon ke bare me galat nazriyat rakhne wale aur unse haajat rawaai ka mutalba karne wale qabar-paraston ke mutalliq sawal kiya gaya to Shaykh ne kaha:

"Agar un par hujjat qayam ho chuki hai toh woh Islam se murtad hai, warna la-ilmi ki wajah se muaf honge jaise ke Zaat anwaat ka mutalba karne walon ko mazoor samjha gaya." end quote.

Fataawa ash-Shaykh ‘Abd ar-Razzaaq ‘Afeefi (p. 371).

۩ Isi tarha ibn Taymiyah kahte hai:

"RasoolAllah ﷺ ki laayi hui talimaat ke baad hum sab ko ye baat laazmi taur par maloom hai ke unhone apni ummat ko murdo se haajat rawai ki ijazat nahi di, chahe woh faut shuda ambiya ho ya nek log ya koi aur, chahe haajat rawai ke liye inhe gaus kahen ya koi aur lafz bole, un ki panah mange ya kuch aur kahin.

Isi tarhan Nabi ﷺ ne apni ummat ke liye kisi bhi murde ya zinda shakhs ko sajda wagaira karne ki ijazat nahi di, balke hum yeh baat achhi tarha jante hai ke Aap ﷺ ne un tamam umoor se mana farmaya hai, nez Aap ne yeh bhi batla diya ke aise tamam umoor Allah aur us ke Rasool ki janib se haraam kardah shirk me shaamil hain.

Lekin ahad e Nubuwat se baad zamane me la-ilmi ke galbe aur Islamic taalimaat ke ilm ki kami ke ba'is logo ki takfeer mumkin nahi hai, jab tak RasoolAllah ﷺ ki taraf se laayi gayi shariyat aur unki bar-khilaf cheeze un ke liye waazeh ho jaye." end quote.

Ar-Radd ‘ala al-Kubra (2/731).

۩ Isi tarha Shaykh ‘Abd al-Muhsin al-‘Abbaad kahte hain:

"Qabron me madfoon (dafan) logo se maangna, unse haajat rawai aur mushkil kushai chahna shirk e akbar hai jo ke daira e islam se insaan ko kharij kar deta hai.

Is amal ko shirk aur kufr kaha jayega taaham is amal me mulawwis har shakhs ko kafir ya mushrik nahi kaha jayega kyunke agar koi shakhs la-ilmi ki bina par is kaam me mulawwis tha to woh la-ilmi ki wajah se mazoor hoga, yahan tak ke is par hujjat qayam ho jaaye aur hujjat samajh lene ke baad bhi us par jama rahe toh fir aisi surat me us par kafir aur murtad hone ka hukum lagaya jayega.

Qabar parasti aise umoor maise hai ke bahut se logon ko is ke (shirk hone ke) bare mein salahiyat haasil nahi hai khaas taur par aise mahol ke afraad jahan par qabron ka ahtram aur nek logon se haajat rawaai ko saaliheen (neko) se mohabbat ke naam par kiya jata ho, jahan par apne ap ko aalim qaraar dene wale log hi qabar parasti me agwakaar hai aur madfoon shaksiyat ko qurb eb ilahi ka zarya qarar dete hai." end quote.

Kutub wa Rasaa’il al-‘Allaamah al-‘Abbaad (4/372).

۞4 Huzaifah ibn al-Yamaan r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Islam aese hi purana ho jayega jaise libaas ka rang purana ho jata hai, hatta ke ye janne wale bhi baaki na rahenge ki Namaz, Roza, Hajj aur sadaqah (Zakat) kya cheez hai. Aur Allah ki kitab ek raat mein aesi gayab ho jayegi ki us ki ek Ayat bhi baaki na rah jayegi aur kuch log, budhe mard aur budhi aurate baaki rah jayengi, jo ye kahenge ki hamne apne baap dadao ko ye kalima 'Laa ilaaha ill-Allah' kahte hue suna tha isliye ham bhi ise kaha karte hai.

Silah ne Huzaifah r.a. se kaha: Jab unhe ye nahi malum hoga ki namaz, roza, Hajj aur sadaqah kya chiz hai toh unhe sirf ye kalima 'Laa ilaaha ill-Allah' kya fayda pohchayega?

