اقرأ باسم ربك الذي خلق

21 May 2019

Ramzan me Ghusl e Janabat ko Tulu e Fajr Tak Muakkhar Karna

en    ur  -
  Sawal  

Mujhe ek martaba sehri se qabl ehtelam ho gaya aur mai ghusl na kar saka. Kyunke mai ghusal karne se bahut zyada sharma raha tha isliye ke mere waledain ko ilm ho jayega ke mujhe ehtelaam hua hai toh is liye maine ghusl kare bagair sehri khayi,aur afsos hai ke is din maine Fajr ki namaz bhi nahi padhi, lekin baad me maine ghusl karne ke baad fajr ki namaz padh li.

Mai yeh janna chahta hu ke kya mera ye roza maqbool hai, kyunke mera khayal hai ke maine (ehtelaam se) janabat ki haalat me sehri kha kar galti ki hai toh kya mera roza maqbool hai?

  Jawab  

Alhamdulillah..

Jis ne apni biwi se raat me jama (intercourse) kiya aur subah tak janabat ki haalat me hi raha uska roza sahih hai, aur is‬ tarha use raat ya din ko sote hue janabat la-haq ho gayi toh uska bhi roza sahih hai aur is par koi harj nahi ke woh tulu fajr tak ghusl ko muakkhar kar de.

Roza toh us waqt tut ta hai jab din me tulu e fajr se lekar gurub e aftab ke dauran jama kiya jaye.

Fataawa al Lajnah al Daa’imah, 10/327.

Lekin ap ka namaz ko tulu e aftab tak taakheer karna jayz nahin hai, balke wajib toh ye hai ke namaz ki adaigi us ke waqt me hi ki jaye, lihaza aise fel se tawba wa istagfar karna ap ke zimma hai.

Allah taala se dua hai ke woh ap ko har kism ki bhalai karne ki taufeeq ata farmaye. Aameeen ya rabbul aalameen.

Wa Allahu aalam.

•٠•●●•٠•

source: islamqa.info
Read More »

20 May 2019

Rozedaar ki Dua

   en   -
Alhamdulillah..

Allah ﷻ rozedaar ki dua radd nahi karta. Rozedaar ko do (2) muqam par dua karni chahiye:

۩ Jab wo roze ki haalat me ho
۩ Jab wo roza khole

۞ Roze ki Halat me Dua

Abu Hurairah r.a. bayan karte hai ke ham ne Rasool ﷺ ko arz kiya,

Aye Allah ke Nabi jab ham Aap ko dekhte hai toh hamare dil naram ho jate hai, aur un me riqqat paida ho jaati hai, aur ham ahle aakhirat me se ho jate hai, aur jab ham aap se juda hote hai toh hame duniya achhi lagne lagti hai, aur ham apni aurton aur bachon me mashgool ho jate hai.

Toh Rasool ﷺ ne farmaya, 'Agar tum har haal me isi haalat par raho jo tumhari haalat mere paas hoti hai toh tumahre sath farishte musafah kare, aur tumhare gharo me tumhari ziyarat kare, aur agar tum gunah nah karo toh Allah tala aisi qaum le aayega jo gunah karenge taakeh woh inhe bakhsh de.'

Toh ham ne arz kiya, Aye Allah ke Rasool hame jannat ke mutalliq bataiye ke is ki imarate kaisi hai?

Toh Rasool ﷺ ne farmaya,

'Is ki ek eent sone aur ek chandi ki hai, aur uska gaara (mortar) tez khusbhu wali kasturi ka hai, aur is me jo kankadiya bichai gai hai woh moti aur yaqoot (ruby) ki hai, aur is ki mitti zafran ki hai, jo bhi jannat me daakhil hoga woh nemato me hoga aur use koi taqleef nahi aayegi, woh hamesha rahega, aur use kabhi maut nahi aayegi, aur uska libaas kabhi purana nahi hoga, aur na hi us ki jawani khatam hogi, teen shakhs aise hai jin ki Allah taala Dua radd nahi karta, ek nek o adil imam o hukamran, aur roza daar hatta ki iftari karle, aur mazloom ki dua ko upar uthaya jata hai hatta ke us ke liye aasman ke darwaze khol diye jate hai, aur Allah azzwajal farmata hai: 'Mujhe meri izzat ki qasam, mai tumhari zarur madad karunga chahe kuch der baad hi karu.'

