اقرأ باسم ربك الذي خلق

24 Jan 2020

Gair-Muslim ko Salaam Karna


Alhamdulillah..

۞ Gair-Muslim ko Salaam ka jawab dene me koi harj nahi hai. Iski dalail ye hai:

Allah farmate hai,

۩ Aur jab koi ahtaraam ke sath tumhe salaam kare toh usko usse behtar tareeqe ke sath jawab do ya kam az kam usi tarah, Allah har cheez ka hisaab lene wala hai.

Surah Nisa (4), ayat- 86.

۩ Anas bin Malik r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

“Jab ahle kitab tumhe salaam kare toh tum us ke jawaab me 'Wa alaykum' kaho.”

Sahih al bukhari, kitab al istaizan (79), hadees- 6258.

Is hadees ki sharah me Ibn Uthaymeen kahte hai,

“Agar ek gair-muslim, kisi musalman ko 'as salaamu alaykum' kahta hai toh hame us ke jawab me 'wa alaykum' kahna chahiye. Ye baat ki Rasoolullah ne 'wa alaykum' kaha tha is baat ki taraf ishara hai ki agar wo asslaam alaykum kahte toh un par bhi salaamti hoti, yaani wo jo bhi hame kahte hai ham wapis unhe wahi kahenge. Isi liye kuch ulema ne kaha hai ki agar yahudi, eesaai ya dusre gair muslim saaf alfaazo me assalaam alaykum kahe toh hame (wa) alaykum assalaam kahne ki ijazat hai.”

Majmoo’ al-Fataawa, 3/33.  (fatwe ka ek hissa)

۞ Gair Muslim Ko Salaam Karne Me Pahel Karna (yaani unhe assalaam alaykum kahna)

Ye ek aesa masla hai jisme hamare ahle ilm ne ikhtilaf kiya hai. Daleel ki roshni me behtar raaye yahi hai ki Gair-Muslim ko salaam karne me pahel karne me koi harj nahi hai.

۩ Nabi ﷺ ek gadhe par sawaar hue jis par paalaan (saddle) bandha hua tha aur neeche fadak ki bani hui ek makhmali chadar bichi hui thi. Nabi ﷺ ne sawari par apne peeche Usama bin Zaid r.a. ko bithaya tha. Aap Bani Haris bin khazraj me Saad bin Ubada r.a. ki ayadat ke liye tashreef le jaa rahe the. Yeh jung e badar se pahle ka waqya hai. Nabi ﷺ ek majlis se guzre jis me Musalmaan, But-parast, Mushriq aur Yahudi sab hi shareek the.

Abdullah bin Ubai ibn Salul bhi un me tha. Majlis me Abdullah bin Rawaha bhi maujud the. Jab majlis par sawari ka gird pada toh Abdullah ne apni chadar se apni naak chupa li aur kaha ke hamare upar gard (dust) na udao. Fir Nabi ﷺ ne Salaam kiya aur waha ruk gaye aur utar kar unhe Allah ki taraf bulaya aur un ke liye Quran majeed ki tilawat ki.

Sahih al Bukhari, kitab al istaizan (79), hadees- 6254.

۩ Aby Sufyan bin Harb r.a. riwayat karte hai,

Heraclius ne Quresh ke chand afraad ke sath inhe bhi bulawa bheja, yeh log shaam tijarat ki gharz se gaye the. Sab log Heraclius ke paas aaye fir unhone waqya bayan kiya ke fir Heraclius ne Rasoolullah ﷺ ka khat mangwaya aur woh padha gaya.

Khat me ye likha hua tha:

“Bismillahir Rahman ar raheem, Muhammad ki taraf se jo Allah ke bande aur us ke Rasool hai. Heraclius azeem e room ki taraf, Salaam ho us par jinhone hidaayat ki itteba ki. Ammabaad.”

Sahih al Bukhari, kitab al istaizan (79), hadees- 6260.

۩ Ibn Qayyim r.h. farmate hai,

'Ulema ki ek jamaat ne kaha hai: Us (gair-muslim) ko salaam me pahel karne ki ijazat hai agar isse koi maqsad pura hota hai, ya fir uske nuksaan ke dar se, ya fir rishtedaari ki wajah se, ya koi aur zarurat ki wajah se.'

Zaad al-Ma’aad (2/424).

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

18 Jan 2020

Kya Barish Me Juma Ki Namaz Chhorne Ki Ijazat Hai?


Allah s.w.t. farmate hai,

۩ .. aur (Allah ne) Deen me tumpar koi sakhti nahi rakkhi hai.

Surah hajj (22), ayat- 78.

۩ .. Allah ka irada tumhare sath aasaani (karne) ka hai, sakhti (karne) ka nahi.

Surah baqarah (2), ayat- 185.

