اقرأ باسم ربك الذي خلق

17 Apr 2021

Kya Quran aur Sunnat Hidayat ke Liye Kaafi Nahi?

Alhamdulillah..

Allah ki kitab aur Rasoolullah ﷺ ki sunnat ki roshni me toh yahi baat milti hai ki ye do chize ek insan ke hidayat ke liye kaafi hai. Lekin hamare muashre me aksar isse alag baat milti hai. Kuch kahte hai ki jab tak Aap hamare firqe se na jud jaaye ap hidayat nahi paa sakte. Isi tarha kuch log kahte hai ki jab tak ap kisi ek Imam ki pairwi na kar le ap hidayat nahi paa sakte aur kuch log ye bhi kahte hai ki bina aslaaf ke tarike par chale hame hidayat ya sidha raasta nahi mil sakta.

Dhayn rahe ki yaha ye kahne ki koshish nahi ki jaa rahi ki hame aslaaf ya ahle ilm ki pairwi nahi karni chahiye. Yaha sirf ye baat samjhayi jaa rahi hai ki Quran aur sunnat hidayat ke liye kaafi hai.

Toh Bilkul Quran aur Sunnat hidayat ke liye kaafi hai. Aaiye ham iski dalail dekhte hai,

Allah pak farmate hai,

۩ Alif laam meem. Is kitab (kay Allah ki kitab honey) mein koi shak nahi, perhezgaron ke liye Hidayat hai.

Surah Baqarah, ayat 1-2.

۩  Ramazan woh maheena hai jisme Quran nazil kiya gaya jo Insaano ke liye saraasar hidayat hai aur aesi waaze taaleemaat par mushtamil hai jo raah e raast dikhane wali aur haq o baatil ka fark khol kar rakh dene wali hai.

Surah Baqarah, ayat- 185.

۩ Alif-laam-raa! Yeh aali shaan kitab ham ne aap ki taraf utari hai kay aap logon ko andheron se ujale ki taraf laayen in kay perwerdigar kay hukm se zabardast aur tareefo walay Allah ki taraf.

Surah Ibraheem (14), ayat- 1.

۩ Malik ibn Anas r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

“Maine tumhare darmiyaan do (2) chize chhodi hai jo tumhe kabhi gumrah nahi karegi jab tak tum in do chizo ko pakde rahoge: Allah ki kitab aur Nabi ki sunnat.”

Muwaṭṭa Imam Malik, hadith-  1661. Ise Ibn Abdul Barr ne sahih karaar diya hai.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'(Jab Eesa a.s. dunya me wapis aayenge to woh) Tumhare Rab ki kitab aur tumhare Nabi ﷺ ki sunnat ke sath tumhari qiyadat ya imamat karenge.

Sahih Muslim, hadees- 394.

Ek Eeman waale ke liye ye daleel kaafi honi chahiye ye samajhne ke liye ki Quran aur sunnat hamare hidayat ke liye kaafi hai.

Lekin Deen par behtar tarike se amal karne ke liye aur usko aur behtar tarike se samajhne ke liye hame Sahaba e karaam, Tabayeen, Tabe-Tabayeen, Muhaddiseen, Ulema e deen ki zarurat padti hai, toh isme koi harj nahi ki ham apne ahle ilm ke keemti Ilm ke khazane ko padhe, samjhe aur us par amal kare, lekin Hidayat ke talluq se Allah ki kitab aur Rasool ﷺ ki sunnat kaafi hai. Aur hame in do chiz ke muqable me kisi aur chiz ko laane ki ijazat nahi hai.

Allah taala farmate hai,

۩ Aur (dekho) kisi momin mard ya kisi momin aurat ko ye haq nahi hai ki jab Allah aur uska Rasool kisi muamle ka faisla kar de to fir use apne us muamle me khud faisla karne ka ikhteyar hasil rahe. (yaad rakho) Allah taala aur us ke Rasool ki jo bhi nafarmani kare ga woh saaf gumraahi me padega.

Surah al ahzaab, ayat- 36.