Toh Huzaifah r.a. ne unse munh fer liya, fir unhone teen baar ye baat un par dohraayi lekin wo har baar unse munh fer lete, fir teesri martaba unke taraf mutawajje hue aur farmaya, "Aye Silah, yeh kalimah unko jahannam se bacha lega, is tarha teen baar kaha."”

Sunan ibn Maajah, book of Tribulations, hadith- 4049, Buwaysiri ne Misbaah az-Zujaajah (2/291) me sahih karar diya hai; Shaykh Albaani ne Silsilat al-Ahaadeeth as-Saheehah (1/171) me sahih karar diya hai.

To is hadees se maloom hota hai ke un logon ke paas eemaan mujmal yani aqeedah tawheed ka iqraar hoga, nez inhen Islam ke bare mein kuch bhi ilm nahi hoga siwaye zubani iqraar ke jo unhon ne apne buzurgo se suna hoga.

۩ Ibn Taymiyah kahte hai:

"Bahut se log aisi jagho ya waqt mein pale-badhe hote hai jahan Ilm nabuwat me se bahut si cheeze mit chuki hoti hai, hatta ke wahan par RasoolAllah ﷺ ko Allah taala ki janib se milne wali kitaab o hikmat ki tableegh karne wala koi bhi nahi hota jis ki wajah se aisi bahut si baate waha ke log nahi jante jinhe Allah taala ne apne rasool ko de kar bheja hota hai aur na hi wahan par is ki tableegh karne wala koi hota hai, to aise mahol ka aadmi kafir nahi hoga isi liye aimmaa e karaam ka is baat par ittafaq (Ijma) hai ke agar koi shakhs kisi ahle ilm se door-daraaz ke ilaqe me pala-badha ho aur woh nau-muslim bhi ho to is haalat me kisi mashhoor o maroof mutawatar amal ka inkaar karde toh is par kufr ka hukum nahi lagaya jayega yahan tak ke use RasoolAllah ﷺ ki talimaat se aashna nah kara diya jaye." end quote.

Majmoo‘ al-Fataawa (11/407).

To khulasa yeh hua ke:

Shaykh ibn Uthaymeen farmate hai:

"Aisi la-ilmi jis ki bina par insaan ko mazoor samjha jata hai woh yeh hai ke insaan haq jaanta hi nahi hai aur nah hi haq baat is ke samne zikr ki jati hai to aisi la-ilmi ki bina par insaan ko galti par gunah nahi milta aur nah hi is galti par murattab hone wale ahkaam insaan par laagu hote hai, nez la-ilmi ki bina par galti karne wala shakhs agar Musalman hone ka dawedaar ho aur laa ilaha illallah Mohammad ur RasoolAllah ka iqraar karta ho to woh Musalman hi shumaar hoga [kafir nahi ho jaye ga] aur agar woh Musalmanoon me se nahi hai to fir is ka talluq duniya me usi deen se hoga jis ki taraf woh apni nisbat rakhta hai.

Jabke akhirat me is ka muamla ahle fitrat wala hoga, yani qayamat ke roz is ka maamla Allah taala ke supurd hoga.

Is tarha ke logo ke bare me sahih tareen mauquf yeh hai ke Allah taala un ka jaise chahega imtehaan le ga, chunanche un mein se jo itaat karenge woh jannat me jayenge aur jo nafarmani karenge woh jahannam me jayenge."

Majmoo‘ Fataawa wa Rasaa’il ash-Shaykh Ibn ‘Uthaymeen (2/128).

Wa Allahu aalam.
•٠•●●•٠•

Mazeed ilm ke liye Dr. Sultaan al-‘Umayri ki Ishkaaliyyah al-I‘dhaar bi’l-Jahl fi’l-Bahth al-‘Uqadi ko dekhe.

references are from: islamqa.info
Read More »

9 Nov 2018

Gair-Muslim Ko Sadaqah Dena

en     ur  -
Sawal: Gair Muslim ko sadaqah dena ya unki maali madad karna kaisa hai?

