اقرأ باسم ربك الذي خلق

7 May 2020

Quran ka Saat (7) Qiraat Me Nuzul

 en  -
Alhamdulillah..

۞ Pahli baat

Shuru me Quran majeed sirf ek hi harf (lahje) me nazil hua tha lekin Nabi ﷺ Jibraeel a.s. se zyada ka mutaalba karte rahe hatta ke unhone Nabi ko saat lahjo me jo ke kaafi wa shaafi hai Quran majeed padhaya aur is ki daleel yeh hai ke,

۩ Ibn Abbas r.a. bayan karte hai ke Nabi ﷺ ne farmaya,

'Jibreel a.s. ne mujhe Quran majeed ek lahja me padhaya toh maine un se zyada ka mutaalba kiya toh unhone zyada kar diya toh mai mutaalba karta raha aur woh zyada karte rahe hatta ke saat lahjo me ja kar khatam hua.'

Sahih al Bukhari, kitab fazail al Quran (66), hadees- 4991.

۞ Dusri baat:

Ahruf ka matlab kya hai?

Is ke matlab me sab se acha aur behtar qawl yeh hai ke qirat ke saat tareeqe jo lafzi taur par mukhtalif hai aur matlab me muttfiq aur agar un ke matlab me ikhtilaaf bhi ho toh woh ikhtilaaf tanawu aur taghayyur hai na ke ikhtilaaf ta'ariz aur tazaad.

[is article ka english version padhe]

۞ Teesri baat:

Baaz ulama ka kahna hai ke Ahruf ka matlab Arab ki lughat hai, lekin yeh matlab Umar bin khattab r.a. ki hadees ki buniyaad par sahih nahi, woh kahte hai ke,

'Mai ne Hishaam ibn hakeem r.a. ko surah al Furqaan apni qirat ke alawa kisi aur qiraat me padhte hue paaya aur Rasool ﷺ ne ye surat mujhe padhai thi, mai qareeb tha ke is par jaldbaazi karta lekin maine unhe waqt diya hatta ke unhone woh surah khatam karli, fir maine unhe unki chadar se pakda aur Nabi ke paas laaya aur kahne laga, Aye Allah ke Rasool maine inhe surah Furqaan is tarha padhte hue paaya jo ke Aap ne mujhe padhai thi ye uske khilaaf hai.

Toh Rasool ﷺ farmaane lage, Padho! Toh unhone usi tarha use padhi jis tarha maine unhe suna tha toh Nabi ﷺ farmaane lage, 'Isi tarha nazil hua hai, fir mujhe kahne lage ke tum padho toh maine bhi padhi aur Aap farmaane lage ke isi tarha nazil hua hai, Yaqeenan Quran majeed saat harfo (lahjo) me nazil kiya gaya hai. Toh tum jo bhi us me mayassar ho padho.

Sahih al bukhari, kitab al khusumaat (44), hadees- 2419.

Aur yeh malum hai ke Hishaam r.a. Quraish me se Asadi hai aur Umar r.a. Quraish me Aqawi ke sath talluk rakhte hai, aur dono hi Quraishi hai. Aur Quraish ki toh ek hi zubaan (lugat) hai, Toh agar huroof ka ikhtilaaf lughaat me ikhtilaaf hota to yeh dono Quraishi sahabi aapas me ikhtilaaf na karte.

Aur is mas'ala me ulama e karaam ne chalees (40) ke qareeb aqwaal naqal kiye hai, aur un me se raajeh qawl shayad wohi hai jo ke hamne zikr kiya hai. wa Allahu aalam.

۞ Chauthi baat

Hadees e Umar r.a. se yeh waazeh hota hai ke huroof mutaddid alfaaz me nazil hue hai is liye ke Umar r.a. ka inkaar huroof me tha nah ke matlab me, aur fir ye huroof me ikhtilaaf, ikhtilaaf Tazaad nahi balke ikhtilaaf tanawu hai jaisa ke Ibn Masood r.a. ka qawl hai ke,

'Ye isi tarha hai ke jis tarha aap yeh kahe ke- halumma, aqbil or ta’aal (ye teeno ka matlab ek hi hai jisse murad 'Yaha Aao' hai).

