اقرأ باسم ربك الذي خلق

28 Mar 2019

Amal Ka Faisla Khaatme Par Hai


Allah ﷻ farmate hai,

Eeman laane walo ko Allah ek qawl-e-sabit ki buniyad par duniya aur aakhirat, dono mein sabaat (steadfast) ata karta hai, aur zaalimo ko Allah bhatka deta hai.

Surah Ibrahim ﴾14﴿, ayat-27.

۩ Sahl bin Sad r.a. riwayat karte hai, Ek shakhs jo Musalmano ki taraf se badi bahaduri se (jang me) lad raha tha aur us ghazwe me Nabi kareem ﷺ bhi maujud the. Nabi ﷺ ne dekha aur farmaya ke jo kisi jahanami shakhs ko dekhna chahta hai woh is shakhs ko dekh le, chunanche woh shakhs jab isi tarha ladne me masruf tha aur mushrikeen ko apni bahaduri ki wajah se sakht tar takaleef me mubtala kar raha tha to ek musalman us ke peeche peeche chala, aakhir woh shakhs zakhmi ho gaya aur jaldi se mar jana chaha, is liye is ne apni talwaar ki dhaar apne seene par laga li aur talwar is ke kandho (shoulders) ko paar karti hui nikal gayi.

Is ke baad picha karne wala shakhs Nabi ﷺ ki khidmat me daudta hua haazir hua aur arz kiya, 'Mai gawahi deta hu ke Aap Allah ke Rasool hain. Nabi ﷺ ne farmaya ke baat kya hai? Unhone kaha ke Aap ne fulan shakhs ke baare me farmaya tha ke jo kisi jahannami ko dekhna chahta hai woh is shakhs ko dekh le halanki woh shakhs Musalmano ki taraf se badi bahaduri se lad raha tha. Mai samjha ke woh is haalat mein nahi marega. Lekin jab woh zakhmi ho gaya to jaldi se mar jaane ki khwahish mein is ne khudkushi kar li.

Nabi ﷺ ne farmaya ke bandah Dozakhiyo sa kaam karta rahta hai halanki woh jannati hota hai (isi tarhan dusra bandah) Jannatiyo ke kaam karta rahta hai halanke woh dozakhi hota hai, bilashuba amalo ka faisla (aetebar) khaatme par hai.

Sahih al Bukhari, kitab al Qadr ﴾82﴿, hadith- 6607.

۩ Anas r.a. se marwi hai ke Nabi ﷺ ne farmaya, “Kisi shakhs par us waqt tak taajjub na kiya karo, jab tak ye na dekh lo ke us ka khaatma kis amal par ho raha hai? Kyunke baaz auqaat ek shakhs saari zindagi ya ek taweel arsa tak apne nek aamaal par guzaar deta hai ke agar isi haal me faut ho jaye to jannat me dakhil ho jaye lekin fir us me tabdeeli paida hoti hai aur woh gunaho mein mubtala ho jata hai, isi tarha ek aadmi ek taweel arse tak aise gunaho me mubtala rahta hai ke agar isi haal me mar jaye toh jahannam me daakhil ho, lekin fir us me tabdeeli paida ho jati hai aur woh nek aamaal me masruf ho jata hai. Aur Allah taala jab kisi bande ke sath khair ka iradah farmata hai toh use us ki maut se pahle istemal farmata hai.”
Sahaba r.a. ne pucha ke kaise istemaal farmate hai? Nabi ﷺ ne farmaya, 'Use marne se pahle saaleh amal ki taufeek ata farma dete hai. Fir is ki rooh qabz karte hai.'”

Musnad Imam Ahmad, jild-5, hadith- 1208. Is hadees ko Shaykh Shuaib Arnot ne saheeh karaar diya hai.

۩ Ibn Rajab kahte hai,

“Jo alfaz logo ko zahir hote hai is baat ki nishandehi karti hai ki logo ko jo chiz chupi hoti hai wo isse alag ho sakti hai jo logo ko zahir hoti hai, aur ye ki ek bura khaatma isliye hota hai kyuki ek shaks ke andar ek chupa masala (problem) hota hai jisse log aagah nahi hote hai, chahe ye bure aamaal ho aur iske tarah, taaki chupi hui khubi usko maut pe ek bure khaatme tak le ja sakti hai.

