اقرأ باسم ربك الذي خلق

25 Oct 2018

Sirf Paani Se Taharat


Sawal: Agar gusl e janabat ke waqt sabun wagairah na ho to kya sirf paani se hi paak hua ja Sakta hai? Ya sabun (soap) wagairah zaroori hai?

Jawab:

Paak aur saaf Paani me Allah ne wo wasf rakhha hai ke wo khud paak hai aur paak karta bhi hai,

Irshad e Bari tal'a hai:

وَيُنَزِّلُ عَلَيْكُمْ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً لِيُطَهِّرَكُمْ بِهِ

Aur usne tumhare liye asman se Paani utaara hai taaki uske saath tumhe paak kar de.

Surah Anfal (8), ayat no 11.

Is ayat e kareema se ye maloom hua ke Paani me paak karne ki salaahiyat Allah ne rakhhi hai, lihaaza janaabat ki paleedi door karne ke liye Paani kaafi hai.

Sabun, shampoo, wagairah se gandagi behtar tarike se saaf hoti hai lekin paaki hasil karne ke liye sirf paani hi kaafi hai.

Aur is par kitaab Allah, sunnat aur ijma e ummat dalaalat karti hai ke Paani bazat e khud paak hai aur paak karne ki salaahiyat rakhta hai.

wa Allahu Alam.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeek ata kare. aameen.
Read More »

Muhammad ﷺ Ka Dars e Tawheed

en  -
Ibn Abbas r.a. riwayat karte hai ki Mai ek din Rasoolullah ﷺ ke sath sawari par peeche tha, Aap ﷺ ne farmaya: "Aye ladke! Beshak mai tumhe chand aham baatein batla raha hun, Tum Allah ke ahkaam ki hifazat karo, wo tumhari hifazat farmayega, tum Allah ke huqooq ka khayal rakho use tum apne saamne paoge.
Jab tum koi cheez maango to sirf Allah se maango, (aur) jab tum madad chaho to sirf Allah se madad talab karo, aur ye baat jaan lo ke agar saari ummat bhi jama hokar tumhe nafa pahunchana chahe to wo tumhe is se zyada kuch bhi nafa nahi pahuncha sakti jo Allah ne tumhare liye likh diya hai, aur agar wo tumhe kuch nuqsan pahunchane ke liye jama hojaye to is se zyada kuch nuqsan nahi pahuncha sakti jo Allah ne tumhare liye likh diya hai, qalam utha liye gaye, aur (taqdeer ke) saheefe khusq ho gaye hain.

Sunan Tirmizi, Chapters on the description of the Day of Judgement, Ar-Riqaq, and Al-Wara', hadith-2516. Ise Imam Tirmizi ne Hasan Sahih karar diya hai aur Shaykh Zubair ali zai ne Hasan karar diya hai.

Umar bin Khattab r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya: 'Agar tum log Allah par tawakkul karo jaisa ke us par tawakkul karne ka haq hai to tumhe usi tarah rizk milega jaisa ke parindon ko milta hai ke subah ko wo bhuke nikalte hai aur shaam ko wo pet bhar kar wapas aate hai.'

Sunan Tirmizi, Chapters On Zuhd, hadith - 2344. Ise Imam Tirmizi ne Hasan Sahih karar diya hai aur Shaykh Zubair ali zai ne Hasan karar diya hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame in taaleemaat par amal karne ki taufeek ata kare. aameen.
Read More »

19 Oct 2018

Dua Me Hatho Ko Uthana


Allah ‎ﷻ farmate hai,

(Aye Nabi) Jab Mere bande mere bare me Aap se puche toh Aap kah de ke Mai unke bahut hi qareeb hu, har pukarne wale ki pukar ko, jab kabhi woh mujhe pukare sunta hu aur qubool karta hu. Is liye logo ko bhi chahiye ke woh meri baat maan liya kare aur mujh par eeman rakhhe taaki wo sahih raah paye.

Surah Baqara, ayat 186.

۞ Dua Ke Liye Hath Uthana Dua Karne Ke Aadab Maise Hai:

۩ Salman al-Farsi r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Tumhara Rab bahut ba-haya hai aur kareem hai, Jab uska banda us ke saamne apne dono hath uthata hai toh unhe khali lautate hue use apne bande se sharam aati hai.”

Sunan Abi Dawud 1488, Book of Prayer (Kitab Al-Salat): Detailed Injunctions about Witr, hadith--1488. Allama Albani ne ise Sahih karar diya hai.

۞ Hath Uthane Ka Tarika:

Ahle ilm kahte hai ki Dua mein haath uthane ke liye hatheli ki androoni janib aasman ki taraf hogi, jaise kisi se kuch lene ka muntazir faqeer aur lachaar shakhs apne dono hatho ko utha kar rakhta hai:

۩ Malik ibn Yasar as-Sakuni r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Jab tum Allah se maango toh apni sidhi hatheliiyo se mango aur un ke pusht (piche) se na maango.”

