hi ur en |
Jab jama (intercourse) ke bagair aurat ki mani kharij ho to use ghusl karna hoga, kyuki Rasool ﷺ ne aurat ko pani dekhne ki haalat me ghusl karne ka hukm diya hai, jaisa ke niche di hui hadees me hai:
۩ Umme Salmah r.a. bayan karti hai ke Abu Talha ki biwi Umme Sulaim r.a. Rasool ﷺ ke paas aayi aur arz karne lagi,
'Aye Allah ke Rasool, Yaqeenan Allah taala haq bayan karne se nahi sharmaata, kya jab aurat ko ihtehlam ho toh woh ghusal karegi?'
Rasool ﷺ ne farmaya, 'Ji haan!, jab woh pani dekhe.'
Muwatta Imam Malik (1/51), Sahih al Bukhaari (282) aur Sunan Nasaai (1/197).
Is hadees me Rasool ﷺ ne aurto ko hukm diya hai ke jab woh paani jo mani hai dekhe toh ghusl kare.
۩ Imam Baghawi r.h. kahte hai,
'Ghusl janabat do umoor mein se ek ke sath wajib hota hai:
Ya to mard ke sharmgaah ka agla hissa (tip of the penis) aurat ki sharmgaah me gayab ho jaye, ya phir mard ya aurat se chalakne waala paani kharij ho.
Ahle ilm ka kahna hai ke jab tak yeh yaqeen nah ho ke nami chalakne waale pani se hai, tab tak ghusl wajib nahi hoga.'
Sharh al-Sunnah, 2/9.
۩ Ibn Qudaamah r.h. kahte hai:
'Nabi ﷺ ne ghusl ko pani se jodte hue farmaya hai :
'Agar tum pani dekho, aur agar pani bahar aa gaya ho to ghusl karo.'
Chunanche is ke bagair (ghusl ka) hukm saabit nahi hoga .'
Al-Mughni, 1/200.
۩ Hafiz ibn Hajr r.h. kahte hai:
'Is me daleel hai ke agar aurat ka inzaal ho (emit fluid) toh us par ghusal wajib hoga.'
Fath al Baari ,1/389.
۩ Ibn Rajab ka kahna hai,
'Yeh hadees zahir karti hai ke jab aurat khawab me ahtehlam dekhe, aur bedaar ho kar pani dekhe toh use ghusl karna hoga, jamhoor Ulema karam ka maslak yahi hai, is me koi ikhtilaf nahi, sirf imam Nakhi r.h. is ke mukhalif hai, aur yeh shaz (odd) hai.'
Al Fath, 1/338.
Chunanche Nabi ﷺ ki yeh hadees wazeh hai, woh yeh ke aurat ka sirf pani kharij hona chahe woh thoda ho ya zyada, ghusl wajib karta hai.
Is bina par aurat ki sharmgah se pani kharij hona jab woh kharij hone ko mahsoos kare chahe woh thoda ho ya zyada, ghusl ko wajib karta hai is liye use ghusl karna hoga, jaisa ki upar ki hadees me bataya gaya hai.
Aur is mein wuzu karna kaafi nahi, lekin agar woh aesa pani ho jisme ghusl ki zarurat nahi hai jaise mazi ka kharij hona toh phir wuzu kaafi hoga.
wa Allahu aalam.
•٠•●●•٠•
Related:
۩ Mani, Mazi Aur Ratubat Me Fark Aur Iske Ahkaam
Hame Whats App par join karein: +9779868212118