اقرأ باسم ربك الذي خلق

21 Mar 2019

Surah Baqara Ki Aakhri Do (2) Ayat Aur Iski Fazilat

hi   -
Allah ﷻ farmate hai,

۞ Rasool eemaan laaye us cheez par jo unki taraf Allah ki jaanib se utri aur momin bhi eemaan laaye, ye sab Allah aur us ke farishto par aur us ki kitabo par aur us ke Rasoolo par eemaan laaye, us ke Rasoolo maise kisi me hum farq nahi karte, unhone kah diya ke hum ne suna aur itaat ki, hum teri bakshish talab karte hai, aye hamare Rab! Aur hame teri hi taraf lautna hai.

Allah kisi shaks par uski quwat se zyada bojh nahi dalta, jo neki wo kare wo us ke liye aur jo burayi wo kare wo us par hai, aye hamare Rab! Agar hum bhul gaye ho ya khata ki ho, to hame na pakadna, aye hamare rab! Ham par wo bojh na daal jo ham se pahle logo par daala tha, aye hamare Rab! Hum par wo bojh na daal jis ki hame taakat na ho aur ham se darguzar farma! Aur hame baksh de aur hum par raham kar! Tu hi hamara Maalik hai, hame kafiro ki qaum par ghalba ata farma.

Surah Baqara, ayat- 284-285. [arabic text padhe]

۩ Abdullah bin Umar r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ko (Meraj wali raat) teen chize di gayi thi, unhe paanch namaze di gai thi, Surah Baqara ki Ikhtitami (akhri) ayate di gai thi, aur unki ummat ke unlogo ko sangeen gunaho ki maafi di gai thi jo Allah ke sath kisi ko shareek nahi karte.

Sahih Muslim, kitab al eemaan ﴾1﴿, hadith- 173.

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Jisne surah baqara ki do (2) aakhri ayat raat me padh li wo use (har aafat se bachane ke liye) kafi ho jayegi.”

Sahih al Bukhari, kitab fazail al Quran ﴾66﴿, hadith- 5009.

۩ Ibn Qayyim kahte hai,

“Wo (ayate) usko kisi bhi burai ke khilaf kaafi kar degi jo use nuksan pohcha sakti hai.”

Al-Waabil al-Sayyib (132).

•٠•●●•٠•
Read More »

20 Mar 2019

Rafa Yadain Par Sachha Khwab | Qazi Abu Jafar


Imam Daruqutni (d. 385 hijri) farmate hai,

“Maine (apne Ustad) Qazi Abu Jafar r.h. ko ye kahte hue suna hai, “Pahle mera bhi yahi mauqif tha jo ahle Iraq ka hai (ke rafayadain ke bagair namaz padhna chahiye) lekin fir maine khwab me Nabi akram ﷺ ko namaz ada karte hue dekha, Aap ﷺ ne namaz ke aaghaz (shuruat) me takbeer tahreemah kahte hue rafa yadain kiya, fir ruku me jaate hue rafa yadain kiya, fir ruku se sar uthate hue rafa yadain kiya.”

Sunan Daruqutni, kitab al salat, hadees- 1110. [scan]

Note: Is hadees ko khud Imam Daruqutni apne ustad Qazi Abu Jafar se bayan kar rahe hai toh isme sanad ki zarurat nahi hai.

۞ Raful Yadain karne ki zarurat aur uska fayada ek Tabayeen bayan farmate hai,

۩ Sa’eed bin Jubair r.h. (tabayeen) se namaz me rafa yadain ke talluk se pucha gaya, unhone farmaya, “Ye logo ke namaz ki khubsurti hai.”

Juzz Raful Yadain- Imam Bukhari, hadees- 32.

Aur yahi Tabayeen hai jo sahaba ke namaz ka tarika batate hai,

۩ Sa’eed bin Jubair r.h. (tabayeen) farmate hai ki RasoolAllah ﷺ ke sahabi r.a. Namaz shuru karte waqt, ruku se pahle aur ruku ke baad rafa’ yadain kiya karte the.

