اقرأ باسم ربك الذي خلق

Showing posts with label Islah. Show all posts
Showing posts with label Islah. Show all posts

17 Aug 2018

Alim Ki Galti Karne Ki Ek Wajah

en -
Allaamah Abdur-Rahmaan Bin Yahyah Al-Mu’allimee r.h. kahte hai:

“Aur ye baat jaan lo ki Allah kuch mukhlis (sincere) logo se galtiya karwata hai dusre logo ke imtehan ke liye ki wo (log) haqiqat ko manenge aur us (mukhlis) shaks ki baat ko chor denge ya fir us nek shaks ki neki aur uske muqam se dhoka kha jayenge. Wo (nek shaks) apni galti par sirf muaf hi nahi kar diya jata hai balki use is ijtihad ke liye aur nek niyat ke wajah se sawab bhi milta hai aur na hi us (alim) ke rutbe ya izzat me koi kami hoti hai. Albatta jo shaks us (alim) ke rutbe ke dhoke me aakar unki pairwi karta hai bina Allah ki kitab aur RasoolAllah ﷺ ki sunnat ke asal dalail ke taraf mutawajje hue, uske liye muafi nahi hai balki wo ek bade khatre (danger) par hai.”

Raf’ul Ish-tibaah, page 152-153. [download arabic pdf]

•٠•●●•٠•
Read More »

Haq Ka Inkaar Karne Walo Ka Tarika Aur Unka Anjaam

en -
۞ Haq Ka Inkaar Karne Walo Ka Tarika:

"Mai (Rasool) Ne Jab Kabhi Unhe Teri Bakshish Ke Liye Bulaaya, Unhone Apni Ungliya Apne Kaano Me Daal Li Aur Apne Kapdo Ko Odh Liya Aur Ad Gaye Aur Bada Takabbur Kiya."

Quran, Surah Nooh, Ayat-7.

Imam ibn Kaseer is ayat ki tafseer me kahte hai:

“Unhone apne kaan band kar liye taaki wo sun na sake jiski taraf mai (Rasool) unhe bula raha tha. Sa`id bin Jubayr aur As-Suddi dono ne kaha ki wo apne sar dhaanp liya karte the taaki wo unki (Rasool ki) baat sun na sake. Aur bada takabbur kiya ka matlab ye hai ki unhone haq se muh fer liya aur (khud ko) haq ke supurd na kiya.”

Tafseer ibn Kaseer,  Surah Nooh, Ayat-7.

۞ Haq Ka Inkaar Karne Walo Ka Anjaam:

Aur wo kahenge, "Agar hum (unki baate) sun lete ya Aqal istemal kar lete, toh dozakiyo me (shareek) na hote."

Surah al-Mulk (67), ayat-10.

Imam ibn Kaseer is ayat ki tafseer me kahte hai:

“(Is ayat ka) Matlab, Agar ham apni aqal ka fayda uthate ya haq ko sunte jo Allah ne utaari hai toh fir ham Allah par kufr na karte aur uske bareme gumraah na hote. Balki hamare paas itni samajhdaari nahi thi ye samajhne ke liye jo Rasool laaye the, aur hamare pas aqal nahi thi taaki unki (Rasool ki) pairwi kar ke ham khud ko raahe raast par laa sakte.” 

Tafseer ibn kaseer, Surah al-Mulk (67), ayat-10.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame haq ki mukhalifat karne se bachaye aur haq ko sunne aur aqal se fayda uthane ki taufeek ata kare. aameen.
Related:

Read More »

11 Aug 2018

Madkhali Bhaiyo Ko Ulema Ke Taraf Se Dawat e Islah

hi  -
Assalaam alaykum.

Alhamdulillah wassalaato wasasslaaam ala RasoolAllah.

Agar ap is field me ilm rakhte hai to apko pata hoga ki badkismati se hamare salaf ke manhaj ke manne walo me bhi firqe ban rahe hai kuch saalo se. Aur is baat ka saaf taur par Shaykh Badr Ibn Alee Ibn Taamee Al-Utaybee ne apni kitab 'Have mercy upon Salafiyyah' ke page no-11 me zikr kiya hai, Ye shaykh bin Baaz ke senior student hai aur Markaz Ad-Da’wah, Taaif, Saudi Arabia ke head hai.

To Salafi jamaat maise ek jamaat hai jisko aam taur par Madkhali salafi kaha jata hai. Kuch log inlogo ko aur naam bhi dete hai, jaise ki Shaykh Asim al Hakeem in logo ko 'Neo Salafi' ke naam se zikr karna pasand karte hai.

To mai ab fark bata du taaki koi shak wa shubah na baaki rahe. Ek to hamare Salafi bhai hai jo ki aam taur par mukhlis hote hai, sahaba aur salaf ke tarike par zindagi basar karne ki koshish karte hai alhamdulillah aur hamlog ka aur inlog ka manhaj ek hi hai ki Quran aur Sunnat ko salaf ke fahm se samajhna hai.
Aur jo madkhali log hai inlogo ka rawayyat kaafi alag hai. Mai apne comments ke bajaye apko ulema e haq ke comments bataunga in shaa Allah.

Toh ye jo Madkhali Jamaat hai inlogo ne is darje ke amal kiye hai ki hamare mohtaram ustaad, Shaykh Zubair Ali Zai, Shaykh Fawzan, Shaykh ibn Uthaymeen, Shaykh Asim al hakeem, wagaira ko khud maidaan me aakar inka radd karna pada aur ye batana pada unhe ki jo ye log jis tarha ki harkat karte wo salaf ka manhaj bilkul nahi hai balki inhone salafiyat ka rasta hi chor diya hai. Aur in logo ke kartut ke wajah se hamare salafi manhaj ko nuksan pohch raha hai.

Fatwe to fatwe, hamare ulema e karaam ko in logo ke khilaf kitaabe tak likhni padi inlogo ki harkato ke wajah se. Kuch mashhoor kitabo ke ye naam hai:

۩ Salafiyat Par Rahem Kare - Shaykh Badr Ibn Alee Ibn Taamee Al-Utaybee [senior student of Shaykh ibn Baaz].
۩ Sunnat Wale log - Shaykh ‘Abdul-Muhsin bin Hamad al-‘Abbaad.
۩ Ye Manhaj e Salaf Nahi - Shaykh Muhammad Bazmool.

Apko ye teeno kitabe is link se download kar sakte hai: https://goo.gl/1PsJUA

Aur inke khilaf jo hamare ulema ke sakht fatwe hai mai apse wo bhi share karunga in shaa Allah. Lekin usse pahle apke zahen me ye sawaaal aa raha hoga ki ham un salafio ko pahchane kaise kyuki aksar wo khud ko sirf salafi hi kahte hai kyuki unko pata hai ki unka radd kiya hua hai hamare ulema e karaam ne. Toh jo in kitabo me unki nishaniya batayi gai hai mai us par roshni daal kar apko fark waazeh karunga in shaa Allah.

۩ Pahli baat: Jo salafi honge unko ap is masrufiyat me payenge ki wo logo ko Quran aur sunnat ke taraf aur Tawheed ki taraf bulane me masroof rahenge, ye log dusro par aam taur par tanqeede nahi karte. Jab ki jo Madkhali salafi honge wo log din bhar bas ahle ilm ki galtiya nikalne aur un par hamla karne me masroof rahte hai.

Shaykh Abdul Azeez bin Abdullah (grand mufti of saudi arabia) kahte hai:

"Talib E Ilm Is Tarhan Fula Fula Logo Par Hamla Karte Hue Khud Ko Masroof Nahi Karte. Lekin Woh Achi Tarha Se Islaah Aur Khair Ke Taraf Logo Ko Bulane Me Masroof Rahte Hai."


۩ Dusri baat: Jo Salafi hote hai wo ahle sunnat ke logo ki galtio se deal karna aur ahle biddat ke logo ki galti se deal karne me fark karte hai. Yaani jo shaks shirk aur biddat karta hai aur jo Tawheed parast hai jo biddat nahi karta in dono se islah karne ke rawayyo me fark karte hai. Isi liye apko ye pata hoga ki Dr. Zakir, Dr. Israr wagaira ki galtiyo par hamare ulema itna sakht tabsirah nahi karte aur aksar ulema to inki galtiyo par kuch comment hi nai karte kyuki unhe pata hai ki ye ahle ilm shirk aur biddat me mulawwis nahi hai ha ijtihadi agar koi galti ho jaye to isme koi badi baat nahi hai wo kisi se bhi ho sakti hai.
Lekin jo Madkhali honge wo in ahle ilm aur inke students ko zero se multiply kar denge jaise wo shirk aur biddat me dube hue logo ke sath karte hai, aur un par gumrah, manhajless, biddati, pata nahi kya kya kahenge.

Shaykh Bazmool farmate hai: Yeh Mahajj se Salaf maise nahi ki ahle sunnat ke logo ki galtiyo se waise hi deal kiya jaye jaise ki ahle biddat ki galatiyo se deal kiya jata hai. Beshak Adam ki har aulad se galti hoti hai, is liye logo ka manhaj dekha jayega (ki wo ahle biddat hai ya ahle sunnat) aur uski galti par usi tarah deal kiya jayega.