Alhmdulillah :

Gair-Muslim gareeb ya miskeen ko nawafili sadaqat o khairaat dena jaiz hai aur khaas kar jab woh  rishtedaar ho lekin shart ye hai ke woh hamare khilaaf jang karne walo me shaamil na ho, aur un me se kisi ne aesi ziyadati na ki jis ki bina par un ke sath ahsaan karna mamnoo thahre, aur farz ki hui zakat inhe dena jaiz nahi hai.

Kyuki Allah ﷻ ka farmaan hai:

Jin logo ne tum se Deen ke baare mein ladaai nahi kari aur tumhe jila-watan nahi kiya un ke sath husn e suluk karne aur insaf ke sath bartao karne se Allah tala tumhe nahi rokta, balke Allah tala toh insaaf karne walon se mohabbat karta hai.

Allah taala tumhe sirf un logon se mohabbat karne se rokta hai jinhone tum se Deen ke baare me ladai kari aur tumhe jila-watan kiya, aur jilaa-watan karne walo ki madad ki, jo log aise kuffaar se mohabbat kare woh qatan zalim hai.

Surah Mumtahinah (60), ayat 8-9.

Note: Jila-watan ka matlab kisi ke watan se usko nikalna.

Asma bint abi Bakr r.a. bayan karti hai, "RasoolAllah ﷺ ke zamane me ek baar meri walida mere paas aayi jo ki Mushrik thi. Toh maine Rasool kareem ﷺ se daryaft kiya: Aye Allah ke Rasool ﷺ mere paas meri walida ayi hai aur wo madad talab karne aayi hai, toh kya mai un ke sath sila rahmi karu? Toh Rasool ﷺ ne farmaya: Haa ! Unse sila rahmi karo."

Sahih al Bukhari, book of gifts, hadith - 2624.

Aisha r.a. bayan karti hai ek Yahudi aurat ne unse bheek manga toh unhone use de diya, to woh yahudi aurat kahne lagi: Allah taala ap ko aazaab e qabar se mahfooz rakhe, toh Aisha r.a. ne unhe ajeeb samjha, jab unhone Nabi ﷺ ko dekha to iske bareme unse pucha.
Toh Rasool ﷺ ne farmaya: Nahi.
Aisha r.a. kahti hain: Fir Rasool ﷺ ne is ke baad hame farmaya ke unki taraf wahee (revelation) aayi hai ke tum apni qabro me azmaish aur fitnah me daale jaoge.

Musnad Imam Ahmad, hadith - 24815.

To ye dono hadees kafir ko nawafili sadqa ya khairaat ya madad dene ke jawaz par dalalat karti hai.

Imam Shafi (tabe-tabaeen) r.h. kahte hai:

"Nafli sadaqa o khairaat maise mushrik ko dene me koi harj nahi, lekin farz kiya hua (zakat) me iska koi haq nahi, aur Allah tala ne aise logon ki tareef bayan karte hue farmaya hai:

Aur woh Allah tala ki muhabbat me khana khilate hai miskeen, yateem aur qaidiyo ko. [al-Insaan 76:8]"

Kitab al Umm, jild-2.

•٠•●●•٠•
Read More »

Islam Me Biwiyon Ke Huqooq


Islam me jis tarah bachho ke maa-baap ke huquk hain usi tarah biwiyon ke bhi huqooq hai.

Allah farmate hai:

 وَمِنْ آيَاتِهِ أَنْ خَلَقَ لَكُم مِّنْ أَنفُسِكُمْ أَزْوَاجًا لِّتَسْكُنُوا إِلَيْهَا وَجَعَلَ بَيْنَكُم مَّوَدَّةً وَرَحْمَةً ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِّقَوْمٍ يَتَفَكَّرُونَ-

Aur us ki nishaniyon mein say hai kay tumhari hi jins se biwiyan peda ki takay tum in se aaram pao us ne tumhare darmiyan mohabbat aur humdardi qayem kardi. Yaqeenan gaur-o-fikr karne walon ke liye iss mein boht si nishaniyan hai.

Surah Rum (30), ayat 21.

Jaisa ke muashre me aam hame dekhne ko milta hai ke kuch log apni biwi ko pasand nahi karte aur unhe talaaq dena chahte hain, Lekin talaaq ke baad jo biwi ko maher ka haq dena hota hai, isliye wo shauhar apni biwiyon ke saath badsulooki(zulm) kar dete hain, taaki tang aakar biwi khud hi khul'aa le le.

