اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Jan 2019

Deen Ki Baate Batane Ke Liye Certificate Ki Zarurat Nahi Hoti

hi  -
Sawal- Asslaam alaikum warahmatullah Shaykh. Kya Deen batane ya sikhane ke liye kisi madarse ya university ke certificate ka hona zaruri hai? Bara e maherbani jawab irshad farma dijiye. Allah apke ilm me izafa kare.

Alhamdulillah..

Quran e hakeem me hame kahi bhi ye nahi milta ki Deen ki baate batane ya sikhane ke liye apko kisi madarse ya university ki certificate ka hona zaruri hai. Balki Allah farmate hai,

۩ Aur usse behtar kiski baat hai jo logo ko Allah ke taraf bulata hai, nek kaam karta hai aur kahta hai ki mai Musalmano maise hu.

Surah Fussilat ﴾41﴿, ayat- 33.

۩ Tum behtareen Ummat ho jo logon ke liye paida kiye gaye ho. Tum nek baaton ka hukm dete ho aur buri baaton se rokte ho aur Allah Taalaa par eemaan rakhte ho.

Surah Aal e Imran ﴾3﴿, ayat- 110.

In ayato me Allah ne puri ummat ko  ek aam ijazat di hai ki wo logo ko Deen ke taraf dawat dein. Ab aiye dekhte hai ki hamare Rasool ﷺ ne hame is baare me kya baate batayi hai.

۩ حَدَّثَنَا أَبُو عَاصِمٍ الضَّحَّاكُ بْنُ مَخْلَدٍ، أَخْبَرَنَا الأَوْزَاعِيُّ، حَدَّثَنَا حَسَّانُ بْنُ عَطِيَّةَ، عَنْ أَبِي كَبْشَةَ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏"بَلِّغُوا عَنِّي وَلَوْ آيَةً، وَحَدِّثُوا عَنْ بَنِي إِسْرَائِيلَ وَلاَ حَرَجَ، وَمَنْ كَذَبَ عَلَىَّ مُتَعَمِّدًا فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ"-

۩ Abd-Allaah ibn Amr r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Pohcha do meri taraf se wo kyu na ek ayat hi ho, aur Bani Israail ke waaqyaat tum bayan kar sakte ho, isme koi harj nahi aur jis ne mujh par jaanbuj kar jhut bandha to use apne jahannam ke thikane ke liye tayar rahna chahiye."

Sahih al Bukhaari, Kitab ahadees anNabi ﴾60﴿, hadith-3461.

Ye hamare Rasool ﷺ ka ek saada (simple) sa hukm hai ki agar hame ek ayat bhi aati hai to ham use dusro tak pohchaye. Rasool ne yaha par na to kisi degree ka zikr kiya aur na hi kisi madarse ya university ka. Ab aiye dekhte hai ki hamare ahle ilm is mauzu par hame kya naseehate karte hai.

۩ Imam Ibn Hajar Asqalani, Fath al Baari me likhte hai:

“Is hadees me '(Pohcha do meri taraf se) chahe wo ek ayat hi kyun na ho' se murad ye hai ke har shaks jisne jo bhi baat unse (Rasool se) suni ho, chahe kitni hi thodi ho, wo logo tak pohchane ki jaldi koshish kare, is tarah se har cheez jo RasoolAllah ﷺ lekar aaye the, wo logo tak pahunch jayegi.” End quote.

Fath ul Bari by Imam ibn Hajar, Kitab ahadees anNabi ﴾60﴿, hadith-3461.

۩ Shaykh ibn Uthaymeen r.h. kahte hai:

“Jab ek shaks us chiz ki samajh rakhta hai jis ke taraf wo logo ko bula raha hai to isse koi fark nahi padta ke wo bada ya mashhoor aalim ho ya Deen ka sachha taalib e ilm ho ya ek aam sa aadmi ho jise kuch ilm ho us masle me jo sawal pucha ja raha hai.
RasoolAllah ﷺ ne farmaya hai, "Pohcha do meri taraf se wo kyu na ek ayat hi ho", aur unhone ne ye shart nahi rakhi ke us daaiyah (logo ko deen ki taraf bulane wale) ko Ilm ke aala darjeh par faiz hona chahiye, bas zaroori hai ke use us baat ka ilm ho jiski taraf wo bula raha hai. Lekin apne la-ilmi aur apne jazbaat ke bina par logo ko (deen ki taraf) bulane ki ijazat nahi hai.” End quote.

