اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Apr 2020

Bimari | Aazmaish ya Azaab?


Sabse pahle to yeh ke koi bhi khudse Ta'ayyiun (decide) nahi kar sakta hai ke ye saza hai ya Rahmat ya Azmaish.

Ek Ayat me Allah s.w.t. farmate hai,

'Tumhe koi bhi takleef ya aazmaish aati hai wo tumhare hatho ki kamai hoti hai'.

Surah Shura (42), ayat- 30.

Dusri Ayat me hai ke,

'Jo bhi musibat aati hai Allah s.w.t. ke izan se aati hai.'

Surah Taghabun (64), ayat- 11.

۩ Abu Said Khudri aur Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ke, Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Musalmaan ko ranj, dukh, fikr aur gam pahunchta hai yaha tak ki agar use kaanta bhi chubhta hai toh wo takleef uske gunhaon ka kaffara ban jati hai.'

Sahih al Bukhari, kitab al marazi (75), hadees- 5641, 5642.

✦ Sabaq

Lehaza hame Bimari aur Sehat dono surat e haal me Allah ta’ala ka shukr ada karna chahiye. Bimari Aazmaish bhi hai aur gunaaho ka kaffara bhi. Hame har haal me sabr o shukar ada karna chahiye.

In do (2) kaamo se Allah ta’ala hamare gunaah bhi mita deta hai aur aakhirat me ajar e azeem bhi ata farmata hai.

Allah ta'ala apne bando se bahut mOhabbat karta hai, aur wo apne kisi bhi bande par uski taqat se zyada bOjh nahi dalta.

۩ 'Allah kisi ko uske bardasht se badh kar us par bojh nahi daalta.'

Surah Baqarah (2), ayat- 286.

۩ Sabr karne waalo ko unki mazduri be-hisaab milegi.

Surah Az-Zumar (39), ayat- 10.

۩ Aur unke sabr ke badle unhe jannat aur reshmi libaas diye jaayenge.

Surah Insan (76), ayat- 12.

۩ Aur Allah sabr karne waalo se Muhabbat karta hai.

Surah Aal e Imran (3), ayat- 146.

Har bimari ka ilaj maujood hai, Allah taala ne koi aisi bimari nahi utaari jis ki dawa bhi naazil na ki ho.

Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaya,

'Allah taala ne koi aisi bimari nahi utaari jis ki dawa naazil na ki ho.'

Sahih al bukhari, kitab at tibb (76), hadees- 5678.

Kalonji Aur Shahed dono ke fayde ke bare me Quran wa hadees se pata chalta hai.

1. Kalonji

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki maine Rasoolullah ﷺ se suna,

'Siyah daano (kalonji) me har beemari se shifa hai siwaye Maut ke.'

Sahih al bukhari, kitab at tibb (76), hadees- 5688.

2. Shahed

Shahed ki makhhi ko arabi me nahal kahte hai jiske naam se Quran me puri ek surah maujud hai. Isi baat se andazah lagaya ja sakta hai ki insani zindagi me Shahad ki kya ahmiyat hogi.

Allah rabbuul izzat Quran e muqaddas me irshad farmata hai ki,

'Aur tumhare Rab ne Shahad ki makhhi ko ilhaam kiya ki pahado me aur darakhto me aur log jo chatriya uthate hai, un me apne ghar banao. 
Fir har kism ke falo se apni khuraak hasil kar, fir un raasto par chalo jo tumhare Rab ne tumhare liye aasaan bana diya hai.

Is makkhi ke pet se woh mukhtalif rango wala mashroob nikalta hai jis me logo ke liye shifa hai. Yaqeenan in sab baato me un logo ke liye nishani hai jo sochte samajhte ho.'

Surah Nahl (16), ayat- 69.

Iske alawa kuch Duaye hai jo Ap Bimari me padh sakte hai shifa ke liye,

۩ اللَّهُمَّ أَذْهِبِ الْبَأْسَ رَبَّ النَّاسِ وَاشْفِ فَأَنْتَ الشَّافِي لاَ شِفَاءَ إِلاَّ شِفَاؤُكَ شِفَاءً لاَ يُغَادِرُ سَقَمًا-

Allahumma Azhibil ba'sa rabban naas washfi. Antash shaafee. Laa shifaa-a illaa shifaa-uka. Shifaa-al laa yughaa diru saqamaa.