۩ Muhammad bin Seereen r.a. riwayat karte hai,

'Abdullah bin Abbas r.a. ne barish ke waqt apne moazzin se kaha ke Ash-hadu an-na Muhammadan Rasoolullah ke baad Hayya alas-salaah mat kahna balke uske bajaye 'Sallu fee boyutikum' kahna, yaani Apne gharo me namaz padh lo.

Logo ne is par taajjub kiya toh unhone farmaya ke aisa us shakhsiyat ne kiya tha jo mujh se kahee behtar tha (yaani Rasoolullah ﷺ).
Namaz e Juma agarche farz hai lekin mujhe ye pasand nahi ke tumhe (tangi me mubala karte hue) is haalat me ghar se nikaalu ke tum keechad aur fislan me chal kar aao.'

Sahih al bukhari, kitab al Juma (11), hadees- 901.

۩ Imam Nawawi is hadees ki sharah me likhte hai,

'Ye hadees is baat ki nishandehi karti hai ki Juma ko barish aur is jaisi wajah se chhora jaa sakta hai. Ye hamari aur kuch aur logo ki raaye hai. Imam Malik ki raaye isse kuch mukhtalif hai. Aur Allah sabse behtar janta hai.' alfaz khatm.

Sharah Sahih Muslim

۩ Ibn Qudaamah r.h. kahte hai,

'(Ek shaks ke liye) Barish ke wajah se Jamaat se Juma na padhne ke liye muafi hai jiske wajah se kapde geele ho sakte hai, ya keechad se uske kapde kharab ho jate hai ya un par daag lag jate hai. Abdullah ibn Abbas r.a. ne muazzin se barish ke din me kaha tha:
(Jab tum azan me) Ash hadu Allah ilaha illalla, Ash hadu anna Muhammadan Rasoolullah, (fir uske baad) Hayya alas salaah mat kaho balki kaho ki Apne gharo me (namaz) ada karo.

(Ye sun kar) Jaise logo ne tajjub kiya, toh unhone kaha, 'Kya ap isse hairaan ho rahe ho? Wo jo mujhse behtar hai (Rasoolullah ﷺ) ne aesa kiya hai. Juma farz hai, lekin mai tumhe keechad aur fislan bhari jameen se aane ko majbur nahi karna chahta.''

Al Mughni (1/366).

•٠•●●•٠•
Read More »

17 Jan 2020

Kutta Paalne ka Hukm

hi  -
Alhamdulillah..

Hamare Deen ne hame kutta rakhne se mana kiya hai aur iski mukhalifat karne waale ko rozana ek ya do qirat nekiyo ka nuksaan uthana padega. Lekin shikaar ya jaanwaro aur kheti ki chaukidaari ke liye kutte rakhne ki ijazat hamare deen ne hame di hai.

۩ Abu Hurairah r.a. bayan karte hai ki Nabi ﷺ ne farmaya,

'Jis ne bhi jaanwaro ki rakhwaali, ya shikaar karne, ya khet ki rakhwali ke ilawa kutta rakhha, us ka rozana ek qirat ajar kam hota hai.'

Sahih Muslim, kitab al musaqah (22), hadees- 4032.

۩ Abdullah ibn Umar r.a.a bayan karte hai ke Rasool ﷺ ne farmaya,

'Jis ne bhi jaanwaro ki rakhwaali ya shikaar ke ilawa kutta rakhha, us ke aamaal se rozana do qirat kami hoti hai.'

Sahih al Bukhari, kitab az zabah wa al saeed (72), hadees- 5480.

۩ Imam Nawawi se sawaal kiya gaya:

Kya gharo ki chaukidaari ke liye kutta rakhna jaiz hai?

Imam Nawawi r.h. kahte hai,

'In teen umoor ke ilawa kisi aur kaam maslan gharo aur raasto waghera ki hifazat aur chawkidaari ke liye kutta rakhne me ikhtilaaf hai, sahih (raaye) yahi hai ke un teeno par qiyaas aur hadees se samajh aane waali illat aur zarurat ki bina par kutta rakhna jaiz hai.' Alfaz khatm.

Sharh Sahih Muslim, 10/236.

۞ Ghar Me Kutta Hone Se Farishte Nahi Aate

۩ Ali r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Farishte us ghar me dakhil nahi hote jis me kutte aur tasweer ho.'

Sunan ibn Majah, kitab al libas (32), hadees- 3650. Ise darussalaam ne hasan karaar diya hai.

•٠•●●•٠•

Related: Jaanwar paalne ka hukm
Read More »

15 Jan 2020

Bhool Kar Bagair Wuzu Namaz Ada Karna

hi   

 Sawal 

Maine bhool kar bagair wuzu hi namaz ada kar li, aur namaz se farig hone ke baad yaad aaya ke mai ne toh wuzu hi nahi kiya tha, kya mujhe namaz dobara padhna hoga?