Fataawa ‘Ulama’ al-Balad al-Haraam, p. 329. 

۩ Shaykh Saleh al Munajjid farmate hai:

“Allah ke taraf logo ko bulana sabse behtareen aur azeem amal hai Allah subhanahu wa tala ke yaha. Jab ye fareeza Nabiyo aur Rasoolo ka hai jinhe Allah ne makhlook maise chuna toh ye farza unke (Nabiyo aur Rasoolo ke) wariso ka kaise nahi ho sakta hai jo ki Ulema aur Daaiya hai.

Ye zaruri hai ki jo shaks logo ko Islam ki taraf bula raha ho uske paas us chiz ki kuch samajh zarur ho jiski taraf wo logo ko bula raha hai, lekin iski zarurat nahi hai ki use poore Deen ka ilm hona chahiye kyuki Abd-Allaah ibn Amr se Bukhaari (3461) me riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Pohcha do meri taraf se wo kyu na ek ayat hi ho".


۩ Shaykh Saleh al Fawzan se sawal kiya gaya, “Moazzaz Shaykh, Allah apko qamyabi ata kare. Kya wo shaks logo ko Deen muamlat ki taaleem dena chahta hai, kya ye kafi hai ki uske pas kisi university ka certificate ho ya fir uske paas kisi ulema ki tazkiyaat (shabashi, taareef) ke hone ki zarurat hai?”

Shaykh farmate hai,

“Ilm ka hona zaruri hai. Har shaks jiske paas certificate hai wo alim nahi ban jata hai (certificate hone ke wajah se), (lekin) Ilm aur Allah ke Deen ki samajh (fiqh) zaruri hai. Ek Certificate ilm ki nishandehi nahi karti. Ek shaks ke paas (certificate) hone ke ke bawujud wo logo me sabse zyada jahil ho sakta hai, aur ek shaks ke paas certicate na hokar bhi wo logo me sabse zyada ilm rakhne wala shaks ho sakta hai. Kya Shaykh ibn Baaz ke paas certificate tha? Kya Shaykh Ibn Humayd (ke paas koi certificate tha)? Kya inlogo ke paas certificate tha? Fir bhi wo is waqt ke maroof (leading) Imam the. Lihaza ye taqreer ek shaks ke andar ilm aur samajh ki maujudgi ke ird-gird ghumti hai, uske certificate aur tazkiyaat par nahi, (certificate aur tazkiyaat) par gaur nahi kiya jata hai. Aur haqiqat ek shaks ko be-naqab kar deta hai jab sath me koi masla aata hai, ya koi musibat ati hai, fir (sachha) alim aur naqli aur jahil alim se wazeh ho jata hai. Ji Ha!”

source: https://goo.gl/zd2F71

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame sirat e mustakeem ata kare. aameen.
Read More »

5 Jan 2019

Kya Beemar Shaks Do Namazo Ko Jama Kar Sakta Hai?

hi     en     ur  -
Sawal- Ek mareez ko maide ka cancer hai, is ke pet me ek surakh rakha gaya hai jahan se fazla (gandagi) wagaira nikala jata hai, mareez ka sawal yeh hai ke kya is ke liye do (2) namazon ko jama karna jaiz hai?

Alhamdulillah

Ji haan. Aesa mareez do (2) namazon ko jama kar sakta hai, toh is ke liye woh Zohar aur Asar ki namaz jama karega, isi tarhan maghrib aur Isha ki namaz jama kar sakta hai, nez apni sahulat ke mutabik jama taqdeem ya jama takheer dono ki ijazat hai jis mein aasani ho wohi kar le kyun ke bimari ki wajah se pesh ane wali mushkilaat do (2) namazon ko jama karne ke asbaab me shaamil hain, Nabi ﷺ ne istihaza (non-menstrual bleeding) wali aurat jise mahwari ke ayyaam ke alawa bhi khoon aata rahta tha use ijazat di thi ke woh do (2) namazon ko jama karle. Is hadees ka zikr Sunan Abu Dawud, hadith-287 aur Jamia Tirmizi, hadith- 128 me hai. Ise Albani r.h. ne sahih Tirmizi me hasan karar diya hai.
aur istihaza bhi ek bimari hai.