Kitab - Ye Salaf ka Manhaj nahi, page-3.

۩ Teesri Baat: Madkhali log, logo ki galti par unhe naseehat karne ke bajaye ye unki galti ko logo me aam kar dete hai aur ye logo ki galti par unhe samjhane ke bajaye unhe boycott karna shuru kar dete hai ki inhe mat suno, is website se aagah ho jao, inke pas baitho mat, inko padho mat, wagaira.
Jab ki jo Salafi hote hai wo in sab chizo me nahi padte hai kyuki wo jante hai ki Quran me Allah pak ne bas hame haq baat batane ki zimmedari daali hai na ki logo ko hidayat dene ki.

Shaykh Fawzan kahte hai:

“Aur jhagde ko chor de, jo talib e ilmo ke bich ho gayi hai, (ek dusre se) nafrat karna, lanat karna, logo ko ek dusre ke khilaf karna, jab tak ke wo ummat aur talib e ilmo ko apas me baant na de, (aur unka kahna ki): "In in logo se khabardaar ho jao! fula aur fula ke sath baitho mat! fula aur fula ko mat padho!" - Iski ijazat nahi hai.

Agar fula aur fula ne galti ki hai, toh ek ek karke unhe naseehat kare, jab ki isko (unke galtiyo ko) logo me faila dena aur inke khilaf logo ko aagah karna jab ke wo alim hai, ya talib e ilm hai, ya koi nek shaks hai jisne galti ki hai, iski zarurat nahi hai ki un galtiyo ko logo me failaya jaye

Jo zaruri hai wo ye ki ap imaandaari se ek dusre ko naseehat kare, jo zaruri hai wo ye ki ap ek dusre se muhabbat kare, khas taur par talib e ilm se, khas taur par ulema se, ulema ki izzat ki jaye, aur na ki unko ek dusre ki khilaf kiya jaye, aur na hi un logo se aagah kiya jaye, Ye boht si buraai ki wajah hai, jhagda aur nafrat ki wajah hai, fitnah ki wajah hai - in sab chizo ko (sahih) raste par laaya jaye.”

source : https://youtu.be/LtG6F5mEPtM

Toh ye bunyaadi teen fark the jinke zarye ap unhe pahchan sakte hai. Ab mai in Madkhali hazraat ki ek baat aur batata hu. Ye log ahle ilm ki galti nikalne aur unhe out of context quote karne me expert hote hai, chahe wo shaks kitna hi Tawheed-parast aur sahih aqeede ka kyu na ho, bas agar apne in Madkhaliyo se zara sa koi ikhtilaf kar diya to ye apko na samjhayenge na islah karenge. Ye khamoshi se pahle apki choti choti galtiya talash karenge, agar galti na mile to ye apki baato ko galat aur out of context quote kar ke unhe jama karenge, aur fir ye is chiz ko logo me ya apni websites me faila denge taaki ek aam salafi bhi confuse ho jaye ki ye banda ya ye ahle ilm to Quran aur sahih hadith se baat karta hai, shirk aur biddat ke bhi khilaf hai, fir aesa kyu hua?

Aur ye log din bhar baith kar bas yahi kiya karte hai, inka main Islam yahi hai. In logo ne Dr. Zakir Naik, Dr. Israr, Dr. Farhat Hashmi, aur yaha tak ke Shaykh Zubair ali zai ko bhi nahi baksha jo ki ek boht bade aalim aur muhaddis hai. Ab ap khud soche jab ye itne bade alim ko nahi bakshte to ye hamare aur ap jaise talib e ilm ko kaise baksh denge:

Shaykh Zubair Ali Zai kahte hai:

"England wagaira ke taqleedi Salafiyo ne kazb (jhut) wa iftira (bohtan lagana) aur tashaddud (extreme) ki raah apnate hue Ahle Hadees Ulema wa aawaam par radd shuru kar rakhen hai. Zara si baat ya ijtehadi khata par wo logon ko salafiyat se bahar nikal dete hai. Is tarah ke log purane jamane me bhi the jin ke baare me Hafiz Zahabi r.h. likhte hai:

'Ye Ashaab e Hadees nahi hai balki wo faajir wa jaahil hai. Allah unke shar ko dur kare.'

(Siyar A'lam al-Nubala, 17/460).

Unhi kazzabeen (liars) maise Abu Khadija Abdul Wahid bin Muhammad aalam meerpuri, Yasir Ahmad bin Khushi Muhammad aur Abu Yusuf Abdur Rahman haafiz, teeno kazzab wa iftara (bohtan lagane) me bohot mashoor hai."

Al Hadith Hozro, volume-11, page-42.

Inka fitna shuru me to sirf england wagaira me tha lekin kuch saalo se ye hamare sub-continent me inka fitna kaafi fail gaya hai. Ap dekh sakte hai ki shaykh zubair kitne sakht alfaz me in logo ka radd kar rahe hai. Shaykh Zubair ki dua par ham aameen kahte hai.

Aur isi tarha se Shaykh Fawzan,  Shaykh ‘Abdul-Muhsin bin Hamad al-‘Abbaad, Shaykh Asim al Hakeem jaise ulemao ne in logo ka radd kiya hai. Niche diye gaye 2 links me ap in ulema ka radd padh sakte hai:


Aur akhir me mai apne mohtaram Ustaad Shaykh ibn Uthaymeen ka fatawa pesh karna chahunga jo ki unhone Madkhaliyo ke bareme kaha hai:

“Hamare Is Daur me Kuch log jinhone salafiyyah ka rasta apnaya hai unlogo ne har us shaks ko gumraah kahna shuru kar diya jo unse ikhtilaf karta hai yaha tak ke agar wo shaks sahih ho, aur kuch logo ne Hibz ka rasta apnaya hai jis tarha se dusre groh (parties) ne apnaya tha jo apne ap ko Mazhab e Islam se hone ka dawah karte hai. Ye kuch aesa hai jo na-pasandida hai aur jiski manzuri nahi di ja sakti, aur unlogo se ye kahna chaiye ki Salaf as saaleh ke tarike ko dekho, wo kya kiya karte the? Un ke tarike ko dekho aur kaise wo khule dil ke the jab ikhtilaf ki surat aati thi jisme ijtihaad jaiyz hai (aur ikhtilaf kabile qubul hai). Woh bade masail me bhi Ikhtilaf karte the, eeman aur amal ke masail me. Ap ko kuch chize milengi, jaise, RasoolAllah ﷺ ka Allah ko dekhne par inkar karna jab ki dusro ne kaha ki unhone dekha hai. Apne kuch ko ye kahte hue dekha hoga ki qayamat ke din jo chiz tauli (weighted) jayegi wo hai aamaal jab ki dusre log kahte the ki wo to aamaal ki kitab hai jo tauli jayengi. Ap unhe dekhenge ki wo Fiqh ke muamlo me bhi kafi had tak ikhtilaf karte the, jaise Nikah, wirasat ka hissa, khareed aur farokhqt, aur dusre muamlo me. Lekin is ke bawujud unhone ek dusre ko gumraah nahi kaha.

Salafiyyah ek khas Jamaat ke taur par jiski alag khushusiyat ho jisme log un logo ke siwa sabko gumraah kahe, in logo ka salafiyyah se kuch bhi lena-dena nahi hai. Jaha tak ke salafiya jiska matlab salaf ki pairwi karna eeman me, kalimaat aur aamaal me, ittihad, mutabqat aur shafkat aur muhabbat ke taraf bulana jaisa ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Momin ke Misaal ek jism me Muhabbat, rahmat aur shafkat ki tarha hai; jab koi ek hisse me takleef hoti hai toh fir baaki hissa bhi us ke sath jaagta hai aur bukhar me shamil ho jata hai- YE ASAL SALAFIYYAH HAI."” End quote. 

Liqaa’aat al-Baab al-Maftooh, 3/246.

Aur akhir me, in sab ka maqsad kisi ki burai karna, ya kisi ko sunne se rokna nahi hai. Balki jo log confuse hote hai unki harkato se unki confusion dur karna hai. Aur mai unlogo ke tarha ye bhi nahi kahunga ki in logo ko ap sunna band karde ya inlogo ke liye galat zuban istemal kare, balki jab bhi apko aese log mile toh Ap muskura kar ache akhlaq se unhe Quran aur sunnat ki roshni me bataye ki ye jo amal karte hai ye sahaba nahi kiya karte the aur ikhtilaf ki halat me salaf ka rawayya kya hua karta tha. Aur unhe upar zikr karda fatawa dekar samjhaye ki unhone kaha par salaf ka rasta chor diya hai, kyuki wo hamare hi Musalman bhai hai jinko galti lag gayi hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

8 Aug 2018

Tahkeek Karne Ke Aadaab


Mai apko tahkeek karne ki chand bunyadi baate batana chahta hu jo maine apne Ustaado se sikhi hai aur jo mai khud par apply karta hu.