Musnad Ahmad, hadees- 8030. Ise Shaykh Shuaib Arnot ne saheeh karaar diya hai.

۞ Roze Kholne par Dua

RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Teen log hai jin ki dua radd nahi hoti, ek rozadaar ki, jab wo roza khole, (dusra) adil imam (just leader), ( teesra ) mazloom, is ki Dua Allah badal se upar tak pahunchata hai, is ke liye aasman ke darwaze khol diye jate hai, aur Rab kahta hai, Meri izzat (qudrat) ki qasam! mai teri madad zarur karunga, bhale kuch waqt ke baad hi kyu nah ho.”

Jamia Tirmizi, kitab ad dua ﴾48﴿, hadees- 3598. Ise Imam Tirmizi aur Darussalaam ne Hasan karaar diya hai.

Allah se dua hai ki wo hamare rozo ko qubul kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Related:

Read More »

18 May 2019

Ramzan ke Teen Ashre Aur Ek Neki Par 70 Neki | Hadees ki Tahkeek

hi     

  Sawal  

Niche di gai hadees jo ke Salman Farsi r.a. se marwi hai, is ki sahet kaisi hai?

Nabi ﷺ ne hame shabaan ke aakhri din khutba irshad farmaya, jis me yeh farmaya, 'Logo tum par azmat aur barkat wala maheena nazdeek aa raha hai, aisa maheena jis me ek raat aisi hai jo hazaar maheeno se behtar hai, is ke roze Allah taala ne farz karaar diye hai aur is ki raat ka qiyam nawafil hai, jis ne bhi is mahine me (koi) neki ki woh aise hai jis tarha aam dino me fareeza ada kiya jaaye, aur jis ne Ramzan me farz ada kiya goya ke usne Ramzan ke ilawa sattar farz ada kiye, yeh aisa maheena hai jis ka awwal rahmat aur darmiyan magfirat aur aakhri hissa jahannam se aazaadi hai.'

  Jawab  

Alhamdulillah..

Is hadees ko Imam ibn Khuzaima ne apni kitab 'Saheeh ibn Khuzaima 3/191, hadees- 1887' me naqal kiya hai. Aur unhone sath me likha hai, 'Agar ye riwayat sahih hai'.

Aur jinhone is kitab se apni kitab me is hadees ko naqal kiya, un maise kuch kitabo ke musannif jaise Munziri [al Targheeb wal Tarheeb (2/95)] se 'Agar' alfaz chhut gaya tha. Toh unko laga ki Imam ibn Khuzaima ne farmaya hai ki 'Ye riwayat sahih hai', jab ki asal me unhone aesa kuch nahi farmaya.

Ye riwayat dusri kitabo me bhi maujud hai jinke ye naam hai:

• Imam Bayhaqi ki Shu’ab al-Eemaan (7/216)
• Fazail al-Awqaat, p. 146, no. 37
• Abu’l-Shaykh Ibn Hibbaan ne Kitaab al Sawaab me
• Saa’aati ne Fath al-Rabbaani me (9/233) 
• Imam Suyuti ne Durr al-Mansoor me, aur unhone kaha ki ise Aqeeli ne riwayat kiya hai aur unhone is zaif karaar diya hai
• Isbahaani ne al-Targheeb me
• Al-Munaqqi ne Kanz al Ummaal (8/477) me.

In saare logo ne Saeed ibn Musayyib se riwayat kiya hai jinhone Salman Farsi se riwayat kiya hai. Iski sanad do (2) wajah se zaif hai:

1. Is ki sanad me inqita (break in the chain of narrators) hai kyuke Saeed bin Musayyab ka Salman Farsi r.a. se samaa sabit nahi hai.