Aye logo ke Rab! Bimari ko door karde, aur shifa de, Tu hi shifa dene wala hai, aisi shifa ke bimari bilkul na rahe.

Jamia Tirmizi, kitab ad dawaat (48), hadees- 3565. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai

۩ Syedna Usman Bin Abu al Aas Saqafi r.a. kahte hai,

Mai jis din se Musalman hua tha usi din se mere jism ke 1 hisse me dard hota tha. Mai ne is ki shikayat Allah ke Rasool ﷺ se ki to Aap ﷺ ne farmaya,

"Jism me jis jagah dard hai wahaa apna hath rakhho aur teen (3) baar Bismillah kaho fir 7 martaba ye Dua padho:

أَعُوذُ بِاللَّهِ وَقُدْرَتِهِ مِنْ شَرِّ مَا أَجِدُ وَأُحَاذِرُ

'Auzu Billahi Wa Qudratihi Min Sharri Ma Ajidu Wa Uhaziru'

'Mai Allah ki zaat aur us ki qudrat ke sath panah chahta hu is takleef se jo mujhe lahaq hai aur har us takleef se jis se mai bahut darta aur mohtaat rahta hun.'

Sahih Muslim, kitab al salaam (39), hadees- 5737.

Iske alaawa Aap Subah Sham ke Azkaar ki pabandi kijiye. Allah s.w.t. par bharosa rakhye aur Astaghfaar karte rahye.

In shaa Allah Allah s.w.t. jald hi shifa ata karega.

Ham Allah s.w.t. se Dua karte hai ke Allah hame har Bimari se mahfuz rakhe aur sunnato par amal karne ki taufeeq ata farmaye.

JazakAllah khair

Prepared by: A. Sayed
•٠•●●•٠•

Related: Bimari aur Waba (Mahamaari) Se Bachao ki Duae Aur Azkaar
Read More »

28 Mar 2020

Bimari aur Waba (Mahamaari) Se Bachao ki Duae Aur Azkaar

hi   ur   en
Alhamdulillah..

Sunnat me aisi bahot si ahadees hai jo Musalmaan ko masnoon aise azkaar aur duao par pabandi ki targeeb dilati hain jo insaan ko takleef, nuqsaan aur har qism ki munfi sargarmi se mahfooz rakh sakti hai. In duao ke umoom me mukhtalif qism ki tamam bimariya aur wabayi amraaz shamil hai, in me se chand ahadees niche hai:

۩ Usman bin Affan r.a. kahte hai ke  "Mai ne Rasoolullah ﷺ ko farmate hue suna,

Jo shaks bhi kahe -

بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ-

Bismillahillazi la yazurru ma‘a ismihi shay’un fi’l-ard wa la fi’l-sama wa huwa al-samee ul aleem.

'Allah ke naam se mai panah haasil karta hu jiske naam se koi bhi cheez asmaan ya zameen me takleef nahi pahuchati aur wo sunne wala aur jaanne wala hai.'

Jisne ye dua subah ke waqt teen baar padhi toh sham tak ise koi bhi achanak aafat nahi pahuchegi.

Sunan Abu Dawood, hadees- 5088. Jamia Tirmizi, hadees- 3388. Ise Imam Tirmizi ne sahih aur darussalaam ne hasan karaar diya hai. 

۩ Abu Huraira r.a. kahte hai ke ek shaks Nabi ﷺ ke paas aaya aur usne kaha, ' Allah ke Rasool! Mujhe raat ko bichhu kaatne ki wajah se bahot zyada takleef hui.' Toh Aap ﷺ ne farmaaya:

Agar tum sham ke waqt ye keh dete ke 

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ

A’oozu bi kalimaat Allah at-taammaaati min sharri ma khalaq

Mai Allah ke kamil kalimaat ki panaah me aata hu iski tamaam tar makhluqaat ke shar se.

Toh tumhe wo nuksaan na pahunchata.

Sahih Muslim, hadees- 6880.