Alhamdulillah..

Sabse Pahla qadam apka ye hoga ki ap apne apko Tassub se bilkul paak karle. Agar to ap kisi waaqye se, kisi ayat se apni koi baat talash karne nikle hai toh insan ki ye kamzori hai ki wo usme apne khayalaat padhna shuru kar deta hai, ap apne apko isse bilkul paak kar le.

Ye samajh le ki pahle mujhe asal baat janni hai khwah wo meri raaye ke khilaf ho, khwah wo meri zindagi bhar ki maani hui baat ke khilaf hai. Toh apko ye kaam karna hai.

To jaise hi ap ye iradah karte hai, aur taashubaat ko, jazbaat ko ek taraf rakh kar dakhil ho jate hai, toh mai apse ye arz karna chahta hu ki haqiqate bilkul saamne padi hui hoti hai. Ap kabhi is baat ka tajurba karna chahe toh aesi hi kisi haqiqat ki talash ka tajurba karle.

Ye pahla kaam boht mushkil kaam hai lekin ye sabse pahle karna padta hai, ki apne apko aap zahni lihaaj se Tassubaat se utha lein. Apne kayi logo ko dekha hoga ki jab ap unko koi baat sunate hai toh wo baat ko sunne ke dauran uska jawab soch rahe hote hai. Jab ki baat ko sunne ke dauraan me sirf baat sunni chahiye.

Agar apko kisi ki baat badi ajnabi lag lari hai toh pahle uski baat ko samahna chahiye, jaise ki wo fil-waqe (in actual) hai usko waise dekhna chahiye. Is saare marhale se guzarne ke baad ap ye dekhye ki us baat me kya koi wazan hai? Ya apko is baat par koi tanqeed karni hai?

Jab ki haqiqat me jab bhi ham apne mukhalif koi baat sunte hai ham bina soche samjhe pahle hi kah dete hai ki ye kaisi ajeeb si baat kar raha hai, aur ye kahne ke baad fir ham apna dimag band kar lete hai. Jab ki ajeeb si baat hi se toh ilm ki shuruaat hoti hai. Yaani agar kisi sahib e ilm ne apko apki pahli maani hui baat ke khilaf ya usse mukhtalif koi baat batayi hai toh apko shukrguzar hona chahiye ki ek nayi dimention samne ayi hai, aaiye gaur karte hai, ye zaruri nahi ki wo thik ho. Tajziya karke, tahkeek karke ap usko galat karaar dedein agar apke mutabik wo baat Quran aur sunnat ke mutabik na ho lekin jab ap ye karenge toh ap us baat ki galti samajh sakenge aur ye karenge toh uski sehat samajh sakenge aur agar apne ye nahi kiya toh fir jo bhi jawab apke muh me aya wo jawab dekar ap chale jayenge aur farig ho jayenge aur Allah ke Ilm ke imtehaan me na-qamyab ho jayenge, kyuki ilm ka imtehaan yahi hai ki jab koi baat apke samne aayi to apne rawayya kya ikhtiyar kiya.

Allah pak farmate hai,

“Aur Un Se Jab Kabhi Kaha Jata Hai Ke Allah Ta’ala Ki Utaari Hui Kitaab Ki Taraf Aao, Toh Wo Jawaab Dete Hai Ke Hum To Usi Tariqe Ki Pairwi Karenge Jis Par Hum Ne Apne Baap-dadaao Ko Paya Hai, Goya Un Ke Baap Daada Be-ilm Ho Aur Hidayt-yafta Bhi Na Ho.”

Surah Baqara, Ayat-170.

Aur Agar ap upar bayan karda tarika nahi apnate hai to fir ap me aur baaqi firqo ke logo me koi fark nahi rahega. Allah pak farmate hai,

“Unlogo ke tarah na hona jinhone Allah ke sath auro ko shareek kiya aur na hi unlogo ki tarah jinhone apne Deen ko baat diya aur firqe-firqe ho gaye, har giroh uss cheez par khush hai jo un ke paas hai (ki bas wahi log haq par hai).”

Surah Room(30), ayat- 31,32.

•٠•●●•٠•

Read More »

6 Aug 2018

Ahle Ilm Ki Galtiyo Par Ibn Qayyim Ki Naseehat

en     ur     hi - -
Imam Ibn ul Qayyim (d. 751 H.) ne farmaya: 

“Islam ke Ulema ki fazeelat, unke mukhtalif darje aur unki salahiyate aur unke hukuk ko jaano (ye zaruri hai).

(Ye bhi janne ki zarurat hai) ki unke Ilm aur unki fazeelat aur Allah aur uske Rasool ﷺ se inki ikhlas hame iska paband nai karti ki jo wo kahte hai ham unki har baat ko qubul karle, ya fir unke fatwe ki galti ko qubul karle un masaail me jinme (Quran aur sunnat) ki ibarat un tak na pohchi ho, is liye unke ilm ke mutabik unko jo sahih laga unhone wo kaha, halanki haqiqat kuch aur thi. (Agar ye hua ho) Toh ham par ye zaruri nahi ki ham unke har qawl ko jo kabhi unhone kaha ho usko dur fenk de, na hi ye zaruri hai ki unko badnaam kiya jaye ya unki qawl ko nichi nigaah se dekha jaye. 

Yaha par Do (2) be-insaf shiddat-pasandi hai (wo ye ki kisi ki har baat maan lena ya fir kisi ki har baat se inkaar kar dena) aur sahih rasta uske bich me hai. Ham na hi unhe (ahle ilm ko) chorte hai (unki galti ki wajah se) na hi unhe ham ye mante hai ki unse galti nahi ho sakti. Jiske pas bhi Deen ya Dunyawi muamlat ka kuch bhi ilm hai wo bina shak ke is baat ko janta hai ki kisi bhi izzatdaar shaks (ahle ilm) jisne Islam ki khidmat ki hai, is chiz ka imkaan hai ki usne kuch galti ki hogi. Albatta uski ye galti sirf muaf hi nahi hogi balki usko is ijtehaad jo usne tahkeek ke zarye ki hai, is par sawab bhi milega.

Is liye, un (ahle ilm) ki galti talash karne ki ijazat nahi hai, na hi unki izzat aur unka muqam jo unke liye logo ke dilo me hai usko tabah karne ki ijazat hai.”

I’laam-ul-Muwaqqi’een (jild- 3, safa- 295).

•٠•●●•٠•

Read More »

Salafiyat Par Rahem Kare | Shaykh Badr Ibn Alee

en -
'Salafiyat Par Rahem Kare', ye ek kitab hai jise Shaykh Badr Ibn Alee Ibn Taamee Al-Utaybee ne likhi hai. Ye Markaz Ad-Da’wah, Taaif, Saudi Arabia ke Head hai aur ye Shaykh ibn Baaz ke bade shagirdo maise ek hai. Kyuki din par din Salafiyat ke manne wale boht se logo me shiddat-pasandi aur zara zara si baat par ilzam-tarashi hone lagi hai isliye inko ye kitab likhne ki zarurat pesh agai. Ab Kitab ke taaleemaat par tawajjo dete hai. Mai puri kitab nahi balki is kitab ka aham hissa likhunga in shaa Allah.

Shaykh Badr Ibn Alee Ibn Taamee Al-Utaybee farmate hai:

۩ Ajkal Salafio ka ye muamla ho gaya hai ki (unme) har shaks ilzam lagata aur tareef karta hai, har shaks tanqeed karne laga hai. Is mushkil maidaan ko har talib e ilm anjaam de raha hai, har bewakuf nawjawaan is muamle me bolne laga hai, kam ilm wala shaks bhi isme mubtila hai - halanki agar ek shaks jisne abhi abhi Islam qubul kiya hai wo bhi. Use shariyat ki bunyadi chize bhi nahi pata hai, use Deen ke usool nahi pata hai na hi use Taharat aur namaz ke ahkaam pata hai. Wo Islam me is baat ko samajh kar ata hai ki ye zaruri hai ki fula fula logo se wafadari kari jaye aur fula fula logo se dushmani ki jaye.

Ek shaks jo aksar amal karta hai usse jana jata hai. [Kuch Salafiyo ke amal se] kaan unki baato ko sunne se inkaar kar dete hai, jo wo pesh karte hai, aankhe usko dekhne se nafrat karne lagti hai, nek logo ki rooh unke sath baithne se nafrat karne lagti hai, halanki unke twitter accounts aur website ko bhi (log na-pasand karne lagte hai). Ye Salafiyat nahi hai.

۩ Salafiyyah sirf Jarh wa Tadeel ka naam nahi hai, ki logo ki kamiya dhundna, unki galtiya talash karna aur is kaam ka nawjaan logo ko zimma dena.

۩ Logo ko (bura) laqab dekar aur unhe alag kar ke, (salafiyah ko) ek failne wali beemari bana kar kharab mat karo, aur na hi in chizo me apas me muqabla karo.

