اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Jul 2020

Yaum e Arafah | Salaf

ur   -
۩ Abdullah ibn Mubarak r.h. kahte hai,

'Mai Yaum e Arafa ke din Sufiyan sauri r.h. ke kamre me dakhil hua jab woh ghutno par jhuke hue the aur aansu baha rahe the toh woh meri janib mude aur mai ne un se kaha:

'Kya Ap jaante hai aj ke din khasara me kaun hai?'

Unhone jawab diya,

“Woh jo ye sochta hai ke Allah use muaf nahi karega.”

Al Taif al Maraj ibn jawzi, safa- 310.

•٠•●●•٠•

Aye Allah hame muaf farma, sirf Ap hi hame behisaab muafi ata kar sakte hai. aameen.
Read More »

20 Jul 2020

Kya Aurat Qurbani ka Jaanwar Zabah Kar Sakti Hai?


Alhamdulillah..

Daur e Nabawi se lekar aaj tak, ummat ka aam amal yahi hai ki Qurbani ke jaanwar ko mard zabah karte aaye hai, lekin hamare zahen me ye sawal aa sakta hai ki kya ek aurat jaanwar zabah kar sakti hai. Aaiye is sawal ke jawab par roshni daalte hai.

Ulema e Islam is baat par mutaffiq (agree) hai. Quran aur Sunnat ke alfaz me aam istehlat istemal hone ki wajah se Aurat ke zariye zabah kiya gaya Gosht khana jaiz hai.

۩ Irshaad e baari ta'ala hai,

'Tumhare liye haraam kiya gaya hai murda jaanwar aur khoon aur suwar ka gosht aur jis par Allah ke siwa kisi aur ka naam liya gaya ho. 

Surah Maida (5), ayat- 3.

۞ Ka'b bin Malik r.a. riwayat karte hai,

'Ek aurat ne ek bhed (sheep) ko ek patthar se zabah kar diya aur fir Rasoolullah ﷺ se iske baare me pucha gaya aur unhone is (zabah kiye hue bhed) ko khane ki ijazat de.'

Sahih al bukhari, kitab al zabah wal sayid (72), hadees- 5504.

Is hadees se yeh wazeh (clear) ho jata hai ke aam istehlat istemal hone ki wajah se aurat jaanwaro ko zabah kar sakti hai fir wo Qurbani ka gosht ho ya bakaida khane (regular food) ke liye zabah kiya jaane wala.

۩ Ibn e Hajar r.h. ne is hadees par tabsera karte hue kaha,

“Isse ye zahir hota hai ke Aurat ke zarye zabah shuda gosht khane ki ijazat hai, khwah wo aazad ho ya gulam, budhi ya jawan, musalman ho ya ahle kitab (Yahoodi ya Isaayi), pakeezgi ki halat me ya kisi aur tarah se,
Kyu ke Nabi ﷺ ne inhe bataya ke wo gosht khaye jo unhone zabah kiya tha aur iske baare me mazeed tafseel talab nahi ki.”

۩ Shaykh ibn Taymiyya r.h. kahte hai,

'Kisi aese Jaanwar ko khane ki ijazat hai jisko mard ya Aurat marne se pahle hi Islamic taur par zabah karte hai. Ya Aurat ke zarye zabah kiya jaane wala gosht, chahe wo haiz (periods) ki halat me hi kyu na ho, kyu ke ye haiz ki halat uske hath me nahi hai.
Agar koi aurat kisi janwar ko islami tareeke par zabah karti hai, us jaanwar ke marne se pahle, toh us jaanwar ke gosht ko khane ki ijazat hai, Muslamano ke Ijma ke mutabik.'

Al Fataawa, 35/234.

Isliye Khulasa e Tahreer yahi hai ke 'Aurat ke zariye Islami taur par zabah kiya jane wala gosht jaiz hai.'

Wallahu aalam.

