Abu Jahal ka asal naam 'Amr ibn Hisham' tha. Ise aam taur par Abu Hakam (father of wisdom) kaha jaata tha. Lekin isne khud apne amal se Abu Jahal (father of ignorance) ka laqab kama liya. Ye mushrikeen e Mecca me se tha aur Rasoolullah ke Deen ke sakht khilaf tha. Ye Islam ke dushmano me se tha. Aaiye dekhte hai iska katl kaise hua:
۩ Abdur Rahman bin Auf r.a. riwayat karte hai,
'Badr ki ladayi me, mai saff ke sath khada hua tha. Maine jo daayen baayen jaanib dekha, toh mere dono taraf qabeela e Ansaar ke do nau umar ladke the. Mai ne arzoo ki Kaash! mai un se zabardast zyada umar waalo ke beech me hota.
Ek ne meri taraf ishara kiya, aur poocha chacha! Aap Abu Jahal ko bhi pahchante hai? Maine kaha ke haan! lekin bete tum logo ko is se kya kaam hai? Ladke ne jawab diya mujhe maloom hua hai ke woh Rasoolullah ﷺ ko gaaliyan deta hai, Us zaat ki qasam! jis ke haath me meri jaan hai agar mujhe woh mil gaya to us waqt tak mai is se juda na honga jab tak ham me se koi jis ki qismat me pahle marna hoga, mar na jaaye, mujhe is par badi hairat hui.
Phir dusre ne ishara kiya aur wohi baate us ne bhi kahi. Abhi chand minute hi guzre the ke mujhe Abu Jahal dikhayi diya jo logon me (kuffar ke lashkar me) ghoomta fir raha tha. Mai ne un ladko se kaha ke jis ke mutalliq tum log mujh se puch rahe the, woh saamne (firta huwa nazar aa raha) hai.
Dono ne apni talware sambhali aur us par jhapat pade aur hamla kar ke use katl kar daala. Us ke baad Rasool ﷺ ki khidmat me haazir ho kar Aap ko khabar di, Aap ﷺ ne poocha ke tum dono me se kis ne use maara hai? Dono naujawano ne kaha ke mai ne katl kiya hai. Is liye Aap ne un se poocha ke kya apni talwarein tum ne saaf kar li hai? Unhone arz kya ke nahi.
Fir Aap ne dono talwaro ko dekha aur farmaya ke tum dono hi ne use maara hai. aur is ka samaan Muaz bin Amr bin Jamuh ko milega. Wo dono naujawaan Muaz bin Afra aur Muaz bin Amr bin Jamuh the.'
Sahih al Bukhari, kitab al Farz al Khumus (57), hadees- 3141.
•٠•●●•٠•