Maazi (past) ke Bees (20) saalo me unlogo ne hame Haddaadiyyah, Maghraawiyyah, Urooriyyah, Ma’rabiyyah, ‘Abbaadiyyah, Hujooriyyah, Faalihiyyah, Madkhaliyyah wagaira (salafi ke firqe) diye hai.

Aye Allah ke bando, Kab tak (salafi ke andar firqe banate rahoge)?

۩ Jo bhi galti kare to ye kahna ki fula fula ne galti ki ya ye kahna ki fula fula ne galti ki aur jo bhi unke sath hai - lekin is biddati tarike se logo ko alag karne ki zarurat nahi hai.

۩ Shak wa shubah ke bunyad par logo ko alag kar ke aur is chiz ki jahalat ki kya chiz karne se kisi ko ek khas Jamaat ke taraf mansub kar diya jata hai.

Har shaks jo siyasat ki baat karta hai aur Iqaal aur usme button laga kar pahanta hai wo Ikhwaani nahi ho jata!
Har shaks jo Zuhd aur Dawah ke taraf jata hai wo Tableeghi nahi ho jata!
Har shaks jo shirk aur biddat karne walo ki Takfeer karta hai wo Khaariji nahi ho jata!
Aur har shaks jo biddati ki taareef karta hai uska (ahle biddat) ka muamla usse chupa rahne ke wajah se toh wo us (ahle biddat) ki jamaat se nahi ho jata hai - jaisa ki (kuch salafi) kahte aur sochte hai.

۩ Khamosh rahe - khud se shuruat kare. Khud se jahalat ko dur kare aur waha se ilm le jaha se ulema ne ilm liya hai (yaani Quran aur sunnat se). Apko ye sabak sikhni chahiye ki alimo se kaise galtiya ho gai, toh kya ap sochte hai ki jahilo se aur gumraah logo se galtiya nahi ho sakti (jab ki ulema se ho sakti hai)!
Unhe adab sikhaye, unhhe logo se muhabbat karne par ubhare, unhe makhlook par raham karna sikhaye, aur apka dhyan logo ko hidayat par laana hona chahiye (na hi ilzam-tarashi aur buhtan).

۩ Caucasus ke mulko me ahle sunnat ke log apas me jhagda karte hai kyuki unhe bataya gaya hai ki fula fula se logo ko agah karo, fula fula ko mat suno, aur Wallah jab ki unko shariyat ke bunyadi usool bhi nahi malum hai na hi sahih raste ke usool malum hai.

Kuch European mumalik me Wallah unlogo ne ek dusre se hathiyar ke zarye ladaai ki kyuki wo kahte the ki tum fula shaykh ke sath ho aur mai fula shaykh ke sath hu.

Ek salafi musalmaan dusre salafi musalmaan ko ek kafir hukmaran ke paas arrest karwane aur uske mazhab me fitnah karwane ke liye le gaya kyuki usne uske Shaykh ki aur uske manhaj ki taareef karne se inkar kar diya tha.

۩ Wallah, tumhare aksar muqabil (opponent) aj Kitaab at- Tawheed, Thalaathat al-Usool or Aqeedah Al-Waasitiyyah ki tanqeed nahi karte, tumhare muqabil ki koi hasiyat hi nahi bachi hai ki wo itne mazbut pahado ki tanqeed kare. Albatta, tumhare khud ke kartut aur bayaan ne logo ko dur kar diya hai, aur sath sath ye bhi ek haqeeqat hai ki tumne pakke ulema ki raah chor di hai.

۩ Badgumani se bacho, badgumani sabse bekar bayaan hote hai, tum par ye lazim hai jo tumhe nazar aata hai, aur uski  tauseek (verify) karo (jo khabar tumhare pas aati hai). Har chiz ko ilm aur insaf ke taraazu me taulo, aur iradah aur rahmat ke mutabik amal karo.

Salafiyaah ko kisi khas Shaykh ka ghar mat banao, ki jo bhi iske andar ayega wo salafi hai.

Salafiyyah sahaba, tabaeen aur Deen ke Imamo ka tarika hai, Koi bhi salafiyyah se kisi ko nahi nikal sakta bagair daleel aur pukhta yakeen ke sath, na ki khwahish, zaati-fayde aur shaitan (ke amal) ke zarye.

۩ Islam aur sunnat ki muqammal taur par hifazat karo. Us shar ke muamle me zuban mat kholo jo poshida ho jab ke tum usse badi zahiri shar ko nazar-andaaz karte ho. Chote Biddat ke muamle me zuban mat kholo jab ke tum badi biddat ko nazar-andaaz karte ho. Ek anjaan shaks ke bareme zuban mat kholo, jab ki tum us shaks ko nazar-andaaz karte ho jiska khatra kaafi bada hai.

۩ Ham kaafi batwaara aur ikhtilaf kar chuke hai, boycott karna aur ek dusre se tutna. Allah ne tumhe Allah ki ibadat karne wala banaya hai - bhaiyo ek dusre ke liye rahmat ka rasta bano. Ek dusre ko khush khabri sunao aur logo ko apne se dur mat bhagao, chizo ko aasan banao mushkil nahi, ek dusre ke sath kaam karo aur ikhtilaf mat karo.

Salafiyat Par Raham Karo!
•٠•●●•٠•

Taken From the book 'Have Mercy Upon Salafiyyah' by Shaykh Badr Ibn Alee Ibn Taamee Al-Utaybee [Download].
Read More »

3 Aug 2018

Ulema Ki Galtiya Aur Salaf Ka Rawayya

en     hi -
۞ Sa’eed ibn-ul-Musayyib (Tabaeen; d. 93 h.) farmate hai,

“Koi bhi Ulema, ya nek shaks, ya izzatdaar shaks, aesa nahi hai ki usme koi galti na paayi jaati ho. Albatta, jab kisi shaks ki neki uski galatiyo se zyada ho jati hai toh fir uski galti uski neki ke wajah se saaf ho jati hai.
Isi tarha, jab kisi shaks ki galti uski neki se zyada ho jati hai, toh fir uski neki uski galti ki wajah se saaf ho jati hai. Kisi aur ne kaha hai ki Koi bhi Ulema galti se paak nahi hai. Agar wo galti karta hai aur wo aksar sahih hota hai, fir wo aalim hai. Lekin ek shaks jo kabhi kadaar sahih hota hai lekin wo aksar galti karta hai to woh jahil (kam-ilm) hai.”

Jaami’u Bayaan-il-‘Ilm wa Fadlihi (Vol. 2, page 48).

۞ Abdullah ibn ul-Mubaarak (Tabe-Tabaeen; d. 181 h.) farmate hai,

“Agar kisi shaks ki neki uski galtiyo se zyada hai, toh uski galtiyo ko yaad nahi kiya jata. Lekin agar uski galtiya uski nekiyo se zyada hai, fir uski nekiyo ko yaad nahi kiya jata.”

Sayr-ul-A’laam An-Nubalaa (Vol. 8, page 352).

۞ Imam Ahmad (Tabe-Tabaeen; d. 241 h.) kahte hai,

“Khurasaan ke Ishaaq (bin Rahawayhi) ke tarha koi nahi hai, halanki unhone ham logo se kuch chizo me ikhtilaf kiya tha. (Lekin) Log (toh) hamesha ek dusre se ikhtilaf karte rahenge.”

Sayr-ul-A’laam An-Nubalaa (Vol. 11, pg. 371).

•٠•●●•٠•

Taken from the book 'People of Sunnah' by Shaykh Abdul Muhsin al Abbaad. [Download]
Read More »

Ye Salaf Ka Raasta Nahi

en -
Agar hamse koi ikhtilaf kare to iska matlab ye nahi hai ki wo gumraah ho gaya hai. Sahaba e karaam me bhi ikhtilafaat hue, lekin sahaba e karaam ne kabhi ek dusre par ilzam tarashi aur galat zuban ka istemal nahi kiya. Wo daleel ke bunyad par baat karte the aur ham ilzam-tarashi ke zuban me baat karte hai. Aaiye dekhte hai ki hamne sahaba ka raasta kaha par chor diya hai aur aiye ham wapas sahaba ke raaste par chalne ki koshish karte hai:

۞1. Shaykh Fawzan se sawal kiya gaya:

"Ahsanallaahu ilaikum. Kya apke pas koi mubarak naseehat hai jiske zarye Ap Islami Ummat me Talib e Ilmo ki taraf se apne beto aur bhaiyo ko batana chahe?"

Jawab: Shaykh Fawzan kahte hai:

"Ji! Mai naseehat deta hu Allah se khauf rakhne ke liye aur lagataar Ilm ko hasil karte rahe, shaukh se, aur uske mutabik amal kare jis tarha se Allah ne taaleem di hai, aur Allah ﷻ ko pukare, aur jo aapne sikha hai wo logo ko sikhate rahe. Aur jhagde ko chor de, jo talib e ilmo ke bich ho gayi hai, (ek dusre se) nafrat karna, lanat karna, logo ko ek dusre ke khilaf karna, jab tak ke wo ummat aur talib e ilmo ko apas me baant na de, (aur unka kahna ki): "In in logo se khabardaar ho jao! fula aur fula ke sath baitho mat! fula aur fula ko mat padho!" - Iski ijazat nahi hai.

