اقرأ باسم ربك الذي خلق

10 Feb 2020

8 Feb 2020

Wirasat Me Beti ka Hissa

ur   en   hi
Alhamdulillah..

Beti chahe wo maa ya apne waalid ki waris ho, uske hisse ki kayi ek halatein hain jinhe niche bayan kiya gaya hai,

۩1. Jab ladki akeli ho, yaani iski koi bahen ya bhai [yaani marne wali ki aage ki peedi (generation)] na ho to ladki ko wirasat ka aadha milega, Allah taala ka farmaan hai,

'Aur agar ladki akeli ho toh uske liye aadha hai.'

Surah Nisa (4), ayat- 11.

۩2. Jab ek se zyada ladkiya ho toh (yani do ya do se zyada) aur faut-shuda shakhs ka koi beta na ho toh betiyo ko Do-Tihayi (2/3) mileyga, Allah taala ka farmaan hai,

'Agar aurte do se zyada hai toh unke liye do-tihayi hai us maal se jo mayyat chhor gaya hai.'

Surah Nisa (4), ayat- 11.

۩3. Aur jab ladki ke sath faut-shuda shakhs ka beta bhi waris ho (ek ya ek se zyada) toh har waris ka muqarrar hissa ada kar ke (note-1) baaki maal in dono (ladke-ladki ) ko milega, aur ladki ka hissa iske bhai se aadha hoga (mard ko do aurto ke barabar ke hisaab se) chahe do ya do se zyada bahen-bhai ho toh ladke ko do ladkiyo ke barabar hissa milega, Allah taala ka farmaan hai,

'Allah taala tumhe tumhari aulaad ke mutalliq wasiyat karta hai, ladke ke liye do (2) ladkiyo ke barabar hai.'

Surah Nisa (4), ayat- 11.

Aur ye hisse Allah taala ki janib se taqseem kardah hai lihaza kisi shakhs ke liye bhi is me kuch tabdeeli karni jayaz nahi, aur na hi kisi ke liye jaiz hai ke woh kisi waris ko wirasat se mahroom kare aur na kisi ke liye yeh jaiz hai je woh kisi aise shakhs ko wirasat me dakhil kare jo uske waris nahi, aur na koi kisi waris ke muqarrar karda hissa se kami kar sakta hai aur na hi is ke sharai hisse me zyadati kar sakta hai.

Allah taala hamare nabi Muhammad ﷺ par apni rahmate nazil farmaye.

Wa Allahu aalam.

source: Islamqa

•٠•●●•٠•

Note 1: Yaani jo maal batwaare se pahle dena hai, misaal ke taur par agar mayyat kisi ka karz baaki ho toh sabse pahle wo karz ada kiya jayega aur fir batwaara kiya jayega ladka-ladki me.
Read More »

7 Feb 2020

Haqeeqat Parast vs Shakshiyat Parast


Insan do qism ke hote hai,

۩1. Shakshiyat Parast
۩2. Haqeeqat Parast

Shakshiyat Parast wo hai jo baato ko shakshiyat ke aetbaar se dekhte hai. Jis baat se uske mahboob shakshiyat ki ta'eed nikle, us ko wo thik samajhte hai, aur jis baat se uske mahboob shakshiyat ka radd ho raha ho toh wo uske inkari ban jaate hai.

Haqeeqat parast wo hai jo baato ko hakeekat ke aetebaar se dekhte hai. Jo baat dalail se sabit ho us ko maan lete hai, aur jo bat dalail se durust sabit na ho us ko radd kar dete hai,

Yahi dusri qism ke log hai jo khuda ko paate hai. Jo aakhri aa'laa hakeekat hai. Pahli qism ke log saari zindagi, saari umar shakshiyat ke qawl (farmaan) me band rahte hai, aur isi me mar jaate hai. Jab bhi unko sach baat batayi jaati hai wo jawab dete hai ki hamare buzurg, ulema, muhaddis kaise galat ho sakte hai? Yaani wo is haqiqat se anjaan hai ki insaan hone ke naate in sab se galti ho sakti hai.

Wo is lazzat e ma'arifat se mahroom rahte hai jo haqeeqi Rab ko paa kar kisi banda e parwar ko hasil hoti hai.