Aur is tarah Shauhar ko haq e maher ada nahi karna padega. Islam ne is cheez ko bhi roka hai, Jaisa ke Irshad e baari tal'a hai: 

 یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا یَحِلُّ لَکُمۡ اَنۡ تَرِثُوا النِّسَآءَ کَرۡہًا ؕ وَ لَا تَعۡضُلُوۡہُنَّ لِتَذۡہَبُوۡا بِبَعۡضِ مَاۤ اٰتَیۡتُمُوۡہُنَّ  اِلَّاۤ اَنۡ یَّاۡتِیۡنَ بِفَاحِشَۃٍ مُّبَیِّنَۃٍ ۚ وَ عَاشِرُوۡہُنَّ بِالۡمَعۡرُوۡفِ ۚ فَاِنۡ کَرِہۡتُمُوۡہُنَّ فَعَسٰۤی اَنۡ تَکۡرَہُوۡا شَیۡئًا وَّ یَجۡعَلَ اللّٰہُ فِیۡہِ خَیۡرًا کَثِیۡرًا-

Aye' Eemaan walo! Tumhen halal nahi ke zabardasti aurton ko wirse me le baitho, unhe is liye rok na rakho ke jo tum ne unhe de rakha hai us mein se kuch le lo. Haan yeh aur baat hai ke woh koi khuli burayee aur be-hayaee kare. Un ke sath ache tareeqe se guzar-basar karo, agar wo tumko na-pasand ho toh ho sakta hai ki ek cheez tumko pasand na ho magar Allah ne usme tumhare liye bohut badi bhalaai rakh di ho.

Surah Nisa, (4) Ayat - 19.

Agar biwi burai aur be-hayaai par utar ayi hai tab use chora ja sakta hai. Aisa nahi hai ke khwaah-ma-khaa choti choti baton par ladaai kar ke chor diya jaye.
Jaisa ke saalan me namak zyaada pad gaya to is baat par ladaai ki, use mara aur aye din jhagda shuru kar diya, taaki tang aakar biwi khul'aa le le aur aur mujhe haq e mehar ada na karna pade.

Ek baat dhyan rakhein ke duniya me koi bhi insan kamil (perfect) nahi hai. Maa-baap, achhe rishto ke intezaar me bachho ki umar guzaar dete hain, aur fir baad me kahte hain hame kisi bhi qism ka ladka mil jaye, ham apni beti ki shaadi uske saath kar denge.
Aur isi tarah muqammal (perfect) ladki ki talaash me ladke ke bhi umar nikal jati hai.

Duniya ke har shaks me koi na koi khaami zaroor maujood hai, is ko is khaami ke saath hi qubool karna hoga. Hatta ke Imaam e qainaat ﷺ ki biwiyon, momino ke maao se bhi baaz muqaamat par chand chize sahih nahi hui jiski wajah se Allah paak ne unko samjhaya, Allah farmate hai:

۩ 'Aur yaad karo jab Nabi ne apni baaz aurto se ek poshida baat kahi, pas jab unhone us baat ki khabar kardi aur Allah ne apne Nabi ko us par aagaah kar diya, toh Nabi ne thodi si baat to bataadi aur thodi si taal gaye, fir jab Nabi ne apni us biwi ko ye baat batayi toh wo kahne lagi, iski khabar Aap ko kis ne di, kaha sab jaanne waale, puri khabar rakhne waale Allah ne mujhe ye batlaya hai.

(Aye Nabi ﷺ ki dono biwiyo!) Agar tum dono Allah ke saamne tauba karlo (to bahut behtar hai) yaqinan tumhare dil jhuk pade hai aur agar tum Nabi ke khilaaf ek dusre ki madad karogi, pas yaqinan us ka kaarsaaz Allah hai aur Jibraeel hai aur nek ahle eemaan aur in ke alaawa farishte bhi madad karne waale hai.'

Surah Tahrim (66), Ayat- 3-4.