Imam Ahmad ne mareez shakhs ke liye do (2) namaze jama karne ki Daleel yeh di hai ke bimari, safar se zyada badtar (worse) hoti hai, nez unhone Suraj ghuroob hone ke baad singhi lagwai (hijama karaya) aur fir maghrib aur isha ko jama kar ke ada kya. end quote.

Kashshaaf al-Qinaa’ (2/5).

Notes:

1۩ Yaha is baat ko samajh lein ke jis mareez ke liye do (2) namaze ikathhe karna jaiz ho to woh dono namaze mukammal ada karega, qasar nahi karega kyunke qasar namaz sirf musafir ke liye jaiz hai, to kuch log jo yeh samajte hain ke agar koi shakhs bemari ke wajah se ghar mein namaze ikathhe padhega toh woh qasr bhi karega, un ki yeh baat sahih nahi hai.

2۩ Jama Taqdeem: Yaani Zohar ke sath Asr aur Maghrib ke sath Isha ki namaz padhna.

Jama Taqhair: Yaani Asr ke sath Zohar aur Isha ke sath Maghrib ki namaz padhna.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo Musalmano ko shifa ata kare aur hame sabr karne ki taufeek de. aameen.
Read More »

29 Dec 2018

Do Sajdo Ke Bich Ki Dua

hi  -
۞ Do Sajdon Ke Darmiyan Padhi Jane Wali Duae Yeh Hain:

۩1. Huzaifa r.a. riwayat karte hain, RasoolAllah ﷺ dono’n sajdo’n ke darmiyan padha karte the:

“Rabbigh Firlee Rabbigh Firlee” [arabic pic]

[Aey Mere Rab Mujhe Maaf Farma, Aey Mere Rab Mujhe Maaf Farma.]

Sunan Abu Dawood, kitab al Salat ﴾2﴿, hadith- 874. Imam Hakim aur Imam Zahabi ne Saheeh karar diya hai.

۩2. Ibn e Abbas r.a. riwayat karte hain ke RasoolAllah ﷺ dono’n sajdo’n ke darmiyan (ye) padhte:

“Allahummagh Firlee war Hamni wa A’afinee wa Ahdini war Zuqhni” [arabic pic]

[Aye Allah! Mujhe Baksh De, Mujh Par Raham Farma, Mujhe Aafiyat Se Rakh, Mujhe Hidayat De, aur Mujhe Rozi A’ata Kar.]
Sunan Abu Dawood, kitab al Salat ﴾2﴿, hadith- 850. Imam Hakim, Imam Zahabi aur Imam Nawawi ne Saheeh karar diya hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame amal karne ki taufeek ata kare. aameen.
Read More »

18 Dec 2018

Us Shaks Ki Tawba Jisne 99 Aur 1 Katl Kiye

   en     ur     hi -
Abu Sa'id al-Khudri r.a. riwayat karte hai ke Nabi ﷺ ne farmaya: “Tum se pahle logo me se ek (1) shakhs tha, Us ne ninanwe (99) qatal kiye, fir is ne zameen par basne walon mai se sab se bade aalimo ke baare mein pucha (ke woh kaun hai). Use ek (1) Rahib (monk) ka pata bataya gaya. Woh us ke paas aaya aur pucha ke maine ninanwe (99) qatal kiye hain, kya uske liye Tawba (ki koi gunzaish) hai? Us (rahib) ne kaha, 'Nahi'. Toh us ne use bhi qatal kar diya aur is (ke qatal) se sao (100) qatal pure kar liye.
Us ne fir ahle zameen me se sab se bade aalim ke baare me daryaft kiya. Use ek aalim ka pata bataya gaya. Toh is ne (ja kar usse) kaha, 'Mai ne sau (100) qatal kiye hain, kya is ke liye tauba (ka imkaan) hai? Us (aalim) ne kaha: 'Haan', tumhare aur tawba ke darmiyan kaun aa sakta hai? Tum fulaa fulaa sar-zameen par chale jao, wahan (aise) log hain jo Allah taala ki ibadat karte hain, tum bhi un ke sath Allah ki ibadat mein mashgool ho jao aur apni sar-zameen par wapis na aao, yeh buri (baton se bhari hui) sar-zameen hai.