۩ Abdullah bin Khubaib r.a. kahte hai, ham ek shadeed andheri aur barish waali raat me Rasoolullah ﷺ ko talaash karne ke liye nikle ke Aap hame namaz padha de toh ham ne Aap ko talaash kar liya, Aap ﷺ ne milte hi kaha,

(Kya tum ne namaz padh li hai?) Toh mai ne koi jawab nahi diya, is par Aap ﷺ ne farmaya, (kaho) mai ne fir bhi kuch nahi kaha, toh Aap ﷺ ne teesri baar farmaya: (kaho), Mai ne arz kiya, 'Allah ke Rasool mai kya kahu?' Toh Aap ﷺ ne farmaya, Tum subah aur sham ke waqt 'Qul huwallahu Ahad' (Surah Ikhaas) aur iske sath suratul falaq aur surat an naas teen teen baar padha karo, ye tumhe har cheez se kafi ho jayegi.

Is hadees ku tirmizi (3575) aur Abu Dawood (5082) ne riwayat kiya hai.

۩ Allama ibn baaz r.h. kahte hai,

'Tamam makhluqaat ke har kism ke shar se tahaffuz aur aafiyat paane ke sath sath pur aman rahne ke liye insaan Allah taala ke kaamil kalimaat ki panaah subah aur shaam teen teen baar Allah taala se maange aur kahe:

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ 

A‘auzu bi kalimaat Allaah at-taammaati min sharri ma khalaq

Tarjuma: Mai Allah ke kamil kalimaat ki panah me aata hu iske tamaam tar makhluqaat ke shar se.

Isliye ke aesi riwayaat sabit hai jinme in alfaaz ko aafiyat ka sabab karaar diya gaya hai. Isi tarah subah aur sham ye alfaaz bhi padhe: 

بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ

Bismillah illazi la yazurru ma‘a ismihi shay’un fi’l-ard wa la fi’l-sama’ wa huwa al-samee‘ ul-‘aleem

Tarjuma: Allah ke naam se mai panah hasil karta hu jiske naam se koi bhi cheez aasmaan ya zameen me taklif nahi pahunchati aur wo sunne wala aur jaanne wala hai] isliye ke Rasoolullah ﷺ ne batlaya hai ke jo shaks bhi subah ke waqt teen baar in alfaaz ko padhe to isko sham tak koi bhi cheez nuqsaan nahi pahunchati, aur jo shaks shaam ke waqt padhle toh subah tak ise koi cheez nuqsaan nahi pahunchati.

Toh Quran aur Sunnat se sabit ye tamam Azkaar har kism ki burai, shar aur takleef se tahaffuz ka ba'is hai. Isliye har momin mard aur aurat ko in azkaar ki muqarrarah auqaat me pabandi karni chahiye, nez inhe padhte hue Allah taala par mukammal atemaad ho aur qalbi taur par mutmayeen bhi ho ke Allah taala hi har cheez ko qayam rakhe hue hai, wahi har cheez ke baare me ilm rakhta hai, aur har cheez par qadir bhi hai, iske siwa koi mabood e barhaq nahi aur na hi iske siwa koi Parwardigaar hai, isi ke hath me nafa wa nuksaan ka kamil ikhteyaar hai, aur wahi har cheez ka malik hai.

Fataawa ash-Shaykh Ibn Baaz (3/454, 455).

۩ Isi tarah Abdullah ibn e Umar r.a. se marwi hai ke Rasoolullah ﷺ subah ya shaam ke waqt in kalimaat ki pabandi kiya karte hai. 

اَللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ، اَللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي دِينِي وَدُنْيَايَ وَأَهْلِي وَمَالِي، اَللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَاتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي، اَللَّهُمَّ احْفَظْنِي مِنْ بَيْنِ يَدَيَّ وَمِنْ خَلْفِي وَعَنْ يَمِينِي وَعَنْ شِمَالِي وَمِنْ فَوْقِي وَأَعُوذُ بِعَظَمَتِكَ أَنْ أُغْتَالَ مِنْ تَحْتِي-

Allahumma inni as’aluka al-‘aafiyata fi’d-dunya wa’l-aakhirah. Allahumma inni as’aluka al-‘afwa wa’l-‘aafiyata fi deeni wa dunyaaya wa ahli wa maali. Allahumma astur ‘awraati wa aamin raw‘aati. Allahumm ihfazni min bayni yadayya wa min khalfi wa ‘an yameeni wa ‘an shimaali, wa min fawqi, wa a‘auzu bi ‘azamatika an ughtaala min tahti.