Apni biwiyon ke saath husn e sulook karo na ke chidchida-pan mahsoos karo. Mumkin hai koi burai tumhare andar bhi ho aur wo tumhari biwi me maujood na ho aur Allah tal'a isi me se khair nikaal de kyunki Allah paak farmata hai:           

۩ 'Tum par jihad farz kiya gaya goh woh tumhe dushwar maloom ho, Mumkin hai Tum kisi cheez ko buri jano aur wohi tumhare liye bhali ho aur yeh bhi mumkin hai ke tum kisi cheez ko achi samjho halanke woh tumhare liye buri ho. Allah janta hai jabki tum nahi jante.'

Surah Baqara (2), Ayat - 216.

Buniyaadi Taur par ye ayat jihaad ke mutallik hai magar usooli taur par duniya ke tamaam muaamlaat ke liye hai.

Aur irshad e rabbul aalameen hai :- 

۩ 'Aur agar tum ek biwi ki jagah dusri biwi laana hi chaho aur tum unme se kisi ek ko bohut sa maal de chuke ho toh usme se kuch wapis na lo, kya tum us par jhuta ilzam laga kar aur khula zulm karke wapas loge.

Surah Nisa (4), Ayat - 20

Ya'ni talaaq dene ke baad apni biwi se koi maal na mango, aur na hi ehsaan jataao, aisa hargiz na karna.

۩ Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Sabse kamil momin wo hai jiske akhlaq sabse behtar ho aur tum me sabse behtar wo hai jo apni biwiyo ke liye behtar ho."

Jamia Tirmizi, hadees- 1162. Ise Darussalaam ne hasan karaar diya hai.

۩ Momino ki Maa Ayesha r.a. farmati hai ke mai ek safar me Nabi ﷺ ke saath thi. Maine Aap ﷺ se daud (race) ka muqabla kiya, toh mai jeet gayi, fir jab mera badan bhaari ho gaya to maine Aap ﷺ se (dobara) muqabla kiya, toh Aap ﷺ jeet gaye, is par Aap ﷺ ne farmaya 'Ye Jeet us Jeet ke badle hai'.

Sunan Abu Dawood, kitab al jihad, hadith - 2578. (Sahih)

Yaa'ni shauhar aur biwi me is kadar  hasi-mazaak ho sakta hai.

Lekin hamare sub continent ke culture me jab kisi ki shaadi hone lagti hai to badi umar ke log kahte hai ke pahle din hi biwi ko lagaam me rakho. Biwiya hamari gulaam nahi hoti ki use lagaam me rakha jaye balki wo hamari shareek e hayaat hoti hai.

Biwiyon ke saath husn e sulook karna, ahtraam ke saath pesh aana, muhabbat karna, ye sab cheeze sawaab me dakhil hai.

۩ Rasool ﷺ ne farmaya, "Jo bhi tum Allah ki raah me kharch karo use sadaqah me shumaar kiya jayega hatta ke us luqme kor jo tum apni biwi ke muh me rakhoge."

Sahih al bukhari, kitab al wasaaya, hadith - 2742.

۩ Aur Nabi ﷺ ne Aurto ko sheeshe ke bartan ke maanind kaha hai.

Sahih al Bukhari, kitab al adab, hadith - 6161, 6202.

Is farman se ye malum padta hai ki aurte nazuk hoti hai aur jaldi jazbaati ho jati hai to isliye unke jazbaat ka khyal rakh kar unse pesh aya jaye taaki unhe takleef na ho. Aur ye baat hamesha yaad rakhe ki izzat kamaai jati hai. Toh biwi se badtameezi karna ya oonchi awaz se baat karne se apko izzat nahi mil sakti, milegi bhi to wo dekhawi izzat hogi balki uski izzat ap acche akhlaq, shafkat aur muhabbat se aasni se paa sakte hai.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya , "Aurat ki misaal ek pasli ki hai, agar tum use sidha karna chahoge toh tod doge aur agar us se faidah hasil karna chahte ho toh uski tedh (crookedness) ke sath hi fayda hasil karo."

Sahih al Bukhari, kitab an Nikah, hadith - 5184.

Yaha seedha karne se muraad ye nahi hai ke use shariyat ke ahkaam me nahi chalana hai aur har cheez ki aazadi deni hai balki isse muraad ye hai ke aurto ki ba'az adato ko badalne se gurez karo, lekin agar uski adatein shariyat ke khilaf hain to usko sahih karne ki koshish karna mard ki zimmedari hai.