۞ Paanchwi baat

Ab rahi 'Qiraat al Saba' (saat qirat) ki tahdeed to yeh tahdeed Quran wa sunnat me se nahi ki gai balke Ibn Mujaahid r.h. ka apna ijtihad hai, toh log ye gumaan karne lage hai ke saat huroof se Qiraat e Saba hi murad hai is liye ke yeh tadaad me ek jaise hi hai.

Yeh adad ya toh ittafaqi taur par aur ya fir un se qasdan hai taa ke yeh tadaad Ahruf e saba se mutabqat ikhtiyaar kar le, aur baaz logo ka jo yeh gumaan hai ke Ahruf e Saba se murad yahi qirat e Saba hai toh yeh un ki galti hai, aur ahle ilm se yeh baat maroof nahi.

Balke qiraat Sabah, ahruf sabah me se ek harf hai aur yahi woh harf hai jis par Usman r.a. ne Musalmanoon ko jama kiya tha.

۞ Chati baat

Usman r.a. ne jab mushaf nuskh kiya toh use ek hi harf par tayyar kiya lekin unhone is par nuqte aur aarab (zer, zabar wagaira) na lagayi taake is rasam me wusat rahe aur dusre lahjaat (huroof) ka bhi ahtamaal rahe toh jo is me raha is ki qirat ban gai aur jo na tha us ko nuskh kar diya gaya, aur yeh kaam is liye hua ke qiraat me log ikhtilaaf karne lage toh Usmaan r.a. ne inhe ek nuskhe par jama kar diya taa ke ikhtilaaf khatam ho jaaye.

۞ Saatvi baat

Saat Qirat ke Qaari ye hai:

1. Naafi al-Madani

2. Ibn Katheer al-Makki

3. Aasim al-Kufi

4. Hamzah al-Zayaat al-Kufi

5. Al-Kisaa’i al-Kufi

6. Abu Amr ibn al- Ala al-Basri

7. Abdullah ibn Aamir al-Shaami.

In sab me se qirat ki sanad ke aetebaar se sabse mazbut Naafi aur Aasim hai. Aur in me se sabse faseeh Abu Amr aur al Kisaa’i hai.

Wallah taala aalam.

source: islamqa.info

Note: The article has been edited without changing the meaning from the primary source.

•٠•●●•٠•

Related

۩ Quran ko likhne waala kaun tha aur ise kis taraf jama kiya gaya
Read More »

Rozedaar ka Eye drops Istemal Karna


Alhamdulillah..

Aankho ke katrah (eye drops) ke mutaliq ulema me ikhtilaaf hai ke is se roza tut ta hai ya nahi.

Shaykh ibn Uthaymeen aur Shaykh ibn Taymiyyah ki raaye ye hai ki is se roza nahi tut ta hai.

۩ Shaykh ibn Uthaymeen r.h. kahte hai,

'Shaykh ibn Taymiyyah ne ye mazhab ikhtiyar kiya hai ke surma roza ko khatam nahi karta agarche woh halak me bhi chala jaaye aur un ka kahna hai ke ise na toh khane aur peene ka naam diya jata hai aur nah hi ye un dono ke mayine (meaning) me aata hai aur fir is se nah hi woh cheez haasil hoti hai jo khane peene se haasil hoti ho. Aur Nabi ﷺ se koi bhi sareeh aur wazeh hadees nahi milti jo ke is par dalaalat karti ho ke surma roza todne waali cheez me daakhil hai.

Toh is masla me sahih baat yahi hai ke roza nahi toot-ta. Ibadat us waqt tak sahih wa salaamat hai jab tak ke hamare liye fasid karne wali koi cheez saabit na ho jaaye.
Aur jis maslak ki taraf Shaykh gaye hai woh hi sahih hai agarche insaan is ka zayeka apne halak me mahsoos hi kyu na kare.

Toh is bina par jis raaye ko shaykh al islam ne ikhtiyar kiya hai ki agar rozadaar apni aankh me katre daale (eye drops) aur is ka zayeka apne halak me mahsoos kare, toh is se us ka roza nahi tootega.'