Allah se dua hai ki wo hame sirat e mustakeem ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Related: Taqleed ka naya naam

Read More »

14 Apr 2021

Immunity Booster Kaadha (Sardi. zukham, bukhar ke liye) Aur Shifayabi ke Liye Dua

۞ Kaadha banane ka Tareeqa

1. Teen glass pani lein, usme ek spoon Kalonji ek spoon Ajwain aur 7 se 8 Tulsi ke patte shamil kar lein.

2. Ek Spoon Haldi,7 se 8 long aur kali mirch aur ek Dalchini (Cinnamon) bhi Shamil karlein.

3. Ek tukda Gudh (Jaggery) shamil karlein aur sath hi sonth (dry ginger) ya Adrak ka ek tukda shamil karlein.

In Saari chizo ko 3 Glass pani me dalkr 10 minute ke liye ubalein.

Aur thandda hone par ise chaan kar ek cup pilijiye (bahut zyda thandda nahi krna hai thoda garam hi piye).

Ise week me 3 se 4 bar piyein aur dusro ko bhi iska mashwra dein.

Hamara kaam ahtiyat bartna hai baaki shifa dene wala Allah s.w.t. hai.

Sath hi is Dua ko bhi zyada se zayda padhein:

اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ -

Allahumma aafini fi badani, Allahumma aafini fi sam'i, Allahumma aafini fi basari, la ilaha illa Anta.

Aye Allah! Mere Badan me mujhe aafiyat de, Aye Allah mere kaano me mujhe aafiyat de, Aye Allah meri aankho me mujhe aafiyat de, Tere Siwa koi mabood nahi hai.

Sunan Abu Dawud, kitab al aadaab (43), hadees- 5090 | Hasan

Aur sabse Aham ye gharelu kaadha banakr rakhlein aur iska istemal karein isse Immunity Power bhi badhta hai aur in shaa Allahh ye faidemand sabit hoga.

۞ Tez Bukhar, Khansi, shadeed jism dard, Muh ka kadwapan aur Muh ka Zayeqa khatam hone jaisi alamate (Symptoms) har jagah phail gayi hai lehaza apni aur apne ghar waalo ki hifazat karein.

1- Thandde pani se parhez karein.

2- Garam pani ki baanp lein.

3- Dry fruits aur Andde zyda khayein.

4- Mutton aur Chiken ka Soup piye (Kali Mirch,Adrak, Haldi daal kar)

5- Calcium Aur Vitamin C lazmi lein.

6- Paani zyada se zyada piye.

7. Surah Rahman sunein.

8- Namaz, Tilawat e Quran , Azkaar aur sath hi Bimari se bachne ki Duaon ko pabandi se padhe.

Allah Swt ham sabhi ki hifazat farmaye.

Ameen Ya Rabbul Aalameen.

Jazakum Allah khair.

•٠•●●•٠•

Prepared by: A. Sayed.
Read More »

Namaz e Witr ki Dua e Qunoot me Hath Uthaya Jaaye Ya Nahi ?

Namaz e witr ki Dua e qunoot me hath uthane ke bare me koi marfoo riwayat nahi hai lekin hadees ke kitabo me baaz Sahaaba e karaam r.a. ke aasaar milte hai. Islamic shariah me jab koi baat Rasoolullah se na mile aur sahaba se wo amal mil jaye bina kisi dusre sahaba ka aetraz kiya to us amal ko apnane me koi harj nahi. Lekin behtar yahi hoga ki hath bandh ke Dua e Qunut padhi jaaye kyuki hath uthane ki koi marfoo hadees nahi hai.

Iske mutalliq Shaykh Zubair Ali Zai ka Risala Al Hadees jo ki Rajab 1430 Hijri ko shaya hua tha us Risale ke safa no. 12 par ek sawal kiya gaya tha ki, Namaz e Witr me ruku se qabl Haath Uthaye bagair Qunoot padhne ki kya daleel hai?

Jiske Jawab me Shaykh Zubair Ali Zai ne farmaya tha,

'Namaz e Witr me ruku se pahle Qunoot padhne ka zikr Sunan Darqutni (2/32, hadees- 1644, Wa Sanad Hasan) aur Sunan Nasai (1,248, hadees- 1700) me hai. Dekhye meri kitab Hidayatul Muslimeen (hadees- 28 faidah- 3).