Agar koi masla hai to use mil kar hal karne ki koshish karni chaiye. Koshish karni chahiye ke muamlat ko samajhdaari aur muhabbat se deal kiya jaye aur talaaq tak naubat hi na aye.

۩ Jabir riwayat karte hai ki Nabi e kareem ﷺ ne farmaya,  "Iblees apna takht paniyo par bichaata hai fir wo apne lashkar rawana karta hai; us (shaitan) ke sabse zyada kareeb wo hota hai jo sabse bada fitna daalta hai. Inme se ek akar kahta hai maine falan-falan kaam kiye hain, wo (shaitaan) kahta hai tumne kuch nahi kiya, fir unme se ek aakar kahta hai maine us shaqs ko (jiske saath wo tha) us waqt tak nahi chhora yahan tak ke shauhar aur uski biwi ke darmiyaan judai ki beech daal di. Shaitan uske kareeb jata hai aur gale lagata hai aur kahta hai tumne achha kiya.

Sahih Muslim, book of characteristics of the day of judgment, paradise, and hell, hadith - 7106.

Lihaaza Miya-Biwi ke jhagda ko jald as jald khatm karna chahiye. Aur ye hamesha yaad rakhe ki wo sirf apki biwi nahi hai, wo kisi ki beti bhi hai aur wo kisi ki maa bhi hai.

Aur akhir me Allah ﷻ ke ek ahkaam ke sath mai apni baat ko muqammal karna chahunga. Allah ﷻ farmate hai,

“Woh tumhara libas hain aur tum un ke libas ho.”

Surah baqarah (2), ayat- 187.

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeek ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Read More »

4 Nov 2018

Sahaba e Karaam - Ek Chaand Ke Tamaam Sitare


Allah ‎ farmate hai

وَ السّٰبِقُوۡنَ الۡاَوَّلُوۡنَ مِنَ الۡمُہٰجِرِیۡنَ وَ الۡاَنۡصَارِ وَ الَّذِیۡنَ اتَّبَعُوۡہُمۡ بِاِحۡسَانٍ ۙ رَّضِیَ اللّٰہُ عَنۡہُمۡ وَ رَضُوۡا عَنۡہُ وَ اَعَدَّ لَہُمۡ جَنّٰتٍ تَجۡرِیۡ تَحۡتَہَا الۡاَنۡہٰرُ خٰلِدِیۡنَ فِیۡہَاۤ اَبَدًا ؕ ذٰلِکَ الۡفَوۡزُ الۡعَظِیۡمُ

Aur jo Muhajireen aur Ansaar sabiq aur muqaddam hai aur jitne log ikhlaas ke sath unke pairo hai Allah un sab se raazi hua aur woh sab usse raazi hue aur Allah ne un ke liye aise baagh mohayya kar rakhe hai jin ke neeche nahren jaari hongi jin mein hamesha rahenge, yeh badi qamyabi hai.

Surah Tawba, ayat-100.

Sahaba e karaam wo jamaat hai jinki shakshiyat ko dekh kar ek insan ke dil o dimag dang rah jate hai. Aaiye unki majlis me chalte hai aur unke dang kar dene waale waqyat par gaur karte hai.

۞ Abu Sa’eed al Khudri r.a. riwayat karte hai, "Muwaiya r.a. (ek baar) masjid me aye aur (waha baithe logo se) kaha. Ap log kis wajah se yaha baithe hai? Sahaba e karaam ne farmaya: Ham is liye yaha baithe hai taaki ham Allah ko yaad kar sake. 
Muawiya r.a. ne kaha, "Kya Wallah ap log sirf isi liye baithe hai?"
Unlogo ne kaha, "Wallah ham log sirf isi liye baithe hai.
Muawiya r.a. ne kaha, "Maine ap par kisi tohmat ki wajah se qasam nahi di aur RasoolAllaah ﷺ ke samne meri haisiyat ka koi shakhs aisa nahi jo hadees bayan karne mein mujhse kam ho, (iske ba-wujood apne yaqeeni ilm ki bina par mein tumhare samne yeh hadees bayan kar raha hu ke).
Asal me RasoolAllaah ﷺ bhi ek bar nikal kar apne saathiyo ke ek halqe ke qareeb tashreef laye aur farmaya: "Tum kis garz se baitthe ho?" Unhone kaha: Ham baithe hue Allaah ka zikr kar rahe hain aur is baat par us ki hamd kar rahe hain ke usne Islam ki taraf hamari rahnumayi ki, iske zariye se hum par ehsaan kiya. Aap ﷺ me farmaya: "Kya tum Allah ko gawah bana kar kahte ho ke tum sirf isi garz se baitthe ho?" Unhune kaha: Allaah ki qasam! Hum iske siwa aur kisi garz se nahi baithe. Aap ﷺ  ne farmaya : "Maine kisi tohmat ki wajah se tumhe qasam nahi di, balki mere paas Jibraeel a.s. aaye aur mujhe bataya ke Allaah ta'ala tumhare zariye se farishton ke saamne fakhar ka izhar kar raha hai."