Tarjuma: Ya Allah! Mai tujh se duniya aur aakhirat me har tarah ki aafiyat talab karta hu. Ya  Allah! Mai tujh se apne deen, duniya aur apne pariwaar (family) aur apne maal me tujh se aafiyat (hifazat) ka sawaal karta hu.

Ya Allah mere ayeb chupade. Aur mujhe mere khadshaat wa khatraat se aman ata farma. Ya Allah! mere aage, mere peeche, mere daaye, mere baaye aur mere upar se meri hifazat farma. Aur mai teri azmat ke zarye se is baat se panaah chahta hu ke mai apne neeche ki taraf se halaak kar diya jaau.

Sunan Abu Dawood, hadees- 5074. Sunan ibn e Maajah, hadees- 3871. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.

۩ Abdullaah bin Umar r.a. se marwi hai ke Rasoolullah ﷺ ki dua me umuman ye alfaaz shamil hote the ke:

اَللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ زَوَالِ نِعْمَتِكَ ، وَتَحَوُّلِ عَافِيَتِكَ ، وَفُجَاءَةِ نِقْمَتِكَ ، وَجَمِيعِ سَخَطِكَ

Allahumma inni a‘oozu bika min zawaali ni‘amatika wa tahawwul ‘aafiyatika wa fujaa’ati niqmatika wa jamee‘i sakhatika.

Tarjuma: Ya Allah! Mai tujh se teri nemato ke zawal, teri janib se aafiyat ke khatme, teri achanak pakad aur teri har tarah ki naarazi se teri panah chahta hu.

Sahih Muslim, hadees- 6944.

۩ Sayyidina Anas bin Malik r.a. kahte hai ke Rasoolullah ﷺ farmaya karte the:

اَللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ الْبَرَصِ وَالْجُنُونِ وَالْجُذَامِ وَمِنْ سَيِّئْ الْأَسْقَامِ

Allahumma inni aauzu bika min al-barasi wa’l-junooni wa’l-judhaami wa min sayyi’ il-asqaam

Tarjuma: Aye Allah! Mai Bars, pagal pan, kodh aur buri beemaariyo se teri panah chahta hu.

Musnad Imam Ahmed, hadees- 12592. Sunan Abu Dawood, hadees- 1554.

۩ Is hadees ki sharah me Allama Teebi r.h. kahte hai,

'Rasoolullah ﷺ ne mutlaq taur par beemariyo se panah nahi maangi, iski wajah ye ho sakti hai ke kuch beemaariyo ki takleef kam hoti hai lekin is beemari par sabr ki badaulat milne waala ajar bahot zyada hota hai, aur wo bimariya daaemi (chronic) nahi hoti balke aarzi hoti hain, jaise ke bukhar, sar dard aur aankh dard wagaira, isliye Aap ﷺ ne daaemi beemaariyo se panah maangi hai, kyunke insaan daaemi beemaariyo se khud bhi tang aajata hai, aur dost ahbaab bhi mutanaffir se ho jate hai, log baat cheet aur ilaaj ke liye bhi nahi aate aur insaan khud apne ap se bezar hojata hai.'

Allamah Taibi ki Guftagu Azeemabaadi r.h. ne Abu Dawood ki sharah me zikr ki hai. (source- islamqa)

Wa Allahu alam.

•٠•●●•٠•
Read More »

26 Mar 2020

Ghar Me Ba Jamaat Saff Banane ka Tareeqa

Pic
۩ Ibn e Umar r.a. se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

‘Akele shaks ki namaz se, jamat ke sath namaz padhna 27 darje (sawaab) rakhta hai.’

Sahih al Bukhari, kitab al Azaan﴾10﴿, hadees- 645.

۞ Baap Aur Beta ki Jama'at

Baap Imamat karega, Beta uska muqtadi hoga aur Baap ke Dayen (right) tarf khada hoga.

۞ Baap Aur Mardo ki Jama'at

Baap Imamat karega toh mard hazraat pichli (2nd) waali saf me Muqtadi honge.

۞ Shauhar aur Biwi ki Jama'at

Shauhar Imam ki jagah hoga aur Biwi bilkul Imam ke piche (2nd) saf me khadi hogi.

۞ Shauhar, biwi aur ek Mard ki Jama'at

Shauhar Imamat karega, ek Mard us ke Daayi (Right) taraf hoga. Aur Biwi Imam ke Bilkul piche (2nd) saf me khadi hogi.

