اقرأ باسم ربك الذي خلق

Showing posts with label Ladies' Wing. Show all posts
Showing posts with label Ladies' Wing. Show all posts

3 Jan 2018

Kya Jama Ke Baad Ghusl Me Baal Dhone Wajib Hai Taake Ghusl Sahih Ho?


Ghusl janabat me baal dhone wajib hai, Iski daleel Ayesha r.z. ki darj e zail hadees hai.
Ayesha r.z. bayan karty hai ke jab Rasool ﷺ ghusl karte to pehle apne dono hath dhote phir apne daye hath se baye(left) par pani daal kar apni sharmgah dhoote phir namaz jaisa wadhu karte, phir pani lekar apni ungliya(fingers) balon(hairs) ki jadaon tak pahunchate hatta ke jab dekhte ki wo tarr hogaye hai to apne sar par 3 chullu bhar kar dalte, aur phir pure jism par pani bahate, phir apne paaon(legs)dhote.

(Sahih Muslim hadees no:474)

Bulugh Al-Maram ki sharah me shaikh Ibn e Uthaymeen r.h. kahte hai, "Isme ye daleel bhi hai ke ghusl janabat me pani balon ke niche tak phunchana wajib hai, Chahe baal(hairs) bhut zyada hy kyun na hoo, Kyunke Rasool ﷺ apni ungliya balon me daqhil karke balon ki jadon ko tarr karne ke baad 3 chullu dala karte the".

Dekhe sharah Bulugh Al-Maram al shaikh ibn e usaimeen, safah no. 399.

Is hukm me mard wa aurat ka koi fark nahi, Sirf itna hai ke ulema e karam ne aurat ke liye ghusl janabat aur haiz me balaon ki medhiya kholne ke mutalliq kalam ki hai, Aur rajeh yahi hai ke balo ki medhiya kholna zarury nahi. 

Iski daleel Umme Salma r.z. ki darje zail hadees hai, Wo bayan karty hai ke maine Rasool ﷺ se arz ki Aye Allah ke Rasool mere sar ki medhiyan bahut shadeed aur zyada hai, Kya mai ghusl janabat ke liye inhe khola karoon?(Aur ek riwayat me haiz ke ghusl ke alfaz bhi hai) Toh Rasool ﷺ ne farmaya:"Nahi balke tumhare liye itna hi kafy hai ke apne sar par 3 chullu pani daal liya karo".

Ise muslim ne riwayat kiya hai, Book 3, Hadith 66.

Aur Iske dalail me wo riwayat bhi shamil hai jo Ubaid bin umair r.h. se sabit hai wo bayan karte hai: Ayesha r.z. ko ilm hua ke Abdullah bin Umar r.z. Aurton ko ghusl karte waqt apne sar ke baal ko kholne ka hukm dete hai toh wo kahne lagi,
"Ta'ajjub hai ke Ibn e Umar r.z. aurto ko ghusl karte waqt baal kholne ka hukm dete hai, Wo inhe sar mundhne ka hukm kyu nahi dete
Mai aur Rasool ﷺ ek hi bartan se ghusl kiya karte the, aur mai apne sar par 3 chullu pani dalne se zyada kuch nahi kiya karty thy".

Sahih Muslim hadees no: 331.

Bulugh al-Maram ki sharah (p. 406) me shaikh Ibn e Uthaymeen r.h. kahte hai, "Ye hadees aurat ke ghusl ke mutalliq hai ke kya wo apne sar ki medhiyan khol kar iske niche dhoyegy ya nahi? Chunanche Rasool ﷺ ne bayan farmaya ke wo inhe nahi kholegy,
Kyunke isme mashaqqat hai aur khas kar ghusl janabat me.  Aur phir is masle me iqtelaf paya jata hai Baaz ahle ilm kahte hai ke aurat ke liye Haiz ke ghusl me baal kholne wajib hai, Lekin wo ghusl janabat me baal nahi kholegy.Kyun ke ghusl e janabat aur haiz ke ghusl me fark ye hai ke ghusl janabat baar baar karna padta hai,is liye ise subah ke waqt baal kholne aur sham ko balon ki kanghi karne me mashaqqat hai, ya sham ke waqt kholne aur subah kanghi karna. Lekin haiz ke ghusl me aisa nahi hai kyunke wo aam taur par mahine me ek baar karna hota hai,is liye inhe kholne me iske liye sahulat hai.

Wallahu ta'ala alam".
Read More »

Kin Kin Logo Se Parda Karna Zaruri Hai?


Aurat apne mahram mardo se parda nahi karegi aur aurat ka mahram wo hota hain jisse hamesha ke liye nikah haraam ho, hurmat nikah ke teen asbab hain:-

1. Qarabat dari
2. Dudh ka rista
3. Silsilayi taluq

۞ Nasbi Mahram:

Qarabat dari ki wajah se mahram ki tafsil hasbe zail hai:-

1- Aaba wa Ajdad: Aurto ke baap, unke ajdad uper tak, in main dada aur nana sab shamil hain.

2- Bete: Aurto ke bete, unmain bete, pote, nawase wagera.

3-Aurto ke bhai: Unmain haqiqi bhai, baap ki taraf se aur maa ki taraf se tamam bhai shamil hain.

4- Bhanje aur bhatije: In main bhai ke bete, bahen ke bete, aur unki nasal shamil hain.

5- Chacha aur mamu: Ye dono bhi nasbi mahram mai shamil hain, inhe walidain ka qayam maqam hi samjha jata hain, baaz dafa chacha ko bhi walid kah diya jata hain.

Razai mahram: Isse wo murad hain jo raza'at yani dudh ki wajah se mahram ban jate hain. Hadis mai se ki Allah tala ne raza'at se bhi un risto ko haraam kiya hain jinhe nasb ki wajah se haraam kiya hain.

( Munsad Imam Ahmad, safa 131 jild 1).

Jis tarha nasbi mahram ke samne aurat ka parda na karna jaiz hain usi tarha raza'at ki wajah se mahram banne wale sakhsh ke samne aurat ka parda na karna mubah hain yani aurat ke razai bhai, razai walid, razai chacha se parda karna zaruri nahi chunache Hazrat Aayesha razi allahu anha se riwayat hain ki unke razai chacha aflah, aaye aur andar aane ki izazat talab ki toh maine unhe izazat na di balki unse parda kar liya jab Rasul Allah ﷺ ko iska ilm hua toh Aap ﷺ ne farmaya usse parda na karo isliye ki raza'at se bhi wohi hurmat sabit hoti hain jo nasab se sabit hoti hai.

(Sahih Muslim, hadith- 1445).

Jis tarah nasbi mehram ke samne aurat ko parda na karna jayez hai is tarah raza'at ki wajah se Mehram banne wale shaqs ke samne bhi iske liye pardah na karna mubah hai Ya'ni aurat ke razai bhai, Razai walid aur razai chacha se pardah karna zaruri nahi hai. Chunanche Hazrat Ayesha r.a. se riwayat hai ke inke razai chacha, iflah aae Aur andar aane ki ijazat talab ki to maine inhe ijazat na di balke inse padah karliya, Jab Rasool ﷺ ko iska ilm hua to Aap ﷺ ne farmaya is se pardah na karo is liye ke raza'at se bhi wahi hurmat sabit hoty hai jo nasb ki wajah se sabit hoty hai. (Sahih Muslim, al raza'a:1445).

Is hadis ke mutabik aurat ke razai mahram bhi nasbi mahram ki tarha hain lihaza razai mahram se parda karne ki zarurt nahi.

۞ Sasurali Mahram:

Aurat ke sasurali mahram se murad wo riste hai jinse shadi ki wajah se abdi taur par nikha haraam ho jata hain jaisa ki sasur aur uska beta ya damad wagera walid ki biwi ke liye mahram musaharat wo beta hoga jo uski dusri biwi se ho. Surah Noor ki ayat-31 me Allah tala ne sasur aur khawind ke beto ko shadi ki wajah se mahram qarar diya hain aur unhe baapo aur beto ke saath zikar kiya hain aur unse parda na hone ke huqum main barabar qarar diya hai. Mazkurah Mehram ristedaro ke alawa jitne bhi ristedar hain unse aurat ko parda karna chahiye khwa wo chacha, fufiyo, khala aur mamuo ke bete hi kyu na ho, isi tarha khawind ke chacha aur mamu se bhi biwi ko parda karna chahiye kyuki wo uske khawind ke chacha aur mamu hain uske nahi. (wa Allahu alam).