 Jawab 

Alhmdulillah..

Ji Haa! Jo shakhs bhool kar be-wuzu namaz ada kar le us ke liye dobara namaz ada karna wajib hai, kyuki Abu Hurairah r.a. kahte hai,

Rasoolullah ﷺ ka farmaan hai,

“Allah us shaks ki koi namaz qubul nahi karta jo wuzu tod deta hai, jab tak wo wuzu na kar le.”

Sahih al Bukhari, kitab al wuzu (4),  hadees- 135.

Iske muqable me us shakhs ke jis ne kisi naapaak kapde me bhool kar namaz ada kar li ho toh use us namaz ko dobara padhne ki zarurat nahi hai, kyuki Rasool ﷺ ke paas Jibraeel a.s. tashreef laaye aur inhe bataya ke Aap ke joote me gandagi lagi hui hai, toh Nabi ﷺ ne namaz me hi joote utaar kar baaki bachi hui namaz ada kar li.”

Is hadees ko Imam Ahmad ne Musnad Ahmad me Abu Saeed khudri r.a. se riwayat kiya hai.

Yeh is baat ki daleel hai ki najasat se anjaan shakhs ko namaz dobarah ada karne ka hukm nahi diya jaega, aur isi tarha us shaks ko bhi jo bhool gaya ho ki (kapde me) kuch najaasat (napaki) maujud hai.

•٠•●●•٠•

Source:  I’laam al-musaafireen bi ba’d aadaab wa ahkaam al-safar wa ma yakhuss al-mallaaheen al-jawwiyyeen | Shaykh Muhammad ibn saalih al Uthaymeen, safa- 12.
Read More »

14 Jan 2020

Top 10 Articles | 2019

Read More »

Jannat ke Khazano Me Se Ek Khazana

en  
Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Allah ke Rasool ﷺ ne mujh se farmaya,

'La Hawla Wa La Quwwata Illa Billah kahne me kasrat karo, bilashuba ye Jannat ke khazano me se ek hai.'

Jamia Tirmizi, kitab ad dawaat (48),  hadees- 3601. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

13 Jan 2020

Paani ke Israaf ke Mutallik Riwayaat


Alhamdulillah..

Abdullah ibn Amr ibn Aas riwayat karte hai ki Rasool ﷺ Saad r.a. ke paas se guzre toh Saad r.a. wuzu kar rahe the, Nabi ﷺ ne farmaya,

Saad! israaf (zarurat se zyada istemal) kyu kar rahe ho?

Saad r.a. ne arz kiya,

Kya wuzu me bhi israaf hota hai?

Toh Rasool ﷺ ne farmaya,

'Ji haan, agar aap chalti naher aur darya par bhi ho tab bhi israaf hota hai.'

Musnad Imam Ahmad,  hadees- 6768 aur Sunan ibn Maajah, hadees- 419. Iski sanad Shaykh Ahmad Shakir ke nazdeek sahih hai..

۩ Mawsuah al Fiqhiyyah me kaha gaya hai,

“Ulema is par muttfiq hai ke pani ke istemaal me israaf se kaam lena makrooh hai.”

Mawsoo‘ah al-Fiqhiyyah (4/180).

۩ Shaykh Abdul Muhsin Abbaad kahte hai,

“Pani ke istemaal me israaf se kaam lene ki mumaniat par ulema e karaam ka ittafaq hai, chahe samandar ke kinare par hi kyu na ho, kyunke Imam Ahmad aur Imam Ibn Majah r.h. ne Abdullah bin Amr bin Aas r.a. se riwayat ki hai ke,

'Saad r.a.wuzu kar rahe the tho waha se Nabi ﷺ guzre aur farmaya.... (Fir Shaykh ne muqammal hadees bayaan ki).' [alfaz khatm]

Sharah Sunan Abu Dawud (source)

۩ Shaykh ibn Uthaymeen kahte hai,

“Hame ilm hona chahiye ke wuzu ya ghul me pani zyada istemaal karna niche diye gaye farmaan e baari taala me daakhil hota hai,

'Aur tum israaf na kiya karo, kyunke Allah israaf karne waalo ko pasand nahi farmata.'

Surah Anaam, ayat- 141.

Isi liye Fuqaha e karaam ka kahna hai ki,

'Israaf makruh hai chahe chalti naher ke kinare bhi ho, toh fir agar pani nikalne wali motor (nal) ke paas aisa kiya jaaye toh kya hukm hoga?

Haasil ye hua ke wuzu wagaira me israaf karna mazmum umoor (blameworthy action) me shaamil hota hai.” [alfaz khatm]

Sharah Riyadh us Saaliheen (source)

Wa Allahu alam.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeeq ata kare. aameen
Read More »