۞ Shauhar, Biwi Aur zyada Mardo Ki Jama'at

Shauhar Imamat karega, Mard piche (2nd) waali saf me honge, aur Biwi aakhir (3rd) wali saf me hogi.

۞ Shauhar, Biwi aur Sab Aulad

Shauhar Imamat karega, ladke piche (2nd) saf me honge, biwi or baaki ladkiya akhir (3rd) wali saf me hongi.

•٠•●●•٠•

Download Image of this article
Read More »

23 Mar 2020

Quarantine Reminder

Assalaam alaykum..

Is waqt me apne aur apne family ke alawa Apne aas paas logo ka bhi khyal rakhe.  Ap ke as paas kuch aese log bhi ho sakte hai jinhe lockdown ke wajah se pareshani ka saamna karna pad raha hoga.

Unki jitni help ho sake kare. Ab ye waqt hai ki ap sabit kare ki sirf naam se hi nai balki amal se bhi Ap Musalman hai.

Logo ki zarurate jaise bhi ho, financial, health care, wagaira. Puri koshish kare ki Ap unke kaam aa sake.

۩ Adi bin Hatim r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Apne ap ko jahannam ke aag se bachao wo kyu na aadhi khajur hi dekar ho aur agar wo bhi nai ho sakta to achhi baat karke.”

Sahih al Bukhari, kitabul zakaat ﴾24﴿, hadith-1417.

۩ Abu Zarr r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya ki kisi bhi neki ko kam aham ka na samjho chahe yahi ho ki tum apne bhai ko muskurate hue chehre se milo. 

Sahih Muslim, kitab al birr was silati wal aadaab ﴾45﴿, hadith- 6690.

۩ Huzaifa r.a. se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Gujishta ummaton ke kisi shaksh ki rooh ke paas farishte aaaye aur pucha ki tune kuch achhey kaam bhi kiye hain? Rooh ne jawab diya ki main apne naukaro se kaha karta tha ki wo maaldaar logo ko (jo unke karzdaar hai) mohlat de diya kare aur un par sakhti na kare aur mohtaajon (ka karz) muaf kar diya karein.

Fir farishton ne bhi us se darguzar ki aur sakhti nahi ki.”

Sahih al Bukhari, kitab al buyu ﴾34﴿, hadith- 2077.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya:

“Ek fahashah aurat sirf is wajah se baksh di gayi ke wo ek kutte ke qareeb se guzar rahi thi, jo ek quwe ke qareeb khada pyasa bhanp raha tha. Aisa malum hota tha ke wo pyas ke shiddat se abhi mar jayega. Us aurat ne apna mojah nikala aur usme apna dupatta bandh kar pani nikala aur us kutte ko pila diya, to iski bakshish us (neki) ke wajah se ho gayi.”

Sahih Bukhari, kitab bada al khalq ﴾59﴿, hadith- 3321.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Ek shaks raaste ke upar padi hui darakht ki ek shaakh ke paas se guzra toh usne kaha, 'Allah ki kasam mai is shaakh ko musalmano ke raaste se hata dunga taakeh ye un ko nuksan na de toh us shaks ko Jannat me dakhil kar diya gaya.”

Sahih Muslim, kitab al birr was silati wal aadaab ﴾45﴿, hadees- 6670.

Jazakum Allahu khaira

Faisal Khan,
Head Admin, Team Iqra'
Read More »

15 Mar 2020

Jiski Takhleeq Uski Marzi


Mard aur Aurat Islam me Allah s.w.t. ki nazar me barabar hai. Jitni Izzat aur Huquq Islam ne Aurto ko diye hai utne kisi aur mazhab ne nahi diye. Balke Islam ne hi Aurto ka darja buland kiya, unhe izzat di aur unse achha suluk karne ka hukum diya.

Jab 1400 saal pahle Aurto ko wo tamaam huqooq deen ne de rakhe hai toh fir ye kis se huquq mang rahi hai aur kyu?

Ham to hairaan hai ke Aurte hatho me play cards uthaye maidan me utar aayi hai aur behuda naare laga rahi hai aur isko aam kar rahi hai.

'Mera Jism Meri Marzi' ka matlab fahashi hai. koi mazhab koi muashra Fahashi ki ijazat nahi deta. Meri bahno ham Alhamdulillah Musalman hai. Ham ne kalma padha hai aur ham ek ba-parda muashre ki numaindagi karte hai.