Isi tarha, ek shaks jahannamiyo ke tarha amal karta hai, lekin andar hi andar uske pas kuch achhi khubi hai, aur wo uske zindagi ke aakhir me galib ho jati hai, aur usko ek achhe khaatme ke taraf le jaati hai.

Abd al-‘Azeez ibn Abi Rawaad ne kaha tha, 'Ek aadmi marne ki halat me tha aur use Laa ilaaha ill-Allaah kahne ko kaha jaa raha tha, lekin aakhri alfaz jo usne kaha wo ye tha ki 'Jo ap kah rahe hai wo is par yakeen nahi rakhta (khud ko batate hue)', aur fir uski maut waise hi ho gai!'

Unhone kaha: Maine us shaks ke bareme pucha, aur paya ki wo sharaab ka aadi (addicted) tha!

Abd al Azeez kaha karte the: Gunaho se aagah raho kyuki ye gunahe hi hai jo use bure khaatme tak le gaye.

Aam taur par, logo ka khaatma kaise hoga ye uska anjaam hota hai jo pahle guzar chuka hai, aur ye pahle hi kitab me likha hai, lihaza salaf bure khaatme se boht zyada darte the, aur un maise kuch apne pichle gunah ko yaad kar ke pareshan ho jate the.

Ye kaha jata tha ki nek logo ka dil is fikr me hota hai ki unki zindagi kaise khatam hogi, aur wo hamesha socha karte hai ki hamara khaatma kaise hoga?

Jo Allah se nazdeek hai unke dil pichle gunaho par fikarmand hote hai, aur kahte hai: Hamare khaatme par hamare gunaho ka kya asar padega? Sahl al-Tastari kahte hai: Jisne Allah ke taraf apna safar shuru kar diya hai wo darta hai ki wo kahi gunah na kar baithe aur jo Allah se nazdeek hote hai wo darte hai ki kahi wo unka khaatma kufr par na ho.

Lihaza sahaba aur nek salaf jo unke baad aaye wo darte the ki kahi wo munafiq na ho jaye, aur unka dar aur fikr kaafi zyada tha.  Toh ek eemaan wala, khud ke liye, kam darje ki munafiqat se (bhi) darta hai, aur fikrmand hota hai ki kahi ye unki zindagi ke khaatme par galib na aajaye, aur use bade darje ke munafiqat ke taraf le jaaye, jaise ki ye upar bayan hua hai ki chupa masala (problem) ek bure khaatme ke taraf le ja sakta hai.” end quote.

Jaami al Uloom wa’l-Hukam (1/57-58).

Is mauzu se mutallik ek sahabi e Rasool ka waqya:

۩ Ibn Shamasa Mahri r.h. (Tabayeen) se riwayat hai, unhone kaha, “Ham Amr b. al-As r.a. ke paas hazir hue, woh wafat paane ki halat me the, wo kafi der tak rote rahe aur apna chehra deewar ki taraf fer liya. Unka beta kahne laga: Abba jaan! Kya RasoolAllah ne ap ko fulan cheez ki basharat nahi di thi? Kya fulan baat ki basharat na di thi?

Unhone hamari taraf rukh kiya aur kaha, ham (sahaba, basharat se bhi badh kar) sabse afzal amal لا إله إلا الله محمد رسول الله ki gawahi dene ko khayal karte the.

Mai (apni zindagi me) teen marhalo se guzra hu. (Pahla yeh ke) Maine apne ap ko is haalat me paaya ke RasoolAllah ﷺ ke sath mujhse zyada bughz kisi ko na tha aur na is ki nisbat koi aur baat zyada pasand thi ke mai Aap par qabu paa kar Aap ko qatal kar du.
Agar mai is haalat me mar jata to yaqeenan dozakhi hota.