Sunan Al Kubra Baihaqi, Vol 2, Page 75, hadees- 2355.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo ham sabko sirat e mustaqeem ata kare. aameen.
Read More »

13 Mar 2019

Ahle Ilm Ki Galtiya | Imam Zahabi


۩ Imam Zahabi farmate hai,

“Agar ek bada alim zyada tar sahih hota hai, aur sach ke liye uski muhtat (meticulous) tashveesh, aur uske ilm ki wusat, aur uski aqalmandi jis ke liye wo achhi tarah se jaana jata hai; jaise ki uski neki aur parhezgaari ke liye, aur uske amal ke liye, toh uske gunah muaf ho jate hai. Aur uske saare acche kaamo ko bhula kar ham ye nahi kahte hai ki wo gumrah ho gaya hai, (Ji) Ye thik hai! Albatta, ham uske galti ya biddat ki pairwi nahi karte, aur ham ye ummeed karte hai ki wo tauba karega (agar use apni galti ka ehsaas hua).”

Sayr-ul-A’laam An-Nubalaa (Vol. 5, pg. 271).

۩ Imam Zahabi farmate hai,

Ham sunnat aur sunnat wale log se muhabbat karte hai. Aur ham ahle ilm se (sunnat par) amal aur unki neki aur tareef ke layk kirdaar ke wajah se muhabbat karte hai. Albatta, ham unke kisi biddat se muhabbat nahi karte, jo wo galat ijtehad karne ke wajah se lekar aate hai. Aur sabse zaruri chiz jo dekhi jayegi wo uske neki ki taadaad hai.”

Sayr-ul-A’laam An-Nubalaa (Vol. 20, pg. 46).

۩ Imam Zahabi farmate hai,

“Agar ham har baar ahle ilm ko ahle biddat (biddati) bana dein jab kabhi wo galti kare muqammal tahkeek ke baad, shariat ke kisi ahkaam ko nikaalne ke liye, fir toh Ibn Nasr and Ibn Mandah jaise log hamse mahfuz na rahte, na hi koi aur ahle ilm - yaha tak ki wo bhi jo inse bade hai. Wo Allah hai jo apne makhluq ko sach ke taraf rahnumayi karta hai aur wo raham karne walo ke liye bada rahmaan hai. Aur ham Allah se, apni khwahisho aur sakht dil aur be-adabi ki panaah talab karte hai.”

Sayr-ul-A’laam An-Nubalaa (Vol. 14, pg. 39-40).

۩ Imam Zahabi farmate hai,

“Agar har (alim) ko, uske muqammal tahkeek ke baad shariat ke kisi ahkaam nikalne me galti ke wajah se ham tabah kar dete aur unko ahle biddat me shumaar kar lete- unke sahih eemaan aur sach ki pairwi karne ki niyat hone ke bawujud, toh fir sirf kuch hi alim hamse mahfuz rahte. Allah in sab par apne karam aur sakhawat ke sath raham kare.”

Sayr-ul-A’laam An-Nubalaa (Vol. 14, pg. 376).

•٠•●●•٠•
Read More »

5 Mar 2019

Is Ummat Ke Gareeb

hi   -
Allah ﷻ farmate hai,

Har jaan ko maut ka maza chakhna hai aur qayamat ke din tum apne badle pure pure diye jaoge, pas jo shaks aag se hata diya jaaye aur jannat me daakhil kar diya jaaye, be-shak wo kamyaab ho gaya aur dunya ki zindagi to sirf dhoke ka sauda hai.

Surah aal e Imran ﴾3﴿, ayat- 185.

Aakhir kaar jab wo kaan bahre kar dene wali aawaaz buland hogi. Us din aadmi apne bhai se aur apni maa aur apne baap se. Aur apni biwi aur apni aulaad se bhagega. Un maise se har shaks par us din aesa waqt aa padega ke use apne siwa kisi ka hosh na hoga.