2. Iski sanad me ek raawi hai jiska naam 'Ali ibn Zayd ibn Jad’aan' hai, jiske bareme Ibn Sa'd kahte hai, 'Is (raawi) me kamzori hai aur is raawi ko daleel nahi banaya ja sakta.' Is raawi ko Imam Ahmad, Ibn Ma’een, Imam Nasaa’i, Imam ibn Khuzaymah, al Jawzjaani aur dusro ne zaif karaar diya hai, jaisa ki Siyar A’laam al-Nubala’, 5/207 me kaha gaya hai.

Abu Haatim al-Raazi ne is hadees ko Munkar (zaif ki ek qism) karaar diya hai. Al Ayni ne Umdat al-Qaari’, 9/20 me bhi yahi kaha hai aur Al-Albani ne Silsilat al-Ahaadeeth al-Zaifah wa’l-Mawzu’ah, jild. 2/262, hadees- 871. me bhi yahi kaha hai.

Toh in daleelo se wazeh hua ki hamare Muhaddiseeno ne is hadees ko qubul nahi kiya aur Allah behtar janta hai.

Ek baat ki wazahat aur zaruri hai ki jaisa is zaif hadees me kaha gaya hai ki 10 din (ek ashra) rahmat ka hota hai, dusra ashra magfirat ka aur teesra jahannam ki aag se najaat ka. Jab ki dusre sahih hadees se pata chalta hai ki Ramzan ki taqseem is tarha se nahi hai balki pura Ramzan, pura maheena rahmat ka hai, pura maheena magfirat ka hai aur pura maheena hi jahannam se najaat ka hai.

Allah se dua hai ki wo hamari maah e Ramzan ki ibadat ko qubul kare aur is maheene ki barkat se hamari magfirat kar de. aameen.

•٠•●●•٠•

Read More »

17 May 2019

Ek Aasan Azkaar ka Gair-Mamuli Sawaab


Ek baar RasoolAllah ﷺ Umm Hani bint abi talib r.a. (Ali r.a. ki badi bahen) ke paas tashreef laaye toh inhone RasoolAllah se arz kiya,

'Aye Allah ke Rasool, mai budhi ho chuki hu, mujhe aesa wazifa bata de ki mai baith kar padh lu aur mujhe bahut zyada sawab mil jaye'.

Is par Aap ﷺ ne farmaya, 'Tum din bhar me 100 martaba 'SubhanAllah' padh liya karo, ye is tarha hoga ki goya tumne 100 gulaam Allah ki raah me aazaad kar diye.

100 martaba 'Alhamdulillah' padh liya karo, goya tumne 100 ghode Allah ki raah me Jihad ke liye rawana kar diye.

100 martaba 'Allahu akbar' padh liya karo, goya tumne 100 oont (camel) Allah ki raah me qurban kar diye.

100 martaba 'La ilaha illallah' padh liya karo, goya ke tumne zameen aur aasman ke darmiyan muqammal kar diya (yaani zameen aur aasman sawab se bhar diya).'

Sunan Nasai al Kubra, hadees- 10680. (Sahih) (mafhum e hadees)

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeek ata kare.
Read More »

Sone aur Chandi Par Zakat


Sona, chandi aur rupye (currency) pe zakat farz hone ki 3 (teen) sharte hai:

Maal Nisaab ko Pahunchta ho.
Ek qamri (lunar) saal is maal pe guzar jaaye.
 Maal zakat dene wali ki malkiyat (possession) me ho.

Agar in maise koi ek shart bhi puri na hui toh us par zakat farz nahi hogi.

۞ Sone Par Zakat

۩ Nisaab

Sone ka nisaab 85 gram ya 7.5 Tola sona hai. [20 mithqaalan] (1 mithqaal = 4.25 grams).

۩ Sone Par Zakat Kaise Ada Kare?

Jitne sone ki ap malik hai, agar wo nisaab se zyada hai aur us par 1 qamri saal guzar chuka hai toh apko uska 2.5% dena hai.

Keemat is tarha taye kare ki sona kitni keemat par ap bazaar me bech sakti hai, agar ap ise bechna chahe.

Misaal ke taur par, agar apke pas jo sona hai, wo bazar me 100000 rupye ka bikega, toh apko iska 2.5% yaani 2500 rupye zakat ke taur par ada karna hoga.