•٠•●●•٠•

Related:

Read More »

5 Feb 2020

Baaz Masaajid Me Namazo ka Sawaab


۩ Abu Saeed Khudri r.a. se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

‘Teen (3) Masaajid: Masjid e Haram, Masjid e Aqsa aur Masjid e Nabawi ke alawa kisi dusri jagah (khaas sawaab) ke liye safar ikhtiyar na karo.’

Sahih al bukhari, kitab fazail as salaat fi masjid makkah wa al madeena (20), hadees- 1189.

۩ Jabir r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Meri masjid (Masjid e Nabawi) me ek namaz padni dusri masjido me hazaar namaz padhne se afzal hai siwaye Masjid al haram ke, aur masjid al haram me ek namaz padhni dusri masjido ki ek lakh namaz se afzal hai.

Sunan ibn e majah, kitab iqamatis salaat (5), hadees- 1406. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Masjid e Nabawi me Ek (1) namaz dusri masaajid ki hazaar (1000) namazo se behtar hai, siwaye khana e Kaaba ke.'

Sahih al Bukhari, kitab fazail as salaat fi masjid makkah wa al madeena (20), hadees- 1190.

۩ Sahl bin Hunaif r.a. se riwayat hai Rasoolullah ﷺ  ne farmaya,

‘Jis shaqs ne ghar mein wuzu kiya fir masjid e Quba gaya aur waha namaz padhi usko Umrah ke baraabar ajar milega.’

Sunan ibn e majah, kitab iqamatis salaat (5), hadees- 1412. Ise darussalaam ne hasan karaar diya hai.

۩ Abdullah ibn Umar r.a. se riwayat hai ke Nabi e akram ﷺ Har hafta ko masjid e Quba me paidal ya sawaar ho kar jaate aur do (2) rakat namaz padhte.

Sahih al bukhari, kitab fazail as salaat fi masjid makkah wa al madeena (20), hadees- 1194.

Read More »

2 Feb 2020

Jism Se Rooh Nikalne ke Baad ka Waaqya


Bara bin aazib r.a. bayan karte hai ke ham Nabi ﷺ ke sath ek ansari sahabi ke janaza me gaye, ham kabr ke paas pahuche toh abhi kabri khodi ja rahi thi. Rasoolullah ﷺ baith gaye aur ham unke ird-gird is tarha baith gaye goya ke hamare sar par parinde ho (yaani nihayat pur sukoon aur khamoshi se baithe the) aur Nabi ﷺ ke haath me chadi thi jis se wo zameen khuraid rahe the. To unhone apna sar uthaya aur farmaane lage, 'Azaab e qabr se Allah taala ki panaah talab karo. Yeh baat Nabi ﷺ ne do ya teen martaba dohrayi fir farmane lage,

'Jab momin banda is duniya se aakhirat ki taraf ja raha hota hai toh aasmaan se safed chehro waale farishte us ke paas aate hai goya ke un ke chehre suraj ho, un ke paas jannat ka kafan aur khushbu hoti hai hatta ke woh is ke saamne jaha tak nigaah pahoche baith jate hai. Fir Malak ul maut aakar us ke sir ke qareeb baithta hai aur kahta hai aye achhi jaan apne Rab ki maghfirat aur razamandi ki taraf chalo'.

Nabi ﷺ ne farmaya ke woh rooh is tarah nikalti hai jis tarah ke mashkizeh (cup) ke muh se pani ka qatra bahta hai, toh farishte use hatho haath lete aur palak jhapakte hi apne hatho me liye hue jannati kafan aur khushbu me lapait lete hai aur is se zameen me paayi jaane wali sab se achi qisam ki kastoori ki khushboo nikalti hai, toh woh use lekar upar chadte hai to woh jis farishte ke paas se bhi guzarte hai woh kahta hai yeh achhi rooh kis ki hai?