•٠•●●•٠•

Read More »

2 Jan 2018

Aurat Ke Liye Khawind Aur Waledain Maise Kis Ki Itaat Zyada Zaruri Hai?


Shaykh Ibn Taymiyyah rahmaullah se darje zail sawal kiya gaya,

"Ek aurat shadi shuda hai aur wo walidain ke hukum se nikal kar khawind ke hukum me achuki hai, iske liye walidain ki ita'at karna zaruri hai ya apne khawind ki ita'at karna?"

Shaikh ul Islam Ibn Taymiyyah rehmaullah ka jawab tha, "Shadi ke baad Aurat ka khawind, aurat ke walidain se biwi ka zyada Malik hai, aur is par apne khawind ki ita'at zyada wajib hai. Allah subhanhu wa taala ka farman hai,

"Pas nek auratein farmabardaar hai, aur ghair haziry me hifazat karne wali hai,{is liye ke Allah ne (inhe) mehfuz rakha}."

Aur Hadees me Nabi kareem ﷺ ka farmaan hai, "Duniya behtreen maal wa mataa hai, aur duniya ki sab se behtreen maal wa mataa nek wa saleh aurat hai, jab tum ise dekho to wo tumhe kush kardee, aur jab use hukum doo to wo tumhary ita'at kare, aur jab tum usse ghayab(door safar par) ho to woo aap ke maal aur apni jaan ki hifazat karty hai" aur sahih Abi Hatim me Abu Hurairah r.a. anhu se marwi hai ke Rasool ﷺ ne farmaya jab aurat apne upar panch namaze farz namaze ada karty ho aur ramzaan ul mubarak ke roze rakhty ho, aur apni sharm gaah ki hifazat kare,aur apne khawind ki ita'at kare to wo jannat ke jis darwaze se chahe jannat me daqil hogy..

aur Sunan Tirmizi me Umme Salma r.z. se marwi hai ke Rasool ﷺ ne farmaya,"Jo aurat is halat me faut hui ke uska khawind uspar raazi tha to wo jannat me daqil hogy". Ise Tirmizi ne riwayat kia hai aur ise hasan qarar diya hai.

Abu Huraira r.z. bayan karte hai ke Nabi ﷺ ne farmaya, "Agar mai kisi ko kisi dusre ke liye sajdah karne ka hukum deta to aurat ko hukum deta ke wo apne khawind ko sajdah kare".

Ise Tirmizi ne riwayat kia hai aur ise hasan qaraar diya hai aur Abu Dawood ne darje zail alfaz se riwayat kiya hai. To mai aurton ko hukum deta ke wo apne khawind ko sajdah kare, kyunki Allah ne in par khawind ke buhut zyada huquuq rakhe hai. Aur Musnad Ahmed me Anas r.z. anhu se marwi hai ke Nabi ﷺ ne farmaya, Kisi bhi bashar(insan) ko kisi dusre bashr ke samne sajdah karna sahih nahi hai, aur agar kisi bashr ke samne sajdah karna sahih hota to mai aurat ko hukum deta ke apne khawind ko sajdah kare kyunki khawind ka biwi par azeem haq hai, is zaat ki qasam jis ke hath me mery jaan hai agar qawind ke qadm se is ke sar ek zaqhm ho aur us se peem aur khoon ras(nikal) raha ho aur biwi use aage badh kar chaat lee to bhi qawind ka haq adaa nahi kar sakty.

Shaikh ul Islam rahimaullah ne khawind ki ita'at ki fazeelat wali ahadees bhi naqal ki hai is silsile me ahadees bhut zyada hai jin me se chand ek zail me bayan ki jaaty hai

Zaid bin Sabit bayan karte hai ke Quran majeed me khawind ko sardaar ka laqab diya gaya hai, aur phir inhone darje zail Quraan bari taala tilawat kiya,

"AUR In Dono Ne Darwaze Ke Paas Apne Sardaar Ko Paya". Aur Ibn Khattab r.z. kahte hai.

"Nikah ghulami hai, jise tum me se har ek ko dekhna chahiye ke ke wo apni laqt e jigar beti ko kiski ghulami me de raha hai" aur Tirmizi wagera me warid hai ke nabi ﷺ ne farmaya: "Aurton ke sath behtar salook karo, kyunke ye aurten tumhare paas ghulam hai".

Chunanche aurat apne qawind ke paas ghulam aur qaidi jaisy hai is liye aurat apne qawind ke ghar se qawind ki ijazat ke bagair bahar nahi nikal sakty,chahe aurat ka walid ya walida ya phir koi aur hukum bhi dee to ummat ka muttafiqa faisla hai ke qawind ki ijazat ke bagair ghar se bahar nahi nikal sakti.

Aur agar khawind apni biwi ko kisi aur jagah muntaqil karna chahe aur upar wajib karde huqooq ki adayegy bhi kare aur biwi ke mutalliq Allah ki hudood ki bhi hifazat kare lekin aurat ka baap apni bety ko isme khawind ki ita'at se roke to aurat ko apne khawind ki ita'at karni chahiye baap ki nahi, kyunke is surat me iske walidain is par zulm kar rahe hai, inhe apni bachi ko is tarah ke qawind ki ita'at se rokne ka koi haq hasil nahi.

Is aurat ko bhi haq hasil nahi ke wo qawind ki nafarmai me apni maa ki ita'at kare, ke is se qhula le ya phir jhagde taaki qawind ise Talaq de dee, yani biwi ko haq hasil nahi ke wo nan wa nafqa aur libas wa meher ke mutalliq aisa mutaliba kare jiski bina par qawind ise talaq de dee, agar qawind muttaqi ho aur biwi ke muamilaat me Allah se darne wala ho to biwi ko talaq lene ke mutalliq apne walidain ki ita'at karna halal nahi hogy.

Sunan e Arba'a aur sahih Ibn e Abi Hatim me Saubaan r.z. se hadees marwi hai ke Rasool ﷺ ne farmaya:"Jis Aurat ne bhi apne khawind se bagair kisi sabaq ke talaq ka mutakiba kia to is par jannat ki khushbu haram hai". aur ek dusr hadees me hai "Qhula lene wali hi munafiqaat hai".

Lekin  agar iske Walidain ise Allah ki ita'at ka hukum dete hai, masalan namz panchgana (5times) ki pabandi aur sachai ikhtiyar karne aur amanat wa diyanat karne ke sath sath fuzool kharchi se ijtinaab karne ka kahe to ye in ehkaam me shamil hai jo Allah aur iske Rasool ﷺ ka hukum bhi hai, ya phir jis se Allah aur iske Rasoolﷺ ne manaa farmaya hai. Isliye ise bhi usme in ki ita'at karny chahiye chahe ise walidain ke alawa koi dusra bhi ye baate kahe to ise ye manna hogy to phir agar walidain kahe to kaise nahi maanegy?

Aur jab khawind ise kisi aise kaam se rooke jiska hukum Allah aur iske Rasool ne diya ho ya phir use kisi aise kaam ko sar anjaam dene ka hukum de jis se Allah aur iske Rasool ﷺ ne manaa kia ho to use isme apne khawind ki ita'at nahi karny chahiye kyunki Nabi kareem ﷺ ka farmaan hai

"Allah khaliq ul mulk ki nafarmani me kisi maqhlooq ki ita'at nahi ki jaa sakty". Balke agar koi Malik apne naukar aur ghulam ko Allah ki ma'asiyat ka hukum dee to ghulam ko is ma'asiyat me apne malik ki ita'at karni jaayez nahi to fir aurat ko kaise majbuur kia jaa sakta hai ke wo Allah aur iske Rasool ﷺ ki ma'asiyat me apne khawind ya walidain ki ita'at kare kyunki khair wa bhalai to sirf Allah subhanahu wa ta'ala aur uske Rasool ﷺ  ki ita'at wa farmabardary me hai, aur Allah subhanahu wa ta'ala aur uske Rasool ﷺ ki nafarmani wa ma'asiyat me hai sary ki sary burai aur shar hai".