Woh chal pada, yahan tak ke jab aadha rasta taye kar liya to use maut aa gai. Is shaks ke baare mein rahmat ke farishtay aur aazaab ke farishte jhagadne lage. Rahmat ke farishto ne kaha, Yeh shakhs tawba karte hua apne dil ko Allah ki taraf mutwajjah (mod) kar ke aaya tha aur aazaab ke firshton ne kaha, is ne kabhi neki ka koi kaam nahi kiya. Toh ek farishta aadmi ke roop me un ke paas aaya, un (farishto) ne use apne darmiyan (faisla karne wala) muqarrar kar liya. Us (farishte) ne kaha, Dono zameeno ke darmiyan faasla naap lo, woh dono me se jis zameen ke zyada qareeb ho toh woh usi (zameen ke logon) maise hoga. Unhone faasle ko naapa toh use us zameen ke qareeb tar paaya jis ki taraf woh ja raha tha, chunanche rahmat ke firshton ne use apne hatho me le liya.”

Hasan (basri) ne kaha: (Is hadees me) hame bataya gaya ke jab use maut ne aa liya tha to isne apne seene se reng kar khud ko (gunaaho bhari zameen se) dur kar liya tha.

Sahih Muslim, Kitab al Tawba ﴾50﴿, hadith- 7008.

•٠•●●•٠•

Aye Allah ham apne gunaho se tawba karte hai, hame muaf farma dein. aameen.
Read More »

12 Dec 2018

Tassub - Ek Bimari


Allah farmate hai:

Beshak Allah Ke Nazdeek Deen Islam Hi Hai Aur Ahle Kitab Ne Apne Paas Ilm Aa Jaane Ke Baad Aapas Ki Sarkashi Aur Hasad Ke Bina Par Hi Ikhtilaf Kiya Hai, Aur Allah Ki Aayato Ke Sath Jo Bhi Kufr Kare Allah Us Ka Jald Hisaab Lene Wala Hai.

Surah aal e Imran ﴾3﴿, ayat- 19.

Tassub ek aesi bimari hai ki baaz auqat bade se bade insan ko bhi pata nahi chalta hai ki wo isme mubtala ho chuka hai. Jab kisi shaks se ap ikhtilaf kare to ilmi ikhtilaf kare daleel ke sath. Iske bajaye us shaks ki niyat par hamla karna aur uski zaati zindagi ko bich me le ana ya usko zero se multiply kar dena ye ilmi jahalat hai. 

Aiye sahaba ke tarike par roshni dalte hai. Sahaba e karaam me apas me bade bade ikhtilaf hue, yaha tak ke us masle me bhi ikhtilaf hue ki agar wo masle me koi aj hamse ikhtilaf kare to use ham apne manhaj se hi nikal denge. Rasool ko Allah ka dekhna, kabr me murde sunte hai ya nahi, Rasool zinda hai ya nahi. in sab chizo me bhi ikhtilaf hua. Lekin sahaba ka amal dekhye kya unhone ikhtilaf ke waqt ye kaha ki Abu Bakr ko mat suno Umar ko mat suno, inse dur raho unse dur raho, ya fula gumrah ho gaya hai, nauzbillah. Balki unhone daleel ke roshni me ek dusre se baat ki. Hamara bhi yahi manhaj hona chahiye, par afsos ye manhaj boht kam logo ka hai aj ke zamane me. 

Allah pak farmate hai,

'Logo Ko Apne Rab Ke Raastey Ki Taraf Hikmat Aur Khubsurat Nasihat Ke Sath Bulaiye Aur Unse Behtareen Tareeqe Se Bahes (Guftagu) Karye.'

Surah Nahl, ﴾16﴿, ayat- 125. 

Hamesha yaad rakhein ki kisi ka ahtaraam apko yaha tak na le jaye ki ap uski galti ko bhi defend karne lage aur kisi shaks ki tanqeed apko yaha tak na le jaye ki ap uska wajibi ahtaraam bhi karna chor dein.

Allah farmate hai,

'Aye eeman walo! Allah ki raza ke liye Adl wa insaaf ke sath dat kar gawahi dene wala bano. Aur logo ki nafrat, tumhe is baat par na ubhare ke tum adl wa insaaf ke sath kaam na lo. Insaaf karo yahi baat taqwe ke zyada kareeb hai aur Allah se darte raho, beshak Allah tumhare aamaal ki puri khabar rakhta hai.'

Surah Maida ﴾5﴿, ayat- 8.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame tassub, hasad, bughz aur in jaisi shar wali chizo se mahfuz rakhe. aameen.
Read More »