Aap kya chahti hai? Aazadi?? Khud ko Aam karna chahti hai? Raasto par nikal kar beparda ho kar cheekhne chillane aur huqooq ke naam par be-pardagi ko aam karna kya ye sab Muslman bahno ko zayeb deta hai?

۞ Allah s.w.t. farmate hai,

۩ ❝Aye Aurto! Apne gharo me raho aur zamaan e jahiliyat ki tarah apne aapko dikhati na firo. Namaz qayam karo aur zakaat ada karo. Allah aur uske Rasool ﷺ ke hukmo ki pabandi karo.”

Surah Ahzab (33), ayat- 33.

۩ ❝Aye Nabi ﷺ ! Apni Biwiyo aur Betiyo aur Musalman Aurto se farma do ke apni chaadaron ka ek hissa apne muh par daale rakhe.”

Surah Ahzab (33), ayat- 59.

Beshak 'Aurat' Allah ki ek behtareen takhleeq hai isme koi shak nahi. Islam khwateen ko bahut zyada izzat deta hai. Hamara Deen hame ye batata hai ke Maa ke kadmo ke niche jannat hai, isi tarha biwi se husn suluk ka hukum deta hai,

۩ Mu'awiyah bin Jahimah As-Sulami r.a. riwayat karte hai ki Jahimah Rasoolullah ke paas aaye aur farmaya,
Aye Allah ke Rasool! Mai Jihad karne ka irada rakhta hu aur aap ke paas aap se mashwara lene ke liye aaya hu.
Aap ﷺ ne pucha, 'Kya tumhari Maa maujud hai'?
Unhone kaha, 'Ji Ha'
Aap ﷺ ne farmaya, Unhi ke khidmat me lage raho, kyuki Jannat unke dono qadmo ke niche hai.

Sunan Nisai, kitab ul jihad (25), hadees- 3106. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Sabse kamil momin wo hai jiske akhlaq sabse acche ho aur tum maise sabse behtar wo hai jo apni biwiyo ke liye behtar ho.'

Jamia Tirmizi, kitab ar razaa' (12), hadees- 1162. Ise Imam ne ise hasan sahih karaar diya hai.

۩ Abdullah bin Amr r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya, “Dunya ek aarzi (temporary) khushi hai, aur is dunya ki sabse behtareen khushi Ek Nek Biwi hai.”

Sahih Muslim, The Book of Suckling, hadith-3643. Sunan Ibn Maajah, hadith-1855 [Sahih by Zubair Ali Zai].

Aurto ne toh Islam ki Azeem Jango me bhi apna kirdar nibhaya hai. Sahabiyat Jango me Nurse ka kirdar nibhati thi, jango me zakhmi hue logo ko paani pilana, unki marham patti karna,unke liye khana banana, jaanwaro ka khyal rakhna wagaira.

Bibi Fatimah r.a. ne to Jang e Uhad aur Jang e Badr me apna kirdar bakhoob hi nibhaya. Aap taareekh utha kar dekh le aurton ki bahaduri ke kaarnaame, magar kisi ne bhi is tarha ke naare nahi lagaye ke 'Mera Jism Meri Marzi'.

Ham ye tasleem karte hai ke bahot saare Musalman Deen ki doori ki wajah se huqooq ada karne me kotahiya karte hai, unhe nazar-andaaz karte hai. Magar iska ye matlab nahi hai ke Aap raasto par utar aaye huqooq talbi ke liye.

Haq hasil karna hai toh ek mohazzab tarika hai chahe mard ho ya aurat. Agar kisi aurat mard ke khilaf baat karni hai toh zaroor kare ye uska bunyaadi haq hai, lekin uske bhi kuch usool hai.

Ye nahi ke rasto par banners leker bepardagi ke hudood ko paar kiya jaaye.

Mard ke khilaf baat karna, play cards nikalna, zamana e jahiliyat ki tarha udham machana, apne haq ke liye cheekhna chillana, naare baazi karna wagaira.

Kya ye sab Hawwa ki betiyo ko zayeb deta hai?