 Majmoo al Fatawa (32/261-264).

Shaikh ibn Taymiyyah rahimaullah ka mandarje bala ilmi aur mazboot jawab hi kafi hai jis se maqsad poora hojata hai, aapki walida ke liye jayez nahi ke wo aap aur aapki biwi ke ma'abain kharabi aur fitna paida kare, aur is silsile me Aap ke liye iski ita'at karna halal nahi, aur khawind ka haq aur iski ita'at Aap ki walida ki ita'at se zyada haq rakhty hai.

Biwi ke apne khawind ki ijazat ke bagair safar karna jayez nahi aur na hi wo kisi aise shaks ko khawind ke ghar me daqil kar sakty jise khawind na pasand karta ho, aur upar jo kuch bayan hua hai isme wo qawind ki ita'at chhor kar apni walida ki ita'at nahi kar sakty, kyunke khawind ki ita'at ka zyada haq hai.
Read More »

Halat e Haiz Me Quran Padhne Aur Zikr Karne Ke Ahkaam


Halat e Haiz me Quran padhna un muamlo maise hai jisme hamare Ulema e Deen ne ikhtilaf kiya. Aksar fuqahaa ki ye raae hai ki Haiz me Quran padhna haraam hai jab tak ke wo pak na hojaye. Sirf ek riayat(exception) hai aur wo Zikr karne ke muamle me hai, jaise “Bismillaahi’r-Rahmaani’r-Raheem” ya “Innaa Lillaahi wa innaa ilayhi raaji’oon”, ya fir quran mese koi dusra jumla jo aam taur par dohraya jata hai.

Aur Kuch ulema kahte hai ki Haiz ke dauran Quran padhne ki ijazat hai. Ye raae hai Imam Maalik aur ek raae jo ki Imam Ahmad se riwayat hai, jise Shaikh Ibn Taymiya ne tarjih di hai aur jise Shaykh Shawkaani durust mante hai aur Sheikh Muhammed Salih Al-Munajjid  bhi isi raae ke qayal hai . Ye ulema apne nukhte is raae par rakhte hai:

Usool ye hai ki har chiz ki ijazat hai siwae jab us chiz se mana farmaya gaya ho. Aur aisi koi dalai kitab wa sunnah se nahi hai jo kahti hai ki haiza ko Quran padhne ki ijazat nahi hai. Sheikh Ibn Taymiyyah farmate hai:

"Koi bhi saaf, sahih alfaz nahi hai jisse ye sabit hota ho ki Haiz me Aurto ko Quran padhna mana hai.... Ye malum hai ki RasoolAllah ke zamane me aurte haiz se hoti thi, aur RasoolAllah ﷺ ne unhe mana nahi farmaya Quran padhne se ya Allah ke zikr se ya Dua karne se. Balki RasoolAllah ﷺ ne haiza aurto ko ye hukm diya tha ki wo Eid ke liye jaye aur Takbeer padhe Musalmao ke sath." End quote

Majmoo al fatawa 21/460.

Allah subhanahuwatala Quran padhne ka hukm deta hai. Aur wo unlogo ki taareef karte hai jo aisa karte hai, aur wada karta hai bade ajar ki. Koi bhi isse mahrum nahi ho sakta siwae jis pe pukhta dalail ho. Lekin aisi koi pukhta dalail nahi hai.

۩ Hazrat Ayesha r.a. farmati hai ki ek hajj me mai haiza ho gai, toh RasoolALlah ﷺ ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Baitullah ke tawaf ke alawa baaki har wo kaam karo jo haji karta hai."

Sahih al-Bukhari, hadith- 293.

۩ Umme Atiyya r.a. farmati hai ki RasoolAllah ﷺ ne Haiz wali aurto ko bhi Eid ke roz Eidgah jane ka hukm diya taaki wo logo ke takbiro ke sath takbire kahe aur un ki duae ke sath duae kare lekin namaz na padhe.

Sahih al Bukhari, hadith- 324.

۩ Shaykh Muhammed Salih Al-Munajjid farmate hai ki Haiz me aurto ko Quran padhne ki ijazat dene ki raae hi mazbut raae hai.


Lekin ek chiz ki ahtiyat karni chaiye ki Haiz me ulema Quran chune ki ijazat nahi dete. Is halat me Quran ko kisi kapde ya kisi sheet ke zarye se chuna chaiye, directly nahi.

Upar ke dalailo se hame ye baat pata chali:

1. Ulema e Deen ki  Raae me ikhtilaf hai is muamle me.

2. Aksar Fuqaha ki ye raae hai ki Haiz ke Halat me Quran padhne ki ijazat nahi hai.

3. Imam Maalik, Imam Ahmad,  Shaikh Ibn Taymiya, Sheikh Shawkaani aur  Sheikh Muhammed Salih Al-Munajjid ki raae ye hai ki Haiz me Quran padhne ki ijazat hai.

4.  Sheikh Muhammed Salih Al-Munajjid Haiz ke halat me Quran padhne ki raae ko mazbut raae batate hai.

5. Haalat e Haiz me Zikr karne ki ijazat hai.

Aur Allah sab se behtar janta hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

31 Dec 2017

Aurto Ka Masjid Jana


RasoolAllah ﷺ ne Khawateen ko masjid aane ki ijazat di hai aur mardo ko hukum diya hai ke wo apni biwiyon ko masjid janay se na roke. Farmane Rasool ﷺ hai:

1. "Izas taazantim raata ahdikum falaa yamna'haa." 
Tarjuma:-Ager tum may se kisi ki biwi is se masjid jane ki ijazat talab kare to wo use mat roke, ijazat de de.

SAHIH BUKHARI (Volume 1, Book #12, Hadith #824)

2. Ibne Umar(R) se riwayat hi k Nabi kareem ﷺ ne farmaya "Izas Tazanakum Nisaawukum bil laili ilal Masjidi fazanoo lahunna."
 Tarjuma:-Ager tumhari auraten tum say raat ke waqt masjid me jane ki ijazat talab karen to tum log unhe uski ijazat de diya karo.

SAHIH BUKHARI (Volume 2, Book 13, Hadith 22)

3. RasoolAllah ﷺ ka farman hai "Laa tamnawoo ima'a Allahi masajidAllahi."
Tarjuma:-ALLAH ki bandiyon ko ALLAH K Gharon(Masajid) say mat roko.

SAHIH MUSLIM (Book 4, Hadith 886)

Is tarah ki aur bhi kai sahih Ahadees moujood hain.

Jab RasoolAllah ﷺ ne Aurato ko masajid may aane say nahi roka to phir humara kya huq hai unko rokne ka. ALLAH hum sub musalmano ko ALLAH aur USKE Rasool ﷺ ke ahkamat per amal kerne aur amal kerwane ki Towfeeq ata farmaye.Aameen ya Rabbul Aalamin.