Al-Sharh al-Mumti, 6/382.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame sahih deen ki samajh ata kare. aameen.
Read More »

6 May 2020

Jadu Tona | Jinnaat Taweezaat | Amraaz o Haadsaat ka Sahih Sunnat Wazaif se Ilaj

1۞ Ayatal kursi padhne waala shaks Shaitan aur Jinnaat se mahfooz ho jata hai aur Allah uski hifazat ke liye ek muhafiz muqarrar farma deta hai.


 1 martaba subah aur shaam 

Sahih al bukhari, 2311. Sunan kubra lil nisai, 8017. Mustadrak al hakim, 2064.

2۞ Surah Ikhlas (Qul hu Allaho ahad) aur Muazzatain ki tilawat har shae se kaafi ho jati hai. Ye teen surate shaitan, jinnaat aur jadu ke khilaf Allah ki panaah me aane ka zarya hai.

۩ قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ - اللَّهُ الصَّمَدُ - لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ - وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ-

۩ قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ - مِن شَرِّ مَا خَلَقَ - وَمِن شَرِّ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ - وَمِن شَرِّ النَّفَّاثَاتِ فِي الْعُقَدِ - وَمِن شَرِّ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ-

۩ قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ النَّاسِ - مَلِكِ النَّاسِ - إِلَـٰهِ النَّاسِ - مِن شَرِّ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ - الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ النَّاسِ - مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ-

 3 martaba subah aur shaam 

Jamia Timizi, 3575 (hasan). Sunan Abu dawud, 5082 (hasan).

3۞ In kalimaat ka sawaab chaar (4) gulaam aazad karne ke barabar hai aur Allah tamaam din aur raat me har khatarnaak cheez aur shaitan se bachao farma deta hai.


 10 martaba subah aur shaam 

Sahih Muslim- 6844. Sunan Abu Dawud- 5077 (Sahih).

4۞ Ye Dua padhne waale ko koi shaye nuksaan nahi pahucha sakti hai aur na koi naaghani aafat ya museebat hi use pahuchegi.


 3 martaba subah aur shaam 

Jamia Tirmizi, 3388 (hasan). Sunan Abu Dawud, 5088 (Sahih). Sunan ibn Majah, 3869 (Sahih).

5۞ Ye dua padhne waale ko zahreele jaanwar (bichhu, saanp, keeda, wagaira) ka dank nuksaan nahi pahucha sakega.


 1 martaba subah aur shaam 

Sahih Muslim,  6880.
Prepared by: A. Sayed
Remember us in your prayers.

•٠•●●•٠•

Related

Read More »

5 May 2020

Quran ki Sabse Choti Surat | Al Kausar


بِسمِ اللَّهِ الرَّحمٰنِ الرَّحيمِ

1.  إِنَّآ أَعْطَيْنَٰكَ ٱلْكَوْثَرَ
2. فَصَلِّ لِرَبِّكَ وَٱنْحَرْ
3. إِنَّ شَانِئَكَ هُوَ ٱلْأَبْتَرُ-

۩ Innaa aa’taina kal kausar. Fa salli li rabbika wanhar. Inna shani-aka huwal abtar.

۩ Yaqeenan hamne Aap ko Kausar ata ki. Pas Aap apne Rab ke liye namaz padhe aur Qurbani kare. Beshak Aap ka dushman hi be-nasl aur be-naam o nishan hoga.

•٠•●●•٠•

Hame Whats App par join karein: +9779868212118
Read More »

3 May 2020

Namaz me Imamat ki Sharait

hi    

Alhamdulillah..

Imamat ki Shart Rasoolullah ne ye bataye hai:

۩ Abu Mas’ood al Ansaari r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Logo ki Imamat woh karaye jise Allah ki kitab (Quran majeed) ka sabse zyada Ilm ho aur agar woh sab is me barabar ho toh fir sunnat ka sab se zyada janne waala shakhs imamat karwaye, agar wo sunnat (ke ilm) me bhi barabar ho toh wo jis ne un sab ki nisbat pahle hijrat ki ho, agar wo hijrat me barabar ho toh wo jo Islam qubul karne me sabqat rakhta ho (yaani jo pahle musalman hua ho).'

Sahih muslim, kitab al masaajid (5), hadees- 1532.