To woh kahte hai ke yeh fulaa bin fulaa hai, dunya me use jis, sab se achhe naam se bulaya jata tha, hatta ke woh use aasmani duniya tak jaakar use khulwaate hai toh khol diya jata hai, toh use har aasmaan wale dusre aasman tak pohanchate hai hatta ke saatwe aasman tak jaate hai toh Allah taala farmate hai,

'Mere bande ki kitaab Illiyoon (sabse unchi jannat) me likh do aur use zameen ki taraf lauta do, bilashuba mai ne inhe isi me paida kiya aur  isi me lautaunga aur fir isi me se nikalunga.'

Nabi ﷺ farmate hai ke uski rooh jism me lautayi jati hai toh uske paas do (2) farishte aa kar use baithate aur use kahte hai ke Tera Rab Kaun Hai?
Toh woh kahta hai, Mera Rab Allah Hai,
woh usse kahte hai Tera Deen kya hai?
woh jawab deta hai mera Deen Islam hai,
woh usse sawal karte hai, 'Is shakhs ke baare me tumhara kya khayaal hai jo tum me maboos kiya gaya tha?'
woh jawab dega, Woh Allah ke Rasool hai,
woh usse sawal karte hai, Tumhare ilm me ye jawaab kaise aaya?
woh jawab deta hai, 'Mai ne Allah ki kitab ko padha toh is par eemaan laaya aur iski tashdeek ki.'

Toh aasmaan me aawaz lagayi jaati hai ke mere bande ne sach kaha, is ke liye Jannat ka bistar lagao aur Jannati libaas pahnaao aur Jannat ka darwaaza khol do.

Nabi ﷺ ne farmaya, Us (kabr) me jannat ki hawaye aur khusbhoo aati hai aur jaha tak nigah pahonchta hai waha tak is ki kabr wasee (chawdi) ho jayegi aur farmaya, ke us ke paas khubsurat khubsurat shakal aur khubsurat libaas aur achhi khushboo me ek shakhs aakar kahta hai,

Khush ho jao yahi woh din hai jis ka tumhare saath waada kiya jata tha, toh woh usse kahega ki tum kaun ho, tumhare chehre se zahir ho raha hai ke tum khair (acchaai) laane wale ho, woh jawab dega, Mai tere aamaal e saleha (nek aamaal) hu, woh shakhs kahega, Aye Rab qayamat qayam karde taake mai apne ghar waalo aur maal ko firse dekh lu.

Nabi ﷺ ne farmaya,

Bilashuba jab kafir is duniya se akhirat ki taraf ja raha hota hai to aasman se us ke paas kaale chehre waale khurdara taat (sackcloth) liye farishte aate hai aur us ke paas jaha tak nigah jaati baith jaate hai fir malakul maut aakar us ke sar ke paas baith jata hai aur kahta hai ke aye khabees rooh apne Rab ke gusse aur gazab ki taraf nikal.

Nabi ﷺ ne farmaya, Toh wo rooh pure jism me fail jati hai toh use  jism se is tarah khincha jata hai jis tarah ke bheegi hui rooyi se salakh (skewer) khenchi jati hai, to woh use pakad kar palak jhapakte hi us khurdare taat me rakh dete hai aur is se zameen par paaye  jaane wale gande tareen murdaar ki tarah badbu aati hai toh woh use leker upar chadte hai. Woh farishto me se jis ke paas se bhi guzarte hai woh kahta ke yeh kis ki gandi rooh hai toh woh kahte hai yeh fulaan bin fulaan, us naam ke sath jo zameen me badtareen naam use diya jata tha hatta ke woh aasmani duniya tak pahunchte aur use khulwaate hai lekin nahi khola jata fir Nabi ﷺ ne Allah taala ka ye farmaan padha,

۩ 'Un ke liye aasman ke darwaze nahi khole jayenge aur woh us waqt tak Jannat me bhi nahi daakhil ho sakte hatta ke sui ke naake (hole) me oont daakhil ho jaaye.'

[Surah Araaf (7), ayat- 40]

Toh Allah taala farmayenge ke is ki kitaab sab se nichli zameen me sijjeen ke andar likh do toh iski rooh ko upar se hi fenk diya jayega. Fir Nabi ﷺ ne yeh aayat padhi,

۩ 'Aur jo bhi Allah taala ke sath shirk karta hai woh is tarah hai ke jaise aasman se gire toh use parinde uchak le jaye ya fir use hawa kisi dur daraaz muqam par fenk de.'