۩ AURTO KA AZAN DENA AUR IQAMAT KAHNA:

Aurat sirf aurto ki jamaat ke liye azan de sakti hai. Ya jab wo khud namaz akele me padhti ho.  Aurat ko ijazat hai ki wo sirf apne aurat ki jamat ke liye hi azan de sakti hai. Lekin yahi baat mard ke liye nahi hai. Mardo ke liye ye khas zor dekar ye mustahab hai jaha tak aurto ke liye ye kare to jayz hai aur na kare to bhi jayz hai. Agar aurat azan deti hai use apni awaz niche rakhni chaiye aur sirf utna hi awaz buland karna chaiye jitna jamaat ki aurte sun sake. Sahih ahadiths me hai ki  Umm Salamah r.a. aur Aisha r.a. aurto ki imamat karti thi:

"Hazrat Aaisha r.a. azan kaheti thi aur iqamat aur fir imamat karati thin aur aurton ke darmiyan khadi hoti thi"

(Mustadrak haakim j. 1, page 204, Kitabus salat bab imamatal maratun nisa fil faraiz, AUR Abu dawood p. 1/87)

Note: Abu dawood ki riwayat me umme warqa razi ko Rasool ﷺ ne khud jamat karane ka hukm diya hai aur musdarak hakim ki riwayat me farz namaz ka bhi zikr hai ke wo imamat bhi farz

Arabic ref: بیہقی #٤٠٨/١ .......حاکم #٢٠٣/١ ........ابن ابی شیبہ #٢٢٣/١

۩ AURTON KI IMAMAT KA MASLA

 "Nabi sws ne Umme Warqa ko apne ghar walon ki Imamat karane ka huqm diya”

Sunan Abi Dawud 592 (hasan).

“Hazrat Aisha r.a. Tahira r.a. ke beech me khadi hokar aurton ki imamat karti thi”

(Mustardark haakim, baab imamatul imraat)

Ra’itah Al-Hanafiyyah riwayat karte hai ki Ayesha r.a. kahti hai ki wo Aurto ki Imamat karti thi aur har Farz namaz me unlogo ke sath khadi hoti thi.

Abdur-Raziq (5086), Ad-Daraqutni (1/404) and Al-Bayhaqi (3/131)

۩ Par Jab bhi aurat namaz padhti hai kisi jagah par wo jagah jitna hi poshida ho utna hi behtar hai isliye Aurto ki namaz unki masjid se behtar unke ghar me hai:

Abd Allah kahte hai ki RasoolALlah ﷺ ne farmaya Ek aurat ki namaz aagan se behtar uske ghar me hai aur uske ghar se behtar uske kamre me hai.

ABU DAWOOD (Book 2, Hadith 567) See also Saheeh al-Jaami’, no. 3833..

Abdullah Bin Mas’ud riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya aurto ke liye apne aagan me padhne se behtar hai ki wo apne gharo me padhe aur apne ghar me padhne se behtar hai ki wo apne poshida jagah par padhe.

ABU DAWOOD (Book 2, Hadith 570)

۩ AURAT KA NAMAZ E EID KE LIYE GHAR SE BAHIR NIKALNA JAIZ HAI!

Eidain ki namaz ke liye auraton ka ghar se bahir jana mashro hai, aurton ko iski khas tour per takeed ki gaye hai:

Umm-e-Atiya r.a. farmati hain ke "Hume namaz eid ke liye jany ka hukm diya jata tha, yahan tak ke hum kanwari bachiyon, perdah nasheen larkiyon aur haiza aurton ko bhi sath le jaya karte the taa-ke woh musalmano ke sath mil ke takribat parhain aur inki duaon mai shirkat karen aur is din ke fiyoz-o-barkaat ki umeed rakhen.

Sahih al Bukhari' hadis:324'wa sahi muslim'hadis:890.

Jahan tak haiza aurton ka ta'aluq hai to woh eid gaah mai namaz ki jagah sy alag reh ker kher-o-barakat aur musalmano ki duaon mai shirkat karen. is per Umm-e-Atiya R.A. ny kaha: "Aye Allah k Rasool ! Agar hum mai sy kisi ke pass chadar na ho to phir? App (S.A.W) ny farmaya: "Iski bahen isse apni chader pehna dey."

Sahih muslim'hadis:(12)-890.

Wajeh rahi ke namaz Eid ke liye jate waqt aurton ko khushbo aur fitna angaiz zaib-o-zeenat se ijtanab kerna chahye aur intehai sadgi k saath mardon sy alag thalag rehty huway bahir nikalna chahye. (Shiekh ibn Baaz) 
Kyunki Rasool Allah ﷺ ka irshad garami hai: "Jab tum mai sy koi aurat masjid mai (Namaz k liye) hazir ho to khushbo mat lagay."

[Sahih muslim'hadis:(142)-443.]

aur Hazrat Abu Mosa r.a. ki ravayat mai hai:

"Jab koi aurat khusbu laga kar kisi qaum k pass sy is liye guzrey k woh is ki khusbo ko mehsoos karen to woh aurat aisi aisi, yani zania hai."
[Sunan Abi daud, hadis:4173.]

۩ EIDGAAH ME AURTON KO NAMAZ KA HUQM

" RasulAllah ﷺ sahaba aur sahabiyaat ko (yahan tak ki haiz waali aurat ko bhi) saath lekar eidgaah ki taraf jaate, aapki eidgaah masjid e nabwi se hazaar feet ke faasle par Thi(fathul bari), yeh eidgaah baqi ki taraf thi"
(Sahih Bukhari fatah,2/465, hadith 976, kitabul eidain)

۩ LEKIN SATH ME KUCH SHARTE BHI HAI AURTO KO MASJID JANE KE LIYE:

1) Use pure Hijab me hona chaiye [for details refer to Al-Qur’an [SURAH AN NUR 24 VERSE 31]]

2) Use Khushboo laga kar nai jana chaiye.[for details refer to SAHIH MUSLIM (Book 4, Hadith 892, 893, 894)]

3) Use apne Shauhar se ijazat lena chaiye. Uske bahar nikalne se kisi tarah ki mamnoo chize shamil nai honi chaiye jaise na-mehram driver ke sath akele car me hona wagaira. Agar Aurat kuch galat karti hai to uske shauhar ka pura haq hai use rokne ke liye balki uska farz hai rokna. 

4) Aurto ko Aadmiyo se pahle masjid se nikalna chaiye.[for details refer to SAHIH BUKHARI (Volume 1, Book #12, Hadith #799, 809, 825, 829)]

5) Ek doosra darwaze ka intzam hona chaiye Masjid me sirf Aurto ke aane aur jaane ke liye.[for details refer to ABU DAWOOD ( Book 2, Hadith 484)]
Read More »

Islam Me Khwateen Ke Huqooq


Ye jo Magribi nara aazadi e niswa ka hai haqiqat me aurat ke izzat ko lut ta hai, aurto ke aabru ko lut ta hai, aurto ko zaleel karta hai. Ye magribi tahzeeb jo kahti hai ki khwateen ko ham uncha mukam de re hai par haqiqat me unhe eek tawaif banata hai, unhe bazaar ki zeenat banata hai art aur culture ke rangeen parde ke piche. Islam ne alhamdulilah khwateen ko 1400 saal pahle hukuk diye. Jab Quran nazil hua us daur ko kahte the ayyamul jahilya (days of ignorance) us waqt alhamdulilah Islam ne khwateen ko apne hukuk diye. Islam me khwateen ke hukuk ke liye musalman muashre ko nai dekhna chaiye na hi muslims ko dekhna chaiye, hame dekhna chaiye Quran aur Sunnah ko.

Islam me Mard aur Aurat ka darja barabar hai lekin hubahu yaksaa nahi hai. Kyuki Allah pak ne aurat aur mard ko biologically, psychologically aur physically alag banaya hai. Ham Islam me khwateen ke hukuk ka zikr karte hai jo ki maine 5 hisso me bata hai

1. Islam me khwateen ke Roohani Hukuk

2. Islam me khwateen ke Mu-ashi hukuk

3. Islam me khwateen ke Muashrati hukuk

4. Islam me khwateen ke Talimi Hukuk

5. Islam me khwateen ke Qanooni Hukuk

1. ISLAM ME KHWATEEN KE ROOHANI HUKUK:

Aksar gair muslim ko galat famy hai ki Islam me Jannat sirf mardo ke liye hai, Khwateen jannat me ja hi nahi sakti,  unki ye galat famy hai..Unki ye galat famy ko dur karne ke liye Quran ki ek ayat hi kafi hai. Allah pak surah nisa ayat 124 me farmate hai:

وَمَن يَعْمَلْ مِنَ الصَّالِحَاتِ مِن ذَكَرٍ أَوْ أُنثَىٰ وَهُوَ مُؤْمِنٌ فَأُولَٰئِكَ يَدْخُلُونَ الْجَنَّةَ وَلَا يُظْلَمُونَ نَقِيرًا-

Jo eman wala ho mard ho ya aurat aur woh nek aamaal keray yaqeenan aisay log jannat mein jayen gay aur khujoor ki guthli kay shigaf kay barabar bhi unn ka haq na maara jaye ga. 