(Dusre marhala me) Jab Allah taala ne mere dil me Islam ki muhabbat paida kar di to mai Nabi ﷺ ki khidmat me haazir hua aur arz kiya, apna daaya haath badhaye taakeh mai Aap ki bait karu, Aap ne daaya hath badhaya toh maine apna haath (peeche) khech liya. Aap ﷺ ne farmaya, Aye Amr! tumhe kya hua hai? Mai ne arz kiya, Mai ek shart rakhna chahta hu. Unhone (Rasool ﷺ) farmaya, 'Kya shart rakhna chahte ho?' Maine arz kiya, 'Yeh (shart) ke mujhe maafi mil jaye.' Aap ﷺ ne farmaya: Amr! Kya tumhe malum nahi ke Islam un tamam gunaho ko mita deta hai jo isse pahle ke the aur Hijrat un tamam gunaaho ko mita deti hai jo is (hijrat) se pahle kiye gaye the aur Hajj un sab gunaaho ko mita deta hai jo is se pahle ke the.
Us waqt mujhe RasoolAllah ﷺ se zyada mahbub koi na tha aur na Aap ﷺ se badh kar meri nazar me kisi ki azmat thi, mai Aap ki azmat ki bina par aankh bhar kar Aap ko dekh bhi nah sakta tha aur agar mujh se Aap ﷺ ka huliya pucha jaye to mai bata na sakunga kyunke mai Aap ko aankhh bhar kar dekhta hi na tha aur agar mai us haalat me mar jata toh mujhe ummeed hai ke mai jannati hota.

Fir (teesra marhala yeh aaya) ham kuch chizo ke liye zimmedar the, mai nahi jaanta ki mai un me kaisa raha hu (yaani sahih ya galat).

(Aye mere bete) Jab mai mar jaau to koi noha karne wali mere sath na jaye, na hi aag sath ho aur jab tum mujhe dafan kar chuko to mujh par aahista aahista matti daalna, fir meri qabr ke gird itni der (dua karte hue) thaherna, jitni der me oont (camel) zibah kar ke is ka gosht taqseem kiya ja sakta hai taake mai tumhare wajah se (apni nayi manzil ke sath) manoos ho jau aur dekh lu ke mein apne Rab ke farishto ko kya jawab deta hu.

Sahih Muslim, kitab al eemaan ﴾1﴿, hadith- 321.

•٠•●●•٠•

Allah hame us haal me maut de jab Aap hamse raazi ho. aameen
Read More »

23 Mar 2019

Ruku Ke Baad Hath Bandhna | Shaykh Albani


Shaykh Albani farmate hai,

“Ruku  ke baad  qiyaam me itminaan ka wajib hona to sabit hai lekin ahle hijaz se baaz qabil e ahtaram ahle ilm is hadees (المسیے ء صلاتہ) se istidelaal karte hue is qiyaam me hath bandhne ko sabit karna nihayat mushkil aur ba'eed az imkaan (gair-mumkin) hai balki is ka isbaat (daleel) batil hai isliye ke kisi hadees me is ka zikr nahi hai, ke is qiyaam me hath bandhe jaaye, daaye hath ko bayein hath ke saath pakadne ki tafseer ruku ke baad kaise durust hai ye bhi tab hi  agar us par is muqaam me hadees ke alfaaz ka majmua muwafqat kare, pas kaise dalaalat (sabit) kar sakta hai jab ke is ki toh zaahiri dalaalat us ke mukhtalif hai. Mazeed zikr karda hatho ke rakhne ka hadees se bazaahir maloom nahi ho raha hai jab ki haddiyo se maqsood kamar ki haddiya hai jaisa ke is ka zikr pahle guzar chuka hai jab ki is ki taaeed Aap ﷺ ke amal se bhi hoti hai jis ka zikr pahle guzar chuka hai ke Aap seedhe barabar  khade ho jate the yahan tak ke har mahrah (hissa) apne muqaam par wapas aa jata tha. Pas Aap is par munsifana andaaz ke saath gaur o fikr kare.