Is hadees se sabit hua ki Imamat ke liye sabse badi chiz Quran ka ilm hai. Aur is ilm se murad ye nahi hai ki Quran ko kitna zyada khubsurti se padha jaa raha hai balki isse muraad Quran ka sabse zyada yaad hona hai. Is ki daleel hame is hadees se milti hai:

۩ Amr bin Salama r.a. riwayat karte hai,

'Jab Mecca fatah ho gaya toh har qaum ne Islam laane me pahal ki aur mere waalid ne bhi meri qaum ke islam me jaldi ki. Fir jab (Madinah) se wapas aaye toh kaha ke mai Allah ki qasam ek sachhe Nabi ke paas se aa raha hu. Unhone farmaya hai ke fula namaz is tarha fula waqt padha karo aur jab namaz ka waqt ho jaaye to tum me se koi ek shakhs azaan de aur imamat woh kare jise Quran sab se zyada yaad ho.

Logo ne andaza kiya ke kise quran sab se zyada yaad hai toh koi shakhs un ke qabeele me mujh se zyada Quran yaad karne waala inhe nahi mila. Kyunke mai aane jaane waale sawaaro se sun kar Quran majeed yaad kar liya karta tha. Is liye mujhe logo ne imam banaya. Halaanki us waqt meri umar chay (6) ya saat (7) saal ki thi aur mere paas ek hi chaadar thi.

Jab mai (use lapait kar) sajda karta toh upar ho jati (aur peeche ki jagah) khul jati. Is qabeela ki ek aurat ne kaha tum apne qaari ka jism ke peeche ka hissa toh pahle chupa do. Aakhir unhone kapda khareeda aur mere liye ek kameez banayi, mai jitna khush us kameez se hua utna kisi aur cheez se nahi hua tha.'

Sahih al bukhari, kitab al maghaazi (64), hadees- 4302.

Ek baat ka aur khayaal rakhe ki Imamat karne waale ko dusri zaruri cheeze bhi aate ho jaise, Quran ka alfaz achhe se padhna aata ho aur use namaz padhne aur iske sharait ka ilm ho, yaani kaun si duae kab padhna hai, namaz me galti ho jaaye ya wuzu tut jaye toh kya karna hai, wagairah.

۩ Ibn Qudamah r.h. kahte hai,

'Agar un dono me se ek shakhs namaz ke ahkam ka zyada ilm rakhe, aur dusra shakhs namaz ke alawa baaki dusre muamlaat me zyada ilm rakhta ho toh namaz ke ahkaam jaan ne waale ko muqaddam kiya jayegaa.'

Al-Mughni, 2/19.

Hamare muashre me logo ne dadhi ko imamat ki shart rakh di hai, aur ye sahih nahi hai kyuki iski taleem Allah aur uske Rasool ne hame nahi di hai.

•٠•●●•٠•

۩ Imamat ke chand masail
Read More »

2 May 2020

Family Planning | Operation Karwana | Nas-bandi | Abortion | Pills

Assalamualaikum w RahmatUllahi w brakatuhu..

Islam logo ko Shadi biyah aur Aulad paida karne ki targheeb deta hai taake Ummat e Muslimah ki taadaad me izafa ho, Aur Nabi ﷺ  ko Qayamat ke din diger tamam aqwam ke saamne fakhr ho.

۞ Bachhe na ho isliye Operation karwa lena

Nikah me Shariah ka ek maqsad ye hai ke bachhe paida karein aur nasal e insani ko mustaqil banaye.

Lehaza aisa koi bhi kaam jaiz nahi hai jo mustaqil taur par aulad paida karne se bachaye, siwaye zarurt ke muamlat me.

۩ Kis Surton me Operation ki Ijazat hai

Agar Doctors ke mutabik zyada bachhe paida karne se aurat ko nuqsan pahonchega, Ya uski bimari me izafa ho jayega, Ya ye andesha hai ke pregnancy ya delivery aurat ki maut ka sabab banegi toh fir shauhar ki razamandi (permission) ke sath hamal (pregnancy) rokna jaiz hai.

Shaykh Ibn e Baaz r.h. se ek aisi aurat ke bare me pucha gaya jisne das (10) bachho ko janam diya tha aur kisi aur hamal (pregnancy) ki wajah se use nuqsan pahunchega to wo aurat shauhar ki ijazat se operation karwa sakti hai aur apne nalko (tubes) ko bandhwa sakti hai.