Allah pak is paigam ko firse dohrate hai Surah Nahl 16 ayat no 97 me

مَنْ عَمِلَ صَالِحًا مِّن ذَكَرٍ أَوْ أُنثَىٰ وَهُوَ مُؤْمِنٌ فَلَنُحْيِيَنَّهُ حَيَاةً طَيِّبَةً ۖ وَلَنَجْزِيَنَّهُمْ أَجْرَهُم بِأَحْسَنِ مَا كَانُوا يَعْمَلُونَ-

Jo shaks nek amal keray mard ho ya aurat lekin ba-eman ho to hum ussay yaqeenan nihayat behtar zindagi ata farmyenge. Aur unn kay nek aemaal ka behtareen badla bhi unhen zaroor zaroor den gay.

Allah pak surah Nisa ayat 1 me farmate hai

يَا أَيُّهَا النَّاسُ اتَّقُوا رَبَّكُمُ الَّذِي خَلَقَكُم مِّن نَّفْسٍ وَاحِدَةٍ وَخَلَقَ مِنْهَا زَوْجَهَا-

Aey logo apney perwerdigar say daro jiss ney tumhen aik jaan say peda kiya aur us jaan se uske jaisa joda banaya hai.

In ayato ka matkab yahi nikalta hai ki admi aur aurat roohani taur pe yaksa hai.

2. ISLAM ME KHWATEEN KE MU-ASHI HUKUK :

Islam ne khwateen ke muashri hukuk kam se kam magrib se 1300 saal pahle diye. Islam me balig aurat ko ye haq hota hai ki wo apni zaaezaat beche ya kharide bina kisi se puch ke. Islam me aurat naukri kar sakti hai wo jo shariat uski ijazat deti hai. Quran me koi ayat ya koi bhi sahih hadith nahi hai jo aurat ko halah naukri karne se rokti hai. Lekin usko hijab ikhtiyar karke naukri karna chaiye. Lekin Islam me khwateen maa-ashri taur par bare-zimma hai. Unke upar koi financial obligation nahi hai. Islam me ma’ashi zimmedari mard ki hai. Aurat ke Nikah se pahle uske walid aur uske bhai ki zimmedari hai aur Aurat ke nikah ke baad uske shohar ki aur uske bête ki zimmedari hai ke wo sara ma’ashi kharcha jo aurat ka hai wo mard uthae chahe wo khane ke liye ho chahe pahenne ke liye ho ye chahe wo rahne ke liye ho. Aurat ko zindagi basar karne ke liye kaam Karne ki koi zarurat nahi hai lekin agar wo chahti hai ki kaam karu aur haath batau to wo kar sakti hai lekin koi bhi usse zabarzasti nahi kar sakta. Islam me aurat ke ma’ashi hukuk boht hai alhamdulilah. Jab shady hoti hai to shady ke waqt alhamdulilah aurat ko mahr diya jata hai. Allah pak surah nisa ayat 4 me farmate hai:

                                     "Aur aurton ko unn kay mehar razi khushi se de do"

Nikah me bina mahr ke nikah ho hi nahi sakta. Afsos ki baat hai ki hamare kuch muashre me ulta hai ki aurat dahej deti hai mard ko. Islam me aurat se dahej directly ya indirectly mangna haram hai. Even indication bhi dena haram hai.

3. ISLAM ME KHWATEEN KE MU'ASHRATI HUKUK:

۞ BETI KE HUKUK:

Allah pak farmate hai surah al Takweer 81  ayat 8-9 me

                                   وَإِذَا الْمَوْءُودَةُ سُئِلَتْ
                                           بِأَيِّ ذَنبٍ قُتِلَتْ

                       "Aur jab zinda gari hui larki say sawal kiya jaey ga.

                        "Ke kis gunha ki waja say wo qatal ki gai."

Is ayah se ye saaf pata chalta hai ki ladkiyo ka katl karna Islam me haram hai. Na hi sirf ladkiyo ka katl karna haram hai balki dono ladko aur ladkiyo ka katl karna haram hai. Allah pak farmate hai surah 6 ayat 151 me

"apni aulad ko gurbat ke kauf se qatal mat karo. Hum tum ko aur unn ko rizk denge"

Islam me na hi sirf bacho ka katl karna zurm hai khususan ladkiyo ka lekih jab apko pata chalta hai ki ladki paida hui aur ap afsos karte hai, Islam me iski bhi mumaniyat hai. Allah pak farmate hai surah nahl 16 ayat 58-59 me:

وَإِذَا بُشِّرَ أَحَدُهُم بِالْأُنثَىٰ ظَلَّ وَجْهُهُ مُسْوَدًّا وَهُوَ كَظِيمٌيَتَوَارَىٰ مِنَ الْقَوْمِ مِن سُوءِ مَا بُشِّرَ بِهِ ۚ أَيُمْسِكُهُ عَلَىٰ هُونٍ أَمْ يَدُسُّهُ فِي التُّرَابِ ۗ أَلَا سَاءَ مَا يَحْكُمُونَ-

"Inn mein say jab kissi ko larki honey ki khabar di jaye to uss ka chehra siyah hojata hai aur dil hi dil mein ghutney lagta hai.Iss buri khabar say logon say chupa chupa phirta hai. Sochta hai kay kiya iss zillat ko sath liye huye hi rahey ya issay mitti mein daba dey. Aah! Kya hi buray faislay kertay hain" ?

Toh Afsos karna ke ek ladki Aap ke ghar me paida hui, ye bhi islam me jurm hai. Aur Allah ke Rasool farmate hai Musnad Ahmad vol. 1 Hadith 2104 me

“ Agar koi bhi shaks apne do betio ko ache tarike se parwarish karta hai jab tak wo baligh ho jati hai toh akhirat ke din me wo shaks mere itne kareeb rahega aur RaoolAllah ne apne do ungli ko eksath karke joda”.

Aur ek hadith hai jo Ibn Majah ki hai:

“Koi bhi shaks agar do ladkiyo ki parwarish karta hai aur unke sath husn e suluk karta hai to wo jannat me jayega”.

Sunan Ibn Majah, Kitabul Adab, vol. 5 ch. 3 hadith 3670.

۞ BIWI KE HUKUK

Allah pak farmate hai

 " وَمِنْ آيَاتِهِ أَنْ خَلَقَ لَكُم مِّنْ أَنفُسِكُمْ أَزْوَاجًا لِّتَسْكُنُوا إِلَيْهَا وَجَعَلَ بَيْنَكُم مَّوَدَّةً وَرَحْمَةً ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِّقَوْمٍ يَتَفَكَّرُونَ "-

Aur uss ki nishaniyon mein say hai kay tumhari hi jins say biwiyan peda ki takay tum inn say aaram pao uss ney tumharay darmiyan mohabbat aur humdardi qaeem kerdi yaqeenan ghor-o-fiker kerney walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain.Quran surah 30 ayat 21.

  " يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا يَحِلُّ لَكُمْ أَن تَرِثُوا النِّسَاءَ كَرْهًا ۖ  "-

 Ae Eman walo! Tumhen halal nahi kay zabardasti aurton ko ikhtiyar karo.

Surah Nisa, ayat 19.

Matlab nikah ke liye shohar aur biwi dono ki ijazat zaruri hai

Ek hadith me..

Ek aurat jis ka naam tha khansa bint Khidam Al-Ansariya tha wo RasoolAllah ﷺ ke paas aati hai aur kahti hai mere walid ne mere marzi ke khilaf meri shady ek admi se ki jise mai pasand nahi karti aur Allah ke Rasool ne nikah e fask kiya(he nullified the marriage).