Chunanche mujhe qat'an shak nahi hai ke is qiyaam me hath bandhna aisi biddat hai jo gumraahi se hamkinaar hai, agar is ka kuch subut hota to kahi (toh) zikr hota, mazeed is se bhi taeed ho rahi hai ke salaf saliheen me se kisi se bhi ye sabit nahi hai aur na is ka zikr aimma e hadees me se kisi ne kiya hai. wa Allahu alam.

Albatta Shaykh Tuwaijri ne apne risaala ke safa 18,19 me Imaam Ahmad (bin hambal r.h.) se naqal kiya hai, wo kahte hai ke ruku ke baad qiyaam me hatho ko  bandhna aur chor dena dono durust hain lekin ye unka apna ijtihaad aur qawl hai, marfu hadees nahi hai aur ijtihaad kabhi galat bhi ho jata hai lihaza jab kisi kaam ke biddat hone par sahih hadees maujud ho jaisa ke is masa'le me maujud hai toh kisi imaam ka qaul is ko biddat hone se baaz nahi rakh sakta jaisa ke ye qaeda (usool) Shaykh ul Islam Ibn e Taymiyyah (r.h.) ki baaz kitabo me mazkur hai balke mujhe toh Imaam Ahmad (rh) ke is kalam se (yeh) maloom hota hai ke in ke nazdeek is qiyaam me hath bandhna sunnat ke saath sabit nahi jab ki unhone hath bandhne aur chorhne ka ikhtiyaar diya hai, pas kya Imaam Ahmad r.h. ruku se pahle qiyaam me is tarah ka ikhtiyaar de sakte hai, malum hua ke ruku ke baad qiyaam me hath bandhna masnoon nahi hai agarche is  mas'ale ko tafseel se bayaan karne ki zarurat thi lekin gunjaish na hone ki wajah se ikhtisaar ke saath is ka zikr kar diya gaya hai.” end quote.

source: Namaz e Nabawi (Muhammad Nasiruddin al-Albani) [Urdu version], page-129-130. [scan]

•٠•●●•٠•
Read More »

21 Mar 2019

Surah Baqara Ki Aakhri Do (2) Ayat Aur Iski Fazilat

hi   -
Allah ﷻ farmate hai,

۞ Rasool eemaan laaye us cheez par jo unki taraf Allah ki jaanib se utri aur momin bhi eemaan laaye, ye sab Allah aur us ke farishto par aur us ki kitabo par aur us ke Rasoolo par eemaan laaye, us ke Rasoolo maise kisi me hum farq nahi karte, unhone kah diya ke hum ne suna aur itaat ki, hum teri bakshish talab karte hai, aye hamare Rab! Aur hame teri hi taraf lautna hai.

Allah kisi shaks par uski quwat se zyada bojh nahi dalta, jo neki wo kare wo us ke liye aur jo burayi wo kare wo us par hai, aye hamare Rab! Agar hum bhul gaye ho ya khata ki ho, to hame na pakadna, aye hamare rab! Ham par wo bojh na daal jo ham se pahle logo par daala tha, aye hamare Rab! Hum par wo bojh na daal jis ki hame taakat na ho aur ham se darguzar farma! Aur hame baksh de aur hum par raham kar! Tu hi hamara Maalik hai, hame kafiro ki qaum par ghalba ata farma.

Surah Baqara, ayat- 284-285. [arabic text padhe]

۩ Abdullah bin Umar r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ko (Meraj wali raat) teen chize di gayi thi, unhe paanch namaze di gai thi, Surah Baqara ki Ikhtitami (akhri) ayate di gai thi, aur unki ummat ke unlogo ko sangeen gunaho ki maafi di gai thi jo Allah ke sath kisi ko shareek nahi karte.

Sahih Muslim, kitab al eemaan ﴾1﴿, hadith- 173.

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Jisne surah baqara ki do (2) aakhri ayat raat me padh li wo use (har aafat se bachane ke liye) kafi ho jayegi.”

Sahih al Bukhari, kitab fazail al Quran ﴾66﴿, hadith- 5009.

۩ Ibn Qayyim kahte hai,

“Wo (ayate) usko kisi bhi burai ke khilaf kaafi kar degi jo use nuksan pohcha sakti hai.”