۩ Tola Aur Gram Me Fark

1 tola ka 11.663815 gram hota hai. Agar apko apne sone ke tole ko gram me badalna hai to yaha click kar ke ap dekh sakte hai ki apka total sona kitne gram ka hai.

•●•٠

۞ Chandi Par Zakat

۩ Nisaab

Chandi ki nisaab 595 gram ya 52.5 Tola hai. (1 dirham = 2.975 gram).

۩ Chandi Par Zakat Kaise Ada Kare?

Jitne chandi ki ap malik hai, agar wo nisaab se zyada hai aur us par 1 qamri saal guzar chuka hai toh apko uska 2.5% dena hai.

Keemat is tarha taye kare ki chandi kitni keemat par ap bazaar me bech sakte hai, agar ap ise bechna chahe.

Misaal ke taur par, agar apke pas jo chandi hai, wo bazar me 100000 rupye ka bikega,, toh apko iska 2.5% yaani 2500 rupye zakat ke taur par ada karna hoga.

•٠•●

 Iske mutallik ek sawal 

Khadija ki shadi 6 maheene pahle hui. Use Shadi me 10 Tola (113.4 grams) sona or 60000 qeemat ki chandi mili? Khadija ko kitni zakat deni hogi?

 Jawab: 

Khadija par zakat farz nahi hui kyuki uske sone aur chandi par abhi ek saal nahi guzra hai.

•٠•●●•٠•

Related:


Hame Whats App par join karein: +9779868212118
Read More »

16 May 2019

Namaz Padha kar Imam ko Muqtadiyo ki Taraf Munh Ferna Chahiye


۩ Samrah bin Jundub r.a. se riwayat hai, wo kahte hai: ‘Jab RasoolAllah ﷺ namaz padh chukte toh hamari taraf mutawajje hote.’

Sahih al Bukhari, kitab al Azan ﴾10﴿, hadees- 845. Sahih Muslim, kitab al Ru’yaa, hadees- 2275. 

۩ Anas r.a. riwayat karte hai ke maine RasoolAllah ﷺ ko aksar apni daahini taraf se mudte hue dekha hai.

Sahih Muslim, kitab salatul musafireen, hadees- 708.

۩ Abdullah bin Masood r.a. kahte hai tum apni namaz me se sirf daei’n taraf se fir kar shaitan ka hissa muqarrar na karo. Maine RasoolAllah ﷺ  ko dekha hai ke wo apne baei'n taraf se bhi ferte the. 

Sahih al Bukhari, kitab al Azan ﴾10﴿, hadees- 852. Sahih Muslim, kitab salatul musafireen, hadees- 708.

Malum hua ke Imam ko muqtadiyo ke taraf mudne ke liye sirf ek taraf muqarrar nahi kar leni chahiye. Balke kabhi daei’n taraf se fera kare kabhi baei’n taraf se magar aksar daei’n taraf se mudhna chahiye.

۩ Ayesha r.a. riwayat karti hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya, ‘Beshak Allah Ta’ala aur uske farishte daie’n taraf wali safo par rahmat bhejte hain.’

Sunan Abu Dawood, kitab al salaat ﴾2﴿, hadees- 676. (Hasan)

۩ Bara r.a. se riwayat hai ke ham RasoolAllah ﷺ ke piche namaz padhte toh ham Aap ke daie’n taraf khade hone ko pasand
karte the, taake Aap hamari taraf mu’n karke baithe.

Sahih Muslim, kitab salatul musafireen, hadees- 709. 

۩ Umme Salma r.a. se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ jab salam ferte toh aurate salam ferte hi khadi ho kar chali jati aur Aap Sahaba ke sath thodi der baithe rahte fir RasoolAllah ﷺ khade hote aur Sahaba e karaam bhi aap ke sath khade ho jaate aur Aap ke uthne se pahle aurate gharo me dakhil ho chuki hoti thi.

Sahih al Bukhari, kitab al Azan ﴾10﴿, hadees- 837, 850.

•٠•●●•٠•
Read More »