Agar fula aur fula ne galti ki hai, toh ek ek karke unhe naseehat kare, jab ki isko (unke galtiyo ko) logo me faila dena aur inke khilaf logo ko aagah karna jab ke wo alim hai, ya talib e ilm hai, ya koi nek shaks hai jisne galti ki hai, iski zarurat nahi hai ki un galtiyo ko logo me failaya jaye [fir shaykh Quran ki ayat bata kar naseehat karte hai]

Jo Log Musalmano Me Bohtaan Failaane Ke Aarzu Mand Rahte Hai, Un Ke Liye Dunya Aur Aakhirat Me Dardnaak Azaab Hai, Allah Sab Kuch Janta Hai Aur Tum Kuch Bhi Nahi Jaante.

Surah Nur (24) ayat-19.

Jo zaruri hai wo ye ki ap imaandaari se ek dusre ko naseehat kare, jo zaruri hai wo ye ki ap ek dusre se muhabbat kare, khas taur par talib e ilm se, khas taur par ulema se, ulema ki izzat ki jaye, aur na ki unko ek dusre ki khilaf kiya jaye, aur na hi un logo se aagah kiya jaye, Ye boht si buraai ki wajah hai, jhagda aur nafrat ki wajah hai, fitnah ki wajah hai - in sab chizo ko (sahih) raaste par laaya jaye.

Aur Allah apko behtareen chizo se nawaze."

______________________________________________________________

۞2. Shaykh Fawzan se sawal kiya gaya:

"Aj ke daur me baar baar ye ikhtilaf aata hai ki ek shaks kahta hai, "Fula aur fula salafi nahi hai ya fir wo salafi logo maise nahi hai". Kya is tarha ke izhaar ko Tabdee (kisi ko biddati kahna) kaha jayega? Aur kya unke khilaf daleel dene ki zarurat hai?"

Shaykh Fawzan jawab dete hai,

"Wallah! Mai is tarha ke taqraar se aagah karta hu. Mai Musalmano ke aulad se aur Talib e Ilmo se  muhabbat karta hu Allah ke liye. In shaa Allah wo sab khair me mubtala hai. Un maise sab salaf ke aqide par hai. Agar kisi shaks me koi kamiya hai ya kam-ilmi hai toh use iski wajah se salafiyat se bahar nahi fenk diya jata hai. In alfazo ki ijazat nahi hai. In alfaz ka kahna, bhaiyo ke bich, talib e ilmo ke bich, Musalmano ki zameen par musalmano ke aulaado ke bich, iski ijazat nahi hai. In alfazo ki ijazat nahi hai. Zarurat iski hai ki inhe naseehat kiya jaye. Agar apko apne bhai ke bareme kuch kahna hai to unhe naseehat kijiye. Lekin use reject kar dena ye kah kar ki wo salaf ke raaste par nahi hai ya salafiyat ke raaste par nahi hai. (Balki ye ho sakta hai ki) Shayad apko salafiyyat ka matlab nahi pata ho! kyuki kuch log apne apko salafiyat ke taraf mansoob kar ke bhi unhe is chiz ka ilm nahi hota (ki asal me salafiyat kya chiz hai). Aur haqeeqat me wo salafi bhi nahi ho sakta hai. Agar ap unhe salafiyyah ke bareme puche ki 'Isse kya muraad hai?' to use pata nahi hoga. Jee Ha!"

______________________________________________________________
۞ Shaykh ‘Abdul-Muhsin bin Hamad al-‘Abbaad se sawal kiya gaya:

"Allah apko istiqamat ata kare. Kya iski ijazat hai ki ek musalman dusre musalman bhai ko boycott kare aur use salaam na kare kyuki wo kisi ulema ke tajreeh se ittifaak nahi karta hai?"

Shaykh ‘Abdul-Muhsin bin Hamad al-‘Abbaad iska Jawab dete hai:
"Kitna bura hai jo usne kiya hai! Ye amal bura hai, yaani ek, do ya aur ulema se tajreeh ka mauzu: wo ye ki agar ap unse ikhtilaf ke muamle me ittifaak rakhe fir ap unke dost hai, aur agar ap unse ikhtilaf kare fir ap unke dost nahi hai. Ye bayaan aazmaish aur museebat hai jisse kuch logo par ye buri tarah se  asarandaaz (afflicted) hai. Wo jo isme masroof hai wo ilm se dur hai, wo logo ka gosht khane me masruf hai (geebat karke), aur un logo ne apna pet be-khabar logo ka gosht kha kar bhar liya hai."
Note: Tajreeh ka matlab Kisi ko hakeer samajh kar usko beizzat karna.
______________________________________________________________
۞ Shaykh Saalih bin Fawzan se aj ke kuch nawjawan logo ka dusro ko biddati kahne ke talluq se pucha gaya.
Shaykh Saalih bin Fawzaan iska jawab dete hai,

"Allah ne apko ye ikhtiyar nahi diya hai ki ap logo ko biddati kahe aur na hi iska ki ap unlogo ke biddati hone ka faisla kare. Abhi ap ilm ko hasil kare. Aur ek baar apne ilm hasil kar li to apko ilm ho jayega ki biddat kya chiz hai aur biddati kaun hai. Aur jaha tak har shaks jo apse ikhtilaf karta hai uske liye apni zuban ko aazad kar dena ya fir kisi ne koi aesa amal kiya jiski wajah se ap us par tanqeed kare aur fir use biddati kahe, toh fir iska gunah ap hi ke pas wapis ayega, iska gunah ap hi ke pas wapis ayega! Ye har shaks ka farz hai ki wo in muamlat me apne zuban par kaabu rakhe aur Ilm ko hasil kare. Use apne apko ilm hasil karne me masruf rakhna chahiye.

Allah ne use logo ko jaanch (scrutinize) kar ye kahne ka ikhtiyar nahi diya hai ki ye biddati hai wo fasiq hai, ye ye hai, wo wo hai. Ha! ye ho sakta hai ki uski khud ki badtareen galti ho usse zyada jiski wo tanqeed kar raha hai. Ye ham par hai ki ham apne andar Allah ka khauf paida kare."

______________________________________________________________

۞ Muhaddis Zubair Ali Zai kahte hai:

"England wagaira ke taqleedi Salafiyo ne kazb (jhut) wa iftira (bohtan lagana) aur tashaddud (extreme) ki raah apnate hue Ahle Hadees Ulema wa aawaam par radd shuru kar rakhen hai. Zara si baat ya ijtehadi khata par wo logon ko salafiyat se bahar nikal dete hai. Is tarah ke log purane jamane me bhi the jin ke baare me Hafiz Zahabi r.h. likhte hai:

'Ye Ashaab e Hadees nahi hai balki wo faajir wa jaahil hai. Allah unke shar ko dur kare.'

(Siyar A'lam al-Nubala, 17/460).

Unhi kazzabeen (liars) maise Abu Khadija Abdul Wahid bin Muhammad aalam meerpuri, Yasir Ahmad bin Khushi Muhammad aur Abu Yusuf Abdur Rahman haafiz, teeno kazzab wa iftara (bohtan lagane) me bohot mashoor hai."

Al Hadith Hozro, volume-11, page-42.
______________________________________________________________

۞ Shaykh ibn Uthaymeen kahte hai,

"Talib e ilmo ke bich batil chizo ke lekar dushmani, nafrat, taqraar, mukhalifat, ladai-jhagda, tassub, ye hame kaafi gamgeen (saddens) karta hai. Shariyat ke masaail ittihaad, ittifaq (harmony), tafheem (understanding) ka mauzu (zarya) banna chahiye na ki dushmani, taqraar, nafrat, kasam khane, lanat karne, wahsat (alienating) ka mauzu, kyuki ye shariyat ke khilaf hai aur Allah ke hukm ke khilaf hai."

Sharh Buloogh al-Maraam, vol. 9, p. 259.

•٠•●●•٠•
Read More »

17 Jul 2018

Islah Aur Haq Ka Raasta


Islah ka rasta kabhi bhi phool bhara rasta nahi hoga apke liye. Isme hamesha apko takleef aur tanz ka saamna karna padega. Kyuki insani fitrat hi aesi hai ki jab bhi ap kisi ko us raste ki taraf bulaoge jis par wo ya unke baap-dada na chale ho to wo itni asani se us raste ke taraf aamaada nahi hote. Badle me wo apne alawa baaki rasto se ikhtilaf karenge, apko baate sunanege, apko tanz karenge, ap par ilzam lagayenge.