Surah Abasa ﴾80﴿, ayat- 34-37.

RasoolAllah ﷺ ne hame is ummat ke gareeb ya diwaliya (bankrupt) ki sifat batayi hai,

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya, 'Tumhe maalum hai gareeb kaun hai?' Sahaba r.a. ne arz kia, ham to gareeb us ko samjhte hai jis ke paas rupya-paisa aur saaz o saamaan na ho.
Rasool ﷺ ne farmaya, “Meri ummat me gareeb wo shaksh hoga jo qayamat ke din namaz, roza aur zakat ke sath aayga magar us ne kisi ko gali di hogi, kisi par jhuta-ilzam lagaya hoga, kisi ka maaal hadap kiya hoga, kisi ka khoon bahaya hoga, kisi ko maara hoga, chunache us ne jin jin logon ki haq talfi ki ho gi unhe us ki nekiya de di jayengi. Aur agar uski nekiya kam pad jaye toh fir in logo ke gunaah la kar us par laad diya jayega . Aur use dozakh me fenk diya jayega.”

Sahih Muslim, Book of virtue, enjoining good manners, and joining of the ties of knship ﴾45﴿, hadith- 6579.

Isi liye RasoolAllah ﷺ ne hame ek faydeman aur khubsurat naseehat ki hai:

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Agar kisi shaks ka zulm kisi dusre ki izzat par ho ya kisi tarike (se zulm kiya ho) toh aaj hi, us din ke aane se pahle muaf kara lo, jis din na (toh) deenar honge, na dirham, balki agar us ka koi nek amal hoga toh us ke zulm ke badle me wahi le liya jayega aur agar koi nek amal us ke paas nahi hoga toh us (mazlum) ki buraiya us par daal di jayengi.”

Sahih al Bukhari,  Book of oppressions ﴾46﴿, hadith- 2449.

Isi mauzu se mutallik, RasoolAllah ne qayamat ke din aane wale ek dusre shaks ka zikr kiya hai.

۩ Saubaan r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Mai apni Ummat me se aese logo ko janta hu jo qayamat ke din Tihamah ke pahado ke barabar nekiya le kar ayenge. Allah ta'la in (nekiyo) ko fiza me udte hue zarre ki tarah bana dega.
Saubaan r.a. ne arz kiya, Allah ke Rasool! un logo ka haal ham se bayan farmaye aur khol kar bayan farmaye taakeh la-ilmi aur jahalat ke wajah se ham un me se na ho jaye.
Aap ﷺ ne farmaya, “Jaan lo wo tumhare bhaiyo mai se hi hai, aur tumhari qaum mai se hi, wo bhi raato ko isi tarah ibadat karenge, jaise tum ibadat karte ho, lekin wo aese log hai ke jab tanhaai me honge toh haraam kaamo ka irtikaab karenge.”

Sunan ibn Majah, kitab al Zuhd ﴾37﴿, hadith- 4245. Is hadees ko Buwaysari ne Misbaah al-Zujaajah (4/246) me sahih karaar diya hai.

۩ Ibn Hajar al-Haythami is hadees ke talluk se farmate hai, “Upari taur par nek hone ka dikhawa karna aur Allah ke muqaddas hudud ko todna; akele me gunah e sageera (chota gunah) karne ko kuch bada samjha jata hai, (aur fir inhone ek hadees ko daleel bana kar kaha hai) Ek shaks jisko nek banne ka dikhawa karne ki adat ho aur apni buri chizo ko chupane ki, ye musalmano ko zyada nuksan aur gumrah karti hai, kyuki uske paas na neki hai aur na hi Allah ka khauf.” End quote.

Al-Zawaajir (3/49).