[Surah Hajj (22), ayat- 31]

Toh is ki rooh jism me lautayi jati hai aur do farishte us ke paas aakar baithte hai aur kahte hai,

Tera Rab kaun hai?
Woh jawab me kahta hai, 'Haaye mujhe toh koi ilm nahi',
Woh use kahte hai, 'Tera Deen kya hai?'
Woh jawab deta hai, 'Haaye mujhe toh kuch ilm nahi.'
Woh use kahte hai, 'Is shakhs ke baare me tum kya kahte ho jo tumhare andar maboos kiya gaya'
Woh jawab deta hai, 'Haaye mujhe toh us ka ilm nahi.'

Toh aasmaan se yeh aawaz lagayi jati hai ke,

Is ke liye aag ka bistar lagado aur aag ki taraf ka darwaaza khol do toh is se iski garmi aur dhuwa aur badbu aati hai aur qabr us par is qadar tang ho jati hai ke is ki pasliya ek dusre me chali jati hai, aur us ke paas ek badsurat shakal, gande aur badbu-daar kapdo me ek shakhs aata hai aur kahta hai,

Tujhe teri na-pasandeedgi ki khushkhabri hai, yahi woh din hai jis ka tere sath waada kiya jata tha, woh is se sawal karega tum kaun ho? Tumhara toh chehra hi aisa hai jo shar hi shar laata hai, woh jawab me kahta hai ke mai tere bure aamaal hu, toh woh kahega aye Rab qayamat qayam na kar. 

Musnad Imam Ahmad, hadees- 17803. Is hadees ko Saheeh al Jaami, hadees- 1676 me sahih karaar diya gaya hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hamari rooh ko nek rooh me shumaar kare aur apne rahmat me hame jagah ata kare. aameen.
Read More »

1 Feb 2020

Namaz ki Taraf Sukoon Se Aana


۩ Abu Qataada r.a.  ne kaha ke Ham Rasoolullah ﷺ ke sath namaz padh rahe the, Aap ne logo ki khit-pit suni. 
Namaz ke baad Aap ne pucha: ‘Tum kya kar rahe the?’

Unho ne arz ki ham namaz ki tarf jaldi aa rahe the.

Aap ne farmaya: ‘Aisa na karo, Jab tum namaz ko aao toh aaraam se aao, jo namaz tumhe mil jaaye use padhlo aur jo chhut jaaye usko baad me pura karlo.’

Sahih Muslim, kitab al masajid (5), hadees- 1363.

۩ Abu Hurairah r.a, ne kaha Aap ﷺ  ne farmaya,

‘Jab farz namaz ki takbeer kahi jaaye toh daudte hue na aao balke sukoon se aao, jo mile padho aur jo rah jaaye use baad me pura kar lo kyu ke jab tum namaz ka iraada karte ho toh namaz hi me hote ho.’

Sahih Muslim, kitab al masajid (5), hadees- 1359.

•٠•●●•٠•

Related: Jamaat Me Chhuti Hui Namaz Ko Kaise Muqammal Kiya Jaye ?
Read More »

31 Jan 2020

Aurat Bhi Mohtalim Hoti Hai


۩ Umm Salama r.a. riwayat karti hai ke Umme Sulaim r.a. ne Rasoolullah ﷺ se kaha,

‘Allah ke Rasool! Yaqeenan Allah haq se nahi sharmata (mai bhi Aap se masla puchti hu) kya aurat par ghusl hai jab ke us ko ahtalaam ho?'

Aap ﷺ ne farmaya, ‘Haa, lekin jab paani (mani ka nishan) dekho.’

Sahih al bukhari, kitab ul ghusl (5), hadees- 282.

Maaloom hua ke aurat ya mard neend se uth kar agar mani ke nishaan dekhe toh (ye ahtelaam ki alaamat hai lehaza) us par ghusl karna farz ho jaata hai aur agar ahtelaam ki kaifiyat yaad ho lekin nishan na paaya jaaye toh ghusl farz nahi hoga, aisi surat me shak karne ki zarurat nahi hai.

•٠•●●•٠•
Read More »