 Prepared by: A. Sayed

•٠•●●•٠•

Qurbani aur Zul Hijjah ke mutallik dusre articles padhe: https://www.iqrakitab.com/p/qurbani-se-mutallik-articles.html
Read More »

12 Jul 2020

Bairi ke Patto se Jinn/Jadu ka Ilaj

hi   

Sabz (green) bair ke 7 patte (leaf) le kar do pathharo ke darmiyan usko koota jaaye aur fir kute hue patte me itna pani mila liya jaaye jo nahane ke liye kafi ho, fir ye ayaat padhkar pani par dam kare:

(In ayaat ko auzubillahi minashaitan nir rajeem padh kar padha jayega)

۩ Ayat al Kursi (Surah baqarah, 255):

اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ لاَ تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلاَ نَوْمٌ لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلاَ يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِهِ إِلاَّ بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاوَاتِ وَالأَرْضَ وَلاَ يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ-

۩ Surah Aaraf, ayat- 117 se 122:

وَأَوْحَيْنَآ إِلَىٰ مُوسَىٰٓ أَنْ أَلْقِ عَصَاكَ ۖ فَإِذَا هِىَ تَلْقَفُ مَا يَأْفِكُونَ - فَوَقَعَ ٱلْحَقُّ وَبَطَلَ مَا كَانُوا۟ يَعْمَلُونَ - فَغُلِبُوا۟ هُنَالِكَ وَٱنقَلَبُوا۟ صَـٰغِرِينَ - وَأُلْقِىَ ٱلسَّحَرَةُ سَـٰجِدِينَ - قَالُوٓا۟ ءَامَنَّا بِرَبِّ ٱلْعَـٰلَمِينَ - رَبِّ مُوسَىٰ وَهَـٰرُونَ -

۩ Surah Yunus, ayat no- 79 se 82:

وَقَالَ فِرْعَوْنُ ٱئْتُونِى بِكُلِّ سَـٰحِرٍ عَلِيمٍۢ - فَلَمَّا جَآءَ ٱلسَّحَرَةُ قَالَ لَهُم مُّوسَىٰٓ أَلْقُوا۟ مَآ أَنتُم مُّلْقُونَ - فَلَمَّآ أَلْقَوْا۟ قَالَ مُوسَىٰ مَا جِئْتُم بِهِ ٱلسِّحْرُ ۖ إِنَّ ٱللَّهَ سَيُبْطِلُهُۥٓ ۖ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُصْلِحُ عَمَلَ ٱلْمُفْسِدِينَ - وَيُحِقُّ ٱللَّهُ ٱلْحَقَّ بِكَلِمَـٰتِهِۦ وَلَوْ كَرِهَ ٱلْمُجْرِمُونَ -

۩ Surah Taha, ayat no- 65 se 70:

قَالُوا۟ يَـٰمُوسَىٰٓ إِمَّآ أَن تُلْقِىَ وَإِمَّآ أَن نَّكُونَ أَوَّلَ مَنْ أَلْقَىٰ - قَالَ بَلْ أَلْقُوا۟ ۖ فَإِذَا حِبَالُهُمْ وَعِصِيُّهُمْ يُخَيَّلُ إِلَيْهِ مِن سِحْرِهِمْ أَنَّهَا تَسْعَىٰ - فَأَوْجَسَ فِى نَفْسِهِۦ خِيفَةًۭ مُّوسَىٰ - قُلْنَا لَا تَخَفْ إِنَّكَ أَنتَ ٱلْأَعْلَىٰ - وَأَلْقِ مَا فِى يَمِينِكَ تَلْقَفْ مَا صَنَعُوٓا۟ ۖ إِنَّمَا صَنَعُوا۟ كَيْدُ سَـٰحِرٍۢ ۖ وَلَا يُفْلِحُ ٱلسَّاحِرُ حَيْثُ أَتَىٰ - فَأُلْقِىَ ٱلسَّحَرَةُ سُجَّدًۭا قَالُوٓا۟ ءَامَنَّا بِرَبِّ هَـٰرُونَ وَمُوسَىٰ -

۩ Chaar Kul (Surah Kafiroon, Surah Ikhlas, Surah Falaq, Surah Naas,):

 قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ- لَا أَعْبُدُ مَا تَعْبُدُونَ - وَلَا أَنْتُمْ عَابِدُونَ مَا أَعْبُدُ-   وَلَا أَنَا عَابِدٌ مَا عَبَدْتُمْ- وَلَا أَنْتُمْ عَابِدُونَ مَا أَعْبُدُ- لَكُمْ دِينُكُمْ وَلِيَ دِينِ-

 قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ-  اللَّهُ الصَّمَدُ- لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ- وَلَمْ يَكُنْ لَهُ كُفُوًا أَحَدٌ-

قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ-  مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ- وَمِنْ شَرِّ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ- وَمِنْ شَرِّ النَّفَّاثَاتِ فِي الْعُقَدِ- وَمِنْ شَرِّ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ-

 قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ النَّاسِ- مَلِكِ النَّاسِ-  إِلَٰهِ النَّاسِ-  مِنْ شَرِّ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ-  الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ النَّاسِ- مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ-

Ye aayat padh kar bairi ke patte waale pani par dam kare aur teen (3) ghoont pani pee lein aur baaki pani se nahaa lein in shaa Allah faida hoga.