Qunoot e Witr me Hath Uthana kisi sarih marfu Hadees se sabit nahi hai.'

Malum Hua ki Namaz e Witr me ruku se pahle Hath Uthaye bagair Qunoot padhna sahih hai.

Aur Shaykh Zubair ali zai ke Risala Al Hadees jo Jamadil Awwal 1426 Hijri me shaya hua tha Uske Safa No. 13 par ek sawal kiya gaya tha,

Kya Qunoot e Witr me Hath Utha kar dua karna Sabit hai?

Uske jawab me Shaykh Zubair ali zai ne Qunoot e witr me hath na Uthane ki Daleel me ek Riwayat naqal ki:

۩ Abu Hatim al Raazi (277 hijri) farmate hai, 'Abu Zarah (Al Raazi 264 hijri) ne mujhse pucha, 'Kya Aap qunoot me hath uthate ho?

Maine kaha, 'Nahi!' Fir maine unse pucha, 'Kya Aap (qunoot me) Hath utha te ho?' Unhone kaha: Ji han, maine pucha, aapki daleel kya hai? Unhone kah, Hadees ibn Masood.

Mane kaha, use Lais bin Abu Saleem ne riwayat kiya hai. Unhone kaha: Hadees Abu Hurairah, Maine kaha: Use Ibn Lahya ne riwayat kiya hai. Unhone kaha, Hadees Ibn Abbas, maine kaha, Use Aouf (Al aarabi) ne riwayat kiya hai. Toh unhone pucha, aapke pas (Qunoot me) hath na uthane ki kya Daleel hai?

Maine kaha, Hadees e Anas, ki beshaq Rasoolullah ﷺ kisi Dua me Hath Nahi Uthate the siwaye Istisqa ke to wo (Abu Zarah r.a.) Khamosh ho gaye.

Tareekh Baghdaad, Jild 2, Safa- 76 tahet- 455. Wa sanad Hasan, wa Zikruhu Al Zahabi fi Siyar Aalam Al Nubala 13/253).

Ye Riwayat naqat karke Qunoot e Witr me Hath na uthane ki Daleel dene ke baad Shaykh Zubair Ali zai ne un riwayat ki Tahqeeq pesh ki hai aur aakhir me likha hai ki, 'Behtar yahi hai ki Hadees e Anas r.a. aur deegar dalail ki ru se Qunoot me Hath Na Uthaye jaye.

Wallahu Aalam.

•٠•●●•٠•

Related:

۩ Witr Padhne ka Nabawi Tarika
Read More »

5 Apr 2021

Namaz ki Niyat Dil Se ya Zuban Se ?

hi   

Kisi bhi Ibadat ki qubuliyat ka daromadaar uski niyat par hota hai isi wajah se Ummat e Muhammadiya ﷺ ki sabse unchi hadith ki kitab ki shuruat hi isi hadith se hoti hai ki Rasoolallah ﷺ ne farmaya ki aamaal ka daromadar niyat par hai (Sahih al Bukhari, hadith no.1).

Lekin sath sath ye bhi jaan le ki niyat ka matlab kya hota hai, arabic dictionary ke mutabik niyat ka matlab Dil ka iradah hota hai. To agar apne kisi ibdat ka iradah kar liya ho apki niyat wahi par ho jati hai, zaruri nahi ap apne niyat ko zuban se bole.

Isi tarha namaz ki niyat bhi tab hi ho jati hai jab ap ye iradah kar lete hai ki mujhe ab namaz padhna hai. Ya fir aesa kaha jaye ki namaz ki niyat to usi waqt hojati hai jab aadmi azan sunkar masjid ki taraf chal padta hai aur isi niyat ki wajah se us namazi ko har qadam par nekiya’n milti hai (Sahih Muslim, hadees- 654). Lehaza namaz shuru karte waqt jo kuch padha jaata hai wo khilaf e sunnat to hai hi sath hi sath khilaf e aql bhi hai.

Aur Allah sabse behtar jaanta hai.