Al-Waabil al-Sayyib (132).

•٠•●●•٠•
Read More »

20 Mar 2019

Rafa Yadain Par Sachha Khwab | Qazi Abu Jafar


Imam Daruqutni (d. 385 hijri) farmate hai,

“Maine (apne Ustad) Qazi Abu Jafar r.h. ko ye kahte hue suna hai, “Pahle mera bhi yahi mauqif tha jo ahle Iraq ka hai (ke rafayadain ke bagair namaz padhna chahiye) lekin fir maine khwab me Nabi akram ﷺ ko namaz ada karte hue dekha, Aap ﷺ ne namaz ke aaghaz (shuruat) me takbeer tahreemah kahte hue rafa yadain kiya, fir ruku me jaate hue rafa yadain kiya, fir ruku se sar uthate hue rafa yadain kiya.”

Sunan Daruqutni, kitab al salat, hadees- 1110. [scan]

Note: Is hadees ko khud Imam Daruqutni apne ustad Qazi Abu Jafar se bayan kar rahe hai toh isme sanad ki zarurat nahi hai.

۞ Raful Yadain karne ki zarurat aur uska fayada ek Tabayeen bayan farmate hai,

۩ Sa’eed bin Jubair r.h. (tabayeen) se namaz me rafa yadain ke talluk se pucha gaya, unhone farmaya, “Ye logo ke namaz ki khubsurti hai.”

Juzz Raful Yadain- Imam Bukhari, hadees- 32.

Aur yahi Tabayeen hai jo sahaba ke namaz ka tarika batate hai,

۩ Sa’eed bin Jubair r.h. (tabayeen) farmate hai ki RasoolAllah ﷺ ke sahabi r.a. Namaz shuru karte waqt, ruku se pahle aur ruku ke baad rafa’ yadain kiya karte the.

Sunan Al Kubra Baihaqi, Vol 2, Page 75, hadees- 2355.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo ham sabko sirat e mustaqeem ata kare. aameen.
Read More »

13 Mar 2019

Ahle Ilm Ki Galtiya | Imam Zahabi


۩ Imam Zahabi farmate hai,

“Agar ek bada alim zyada tar sahih hota hai, aur sach ke liye uski muhtat (meticulous) tashveesh, aur uske ilm ki wusat, aur uski aqalmandi jis ke liye wo achhi tarah se jaana jata hai; jaise ki uski neki aur parhezgaari ke liye, aur uske amal ke liye, toh uske gunah muaf ho jate hai. Aur uske saare acche kaamo ko bhula kar ham ye nahi kahte hai ki wo gumrah ho gaya hai, (Ji) Ye thik hai! Albatta, ham uske galti ya biddat ki pairwi nahi karte, aur ham ye ummeed karte hai ki wo tauba karega (agar use apni galti ka ehsaas hua).”

Sayr-ul-A’laam An-Nubalaa (Vol. 5, pg. 271).

۩ Imam Zahabi farmate hai,

Ham sunnat aur sunnat wale log se muhabbat karte hai. Aur ham ahle ilm se (sunnat par) amal aur unki neki aur tareef ke layk kirdaar ke wajah se muhabbat karte hai. Albatta, ham unke kisi biddat se muhabbat nahi karte, jo wo galat ijtehad karne ke wajah se lekar aate hai. Aur sabse zaruri chiz jo dekhi jayegi wo uske neki ki taadaad hai.”

Sayr-ul-A’laam An-Nubalaa (Vol. 20, pg. 46).

۩ Imam Zahabi farmate hai,

“Agar ham har baar ahle ilm ko ahle biddat (biddati) bana dein jab kabhi wo galti kare muqammal tahkeek ke baad, shariat ke kisi ahkaam ko nikaalne ke liye, fir toh Ibn Nasr and Ibn Mandah jaise log hamse mahfuz na rahte, na hi koi aur ahle ilm - yaha tak ki wo bhi jo inse bade hai. Wo Allah hai jo apne makhluq ko sach ke taraf rahnumayi karta hai aur wo raham karne walo ke liye bada rahmaan hai. Aur ham Allah se, apni khwahisho aur sakht dil aur be-adabi ki panaah talab karte hai.”