S
unan Abi Dawud 1486, Book of Prayer (Kitab Al-Salat): Detailed Injunctions about Witr, hadith--1488. Allama Albani ne ise Hasan Sahih karar diya hai.

۞ Dono Hatheliyo Ko Mila Kar Dua Maange Ya Alag Kar Ke:

۩ Shaykh ibn Uthaymeen kahte hai,

“Hatho mein faasla daalna ya alag alag rakhne se mutaliq koi daleel ahadees ya ulema e karaam ki guftagu se mere ilm me nahi hai.” alfaz khatm.

al-Sharh al-Mumti’ (4/25).

•٠•●●•٠•
Read More »

Asal Salafiyyah Kya Hai ?

en     hi -
Shaykh ibn Uthaymeen farmate hai,

“Salafiyat haqiqat me Manhaj e Nabawi wa Manhaj e Sahaba ki itaat ka naam hai; kyuki wahi hamare salaf hai, aur ham se aage hai, chunanche unke naqsh e qadam par chalna hi “Salafiyat” kahlata hai.

Jabki “Salafiyat” ko koi insan apna khas manhaj bana kar is manhaj ki mukhalifat karne wale Musalmano ko gumraah karar de, chahe wo haq par hi kyu na ho, aur salafiyat ko Giroh-bandi wa firqah wariyat ka zarya banana, bila shubah ye amal salafiyat ke khilaf hai, kyuki salaf saliheen sab ke sab sunnat RasoolAllah ﷺ par ittefak (harmony) wa ittehad (unity) ke sath qayam rahne ki dawat dete aye hai, wo (salaf) samajh aur tashreeh (interpretation) ke ikhtilaf ke wajah se kisi ko gumraah nahi kahte the, ha albatta aaqaid ke bareme salaf saaliheen mukhalif raaye rakhne wale ko gumrah kahte the, jabki Fiqhi aur amali masaail me salaf saaliheen narmi baratte the.

Lekin hamare Is Daur me Kuch log jinhone salafiyyah ka rasta apnaya hai unlogo ne har us shaks ko gumraah kahna shuru kar diya jo unse ikhtilaf karta hai yaha tak ke agar wo shaks sahih ho, aur kuch logo ne Hibz ka rasta apnaya hai jis tarha se dusre groh (parties) ne apnaya tha jo apne ap ko Mazhab e Islam se hone ka dawah karte hai. Ye kuch aesa hai jo na-pasandida hai aur jiski manzuri nahi di ja sakti, aur unlogo se ye kahna chaiye ki Salaf as saaleh ke tarike ko dekho, wo kya kiya karte the? Un ke tarike ko dekho aur kaise wo khule dil ke the jab ikhtilaf ki surat aati thi jisme ijtihaad jaiyz hai (aur ikhtilaf kabile qubul hai). Woh bade masail me bhi Ikhtilaf karte the, eeman aur amal ke masail me. Ap ko kuch chize milengi, jaise, RasoolAllah ﷺ ka Allah ko dekhne par inkar karna jab ki dusro ne kaha ki unhone dekha hai. Apne kuch ko ye kahte hue dekha hoga ki qayamat ke din jo chiz tauli (weighted) jayegi wo hai aamaal jab ki dusre log kahte the ki wo to aamaal ki kitab hai jo tauli jayengi. Ap unhe dekhenge ki wo Fiqh ke muamlo me bhi kafi had tak ikhtilaf karte the, jaise Nikah, wirasat ka hissa, khareed aur farokhqt, aur dusre muamlo me. Lekin is ke bawujud unhone ek dusre ko gumraah nahi kaha.

Salafiyyah ek khas Jamaat ke taur par jiski alag khushusiyat ho jisme log in logo ke siwa sabko gumraah kahe, in logo ka salafiyyah se kuch bhi lena-dena nahi hai. Jaha tak ke salafiya jiska matlab salaf ki pairwi karna eeman me, kalimaat aur aamaal me, ittihad, mutabqat aur shafkat aur muhabbat ke taraf bulana jaisa ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Momin ke Misaal ek jism me Muhabbat, rahmat aur shafkat ki tarha hai; jab koi ek hisse me takleef hoti hai toh fir baaki hissa bhi us ke sath jaagta hai aur bukhar me shamil ho jata hai- YE ASAL SALAFIYYAH HAI."” End quote. 

Liqaa’aat al-Baab al-Maftooh, 3/246.

•٠•●●•٠•

source: Islamqa
Read More »

8 Oct 2018

6 Kalima Ki Haqeeqat


Alhamdulillah..