Sahih al bukhari, kitabun nikah, hadith 69.

Isi liye Islam me shady ke liye mard aur aurat dono ki Razaamandi zaruri hai. Aur islam ne aurat ko “housewife” (ghar ki biwi) nahi balke “Homemaker” (Ghar ki zeenat) kahte hai kyuki wo ghar ko banati hai, wo ghar ki zeenat hai.

Aur Allah pak farmate hai

Agar ap apni biwi se pyar nahi karte fir bhi unke sath husn e suluk karo.

Surah al Nisa ayat 19.

RasoolAllah ﷺ farmate hai ki tum maise sab se behtareen wo hai jinke akhlaq sab se behtar hai aur unmaise sab se behtareen wo hai jo apni biwi ke sath sab se ache hai.

[Narrated in Musnad Ahmad, #7354, and Al-Tirmizi, #1162]

۞ MAA KE HUKUK

Allah pak farmate hai surah Isra (17) me ayat 23-24 me

۩ Aur tumhare Rab ka farman hai ki uski ibadat me kisi ko shareek na karna aur jab tumhare maa baap me se ek ya dono budhi umr par pahoch jaye toh unhe uff tak na kahna aur na hi unse jhirag ke baat karna lekin unse husne suluk ke saath pesh aana aur ye dua karna ki Aye hamare Rab hamare maa baap par raham kar jis tarah inhone rahmat o shafqat ke sath mujhe bachpan me paala tha.

Surah Isra ﴾17﴿, ayat- 23-24.

aur Allah pak farmate hai surah no 6 ayat 151 me 

"Ham ne insano pe farz kiya hai ki wo apne walidain se husn e suluk  kare"

aur ye paigam dohraya gaya hai Surah Lukman (31) ayat 14 me aur surah Al Ahqahf (46) ayat 15 me.

Aur Allah ke Rasool ﷺ farmate hai,

"JANNAT MAA KE KADMO KE NICHE HAI"

Sunan Nasai, Kitaab-ul-Jihaa d, Ch.6 Hadith 3106.

Ek riwayat me aur aata hai..

Hazrat Abu Huraira ((ra)) se riwayat hai ke 1 aadmi Rasool allah ((saw)) ki khidmat me haazir hua aur arz kiya:

“Ya Rasool allah ((saw)) mere husne suluk ka sab se zyada haq daar koan hai?“
Aap ((saw)) ne irshad farmaya:
“Teri Maa“
Is ne dobara arz kiya :
“phir kaun?"
Aap ((saw)) ne irshad farmaya:
“Teri Maa"
Is ne tisri baar arz kiya:
“phir kaun?"
Aap ((saw)) ne irshad farmaya :
“Teri Maa“
Isne chawthi baar pucha :
“phir kaun?"
Aap ((saw)) ne farmaya :
“Tera Baap".

(Sahih Bukhari # kitabul adab, hadith 2)

4. ISLAM ME KHWATEEN KE TALIMI HUKUK:

Sabse pahli wahee aur sabse pahli hidayat jo Allah pak insano ko Quran me dete hai wo ye nahi ki Ap namaz padho ya Roza rakho ya hajj ke liye jaao. Sabse pahli hidayat jo Allah  pak Quran me dete hai wo hai Iqra', 'Padho' jo aata hai surah Iqra'(96) ayat 1 me. Aur ye sirf mard ke liye nahi ye mard aur aurat dono ke liye hai.

Aur Allah ke Rasool farmate hai Sunan ibn Majah, vol-1, hadith-224 me

" Talabul ilm faridatun ala kulli muslim" .

" ILM hasil karna har ek musalma (mard aur aurat) par farz hai ".

Aur Allah ke Rasool aksar ye kahte the ki apne bacho ko ilm do khususan apne betiyo ko. Aur Allah ke Rasool ye bhi kahte the ki shohar ka farz hai ki wo apne biwi ko ilm de, agar khud nahi de sakta to kamaskam itna intzam karna chaiye ki uski biwi tak ilm pohche.

Sahih al bukhari, kitabul Ilm, hadith 101 me zikr hai ki Kuch khwateen Allah ke Rasool ke pas aati hai aur kahti hai ki hame bhi khitab kijiye kyuki Allah ke Rasool ka sara waqt mard le liya karte the. Aur us din Allah ke Rasool ne wada kiya ki wo aurto se bhi khitab karenge.

5. ISLAM ME KHWATEEN KE KANUNI HUKUK:

Kanuni aetbaar se mard aur aurat barabar hai. Allah pak farmate hai Surah al baqara ayah 178 me

Aey eman walon! Tum per maqtoolon ka qisass lena farz kiya gaya hai aazad aazad kay badlay ghulam ghulam kay badlay aurat aurat kay badlay.

Islam me jo saza mard ko milti hai wohi saza aurat ko milti hai. Aur dono ke liye saza yaksa hai. Allah pak farmate hai surah al Maidah 5 ayat no 38 me 

“Chori kerney walay aurat aur mard kay haath kaat diya kero. Yeh badla hai uss ka jo enhon ney kiya azab Allah ki taraf say aur Allah Taalaa qooat aur hikmat wala hai.”

Allah pak farmate hai

" Zina kaar aurat ya mard mein say har ek ko sao koray lagao "

Surah Noor 24 ayat 2.

Islam me aurat ko shahdat(gawahi) dene ka bhi haq hai jab ki boht se mazahib me unko ye haq nahi milta.

Aur Islam pak daman aurat ki hifazat sakhti se karta hai aur wo bhi practical tarike me. Allah pak farmate hai surah nor ayah 4 me

" Jo log pak daman aurton per zina ki tohmat lagayen phir char gawah na paish ker saken to unhen assi(80)  koray lagao aur kabhi bhi unn ki gawahee qabool na kero. Yeh fasiq log hain. "

Toh alhamdulilah Islam ne Khwateen ko boht sare hukuk diye hai na hi sirf lafzi balke amalan taur par bhi..Allah pak mard aur khwateen ko khitab karte hue faarmate hai:

Woh tumhara libas hain aur tum unn ke libas ho [2:187]

•٠•●●•٠•
Read More »

Istehaza Ka Masala


Istehaza wo khoon hota hai jo ayyam e haiz ke ba’ad khaaki ya zard rang ka jaari hota hai. Yeek marz hai. Jab aurat apne haiz ki a’adat ke din poore karle phir ise ghusl karke namaz shuru kar deni chaahiye kyou’nke khoon istehaaza ka hukam khoon haiz ke hukam se mukhtalif hai. 

Aisha Siddiqa رضي الله عنه se riwayat hai ke Fatima bint Abi Habeesh رضي الله عنه Rasool Allah ki khidmat me aaei’n aur arz kiya: Aey Allah ke Rasool! Mujhe khoon istehaaza aata hai aur main (bawajah khoon istehaaza) paak nahi noti kya main namaz chhor du’n? 

Aap ne farmaya: Nahi khoon istehaza ek (androoni) rag se (behta) hai aur ye khoon haiz nahi hai. Pas jab tujhe haiz ka khoon aaey to Namaaz chod’de aur jis waqt khoon haiz band hojaae (aur khoon istehaaza shuru ho) to apne istehaaza ke khoon ko dho aur namaz padh.’ 

(Bukhari: al Haiz 306 – Muslim: al Haiz 333) 

Fatima bint Abi Habeesh رضي الله عنه ko Rasool Allah ne farmaya: ‘Haiz ka khoon siyah rang ka hota hai aur pehchaana jata hai agar ye aae to namaz se rukjao aur agar joi aur rang hoto wuzu kar aur namaz padho is liey ke ye rag (istehaza) ka khoon hai.’ 

(Abu Dawood: al Tahara 286) 

Umme A’atiya رضي الله عنه bayan karti hain ke ‘Ham haiz ke alawa baqi do’no me peele (T: Yellow) ya matyale rang ki kuch parwah nahi karti thei’n.’ 