Aur isi tarha RasoolAllah ﷺ ne hame ek teesre kism ke logo ka amal bataya hai jo akhirat me barbaad ho jayega:

۩ Natil ne Abu Hurairah r.a. se kaha, Aye Shaykh! Mujhe aisi hadees sunaye jo ap ne RasoolAllah ﷺ se suni ho.
Abu Hurairah r.a. ne kaha: Haan, Mai ne Rasool ﷺ ko yeh farmate hue suna: “Qayamat ke roz sab se pahla shakhs jis ke khilaaf faisla aeyega, woh hoga jise shaheed kar diya gaya. Use pesh kiya jayega. Allah taala use apni (ata kardah) nemat ki pahchan karayega toh woh use pahchan lega. Woh (Allah) puchenge tum ne is nemat ke sath kya kiya?
Woh kahega: Mai ne Ap ki raah me ladayi ki hatta ke mujhe shaheed kar diya gaya.
(Allah taala) farmayega, tum ne jhoot bola. Tum is liye lade the ke kaha jaye: yeh (shakhs) bahadur sipahi hai. Aur yahi kaha gaya, fir is ke bare me hukum diya jayega toh is aadmi ko munh ke bal ghasita jayega yahan tak ke aag mein daal diya jayega.

Fir woh aadmi jis ne Ilm padha, padhaya aur Quran ki qirat ki, use pesh kiya jayega. (Allah taala) use apni nematon ki pahchan karayenga, woh pahchan kar lega, (Allah) farmayenge: Tum ne un nematon ke sath kya kiya? Woh kahega: Maine ilm padha aur padhaya aur teri khatir Quran ki qirat ki, (Allah) farmayega: Tum ne jhut bola, tum ne is liye Ilm padha ke kaha jaye (yeh) aalim hai aur tum ne Quran is liye padha ke kaha jaye: yeh qaari hai, (aur) woh kaha gaya, fir is ke bare me hukum diya jayega, use munh ke bal ghasita jayega hatta ke aag me daal diya jayega.

Fir woh aadmi jis par Allah ne wusat ki aur har qism ka maal ata kiya, use laya jayega. Allah taala use apni nematon ki pahchan karayenge, woh pahchan lega. Allah farmayenge: Tum ne un me kya kiya? (wo) kahega: Maine koi raah nahi chori jis (raah) me apko pasand hai ke maal kharch kiya jaye magar har aisi raah me kharch kiya. Allah farmayenge: Tum ne jhoot bola hai, tum ne (yeh sab) is liye kiya taake kaha jaye, woh sakhi hai, (aur) aisa hi kaha gaya, fir is ke bare mein hukum diya jayega, to ise munh ke bal ghasita jayega, fir aag mein daal diya jayega.

Sahih Muslim, book on government ﴾33﴿, hadith- 4923.

•٠•●●•٠•

Allahumma ajirni minan naar. aameen.
Read More »

2 Mar 2019

Ilm Hasil Karne Ki Koi Umar Nahi Hoti | Imam Bukhari

hi   -
۞ Imam ul Muhaddiseen, Imam Bukhari r.h. farmate hai,

“Sardaar banne ke baad bhi ilm haasil karo, kyunki RasoolAllah ﷺ ke Sahaba-e-kiraam r.a. ne badi umar mein ilm haasil kiya.”

Sahih al-Bukhari, kitab al ilm ﴾3﴿, baab- Ilm-o-hikmat mein rashk karna, hadith- 73 ke tahat.

Is baab ke tahat Imam Bukhari ye hadees lekar aaye hai:

۩ Abdullah Ibn e Masood r.a. se riwayat hai, unhone farmaya: Nabi ﷺ ne farmaya, “Rashk (hasad) sirf do (2) baato me jayez hai, Ek toh us shakhs (ki aadat) par jise Allah Ta’ala ne maal diya ho aur wo ise raah e Haq mein kharch karta ho aur dusre us shakhs (ki aadat) par jise Allah ne (Quran aur Hadees ka) Ilm de rakha ho aur wo uske mutabik faisle karta ho aur logon ko uski taaleem deta ho.”

Sahih al-Bukhari, kitab al ilm ﴾3﴿, hadith- 73.

ربِّ زِدْنِي عِلْماً!
•٠•●●•٠•

Read More »