Aur ye Allah ka aesa qanun hai ki isse Ambiya e karaam bhi na bach sake hai. Ambiya e karaam ko bhi inhi takleefo se guzarna pada hai. Wo isliye bhi kyuki agar apko ek badi manzil paani hai to apko mehnat aur qurbani to deni padegi. Ambiya e karaam, sahaba e karaam aur hamare aslaaf ki zindagi is qurbani aur takleefo se bhari padi hai. Sahaba ne to apni jaane bhi luta di is raste ke liye.

Hame unki zindagi se ye sikhna hoga ki ham kabhi bhi haq ke khilaf koi sauda na kare. Ham hamesha haq ka parcham lahraaye, wo kyuna kitni hi museebato, takleefo, tanz aur ilzamo ka samna karna pade. Agar ap bas apne logo ko khush karne me lage rahenge to kabhi bhi ap haq nahi kah sakte, wo baat alag hai ki haq ko untak behtreen akhlaq aur aadab e islah ko nazar me rakh kar pohchaya jaye jaise hamare Rasool aur aslaaf pohchaya karte the. Lekin agar ap haq is liye na bole ki apke chahne wale apse naraz ho jayenge, ap par taan o tashnee shuru kar denge, ap par ilzam tarashi shuru kar denge to ye soch le ki ap kabhi bhi haq ke musafir nahi ban sakte, ap kabhi bhi hamare Nabi aur aslaaf ke tarike par nahi ho sakte.

Zindagi me hamesha apke raste me Do (2) mod (turn) ayega. Ek mod to ye hoga ki us par phool ke raste biche honge, us par na apko taan o tashnee sunni padegi na hi khud par jhute ilzamaat sunna padega aur na hi apko koi qurbani deni hogi lekin us raste par apko kabhi haq ka koi musafir nahi milega, us raste par sirf khawhishe hongi.

Ek dusra rasta hoga jo kaanto se bicha hoga us raste par safar karna mushkil dikhyai dega jo ki takleefo se bhara hoga, us raste par apko apno ki narazgi leni padegi, apko taan o tashnee sunni padegi apko mushkilo ka samna karna padega. Lekin apko us raste par RasoolAllah ki sohbat milegi, apko us raste par sahaba e karaam milenge, apko us raste par nek aslaaf milenge. Aur us raste ke aakhir me apko Allah ki Jannat aur usse badi chiz apne Rab ki raza milegi jo apse kah raha hoga ki tumhara imtehan ab khatm hua, Tum mujhse raazi the aur ab mai tumse raazi hua. Tumhare liye ab Jannat me hamesha ki zindagi hai jinke niche nahre bah rahi haii, jaha par tum ko paak biwiya milengi. Aur yahi asal qamyabi hai.

Jinhone haq ka sath diya aur haq ke sath khade hue, apne logo ki mukhalifat ki parwaah kiye bagair wo Abu Bakr aur Umar kah laaye. Aur jin logo ne haq ka inkar kiya wo Abu Jahal kah laaye. Ab apko ye taye karna hai ki apko kiska sath dena hai. Apko kiske sath rahna hai akhirat me.

Ap jitne bhi unche muqam par pahuch jaye, apko hmesha ilm ke imtehan se guzarna padega. Apko us unche muqam ko chor kar aur zyada uncha muqam milega agar ap us ilm ke imtehaan me qamyab ho gaye. Us unche muqam par fir apko unlogo ka sath chorna hoga jinka sath aapne apno ko chor kar pakda tha, kyuki ye dunyawi imtehan ka sirf ek mod nahi hai, har raste me Allah apko aazmayega aur isi liye Jannat me 7 darje hai. Iski misaal Salman Farsi r.a. hai jo ki sabse pahle aatish-parast the fir wo Isaai hue aur fir wo Muslim hue. Jitni zyada mahnat, jitni zyada qurbani, jitna zyada Taqwa, utna hi bada darja jannat me. Hamesha khud se ye sawal puchte rahe:
۩ Kya Humne Apne Apko Taa'subaat Se Pak Karne Ki Koshish Ki Hai ?
۩ Kya Hum Ab Bhi Jazbaat Main Beh Jate Hein ?
۩ Kya Ab Bhi Hum Usi Jagah Par Khade Hain Ke Pahle Agar Ek Shakhs Ki Aqeedat (Andhi-takleed ; Blind-following) Main Mubtala The Toh Ab Kisi Doosray Shakhs Ki Aqeedat Main Mubtala Hogye Hain ?
۩  Kya Is Ilm Ke Safar Main Waqayi Ab Hum Khalis Daleel Ki Bunyaad Par Cheezo Ko Samjhte Hain ?
۩ Agar Koi Hamari Maani Hui Raa'ye Se Mukhtalif Cheez Ki Taraf Humain Bulaye To Hamara Response Gair Tassubana Hota Hai ?
۩ Kya Hum Aj Bhi Poori Tawajjoh Se Uski Bat Sun'nay Ke Liye Amaa'da Hojaty Hain ?
۩ Kya Hamary Andar Ye Cheez Moujood Hai Ke Agar Hamari Ghalti Hum Par Waa'zeh Ki Jayegi Toh Hum Haq Ko Maan Lenge ?
Abu Hurairah r.a. riwayat Karte Hai aur wo Kahte Hai Ki, Log Kahte Hai Ke Abu Hurairah Bohot Haadeese Bayaan Karte Hai. (Aur Mai Kahta Hu Ke) Quran Me 2 Aayate Na Hoti To Mai Ek Bhi Hadith Bayan Na Karta. [fir Ye Aayat Padhi, (Tarjuma)].. “Jo Log Allah Ki Naazil Ki Hui Daleelo Aur Aayato Ko Chupate Hai…( Aakhir Aayat, رحيم) Tak.” [surah Baqara, Ayat- 159 And 160].
(Waqya Ye Hai Ke) Humare Muhajireen Bhai To Bazaar Ki Khareed O Farokht Me Lage Rahte The Aur Ansaar Bhai Apni Jaayedado (properties) Me Mashgool Rahte The Lekin Mai (Abu Huraira) Rasool ﷺ Ke Sath Jee Bhar Kar Rahta Aur Un Majliso Me Hazir Rahta Jinme Dusre Haazir Na Hote Aur Wo Baate Mahfooz Rakhta Jo Dusre Mahfoz Nahi Rakhte The.”

Sahih Al Bukhari, Kitab al Ilm, Hadith-118.

Zindagi apki, Faisla apka, Amal apka, Kabr me hisaab apse, aur Jaza ya saza bhi ap hi se.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame Ilm ke safar ka sachha musafir banaye rakhe. aameen.
Read More »

11 Jul 2018

Ilmi Vs Jazbaati Nuqhta e Nazar


Agar ap insaani fitrat ka mut'aala kare to jo chiz samajh aa jaati hai aur wo ye hai ki achhai, Neki, Khair, Sacchai, Diyaanat-daari, Amaanat ye agarche badi mahboob chize hai. Lekin insaan aasani se in ki taraf aamaada nahi hota hai jab ke buraai ek aisi cheez hai ke jiske andar badi kashish hai.

Hazrat Maseeh a.s. ne Injeel me bahut khubsoorat jumla kahaa hai ke 'Neki ki raah tang hai aur is par chalne wale bahut thode hote hai aur burai ki raah badi kushaada hai aur us par jab chahe ap hujoom Ikhatta kar sakte hai.'

To is wajah se Insaan jab is tarha ke muamlat me logon ke jazbaat ka istehsal (extortion) karne ke liye uth khada hota hai to badi aasani se wo apne gird logo ko ikhatta kar leta hai.
Iske bilkul khilaaf agar ap jazbaat ko nahi ubharte, aap logon ki nafsiyaat ka istehsal nahi karte, ap Ilm aur aqal ki baat karte hai toh ap dekh lijiye puri insaani taarikh me, ki bahut kam log aapki baat sunne ke liye tayyaar hote hai.

Yaani humare mulk Nepal, India, Pakistan me tajurba kar ke dekh lijiye ke Ilm o aqal ki baat karne walon ke liye koi gunjaish nahi hai ke wo khade bhi rah sake.  Aur jo log jazbaat ko ubharte hai aur jahaalat par mabani jo chiz, jo baat dil me aati hai, kahte chale jaate hai, us par log '' Subhanallah.. Wah.. Wah.. Kya kahne hai..'' jaise alfaz kahte hai.

To ye hai Insan ke sath muamla agar aisa na hota to fir insan ka imtehan hi kya tha, yahi imtehan hai. Asal mai bahut kam log isko samjhate hai ke imtehan sirf amal ka nahi ho raha balki Ilm ka bhi imtehan ho raha hai Allah ke taraf se. Yaani:

۩ Kya Ham Sachhai Ko Janna Chahte Hai ? 
۩ Kya Sachhai Ko Janane Ki Humare Andar Sachhi Talab Hai ? 
۩ Kya Hum Sachhai Ko Jazbaat Se Alag Ho Kar Bhi Sun Sakte Hai ?
۩ Kya Is Ilm Ke Safar Main Waqayi Ab Hum Khalis Daleel Ki Bunyaad Par Cheezo Ko Samjhte Hain ?