(Bukhari: 326 – Abu Dawood: 308) 

Haasil Kalaam Ye Ke Mustehaaza Paak Aurat Ki Tarha Hai: 

Khoon haiz baloogat (T: Maturity) ki alaamat hai agar ye adat ke mutabiq aae to ye sahet ki alaamat hai, is ke bara’aks istehaaza beemari ke alaamat hai choo’nke ye khoon, haiz se pehle bhi aata hai aur haiz ki muddat guzar jane ke bawajood nahei’n rukta is liey ba’az khawateen ise bhi haiz samajh kar namaz chod’de rakhti hain lehaza is masla ko bil wazaahat samjahna zaroori hai:

1. Khoon haiz gaadha, Siyaah aur kisi qadr badboodar hota hai. Jib is ki muddat khat2m hoti hai tu khaaki yaa zard rang ka khoon agar jaari rehta hai to wo istehaza ka khoon hai. 

2. Agar khatoon, haiz aur istehaza ka farq pehchaanti hai to wo is ke mutabiq amal karegi ya’ani haiz aane par namaz chhor’degi aur haiz ke ba’ad istehaza ke dauran har namaz ke liey alag wuzu karke namaz ada karegi.

3. Agar is dono’n khoono’n ki pehchaan nahi hai albatta haiz ise a’adat ke mutabiq aata hai to wo a’adat ke dono’n main namaz tark karegi aur inke ba’ad khoon aaega ise istehaz2a samjhegi. 

4. Agar ise dono’n khoono’n ki pehchan hai aur haiz bhi a’adat ke mutabiq nahi aata to wo apni qareebi rishtedar khatoon (jo mizaaj aur umar me is jaise ho mislan bahen wagera) ki a’adat ke mutabiq amal karegi hatta ke ise pehchaan hojae ya iski apni adat ban jaae,

wa Allaho A’alam. 

۞ Mustehaaza Ke Ehkaam: 

1. Haiz ke khatme ke ba’ad aurat ghusl karegi. 

2. Rasool Allah ne Fatimah bint Habash رضي الله عنه ko hukam diya ke har namaz ke liey wazu kiya karo (Bukhari: 228) 

3. Aurat har wo kaam karegi jo ek paak aurat karti hai ya’ani wo namaz adaa karegi, roza rakhegi, etekaaf karegi, khana e ka’aba ka tawaf karegi. 

4. Mustehaaza aurat se sohbat karna jaaez hai. Hamna bint Hajash se riwayat hai ke ‘inhei’n istehaza ka khoon ata tha aur in ke khawand (is haal mein) in se sohbat karte the.’

(Abu Dawood: al Tahaara,: 310).
Read More »

30 Dec 2017

Quran aur Hadees ki rOshni me Parde ka Hukum


Daleel aur hikmat ke mutabik be-libasi mana hai.

Aye Adam ki Aulaad! Hum ne tumahray liye libaas paida kiya hai jo tumahre qabil e parda badan ko chupata hai.Aur Taqwe ka Libas sabse badh kar hai.

[Surah Aara'f 7:26]

Ayai Nabi ﷺ apni biwiyoo,aur apni baaitiyoo ko aur mominoo ki auratoo ko ferma dain keh woh apne oper apni chadrain dal liya karain yeh qareeb ter hai keh un ki pahchan ho jai to unhain na sataya jaye aur Allah bakhshne wala nihayat maherban hai.
(Surah Ahzab-59)

Aur jab tum un (Nabi ﷺ ki biwioo) se koi cheez mango to un sai perdai kaii peechai sai mango.Yeh bat tumharai aur un ke diloo kai liyai zayadah pakeezah hai. (Surah Ahzab-53)

۞ Aur Bemaqsad Ghar Se Niklna Mana Hai-

Aur gharo me qarar se raho. Aur sabiq dor jahiliyat ki saj dhaj na dikhati phiroo. [Surah Al Ahzab 33:33]

۞ CHEHRE KA PARDA-

Daleel No-1

"Sayyada Asma Binnat e Abu Bakar (raziallahotalaanha) farmati hen k "Hum apne chehro ko mardo se chupaya karti thee".. (Sahih Ibn e Khuzaima-269)

Daleel No-2

Sahi Bukhari o Sahi Muslim Or kuch hadees ki kitabo men ye riwayat hey k jab Sayyada Ayesha (raziallahotalaanha) par tohmat lagai gai to Allah Tala ne Sure Noor men in k liye "Barraat" nazil ki. ye waqeya "Ufaq" k naam se hadees ki kitabo me bohat mashhoor hai. is me hai k "Sayyada Ayesha (raziallahotalaanha) ne Jungle se wapis akar jab dekha k qafla chala gaya to woh wahi akar beth gai or so gai. Subha ko jab Hazrat Safwaan Bin Muattal Asalmi (raziallahotalaano) ka guzar waha se howa to 1 soye howe insan ko dekh kar us taraf aaye. Sayyada Ayesha (raziallahotalaanha) farmati hen k Jab Safwaan udhar aye to unho ney mujhe dekhtey he pehchan liya. Kyunke parde k hukum se pehle woh mujhe dekh chuke they. Mujhe pehchan kar unho ney "innalillahewainnaaleherajeooon" parha to un ki awaz se meri ankh khul gai or mene apni chadar se apna chehra dhaank liya.

(SAHI BUKHARI- KITAB AL-TAFSEER-475 ; SAHI MUSLIM KITAB AL-TAUBA-277).

Daleel No-3

Ek khatoon jin ka naam umme khallad razi Allah taala tha' Nabi akram sale Allah aleh wasallam ki khidmat mein apne betay ka jo qatal ho chuka tha anjaam daryaft karne ayen aur wo naqaab pehnay hue thi. Nabi akram sale Allah aleh wasallam ke aik sahabi razi Allah taala ne un ki is istiqamat pr tajjub karte hue kaha ke naqaab pehan kar aap betay ka haal daryaft karne aayi hain,to unho ne is ke jawab mein farmaya ke mera beta mara hai meri haya nahi mari hai. is ke baad Rasool Allah sale Allah aleh wasallam ne un ko taslli di ke tumahre bete ko do shaheedon ka ajar mile ga. unhon ne daryaft kiya ke aisa kiyon hoga ya Rasool Allah sale Allah aleh wasallam? Aap ne farmaya Isliye ke usko Ahle kitaab ne qatal kiya hai “.( Abu Dawud )

۞ ZEENAT:

Zaib o zeenat aur Araish ko zahir karna mana hai.

"Apni zeenat ko khula na rakhain"..[Surah Noor:31]

۞ AANKHON KA PARDA:

Mard aur Aurat ke liye aankh ka parda laazmi hai.

"Aap ﷺ musalman mardon se kah dain ke woh apni nigehain neechi rakhain."

"Aap ﷺ musalman auraton se keh dain k wo apni nigahain neechi rakhain". [Surah Noor:24:30-31]

"Huzaifa r.a se riwayat hai k Nabi ﷺ ne farmaya k NIGAAH ' iblees k zehar alud teeron mai se aik teer hai.jo isay meray khaof se chor day ga mai usko meray khaof se aisa eman ata karu ga k jiski mithaas wo apnay dil mai mehsus karay ga"..

MUSTADRAK HAAKIM. PAGE 314.

۞ AURAT KI AWAZ KA PARDA:

Aurton ki aawaz ka bhi parda hai.

Guftagu me mulaimat nah karo kay jis ke dil mein khout hai woh lalach kare balkay maqool andaaz se baat karo.

[Surah Ahzab 33:32]

۞ AURAT KA KHUSHBU LAGANA:

"Aurat k liye khushbu laga ker ghar se nikelna jayez nahi.jo aurat aisa kerti hai wo bad_kaar hai"..

Jamia Tirmizi, Hadees -2786. Sunan Abu Dawud, Hadees- 4173.

Be-parda aurat shetan ka shikaar hai.Aurat parda ki cheez hai jab woh ghar se bahar nikalti hai to shetan is ki taak jhaank karta rehta hai. (Tirmizi)

Mai apni tamam muslimah behnon se kehna chahun gi k parda ko apni naik niyati or khuloos samajh kar istimaal karain na k apne oper aik pabandi samajh kar.