Dekhye temporary taur par hamal (pregnancy) rokna aur mukhtalif wasail (sources) ka istemal karna zarurat aur sharait ke lehaz se haram nahi hai.

Dekhye Mazhab e Islam bahut hikmat waala mazhab hai. Aur jo bhi hame hukum diya jata hai aur jis baat se roka jata hai usme hamara hi fayeda hota hai.

Wo log jo nasbandi karwa lete hai unka ye amal jaiz nahi hai balke haram hai, Kyuke isme insan ka bachha paida karne ki salahiyat aur quwwat ko khatam kar diya jata hai.

Aksar aisa bhi hota hai ke Maa baap nasbandi karwa baithe hai aur jo unke bachhe the unka inteqal ho jata hai toh is tarha toh wo hamesha ke liye aulad se mahrum ho jate hai.

Aur kabhi aisa bhi hota hai ke aurat ne nasbandi karwali aur uske shauhar ka inteqal ho gaya ya use Talaq ho gayi aur us Aurat ne dusri shadi ki aur dusra shauhar apni aulaad ka khwahishmand ho,

Ya ye bhi ho skta hai ke mard ne nasbandi karwali aur uski biwi ka inteqal hogaya ya talaq ho gayi aur phir wo dusri shadi karta hai aur ab nayi biwi aulad ki khwahishmand ho.

۞ Temporary Taur Par Bachho ki Rok-tham ke Mukhtalif Tarike Aur Unki Ijazat

Ek mahdood (limited) muddat tak hamal ki rok tham ke zaraaye (sources) ka istemal ki ijazat hai, Is shart par ke ye nuqsandah asraat se paak ho.

1- Injection Lagwana

Aap temporary taur par Pregnancy ki rok tham ke liye Injection ke bare me kisi Qabil e Aetemad Doctor se ruju kar sakti hai.

2- Birth Control Pills ka Istemal

Jab tak Aurat in 2 sharait par puri nahi utarti use pills ke istemal ki ijazat nahi hai.

1- Pregnancy se usko Jismani kamzori ya bimari ka khatra hoga ya har saal Pregnancy bardasht na hone ki wajah se ye nuqsandah sabit ho.

2- Shauhar ki ijazat ke bagair Pills ka istemal jaiz nahi jab ke shauhar bacche ka khwahishmand ho.

In do sharait ke pura hone par Pills ke istemal ki ijazat hai magar permanently nahi.

Aur Doctors ke mutabik Pills ka zyada istemal aurat ko andruni (internal damage) taur par bahut nuksan pahuncha sakta hai.

3- Condom ka Istemal Karna

Condom Istemal karne ki ijazat hai jab tak isse koi takleef na ho aur dono shauhar aur biwi ki razamandi shamil ho.

4- Azl karna (ejaculating outside the vagina)

Hazrat Jabir r.a. farmate hai ke ham log nuzul e Quran ke zamane me 'Azl' karte the. (Yani inzal ke waqt aurat se alag ho jate the)

Sahih al Bukhari, kitab un nikah (67), hadees- 5208, 5209. 

Muslim Sharif me Itna aur hai,

'Ye baat Nabi ﷺ tak pahunchi to Aap ﷺ ne Mana nahi kiya.'

Sahih Muslim, kitab un nikah (16), hadees- 3561.

'Azl' (cell discharge) ke mutallik aur bhi ahadees hai jisse iski ijazat ka pata chalta hai.

۩ Shaykh Ibn Taymiyyah farmate hai,

'Kuch Ulema ke mutabik ye amal haraam hai magar char Imam ke nazdeek ye jayez hai aur ye bhi ke biwi ki ijazat aur marzi ke khilaf aisa na kare (kyunki isme uski haqtalfi hai). Aur Allah sab se behtar janta hai.'

Majmoo’ al-Fataawa, 32/110.

Musalmano ko ye karna chahiye ke wo zyada se zyada bachhe paida karne ki koshish kare, kyunke ye Nabi ﷺ ka Hukm hai ke 'Shadi usse karo jo Muhabbat karne wali aur zarkhez (fertile) hai, Kyun ke mujhe aqwaam ke saamne tumhari badi tadad par fakhr hoga.'