Mai hamesha apne talib e Ilmo ko bhi yahi kahta hu ke ap Ilm ke baargaah me dakhil ho to jazbaat darwaaze par rakh aaye. Isliye ke Ilm ki baargaah me jazbaat ka koi dakhal nahi hota. Yaha to bada be-rehmana postmortem hoga. Tahqiq ki duniya apke jazbaat ko nahi dekhti, wo to haath mai nishtar (surgeon's knife) pakadegi aur har chiz ko udhed ke rakh degi aur batayegi ke 'Asal Haqeeqat Ye Hai' lekin asal Haqeeqat ko toh log dekhna hi nahi chahte.

Mere ustaad kahte hai ki jab unhone Deen par ibtida me jab tahqeeq ka kaam shuru kiya tha to unki ek choti bahen thi jinki wafat ho gayi hai. To ek din unki bahen bahut hi aazurda ho kar ustad sahab se kahne lagi ki : ''Tumhari baaten to bahut maakul (munasib) lagti hai magar saari mazhab ki rangeeni khatam karti chali jaa rahi hai..''

To insaan ko rangeeni ki badi talaash hai, aur wo ya burai me milti hai, ya jahaalat me milti hai, ya jazbaat ko ubhaar kar milti hai.

•٠•●●•٠•

Read More »

3 Jul 2018

Kya Chaar Imam Ka Ijma Hamare Liye Hujjat Hai ?


Islami shariyat aur Islami qanoon kya chiz hai ? Ye Allah aur Allah ke Rasool ke hukm ka Naam hai.

Humare ye chaar aimma hum sab ke liye kabil e ehtaraam hai, unhone Islami kanoon ki taabeer o tashree ki hai, us taabeer aur tashree me agar koi galti ho gayi ho to use dur hona chahiye.
Ye samajhna ki unki taabeer o tashree me galti nahi ho sakti, ye toh Allah aur Allah ke paigambar ke bad baaz dusre logon ko ye paigambar ka darja dena hai.
Wo Insaan the. Unhone humari badi khidmat ki hai, aur humare qanun ke bareme bahut si aala darje ki tasneefaat piche chori hai, bahut aala Ilmi kaam chora hai. Usse hume fayda uthana chahiye.
Lekin ye ki wo galati nahi kar sakte, ye baat meri samajh me nahi aati. 

Imam Abu Hanifah, Imam Malik, Imaam Shafi, Imam Ahmad, ye sab humare yaha bade aimma hai. Lekin ye sab ke sab Insan the, inme se koi bhi paigambar nahi tha.
Agar kisi mumle me ye ittefaq kar ke bhi ek interpretation pesh karte hai to hume dekhna hoga ke wo quran aur sunnat ke dalaail par mabni hai ya nahi h. Usme koi galati to nahi ho gayi hai. Insaani sateh par galtiyan ho sakti hai.

Yahi asal mai wo rawaiyya hai jis rawayye ne is daur me bhi Islam ko duniya ke samne pesh karne ke raaste me rukawaten paida kar di hai.
Jab Ap usool bayan karte ho to ap kahte hai ke Quran ka naam Islam hai, Muhammadur Rasoolullah ki baat ka naam Islam hai. Uske baad ye dusri chize kaha se aa jati hai? Un Imamo ke kaam ko adab ki nigaah se dekhenge, iska muta'ala karenge, unke dalail ka jayza lenge, baat maqool hogi qubul karenge baat maqool nahi hogi to nahi qubul karenge.
Aur Yahi Hamare Eemaan Ka Taqaza Hai Ke Agar Unki Baat Maqool Na Ho To Allah Aur Allah Ke Paigambar Ki Baat Ko Maani Jayegi, Kisi Ke Taabeer (Interpretation) Ko Ye Haisiyat Nahi Di Ja Sakti.

Aur yahi hamare Sahaba ka tarika tha:

Salim bin Abdullah r.a. ne bayan kiya ki unhone Ahle Shaam mai se ek shaks se suna, wo Abdullah bin Umar r.a. se Hajj me Umra se fayda (Hajj e Tamattu) ke bareme puch raha tha. Toh Abdullah bin Umar r.a. ne kaha, "Ye jayz hai". Is par Shaami (sham ka rahne wala) ne kaha, " (Lekin) Apke ke walid (Umar r.a.) ne to isse roka hai?
Abdullah ibn Umar ne kaha, "Zara tum ye batao, agar mere walid kisi chiz se roke aur RasoolAllah ﷺ ne use kiya ho toh mere walid ke hukm ki pairwi ki jayegi ya RasoolAllah ﷺ ki, toh usne kaha, "RasoolAllah ﷺ ke hukm ki", toh unhone kaha, "RasoolAllah ﷺ ne aesa kiya hai".

Jamia Tirmizi, Kitab al Hajj, hadith-824. Classed as Sahih by Shaykh Zubair Ali Zai.

•٠•●●•٠•
Read More »

2 Jul 2018

Kya Chaaro Aimma Ke Fiqhi Taabeer Se Ikhtilaf Kiya Ja Sakta Hai ?


Ji charo aimma kya agar char hazaar aimma ho to unki bhi taabeer (interpretation) se ikhtilaf kiya ja sakta hai. Wo saare ke saare insan hai. Jiski raaye se ikhtilaf nahi kiya ja sakta wo sirf ya to Allah hai aur ya uska Rasool, aur koi nahi.

Khud Imam Malik ke liye ye kaha jata hai ki unhone apne zamane me Nabi ﷺ ki kabar ki taraf ishara karte hue ye baat kahi thi ki sirf is sahib e kabr se ikhtilaf nahi kiya ja sakta baaki kisi bhi hasti se ikhtilaf kiya ja sakta hai.

Aur hamare aimma to khud ye kahte rahe ki hamari baat ko Quran e Majeed ki roshni me dekho, sunnat ki roshni me dekho, aql e aam ki roshni me dekho, agar wo baat Quran aur sunnat ke mutabik ho to qubul karo aur agar aesa na ho to hamari us raaye ko deewar par de maaro. Ye khud Imam Abu Hanifah ka qawl hai - (source).

Ye saare (Fiqh ki taabeer) insaani kaam hai aur isme agar galti ho jaye to ye bilkul aam baat hai. Iske baad log kahne lagte hai ki fula Imam se kyu ikhtilaf karte ho, fula Shaykh se kyu ikhtilaf karte ho. Toh mai bata du ki ikhtilaf sirf Allah aur uske Rasool se nahi kiya ja sakta baaki har shaks se ikhtilaf hoga aur dalail ki bunyad par kiya jayega. Aur agar unki baat thik hai to ap uski dalail pesh kar dijiye, ham qubul kar lenge.

Hamare Imamo ne boht si chizo me apni raaye pesh ki hai. Aur hamare imamo ke bich bhi ikhtilaf raha hai, jaise teen imam rafa yadain kar ke namaz padhte hai toh ek imam bina rafa yadain ke namaz padhte hai, Imam shafi kahte hai ki aurat ko hath lagane se wuzu tut jata hai jab ki Imam Abu Haneefah kahte hai ki aurat ko hath lagane se wuzu nahi tut-ta. Toh aesa nahi hai ki sirf ham ikhtilaf kar rahe hai, hamare Imam bhi apas me ek dusre se ikhtilaaf kiya karte the. Jab imamo ko ek dusre se ikhtilaf karne ka haq tha toh hame ye haq kyu hasil nahi hai? Islam to sabke liye barabar hai na?

Ham bhi Daleel ki bunyad par ikhtilaf karenge, galati hogi to wazeh karenge, Adab Ke Sath Kahenge Ke Janab Apki Ye Baat Hamare Samajh Me Nahi Aa Rahi Hai. Aur sahaba e karaam ka bhi yahi tarika tha:

Salim bin Abdullah r.a. ne bayan kiya ki unhone Ahle Shaam mai se ek shaks se suna, wo Abdullah bin Umar r.a. se Hajj me Umra se fayda (Hajj e Tamattu) ke bareme puch raha tha. Toh Abdullah bin Umar r.a. ne kaha, "Ye jayz hai". Is par Shaami (sham ka rahne wala) ne kaha, " (Lekin) Apke ke walid (Umar r.a.) ne to isse roka hai?
Abdullah ibn Umar ne kaha, "Zara tum ye batao, agar mere walid kisi chiz se roke aur RasoolAllah ﷺ ne use kiya ho toh mere walid ke hukm ki pairwi ki jayegi ya RasoolAllah ﷺ ki, toh usne kaha, "RasoolAllah ﷺ ke hukm ki", toh unhone kaha, "RasoolAllah ﷺ ne aesa kiya hai".

Jamia Tirmizi, Kitab al Hajj, hadith-824. Classed as Sahih by Shaykh Zubair Ali Zai.

Is hadith ye pata chala ki hamara Deen hame sahabi se ikhtilaf karne ki ijazat bhi deta hai agar wo raaye Quran aur sunnat ke mutabik thik na ho. Toh agar ek sahabi se ikhtilaf ho sakta hai toh 4 Imam se kyu nahi ho sakta?