•٠•●●•٠•

Read More »

31 Mar 2021

Paak Hone ke Baad Khoon ke Katre Aane Se Haiz Shumaar Nahi Hoga

Sawal: Maine Ramzan al mubarak ke chaar roze rakhe toh mujhe haiz aagaya, aur haiz khatam hone ke baad maine dobarah roze rakhna shuru kiye lekin khoon ke kuch katre aaye aur phir ruk gaye jab mai ghusal kar ke roze rakhti toh dobarah katre aane lagte aur saara ramzan hi aise hota raha. Baraye maherbani ye bataye ki is ke mutallik kya hukm hai?

 Jawab 

Alhamdulillah..

"Agar aisa hi hai jaisa aap bayan kar rahi hai, toh paak hone ke baad aane waale khoon ke katre haiz shumar nahi honge kyuke yeh khoon jaari nahi rahta, is liye yeh haiz ke hukm me nahi shumar hoga.

Aap ke liye roza rakhna aur namaz ki pabandi karna zaruri hai, har namaz ke liye aap wuzu kare, jis tarha saari istehaza waali aurte karti hai, aur musalsal peshab hone waali mareez karti hai, aap ne jo un ayyaam mein roze rakhhe hai woh roze sahih hai.

Allah taala hi taufeq dene waala hai, aur Allah taalaa hamare Nabi Muhammad ﷺ par aur unki aal aur sahaba karaam par apni rahmate nazil farmaye.

Fataawa Al-Lajnah Al-Daa’imah, 9/83.

•٠•●●•٠•

Read More »

28 Feb 2021

Pichle Haiz ke Hafte Baad Dobara Haiz Shuru Ho Jaana

Sawal: Maine hamal ki goliya (contraceptive pills) istemaal ki lekin inhe sahih taur par istemal na kar saki jis ki wajah se sabiqa haiz ke ek hafta baad phir haiz ka khoon shuru hogaya, toh kya is ka bhi hukm haiz jaisa hi hoga?

 Jawab 

Ji haan. Is ka hukm bhi aadati (maheene me) aane wali mahwari jaisa hi hoga, kyunke aurat se kharij hone wala khoon asal mein haiz ka hi hota hai jab tak ke istehaza ((irregular non-menstrual vaginal bleeding) ka khoon zahir nah ho jaaye.

۩ Shaykh ibn Uthaymeen r.h. se upar ka sawal pucha gaya,

'Ek aurat ko pahli haiz ke nau (9) din baad dobarah haiz ka khoon aana shuru hogaya toh is ka hukm kya hoga?'

Toh Shaykh ka jawab tha:

'Jab bhi haiz ka khoon aaye toh woh haiz hi shumaar hoga, chahe is ki darmiyani muddat kam ho ya zyada, lihza jab aurat haiz ke paanch ya che ya phir das din baad dobarah khoon aajaye to woh namaz chor degi kyun ke yeh haiz hi hai, aur is‬ tarha jab bhi use haiz aaye woh namaz nahi padhegi.' end quote.

Fataawa al-Mar’ah al-Muslimah, 1/79.

•٠•●●•٠•

Read More »

25 Feb 2021

Namaz e Juma ke liye Namaziyo ki Taadaad

Alhmdulillah..

Fatawa committee se sawal kiya gaya,

'Namaz e Juma sahih hone ke liye kitne log hone zaruri hai, kyunke baaz log kahte hai ke chalees ashkhaas na ho toh Juma sahih nahi, agar chalees se kam ho toh woh namaz zuhar ada karenge?'

Committee ka jawab tha:

'Ulema e karaam ke sahih raaye ke mutabik., Musalmano par Juma ke roz bastiyo aur dehato me namaz e Juma qayam karna wajib hai, is ke sahih hone ke liye jamaat ki shart hai, is me kisi moayyan (specific) tadaad ki koi shari daleel nahi milti, namaz jume ke sahih hone ke liye teen ya teen se zyada ashkhaas ka hona kaafi hai, jis shakhs par namaz jume wajib ho us ke liye chalees se kam tadaad hone ki bina par namaz e zuhr ada karni jaiz nahi.'

Allah hi taufeek wala hai, Allah hamare Nabi Mohammad  aur un ki aal aur sahaba e karam par apni rahmate nazil farmaye.

Fataawaa Al-Lajnah Al-Daa’imah, Part 8, P. 178.

•٠•●●•٠•

Read More »