Hamare muashre me ye paaya jata hai ki har musalman ko 6 kalima yaad karna farz hai aur iski digar fazeelate bhi bayan hoti hai. Dar-haqeeeqat Islam me aesa koi ahkaam nahi bayan hua hai. Arabic me kalima ka matlab jumla hota hai, toh isi liye ye sirf 6 tak mahdood nahi hai. Kitab Allah aur ahadith e Rasool me hame lakho kalima milenge. Toh ye jo 6 kalime bataye jate hai usme pahle ke 3 kalime to bilkul usi alfaz ke sath sahih sanad ke sath sabit hai, chautha kalima alfaz ke thode farq ke sath sabit hai aur jo paanchwa aur chatha hai, ye ghadi hui (fabricated) hai, ye sabit nahi hai. Iski Daleel ye hai:

۞ Pahla Kalimah

Abdullah bin Umar r.a. ne kaha ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Islam ki buniyaad paanch (ruknon) par rakhi gayi hai: Iski gawaahi dena ke Allah ta'ala ke siwa koi ma'abood nahi aur Muhammad ﷺ uske bande aur uske Rasool hai, Namaz qayam karna, zakaat ada karna, Hajj karna aur Ramzaan ke roze rakhna.”

Sahih al Bukhari, Kitab al Eemaan, hadith-8. Sahih Muslim, Kitab al Eeman, hadith-93, 113.

۞ Dusra Kalimah

Uqbah bin Aamir ‌r.a. se riwayat hai, unhone kaha: “Hamare zimme oont charane ka kaam tha, meri baari aayi, to mai shaam ke waqt unko chara kar wapas laya to maine RasoolAllah ﷺ ko dekha, Aap khade ho kar logo ko kuch irshad farma rahe the, mujhe Aap ki yeh baat (sunne ko) mili ki, “Jo bhi Musalman achi tarah wuzu karta hai, fir khade ho kar puri yaksui aur tawajjah ke sath Do (2) rakat namaz padhta hai toh iske liye jannat wajib ho jati hai.”

Maine kaha: Kya khoob baat hai yeh! Toh mere samne ek kahne wala kahne laga: Isse pahle wali baat is se bhi zyada umdah hai. Jab maine dekha hai toh woh Umar ‌r.a. the, unhone kaha: Maine dekha hai ki tum abhi aaye ho, 

Aap ﷺ ne (Isse pahle) farmaya tha: Tum maise jo shakhs bhi wuzu kare aur apne wuzu ko pura kare (khoob acchi tarah wuzu kare) fir yeh kahe:

أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُ اللَّهِ وَرَسُولُهُ

"Mai gawahi deta hu ke Allah ke siwa koi Ma'abood nahi aur Muhammad ﷺ Allah ke bande aur uske Rasool hai", to uske liye jannat ke aanthon (8) darwaaze khol diye jate hai, jisse chahe dakhil ho jaye. "”

Sahih Muslim, Kitab at-taharah, hadees- 553.

۞ Teesra Kalimah

Ubada bin Samit r.a. riwayat karte hai ki Nabi ﷺ ne farmaya: “Jo shakhs raat ko bedar ho kar ye dua padhe:

لا إله إلا الله وحده لا شريك له،‌‌‌‏ له الملك،‌‌‌‏ وله الحمد،‌‌‌‏ وهو على كل شىء قدير‏.‏ الحمد لله،‌‌‌‏ وسبحان الله،‌‌‌‏ ولا إله إلا الله،‌‌‌‏ والله أكبر،‌‌‌‏ ولا حول ولا قوة إلا بالله‏

La ilaha ila Allah wahdahu la sharika lah, lahu al-mulk, wa lahu al-hamd, wa huwa ala kulli shay’in qadir. Alhamdulillah, Wa'SubhanAllah, Wa La ilaha illAllah, Wa'Allahu Akbar, La hawla wa la quwwata illa billah.

Allah ke siwa koi ma'abood nahi wo akela hai uska koi shareeq nahi, usi ke liye badshahi hai aur tamam tareefe bhi usi ke liye hain aur wo har cheez per qadir hai. Tamaam taareefe Allah hee ke liye hain, Allah ki zaat paak hai, Allah ke siwa koi ma'abood nahi, aur Allah sab se bada hai, Allah ki madad ke bagair na kisi ko gunahon se bachne ki taqat hai na neki karne ki himmat,

Aur fir ye padhe

"اللهم اغفر لي‏" [Allahummaghfirli] [Aye Allah! Meri magfirat farma]

Ya koi dua kare, toh uski dua qubool hoti hai. Fir agar usne wuzu kiya (aur namaz padhe) to namaz bhi maqbool hoti hai.

Sahih al Bukhari, Kitab al-Tahajjud, hadees- 1154; Sunan ibn Majah, Kitab ad-Dua, hadith-3878. Shaykh Zubair Ali Zai ne sahih karaar diya hai.