Sahih Muslim, book of pertaining to the remembrance of Allah, supplication, repentance and seeking forgiveness, hadith-6857.

Is hadith se ham logo ko ye sikhna chaiye ki Rasool ﷺ ke sahaba choti si choti sunnat ko bhi yaad rakhte the aur dusro ko sikhaya karte the jis tarha Muawiya r.a. ne kiya.

۞ Ye waqya hai sulah hudaibiya ke mauke ka. Is mauke par urwa r.a. Musalmaan nahi hue the, wo baad me musalman hue the. Urwa r.a. Kafiro ki taraf se agent ban kar aye the Aap ﷺ ke pas unse mu'aida karne ke liye. Fir jo manzar unhone RasoolAllah aur sahaba ke darmiyan dekha wo ye tha,

Urwa bin Masood r.a. us manzar me:

“Urwa r.a. ghoor ghoor kar RasoolAllah ke ashaab r.a. ki naqal aur harkat dekhte rahe. Fir raawi ne bayan kiya ke qasam Allah ki agar kabhi RasoolAllah ﷺ ne balgam bhi thooka toh RasoolAllah ke ashaab ne apne haathon par use le liya aur ise apne chehre aur badan par mal liya, kisi kaam ka agar RasoolAllah ne hukum diya toh uski bajaawari me ek dusre par log sabqat le jane ki koshish karte. Rasoolallah wuzu karne lage toh aisa maloom hua ke Rasoolallah ke wazu ke paani par ladai ho jaayegi (yaani har shakhs us paani ko lene ki koshish karta tha). Jab Rasoolallah guftagu karne lagte the toh sab par khamoshi chaa jati. Rasoolallah ki taazeem ka yeh haal tha ke Rasoolallah ke sathi nazar bhar kar Rasoolallah ko dhekh bhi nahi sakte the."

Fir jab Urwa r.a. Jab apne sathiyon se jaa kar mile toh un se kaha,

Aye logon! Qasam Allah ki, mai (bade-bade) baadshahon ke darbaar me bhi wafad le kar gaya hu Kaisar o Kasra aur Najashi sab ke darbaar me, lekin Allah ki kasam mai ne kabhi nahi dhekha ke kisi baadshah ke sathi uski is darja taazeem karte hon jitni Rasoolallah ke ashaab Rasoolallah ki karte hai, Allah ki qasam agar Rasoolallah balgam bhi thook diya toh unke ashaab ne use apne hathoon me le liya aur use apne chehra aur badan par mal liya, Rasoolallah ne unhein agar koi hukum diya toh har shaks ne use baja laane ki koshish ki, Rasoolallah ne agar wuzu kiya toh aisa malum hota ke Rasoolallah ke bache hue wazu ke paani par ladai ho jayegi ki kaun us pani ko hasil karle. Rasoolallah ne jab guftagu shuru ki toh har taraf khamoshi chaa jati. In ke dilon me Rasoolallah ki taazeem ka yeh aalam tha ke RasoolAllah ko unki izzat ke wajah se nazar bhar kar bhi nahi dekh sakte the.”

Sahih al-Bukhari, book of conditions, book no. 54, hadith-2731, 2732.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo tamaam sahaba e karaam se raazi ho jaye aur hame unke naqsheqadam par chalne ki taufeek ata kare. aameen.
Read More »