Agar Apko mard ke khilaf baat karni hi hai toh pahle apne walid ke bare me baat kare. Apne bhai ke khilaf baat kare, apne shauhar ke khilaf baat kare, apne bete ke khilaf baat kare, apne daamaad ke khilaf baat kare fir kahe ke mard bure hai.

Koi baap, koi bhai, koi beta, koi shauhar ye ijazat nahi dega ke unki ghar ki aurate is tarha ke fuzul banners leker road par utre aur be-pardagi ka hissa bane.

Allah s.w.t. ne unhe Aapka sarparast banaya hai,

۩ Mard auraton par qawwam (protectors and maintainers) hai.

Surah Nisa, ayat- 34.

Ye jo bahas chhidi hai 'Mard' aur 'Aurat' ye ek la-hasil fuzul bahes hai.

Allah s.w.t. ne dunya me saare mard nahi banaye, ya sari aurte nahi banayi balke Allah s.w.t. ne Mard aur Aurat dono ko banaya hai taake ye duniya ka nizam chal sake. Dono ek dusre ke bagair adhure hai.

Meri Masoom bahno Aap Aazad hai, Apne Rab ki qayam karda hudud me. Apne aapko aam aurat mat banao. Allah ne Aapko ek khas mukam ata kiya hai.

Ye jo naare Aap laga rahi hai, 'Mera jism meri marzi' ye khilaf e sharah naara hai. Har Aurat ka Jism usi ka hai jo ke Allah ne use diya hai.

Magar ye nahi ke is jism ko jaise chaahe istemal kare, bad-akhlaqiyo me, bepardagi failaane me. Hamara Deen is baat ki Ijazat nahi deta woh toh Aapko Parde me rahne ka hukm deta hai, gharo me thahre rahne ka hukum deta hai.

Meri Bahno sharam-haya ke janaze nikaal kar Aap kis raaste par ja rahi hai, zara soche?

Meri bahno jin logo ki baate sun kar Aap Fahashi par utar aayi hai, ye yaad rakhiye jab Aap mar jayengi toh ek bhi N.G.O. Aapko bachane nahi ayega, fir qabar me aapko apne amal ke mutabik saamna karna padega.

Fir maidan e hashar me alag sharmsaar honge Aap khadi hongi sar jhukaye aur fir Jahannam ka aazab alag. Allah Raham kare.

Chand Khwateen hai jo puri duniya ki aurto ki numainda bani hui hai, inhe kisi ne vote dekar apna numainda nahi banaya balke ye social media hai jisne inhe itni tarakki di hai ke ye be-pardagi ke raasto par nikal kar aam kar rahi hai.

Meri guzarish hai khaas taur par un bahno se jo college, university wagaira jaati hai ke hargiz jazbati na ho. Hame is duniya ko chhod kar jaana hai.
Hamesha Aap in logo ke bich is dunya me nahi rahengi jinki guftugu se aapko apni khatao ka ahsaas na ho, afsos mahsus na ho, magar Apko Allah ki taraf laut kar jaana hai. Allah ko jawab dena hoga, har is behayi ka jise Aap faila kar apne aapko aazad khyaali samjh rahi hai.

Achhe laqab laga kar Aap Burayi ko faila nahi sakti. Mardo ka ek alag dayera e kaar hai aur Aurto ka alag.

Jiski Aap takhleeq hai usi ki marzi rahegi, Aap Islam ki Shahzadiya hai. Allah s.w.t. ne Apko ek mukam diya hai Izzat ka, ise Aap is duniya walo se mat maange. Haya ko apna kar is ummat ka naam roshan kare.

Quran me toh puri ek muqammal surat hi khwateen par hai, Surah Nisa, jisme unke kirdaar, unki zimmedari aur unke hukuk ka zikr hai.

Haya ek aham kirdaar ada karta hai Rab aur uske bando ke bich. Hamare deen ne haya ko kirdaar ka ek aham hissa bataya hai.

Warna ..  Warna ..

“Jab sharam hi na rahe toh jo fir jo jee chaahe wo karo.”

Sahih al bukhari, kitab al adab (78), hadees- 6120.

Allah s.w.t. hamari kotahiyo ko muaf kare, hame burayio se door rakhe aur ummat ko fitno se mahfooz rakhe.