•٠•●●•٠•
Read More »

30 Jun 2018

Kya Kisi Ek Imam Ki Pairwi Zaruri Hai ?


Kya Kisi Ek Imam Ki Pairwi Zaruri Hai ?

G Bilkul ! Ek hi Imam ki pairwi karni chahiye, dusre Imam ka tasawwur bhi nahi kabhi karna chahiye. Us ek Imam se hat kar apne ek baat bhi agar ki to aapne apne apko tabahi ke ghade me daal liya hai.
Aur us Imam ka naam hai Muhammad ﷺ.

Jis Imam ki pairwi lazim hai wo hamare aakhri Imam hame sidha raah dikha kar dunya se ruksat ho gaye hai. Baaki sab ke sab wo kyu na kisi bhi martabe par fa'iz ho sab ke sab insan hai aur unki galti ki hifazat ka zimma Allah ne nahi liya hua hai. Ham jiski pairwi ke paband hai wo sirf Allah hai aur uska Rasool hai. Baaki Allah ne hame kisi bhi shaks ke sath bandha nahi hai. Aur Islam isi chiz ka naam hai. Iski Daleel ye hai,

Allah ‎ﷻ Farmate hai,

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَأُولِي الْأَمْرِ مِنكُمْ ۖ فَإِن تَنَازَعْتُمْ فِي شَيْءٍ فَرُدُّوهُ إِلَى اللَّهِ وَالرَّسُولِ إِن كُنتُمْ تُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ ۚ ذَ‌ٰلِكَ خَيْرٌ وَأَحْسَنُ تَأْوِيلًا 

Aey Eman Walo! Allah Ki Itaat Karo Aur Rasool Ki Itaat Karo Aur Unlogo Ki Itaat Karo Jo Tum Mein Ikhtiyar Wale (Ulema, Imam Wagaira) Hai. Aur (Tumhare Bich) Agar Kisi Cheez Me Ikhtilaf Ho Jaye To Use Lautao Allah Ki Taraf Aur Rasool Ki Taraf Agar Tumhe Allah Par Aur Qayamat Ke Din Par Eeman Hai. Yeh Boht Behtar Hai Aur Anjaam Ke Aetbaar Se Boht Acha Hai.

Surah Nisa, Ayat-59.

Toh isliye wo ek hi Imam hai jinki pairwi lazim hai, do bhi nahi hone chahiye. Ye hamari badqismati hai ki hamne 4 Imam bana rakhe hai (jin maise hamne kisi ek ki pairwi ko lazim kiya hai). Pahle ke zamane me jo boht bada alim ho jata tha usko Imam bola jata tha. Jaise Imam Abu Hanifa, Imam Malik, Imam Ahmad, Imam Shafi, Imam ibn Jawzi, Imam Bukhari, Imam Muslim, Imam Ibn Taymiyya, aur isi tarha. Jaise hamare sub-continent (India, Pak, Nepal, etc) me log maulana bolte hai lekin arabo ke yaha ye nai bola jata tha, wo aam taur par aj bhi shaykh ya Fazilatus-Shaykh bolte hai. Aur jo bada alim hota usko Imam kahte hai. 

Toh Alim bhi insan hota hai, wo ek tahkeek kar ke apni raaye bayan kar deta hai. Agar apki samajh me aajaye to qubul karle agar apki samajh me na aye to na qubul kare. Lekin ye qubul aur inkar ka faisla daleel ki bunyad par hona chahiye, jazbaat aur khwhisho ki bunyad par nhi.
Apko jis shaks ke bareme kabr aur akhirat me pucha jayega wo Allah ke Rasool ke bareme pucha jayega.
Kabr me apko apne Nabi ke bareme batana hoga kisi molwi, maulana, shaykh, ya Imam ke bareme nahi - (source).
Aur jin logo ko jahannam me le jaya jayega toh unse bhi ye pucha jayega ki kya tumhare pas koi khabardaar karne wala (Rasool) nahi aya tha? - (Quran 67:8).

•٠•●●•٠•
Read More »

9 Feb 2018

Haq Ki Talaash Aur Ham


Ek Musalmaan aur ek Tailb e Ilm ko hamesha Sach ki talaash karte rahna chahiye. Hame sha'oor ki umar (age) se lekar aakhri saas tak ye safar taye karte rahna chahiye. Kyuki isi tarike ki taleem hame Quran aur Sunnat se milti hai. Sahaba e karaam, salaf as saliheen aur hamare imamo ki zindagi ek behtareen misaal hai is chiz ki. Agar ham ye samjhenge ki bas ab hamari hi soch, hamari hi raaye sahih hai aur isme galti ke chances bhi maujud nahi hai to ye khud ko Nubuwat ke darze par fa'iz karna hua. Kyuki sirf Ambiya karaam ke bareme hi kaha ja sakta hai ki sirf wahi log hai jo Allah ki hifazat me rahte hai. Baaki ham sab ke sab sirf ek insan hai. Ham tahkeek karte hai, baaz aukat hamari tahkeek sahih hoti hai aur baaz aukat hamari tahkeek galat hoti hai. Baaz aukaat hamse choti galtiya hoti hai, baaz aukat hamse badi galtiya ho jati hai. Toh koi ilm me kitne hi bade darje par pohch jaye, galatiya ka imkaan (chances) hamesha bana rahta hai.

Hame apne Dil o Dimag ko hamesha khula rahne dena chahiye. Agar ham yeh samjhenge ki bas ham hi sahih hai, hamari hi soch sahih hai, yahi aakhri nataij hai jo hamne seekh liye hai to ye Islah ka darwaza band karna hua. Aur hamari zahen is tarha ban jayegi ki 'Bhai Islah to Ap apni karo, ham to pahle se hi Haq par hai, ham to pahle se hi Jannati hai.'

Apko Sahabi e Rasool ﷺ, Salman Farsi r.a. ki zindagi ka Ilm hoga. Sabse pahle wo aatish-parast the, fir wo Isaai hue aur fir unhone Islam qubul kiya. Unko Islam ki daulat isi liye mili kyu ki unhone haq ke liye hamesha apna dil o dimag khole rakha. Agar wo hamari hi tarah zahen bana lete ki bas mai hi sahih hu to ap soche ki unhe Islam ki daulat kaise milti. Aur Salman Farsi r.a. ki badi fazilat ayi hai Hadith ki kitabo me. [Allah ne agar zindagi di to aage mai Salman Farsi r.a. ki zindagi par ek khas article publish karunga in shaa Allah]. Salman Farsi r.a. ki puri zindagi Haq talash karne walo aur Ilm ka safar taye karne walo ke liye ek sabak hai.

Toh Haq ki talash karne wala bane, aur Ilm ke safar ke sachhe musafir ban kar zindagi basar kare. Aur Khuda ke liye is tassub aur taqabbur ko apne dil o dimag se nikal fenke ki hamare tahkeek ya raaye me galti nahi ho sakti. Ye galti hame boht bhari pad sakti hai qayamat ke din. Aur khud ka post mortem karte rahe. Yaani Jaizaa Lete Rahe. Kuch sawalat hai jise hame roz khud se puchna chaiye ki:
۩ Kya Humne Apne Apko Taa'subaat Se Pak Karne Ki Koshish Ki Hai ?
۩ Kya Hum Ab Bhi Jazbaat Main Beh Jate Hein ?
۩ Kya Ab Bhi Hum Usi Jagah Par Khade Hain Ke Pahle Agar Ek Shakhs Ki Aqeedat (Andhi-takleed ; Blind-following) Main Mubtala The Toh Ab Kisi Doosray Shakhs Ki Aqeedat Main Mubtala Hogye Hain ?
۩  Kya Is Ilm Ke Safar Main Waqayi Ab Hum Khalis Daleel Ki Bunyaad Par Cheezo Ko Samjhte Hain ?
۩ Agar Koi Hamari Maani Hui Raa'ye Se Mukhtalif Cheez Ki Taraf Humain Bulaye To Hamara Response Gair Tassubana Hota Hai ?
۩ Kya Hum Aj Bhi Poori Tawajjoh Se Uski Bat Sun'nay Ke Liye Amaa'da Hojaty Hain ?
۩ Kya Hamary Andar Ye Cheez Moujood Hai Ke Agar Hamari Ghalti Hum Par Waa'zeh Ki Jayegi Toh Hum Haq Ko Maan Lengay?
Toh iska jaizaa lety rehna chahye hame. Kyuki tassub insan ki aisi kamzori hai ke bade se bade ahle ilm ko ye andaza nahi hota kay wo is kamzori main mubtala ho chuka hai. Toh har raat jab ap apne bed par sone jaye to khud se ye sawal puche.

Ye Ilm ka safar hai, hum sab ke sab Nabi ﷺ ki baat ko samjhne mein masroof hain. Aur aiye ap bhi sath shamil hojaiye.
Related:   ۩ Aadab e Ikhtilaf
                 ۩ Ilm Ki Pahli Manzil
Read More »