Sunan Abu Dawood, hadees- 2050 | Hasan Sahih

Wo log jo gareebi ke dar se apni aulaado ko maar daalte hai (abortion, etc) toh aise logo se Allah s.w.t. farmate hain ke,

'Aur Gurbat ke khauf se apne bachho ko mat maaro. Ham unke sath sath Apko bhi faraham karenge. Yaqinan unka katal bahut bada gunah hai.'

Surah Isra (17),  ayat- 31.

۩ Shaykh ibn e Jibreen farmate hain,

'Hamal (pregnancy) ke khatme Ya rok tham ke liye tibbi ilaj karna jaiz nahi hai siwaye zarurt ke muamlat me,
Jab Doctors ne sabit kar diya ke wiladat (delivery) se uska nuqsan hoga ya iski bimari zyada badh jayegi ya khadsha hai ke wiladat ki wajah se maut waqaye hojaygi.
Lekin ye zaruri hai ke shauhar hamal ke khaatme ya rok tham ke liye ijazat de, Fir jab uzar (bimari) khatam ho jaye toh aurat ko mamool par lautna chahiye.'

Fataawa al-Mar’ah al-Muslimah (2/977).

۩ Aur Allah par Tawwakal karo agar tum waqai Momin ho

Surah Maida (5), ayat- 23.

Allah s.w.t. hame haraam se mahfooz rakhe aur halaal kaam karne ki taufeeq ata farmaye.

Ameen Ya Rabbul Aalameen

•٠•●●•٠•

Prepared by:- A. Sayed
Read More »

1 May 2020

Sayyid al Istighfaar


Insan fitratan kamzor hai. Apni kamzoriyo aur kuch deegar wujuhat ki bina par gunah kar baithta hai. Agar insan ka zameer zinda ho toh use sharmindagi zarur hoti hai. Fir use Allah taala ki baargah me fauran tawba karni chahiye aur dobara gunah ke qareeb bhi na jaye. Ye Allah ki rahmat hai ke Allah ne hame muafi maangne ki mukhtalif kalimaat sikha diye hai aur apne bando ko bakhshish maangne ka mauqa diya hai.
Shaitan insan ka dushman hai woh insan ko tawba karne me deri karwata rahta hai hatta ke insan ki maut ka waqt aa jata hai aur tawba ka darwaza band ho jata hai.
Gunah sarzad hone ke fauran baad hi tawba kijiye, na jane kab hamari aakhri ghadi aa jaye aur ham gafil ho.

۩ Shaddad bin Aus r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

Allah se maghfirat maangne ka sabse behtaraeen tareeka Sayyid al Istighfaar hai. Jis ne is dua ke alfaz par yakeen rakhe hue dil se inko kah liya aur usi din us ka intekal ho gaya shaam hone se pahle toh wo Jannati hai aur jis ne is dua ke alfaz par yakeen rakhte hue raat me in ko padh liya aur fir uska subah hone se pahle intekaal ho gaya toh wo Jannati hai.

Sahih al Bukhari, kitab ad dawaat (80), hadees- 6306.

Dua

اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي لا إِلَهَ إِلا أَنْتَ خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَيَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي فَاغْفِرْ لِي فَإِنَّهُ لا يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلا أَنْتَ-

Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta khalaqtani wa ana abduka, wa ana ala ahdika wa wa'dika mastata'tu, A'uzu bika min sharri ma sana'tu, abu'u laka bini'matika 'alaiya, wa abu'u laka bizanbi faghfirli fainnahu la yaghfiru azzunuba illa anta.

Aye Allah! Aap mere Rab hai. Aap ke siwa koi mabood nahi. Ap ne mujhe banaya aur mai Aap ka banda hu. Aur mai aap se kiye hue Ahed aur waade par qayam hu, apni taaqat ke mutabik.
Aap ki panah chahta hu bure kaamo ke wabaal se jo mai ne kiye hai. Mujhe iqrar hai us ahsaan ka jo ap ka mujh par hai aur mujhe aetaraaf hai apne gunaho ka, pas baksh de mere gunah kyu ki koi nahi bakshta gunah Aap ke siwa.

•٠•●●•٠•
Read More »