Ameen Ya Rabbul Aalameen

Aur Allah sabse behtar janta hai ❤

•٠•●●•٠•

Prepared by: A. Sayed
Read More »

Kalonji ke Tibbi Fawaid


۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki maine Rasoolullah ﷺ se suna,

'Siyah daano (kalonji) me har beemari se shifa hai siwaye Maut ke.'

Sahih al Bukhari, kitab at tibb (76), hadees- 5688.

۩ Khalid ban Saad ne kaha ke ham bahar gaye hue the aur hamare sath Ghalib ibn Abjar bhi the. Woh raaste me beemaar pad gaye fir jab ham Madina wapas aaye us waqt bhi woh beemaar hi the.

Ibn Abi Ateeq un ki ayadat ke liye tashreef laaye aur ham se kaha ke inhe yeh kaale daane (kalonji) istemaal karao, is ke paanch ya saat daane le kar pees lo aur fir zaitoon ke tel me mila kar (naak ke) is taraf aur us taraf use qatra qatra kar ke daalo kyunki Ayesha r.a. ne mujh se bayaan kiya ke unhone Nabi ﷺ se suna, Aap ﷺ ne farmaya ke ye kalonji har beemari ki dawa hai siwaye 'Saam' ke.

Mai ne arz kya Saam kya hai? Unhone farmaya ke 'Maut' hai.

Sahih al bukhari, kitab at tibb (76), hadees- 5688.

۩ Hafiz ibn Hajar r.h. kahte hai,

'Ye Daane (Kalonji) har beemari se shifa hai iska matlab ye hai ki isko sirf kisi ke sath milaye bagair hi nahi balki kisi chiz ke sath mila kar aur bina milaye, dono tarike se istemal kiya jaa sakta hai. Aur isko khaya ja sakta hai, piya ja sakta hai, sungha ja sakta hai, marham ke tarha (lagaya ja sakta hai) aur dusre tariko se bhi iska istemal kiya jaa sakta hai.'

Fath ul baari, 10/144.

Aye Allah jo beemaar ho unko shifa ata kar, beshak tu hi shifa dene waala hai. aameen.

•٠•●●•٠•

Related:

Read More »

3 Mar 2020

Ayatal Kursi

    pdf
اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ لاَ تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلاَ نَوْمٌ لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلاَ يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِهِ إِلاَّ بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاو ;َاتِ وَالأَرْضَ وَلاَ يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ- [pic]

[Allahu laaa ilaaha illaa huwal haiyul qai-yoom; laa taakhuzuhoo sinatun wa laa nawm; lahoo maa fissamaawaati wa maa fil ard; man zallazee yashfa'u indahooo illaa be iznih; ya'lamu maa baina aideehim wa maa khalfahum; wa laa yuheetoona beshai 'immin 'ilmihee illa be maa shaaaa; wasi'a kursiyyuhus samaa waati wal arda wa la ya'ooduho hifzuhumaa; wa huwal aliyyul 'azeem]

Allah hi mabood bar-haq hai jis ke siwa koi mabood nahi jo zinda aur sab ka paalne wala hai, jise na oongh aaye na neend, usi ka hai jo kuch aasmaano aur zameen me hai, kaun hai jo uske paas us ki ijaazat ke bagair sifarish kar sake, wo janta hai jo un ke saamne hai aur jo un ke piche hai, aur wo us ke Ilm maise kisi cheez ko jaan nahi sakte magar jitna wo chaahe, uski hukumat chaai hui hai aasmaano aur zameen par, aur Allah us ki hifaazat se na thakta nahi, wo to bahut buland aur bahut bada hai.

अल्लाह ही माअबूदे बरहक़ है जिसके सिवा कोई माअबुद नहीं जो ज़िन्दा और सबका पालने वाला है, जिसे ना ऊंघ आये ना नींद , उसी का है जो कुछ आसमानों और ज़मीन में है, कौन है जो उसके पास उसकी इजाज़त के बग़ैर सिफारिश कर सके, वह जानता है जो उनके सामने है और जो उनके पीछे है, और वह उसके इल्म में किसी चीज़ को जान नहीं सकते मगर जितना वह चाहे़, उसकी हुकुमत छाई हुई है आसमानों और ज़मीन पर, और अल्लाह उसकी हिफाज़त से ना थकता नहीं , वह तो बहुत बुलन्द और बहुत बड़ा है।

Surah baqarah (2), ayat- 255.

•٠•●●•٠•
Read More »