Sayr-ul-A’laam An-Nubalaa (Vol. 14, pg. 39-40).

۩ Imam Zahabi farmate hai,

“Agar har (alim) ko, uske muqammal tahkeek ke baad shariat ke kisi ahkaam nikalne me galti ke wajah se ham tabah kar dete aur unko ahle biddat me shumaar kar lete- unke sahih eemaan aur sach ki pairwi karne ki niyat hone ke bawujud, toh fir sirf kuch hi alim hamse mahfuz rahte. Allah in sab par apne karam aur sakhawat ke sath raham kare.”

Sayr-ul-A’laam An-Nubalaa (Vol. 14, pg. 376).

•٠•●●•٠•
Read More »

5 Mar 2019

Is Ummat Ke Gareeb

hi   -
Allah ﷻ farmate hai,

Har jaan ko maut ka maza chakhna hai aur qayamat ke din tum apne badle pure pure diye jaoge, pas jo shaks aag se hata diya jaaye aur jannat me daakhil kar diya jaaye, be-shak wo kamyaab ho gaya aur dunya ki zindagi to sirf dhoke ka sauda hai.

Surah aal e Imran ﴾3﴿, ayat- 185.

Aakhir kaar jab wo kaan bahre kar dene wali aawaaz buland hogi. Us din aadmi apne bhai se aur apni maa aur apne baap se. Aur apni biwi aur apni aulaad se bhagega. Un maise se har shaks par us din aesa waqt aa padega ke use apne siwa kisi ka hosh na hoga.

Surah Abasa ﴾80﴿, ayat- 34-37.

RasoolAllah ﷺ ne hame is ummat ke gareeb ya diwaliya (bankrupt) ki sifat batayi hai,

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya, 'Tumhe maalum hai gareeb kaun hai?' Sahaba r.a. ne arz kia, ham to gareeb us ko samjhte hai jis ke paas rupya-paisa aur saaz o saamaan na ho.
Rasool ﷺ ne farmaya, “Meri ummat me gareeb wo shaksh hoga jo qayamat ke din namaz, roza aur zakat ke sath aayga magar us ne kisi ko gali di hogi, kisi par jhuta-ilzam lagaya hoga, kisi ka maaal hadap kiya hoga, kisi ka khoon bahaya hoga, kisi ko maara hoga, chunache us ne jin jin logon ki haq talfi ki ho gi unhe us ki nekiya de di jayengi. Aur agar uski nekiya kam pad jaye toh fir in logo ke gunaah la kar us par laad diya jayega . Aur use dozakh me fenk diya jayega.”

Sahih Muslim, Book of virtue, enjoining good manners, and joining of the ties of knship ﴾45﴿, hadith- 6579.

Isi liye RasoolAllah ﷺ ne hame ek faydeman aur khubsurat naseehat ki hai:

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Agar kisi shaks ka zulm kisi dusre ki izzat par ho ya kisi tarike (se zulm kiya ho) toh aaj hi, us din ke aane se pahle muaf kara lo, jis din na (toh) deenar honge, na dirham, balki agar us ka koi nek amal hoga toh us ke zulm ke badle me wahi le liya jayega aur agar koi nek amal us ke paas nahi hoga toh us (mazlum) ki buraiya us par daal di jayengi.”

Sahih al Bukhari,  Book of oppressions ﴾46﴿, hadith- 2449.

Isi mauzu se mutallik, RasoolAllah ne qayamat ke din aane wale ek dusre shaks ka zikr kiya hai.

۩ Saubaan r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Mai apni Ummat me se aese logo ko janta hu jo qayamat ke din Tihamah ke pahado ke barabar nekiya le kar ayenge. Allah ta'la in (nekiyo) ko fiza me udte hue zarre ki tarah bana dega.
Saubaan r.a. ne arz kiya, Allah ke Rasool! un logo ka haal ham se bayan farmaye aur khol kar bayan farmaye taakeh la-ilmi aur jahalat ke wajah se ham un me se na ho jaye.
Aap ﷺ ne farmaya, “Jaan lo wo tumhare bhaiyo mai se hi hai, aur tumhari qaum mai se hi, wo bhi raato ko isi tarah ibadat karenge, jaise tum ibadat karte ho, lekin wo aese log hai ke jab tanhaai me honge toh haraam kaamo ka irtikaab karenge.”