Note: Jo hamare muashre me teesra kalima mashhoor hai wo ye pura dua nahi hai balki is dua ka hissa hai.

۞ Chautha Kalimah

Abu Zarr r.a. riwayat karte hai ki Rasool Allah ﷺ ne farmaya: “Jo shakhs namaz e fajr ke baad jab ke wo pair mode (tashahhud ki halat me) baitha hua ho aur koi baat bhi na ki ho:

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

"Laa ilaaha ill-Allaah wahdahu laa shareeka lah, lahu’l-mulk wa lahu’l-hamd yuhyi wa yumeetu wa huwa ‘ala kulli shay’in qadeer" das (10) martaba padhen to iske liye das (10) nekiya likhi jayengi, aur iski das (10) buraiyyan mita di jayengi, iske liye das (10) darze buland kiye jayege aur wo is din, pure din har tarah ke makron wa na-panadidah cheez se mahfooz rahega, aur shaitan ke zair upar na aa pane ke liye is ki nigehbani ki jayegi, aur koi gunah ise is din siwaye Allah ke sath shirk ke halaqat se do-chaar na kar sakega.

Sunan Tirmizi, kitab al daawaat, hadith-3474. Ise Imam Tirmizi ne Hasan gareeb sahih aur Shaykh Zubair Ali Zai ne Hasan karaar diya hai.

•٠•●●•٠•

Allah hame sirat e mustakeem ata kare. aameen.
Read More »

7 Oct 2018

Farz Namaz Ki Iqamat Ke Waqt Muqtadi Ko Kab Khada Hona Chahiye


Alhamdulillah..

Is mauzu par ahadith me hame koi waazeh ahkaam nahi milti, isi liye ahle ilm me is par ikhitlaf hai. Mai wo nukhta bayan karta hu jis raaye par hamare aksar salaf ka amal raha hai.

Farz Namaz Ki Iqamat Ke Waqt Muqtadi Ko Kab Khada Hona Chahiye, is me Do (2) manzar ho sakta hai.

1. Imam e Masjid maujud na ho Iqamat ke waqt.
2. Imam apne musalle par pahle se maujud ho (aam haalat).

۞1. Imam e Masjid maujud na ho Iqamat ke waqt:

Agar Imam e Masjid maujud na ho Iqamat ke waqt aur iqamat shuru ho gai ho to is haalat me jab tak Imam masjid me namaz padhane ke liye na ajaye tab tak muqtadi apni jagah par baithe rahenge aur imam ke aane ka intzar karenge. Fir jab imam aajaye tab khade honge (Imam ko dekh kar).

Abdullah bin Abi Qatada r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Jab namaz ke liye iqamat kahi jaye toh us waqt tak na khade ho jab tak mujhe (hujre se nikalte hue) na dekhlo.

Sahih al Bukhari, Kitab al Aazaan, hadith-637.

۞2. Imam apne musalle par pahle se maujud ho (aam haalat):

Agar Imam apne musalle par pahle se hi maujud ho jaisa ki aam haalat me hota hai toh us waqt 'Qad iqamatis salaah' ke kahne par khade hona hai aur safe bhi iqamat muqammal hone ke baad sidhi karayi jayengi.

۩ Imam Tirmizi farmate hai, “Sahaba e karaam me ahle ilm ki ek jamaat ne logo ke khade hokar Imam ka intezaar karne ko makruh kaha hai, baaz kahte hai ki jab imam masjid me ho aur namaz khadi kar di jaaye toh wo log us waqt khade ho jab muazzin "Qad iqamatis salaah, Qad iqamatis salaah kahe, Ibn Mubarak (Tabe-Tabaeen) ka yahi qawl hai.”

Jamia at Tirmizi, book of traveling, hadith-592.

۩ Imam Ahmad ibn Hambal (Tabe-tabaeen) farmate hai, “Agar Imam Masjid me ho to log us waqt khade ho jab woh (iqamat kahne wala) "Qad iqamatis salaah" kahe. Imam Ishaq bin Rahwayh (tabe-tabaeen) ne is ki mukammal ta'eed farmayi hai.”

Masail Ahmad wa Ishaq, rawayatu Ishaq bin Mansoor Al-kosaj, 1/127-128, sentence-179.

[Shaykh Zubair Ali Zai ne bhi isi raaye ko pasand kiya hai. Unhone mazeed aur daleele bhi jama ki hai. Unke mazmoon ko is link ke zarye padhe - http://www.iqrakitab.com/p/namaz-ki-iqamat-ke-waqt-kab-khada-hona.html]

•٠•●●•٠•

Allah hame haq ko qubul kar ke us par chalne ki taufeek ata kare. aameen.
Read More »