Ye amal 2 ya 3 martaba dohra lene me koi harj nahi yaha tak ke marz khatam ho jaye. Ye tareeqa shauhar-biwi me ikhtilaf door karne ka ilaj bhi hai, Musannaf Abdul Razzaq me ye milta hai.

source: Ye ilaj ka tarika Ustaza Farhat Hashmi ki taqreer se liya gaya hai. Is taqreer ko ap is link se sun sakte hai.

•٠•●●•٠•

Prepared by: A. Sayed

Hame apni keemti duao me yaad rakhein. jazakAllah khair.
Read More »

5 Jul 2020

Nange Badan Wuzu Karne ka Hukm

ur   en  
 Sawal 

Ghutne se lekar naaf tak mard ka satar hai, chunanche nange badan ya fir nekar (shorts) pahan kar wuzu karne ka hukm kya hai?

 Jawab 

Alhmdulillah..

Unka wuzu sahih hai, kyunki satar ka nanga hona, ya nekar pahenne se wuzu nahi tut ti, Lekin biwi ya mamluka laundi jis ke sath hambistari kar sakte hai ke ilawa kisi aur ke saamne nanga hona haraam hai.

source: Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 5/235.

•٠•●●•٠•
Read More »

30 May 2020

Baalo Pe Mehndi Laga kar Sar ka Masah Karna


Shaykh ibn Uthaymeen se sawaal kiya gaya,

'Agar aurat ne apne sar par mehndi ka lep kar rakha ho (mehndi laga rakha ho), toh kya wo us par masah kar sakti hai?'

 Jawab 

'Jab aurat sar par mehndi wagaira lagaye toh woh is par masah karegi aur is mehndi ko utaarne ki koi zarurat nahi, Nabi ﷺ se saabit hai ke Aap ne ahram ki haalat me baalo par kisi chiz ka lep laga rakha tha, chunanche sar par jo lagaya jaaye woh sar ke baal ka hissa ban jata hai, yeh is baat ki daleel hai ke sar ki taharat me sahoolat hai.'

Fataawa al-Mar’ah al-Muslimah, 1/28.

•٠•●●•٠•
Read More »

29 May 2020

Jism me Tel Lagane se Wuzu Par Asar


Shaykh ibn Uthaymeen r.h. kahte hai,

“Jab insaan ki wuzu ki jagah par koi cream ya tel istemaal kare ya toh is ki chiknayi jami hogi jo jild (khaal) par baaki rahegi aur nazar aayegi toh us waqt wuzu karne se pahle use utaarna zaruri hai, kyunki agar yeh aesi haalat me rahi toh khaal tak pani pahonchne me rukawat hogi, toh is tarha wuzu sahih nahi hoga.

Lekin agar tel wagaira jami hui (halat me) na ho balki sirf iske nishani baaki ho wuzu kiye jaane waale hisse par, fir is se koi farq nahi padta.

Lekin is haalat me usko wuzu karte waqt apna haath us hisse par ferna chahiye kyuki aam taur par chiknaayi se paani fisal jaati hai, aur ho sakta hai ki paani saare jism ko na lagi ho.”

Fataawa al-Tahaarah, p. 147.

•٠•●●•٠•
Read More »

27 May 2020

Kya Aurat (Pahle) Shawwal ke 6 Roze Rakhe Ya Qaza Ramzan Se Shuru Kare?

ur   -
Alhamdulillah..

Jab Aap hadees me warid shuda ajar wa sawaab hasil karna chahti ho jo ke niche di gai hadees me hai:

“Jis ne Ramzan ke roze rakhne ke baad shawwal ke 6 roze rakhe toh ye aesa hai jaise pure saal ke roze ho.”

Sahih Muslim, kitab al sawm ﴾13﴿, hadees- 2758.

Is liye aurat ko chahiye ke wo pahle Ramzan ul mubarak ke roze mukammal kare aur fir shawaal ke chay (6) roze rakhe taa ke hadees ke mutabik amal ho sake aur se mazkoorah ajar wa sawaab haasil ho.

Lekin agar woh pahle shawaal ke che roze rakhe aur ramzan ki qaza ko moakhhar (delay) kar de toh bhi jaiz hai lekin Ramzan ki qaza aane waale Ramzan se pahle pahle muqammal karna zaruri hai.

source: islamqa.info

•٠•●●•٠•

Read More »