Sunan ibn Majah, kitab al Zuhd ﴾37﴿, hadith- 4245. Is hadees ko Buwaysari ne Misbaah al-Zujaajah (4/246) me sahih karaar diya hai.

۩ Ibn Hajar al-Haythami is hadees ke talluk se farmate hai, “Upari taur par nek hone ka dikhawa karna aur Allah ke muqaddas hudud ko todna; akele me gunah e sageera (chota gunah) karne ko kuch bada samjha jata hai, (aur fir inhone ek hadees ko daleel bana kar kaha hai) Ek shaks jisko nek banne ka dikhawa karne ki adat ho aur apni buri chizo ko chupane ki, ye musalmano ko zyada nuksan aur gumrah karti hai, kyuki uske paas na neki hai aur na hi Allah ka khauf.” End quote.

Al-Zawaajir (3/49).

Aur isi tarha RasoolAllah ﷺ ne hame ek teesre kism ke logo ka amal bataya hai jo akhirat me barbaad ho jayega:

۩ Natil ne Abu Hurairah r.a. se kaha, Aye Shaykh! Mujhe aisi hadees sunaye jo ap ne RasoolAllah ﷺ se suni ho.
Abu Hurairah r.a. ne kaha: Haan, Mai ne Rasool ﷺ ko yeh farmate hue suna: “Qayamat ke roz sab se pahla shakhs jis ke khilaaf faisla aeyega, woh hoga jise shaheed kar diya gaya. Use pesh kiya jayega. Allah taala use apni (ata kardah) nemat ki pahchan karayega toh woh use pahchan lega. Woh (Allah) puchenge tum ne is nemat ke sath kya kiya?
Woh kahega: Mai ne Ap ki raah me ladayi ki hatta ke mujhe shaheed kar diya gaya.
(Allah taala) farmayega, tum ne jhoot bola. Tum is liye lade the ke kaha jaye: yeh (shakhs) bahadur sipahi hai. Aur yahi kaha gaya, fir is ke bare me hukum diya jayega toh is aadmi ko munh ke bal ghasita jayega yahan tak ke aag mein daal diya jayega.

Fir woh aadmi jis ne Ilm padha, padhaya aur Quran ki qirat ki, use pesh kiya jayega. (Allah taala) use apni nematon ki pahchan karayenga, woh pahchan kar lega, (Allah) farmayenge: Tum ne un nematon ke sath kya kiya? Woh kahega: Maine ilm padha aur padhaya aur teri khatir Quran ki qirat ki, (Allah) farmayega: Tum ne jhut bola, tum ne is liye Ilm padha ke kaha jaye (yeh) aalim hai aur tum ne Quran is liye padha ke kaha jaye: yeh qaari hai, (aur) woh kaha gaya, fir is ke bare me hukum diya jayega, use munh ke bal ghasita jayega hatta ke aag me daal diya jayega.

Fir woh aadmi jis par Allah ne wusat ki aur har qism ka maal ata kiya, use laya jayega. Allah taala use apni nematon ki pahchan karayenge, woh pahchan lega. Allah farmayenge: Tum ne un me kya kiya? (wo) kahega: Maine koi raah nahi chori jis (raah) me apko pasand hai ke maal kharch kiya jaye magar har aisi raah me kharch kiya. Allah farmayenge: Tum ne jhoot bola hai, tum ne (yeh sab) is liye kiya taake kaha jaye, woh sakhi hai, (aur) aisa hi kaha gaya, fir is ke bare mein hukum diya jayega, to ise munh ke bal ghasita jayega, fir aag mein daal diya jayega.

Sahih Muslim, book on government ﴾33﴿, hadith- 4923.

•٠•●●•٠•

Allahumma ajirni minan naar. aameen.
Read More »