Aaj kal boht sari muslimah behnain jo khud per jabbr kar k parda karti hain.ya unke parday ki wajah unkay ghar walon ki sakhti hoti hai.be shak ghar walo ko chahiye k unko parday ka hukm dain magr sirf sakhti se nahi balke samjha ker. Deen ki taraf la ker.unko btayen k aik momina or or ghair muslim aurat mai kya farq hota hai.unki rughbat quran-o_deen ki taraf dilayen.aaj kal muasharti bay raah_o_rawi ki sab se bari wajah yehi hai k khud walaidain or ghar walay hi deen se door hain.Allah ka khof kare aur parde ki pabnaddi kare aur gharo me Deen ka mahol bnaye rakhe.

kuch lOgo ka khayal hai ke "parda to aankh ka hota hai"."sari baat niyat ki hoti hai"."aaj kal to parday waliyan zyada kharab hain" etc etc.ye sab jahilana or munafiqaana rawaiye hain.or in sab ki wajah hai deeni ilm ki kammi.Azwaj e Mutahrat ko apna Ideal banaiye aur Unki zindgi se sabaq lein.aur parde ki Ahmiyat ko samjhein meri Bahno.

Kahin aisa na ho ke Apko jab pahli baar parda udhaya jaye to wo parda Apka KAFAN ho.isse pahle hi apni zindgiyo me parde ka ahtemam krein aur dusri bahno ko bhi iski Hidayat karein.

JazakALLAH Khair-

•٠•●●•٠•

Prepared By: A.Sayed.
KHWATEEN KE MUTALLIK AHAM ARTICLES:- https://iqrakitab.com/search/label/Ladies%27%20Wing
Read More »

29 Dec 2017

Aurat Aur Mard Ke Namaz Ka Tarika Yaksa(Same) Hai !


RasoolAllah ﷺ ne farmaya “Namaz us tarah padho jis tarah mujhe padhte hue dekha.”

Sahih al Bukhari, 604.

RasoolAllah ﷺ ki kisi bhi sahih riwayat me ye nahi hai ki mard aur aurat ki namaz me fark hai. Agar sahih hadith aur salaf ke amal ko dekha jaye to yahi pata chalta hai ki mard aur aurat ki namaz me koi fark nahi hai. Dono ke namaz ke tarike yaksa hai.

۞ Ulma e Deen ki Raae(opinion) kuch aisi hai: 

Imam Bukhari (rah) sahih sanad ke sath Umm e Darda r.a. ka amal bayan karte hai ki wo (namaz me) mardo ki tarha baithti thi. [Al-Tarikh Al-Saghir Al-Bukhari 90]

Ibrahim Al-Nakhai (rah) - "Aurto ko namaz me mardo ke tarah baithna chaiye." [ Ibn e Abi Shaybah 1/170 ]

Ibn e Hazm (rah) - "Mard aur aurat ki namaz me koi fark nahi hai." [Al-Mahalla 3/37]

Ibn-e-Hajar (rah) - "Mard aur Aurat ke Takbeer ke dauran hath uthane me koi fark nahi hai." [Fath Ul Bari 2/222]

Ibn-e-Qudaima (rah) - "Haqiqat me, mard aur aurat ki namaz me ek hi hukm hai siwae  ye ki aurat ke liye ruku aur sujood me khud ko dhakna mustahab hai " [Al-Mughni 2/258]

Imam Nawawi (rah) - "Aurto ko mardo ki taarha apne hatho ko seene par rakhna chaiye" [ Sharh Muslim 1/195 ]

Imam Behaqay (Rah)  ne pura baab(chapter) likha hai Sunan al Kubra me "Namaz me seene par Hath rakhna  sunnah hai"

Shaykh Nasir ud din Al Albani (Rah) ne kaha

Imam Bukhari ne bhi at-Taareekh as-Sagheer (p. 95) me  saheeh sanad ke sath Umm ad-Dardaa' se riwayat kiya hai ki “ wo namaz me usi tarah baithti thi jis tarah mard baithte hai", aur wo samajhdar (aql wali) aurat thi.
Read More »

28 Dec 2017

Kya Sureh Yusuf Padne Se Baccha Khoobsurat Paida Hota Hai aur Surah Maryam padhne se wiladat me asani hoti hai?

Yeh logo me baat mashhoor hai,iski koi daleeel nahi quran yaa sunnah me, puraquran shifa hai aur uska padhna shifa paane kaaa zariya hai,kayi surah ki fazilat maujood hai ahadith as sahiyah me lekin surah maryam aur surah yusuf ki jo fazail logo ne bayan ki woh nahi maujood hai koi sahih hadeeth me,aksar o beshtar yeh sab biddah hai.
Humare paas aisi koi daleel nahi shariyah me jo yeh baat sabit kare ki surah maryam yaa surah yusuf ki qiraat bache paida hone ke dard se aasaani karta hai, aur yeh baat par amal karna biddah hai aur humare Nabi ﷺ ne farmaya hai sahih Muslim aur sahih Bukhari ki hadeeth hai jo koi bhi humare din me nayi cheez laayega jo humari nahi woh mardood hai.

Sahih al bukhari, had-2697, Sahih Muslim, had-1718.
Yeh baat malum honi chahiye ki puri quran me shifa hai
Yeh baat hume quran ki ayah se malum hoti hai jaha par humare Rabb ne irshad farmaya aur humne quran ko nazil kiya jo shifa aur rahmat hai imaaan waalo ke liye[surah no 17,ayah no 82]
Fir bhi ek juz quran ka kisi makhsoos cheez ke liye maan lena bina sabit daleel ke biddah hai,yeh isliye kyunki shariat humari is baare me Khamosh hai aur quran aur sunnah me yeh baat kahi par bhi nahi hai jo yeh baat kahe ki surah Maryam aur surah Yusuf padhne se maa ko aasaani hogi bacche ki wiladat ke waqt,yaa beta milega,aur aasaan paidash me. In baato ko maanna aur amal karna biddah hoga. lekin woh aurat Allah se madad maang sakhti hai duaaye kar sakti hai taake aasaani ho.
Baaki Allah behtar jaanta hai.
Prepared By: A.Sayed
Read More »

26 Dec 2017

Nifaas Ka Hukm

Bacche ki paidaesh ke ba’ad jo khoon aata hai, ise nifaas kehte hain.

Umme Salma r.a. farmati  hain ke nifaas wali auratei’n Rasool Allah ke zamane me 40 din baitha karti thee’n (Namaz waghaira nahi padhti thee’n).

(Abu Dawood: at Tahaara 311 – Tirmizee: at Tahaara 139 – Ibne Majja 648) Ise Imam Haakim (V1 P175) aur Haafiz Zahabi ne Saheeh, jabke Imam Navavi ne hasan kaha.
Aksar Sahaaba aur Ta’abaeen ke nazdeek nifaas ke qhoon ki ziyada se ziyada muddat 40 din hain. Agar 40 roz ke ba’ad bhi qhoon jaari rahe to aksar ahle ilm ke nazdeek wo qhoon istehaaza hai, jis me aurat har namaz ke liey wazu karti hai. Nifaas ki kam az kam muddat ki koi had nahi.
Sayyadna Anas r.a. farmate hain: ‘Nifaas ki muddat 40 din hai illa ye ke qhoon pehle hi band ho jaae.’ (Baihaqee)
Imam Shafai farmate hain: ‘Agar aurat ko wilayat ke ba’ad qhoon aata hi nahi to is par zaroori hai ke wo ghusl kare aur namaz padhe.’
Nifaas aur haiz ke qhoon ka hukam ek jaisa hai ya’ani in halaat me namaz roza aur jama’a mana hai.

Rasool Allah ﷺ ayyam e nifaas ki namazei’n ki qaza ka hukam nahi dete the.

(Abu Dawood: at Tahaara, Baab Majja, fee Waqt an Nafsaa 312) Ise Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.
Read More »